Thursday 2 January 2014

Wazu

Wazu karne se pehle Wazu
karne ki Dua padhe"
.
kulli karte Waqt kahe:
(Tarzuma)
"ilahi! meri madad farma
Quran-e-Azeem ki tilawat
apne zikr shukr aur acchi
ebadat par"
.
Malfuzat-e-
Alah azrat page 154
.
Naak main paani dalte waqt
kahe:(Tarzuma)
"Ilahi! mujhe Jannat ki
khushbu sungha aur dozakh
ki badbu na sungha"
.
Malfuzat-e-Alah azrat
.
Munh Dhote waqt kahe:
(Tarzuma)
"Ilahi! munh ujala kar jis din
kuch munh ujale hoge aur
kuch kaale"
.
Malfuzat-e-
Alah azrat
.
Dahina (right) Haat dhote
waqt kahe:
(Tarzuma)
"Ilahi! mera Nama-e-
Aamaal mere sidhe haath
main de aur mujh se asaan
hisaab le"
.
Malfuzat-e-Alah
azrat
.
Baaya (left) Haath dhote
waqt kahe:
(Tarzuma)
"Ilahi! mera Nama-e-
Aamaal ulte haat main na
dena na meri pith ke piche
se"
.
Malfuzat-e-Alah azrat
.
sar ka masha karte waqt
kahe:
(Tarzuma)
" Ilahi! mujhe apne arsh ke
niche saaya dena, jis din saaya
nahi magar teri arsh ka"
.
Malfuzat-e-Alah azrat

.
Kaano ka masha karte waqt
kahe:
(Tarzuma)
"Ilahi! mujhe un logo main
kar jo kaan laga kar baat
sunte hai phir us main
behtar ki pairvi karte hai"
.
Malfuzat-e-Alah azrat
.
Gardan ka masha karte
Waqt kahe:
(Tarzuma)
"Ilahi! meri gardan dozakh
se azaad farma"
.
Malfuzat-e-
Alah azrat
.
Sidha paon dhote waqt kahe:
(Tarzuma)
"Ilahi! mere paon siraat par
jama jis din qadam fisle"

.
Malfuzat-e-Alah azrat
.
ulta pao dhote waqt kahe:
(Tarzuma)
"Ilahi! mere gunha maff kar
aur meri koshish thikane
laga aur meri saodagiri zaye
na kar"
.
Malfuzat-e-Alah
azrat
.
aur har aoz(badan ke har
hisse) ko dhote waqt darud
sharif padhe. khatam wazu
ke baad aasmaan ki taraf
munh utha kar kalma-e-
shahadat padhe phir kahe"
Tarzuma wazu ke baad ki
dua" Ilahi! mujhe tuaba
karne walo main se kar aur
mujhe suthra hone walo
main se kar.
.
"Malfuzat-e-
Alahazrat
.
Dua ki guzarish
.


• Yaad Rakho
======================

(1) WUZU Jawaano ki Taraah karo
(yaani wuzu jaldi karo (lekin iska khyal rakho ki koi hissa sukha na
rah jaaye, aur zyada paani mat bahao, kam se kam paani istemaal karo)

(2) NAMAAZ budho ki tarah padho
(yaani namaz ko aaram aur sukun se padho, jaldi-jaldi namaz na padho)

(3) DUAA Bachcho ki Taraah Maango
(Yaani baccha kese apni zid puri karwane ke liye rota hai, haath-per
patakta hai, gid-gidata hai, thik wese hi Allah se khoob ro-ro kar dua
maango, Allah zaruru sunega.

Allah humko in sab baato par amal karne wala bana de.
Aameen.



• Wuzu Karne Ka Faida
===============

Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Poocha Gaya,
"Ke Aap Apni Ummat Ko (Medan-E-Hashar) Me Doosri Ummato Ke (Be-Shumaar
Logo Ke) beech Kis Tarha Pehchanege?" To Aap (Sallallahu Alyihi
Wasalam) Ne Farmaya, "Mere Ummati Wuzu Ke Asar Se Noorani Chehre, Aur
Noorani Haath Paon Wale Honge, Inki Tarha Aur Koi Nahi Hoga.

(Ref: Muslim, Altahara­h, Hadees-247, 248)



• Wuzu karne se gunaho ka maaf hona
=======================

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya-
"Jisne Wuzu kiya aur achi tarah Wuzu kiya to uske GUNAH Jism se Nikal
jaate hain yahan tak ke Uske Naakhuno ke Neeche se bhi Nikal jate
hai."
(MUSLIM)

Note : yaha jin gunaho ke baare mein bataya gaya hai unse muraad
chhote gunah hai, kyonke bade gunah bager Allah se maafi maange maaf
nahi hote. Isliye apne gunaho ki Allah se maafi maangte rahen.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.



• Wuzu Ke Baad 'Dusra Kalima' Padha Karo
============================

Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
‘Jo Shaksh Acchi Tarah Wuzu Kare Aur Phir Kahe Ki “Ashhadu Alla Ilaha
Illallahu, Wa Ash-Hadu Anna Muhammadan Abduhu Wa
Rasuluhu” [Tarjuma/translation]: Main Gawahii Deta
Hu Ki Allah Ke Siwa Koi ibadat ke layak nahi Aur Mohammad
(Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Allah Ke Nek
Bande Aur Rasool Hain]
aese Shaksh Ke Liye Jannat Ke 8 Darwaze Khol Diye Janyege
Aur Wo Shaksh Jannat Ke Jis Darwaze Se Chahey Dakhil Ho
Jayega’.

- (Sunan Nasaii, Vol1, 150.Sahih)



• Na-Paak Hone Ke Baad Wuzu Karke Soya Karo
====================

Hazrat Muhammad (Sallallhu Alaihi Wasallam) Se Pucha Gaya Ke Kya Hum
Logon Mein Se Koi Janabat (na-paaki) Ki Halat Mein So Sakta Hai To Aap
(Sallallahu Alaih Wasallam) Ne Farmaya (Haan) Jis Waqt Wo Wudhu Kar
Le.
(Sunan Nasaii, Vol 1, 262)

Yaani agar koi na-paak ho gaya to pahle wuzu kar le phir so jaae. Wese
bhi wuzu karke sone ka bahut zyada sawab hai.



• Wuzu Ke Time Shaitan Dil Mein Shak Paida Karta Hai
---------------------------------------------------------

SHAK PAIDA KARNA SHAITAN KA KAAM HAI. Hadees mein hai ke Wuzu ka ek
Shaitan hai jo Wuzu karne wale ke dimagh mein Shak dalta hai usko
WALAHAAN kehte hai.

Wo jab Koi Wuzu karta hai to wo shak dalta hai tera Muh sookha hai,
kohni sookhi hai waghaira, to ap dekhenge baaz log kitni hi martaba
Muh dhoenge, ya hath dhoenge to Ye WALAHAAN Shaitan Wuzu karne wale ke
Dil me Shak dalta hai, To Us Wuzu ke Shaitan ke bare me hukum hai ke
dil mein socho ki mera wuzu theek hua hai.

Matlab ye ke apni taraf se acchi tarah wuzu kar lo, koi jagah sukhi na
rahe, lekin apni koshish ke baad bhi dil mein khyal aaye to matlab ye
shaitan hamare dil mein baat daal raha hai, us baat par dhyan na do.


• Hamesha Wuzu Se Rahne ke Faide
--------------------------------------------------


Buzurgo ne farmaya ki jo hamesha wuzu se rahta hai usko -

1 Farishte Us Ke Paas Rehna pasand karte hain

2 Ek farishta uski laga-taar nekiya likhta rahta hai

3 Us insan ka badan Allah ki tasbeeh karta rahta hai

4 Us ki namaz jamaat se hoti hai

5 Jab Sota He To Allah Farishto Ko Us Ke Paas Bhej Deta He
Taake Jinnaat or Insaan Se Us Ki Hifazat Karen

6 Maut Ki sakhti kam kar di jaati hai

7 Jab Tak Wazu Ke Saath Rehta He Allah Ke Amaan or Hifazat Me Rehta He

Bhaiyo-bahno, wuzu karne mein sirf 3-4 minute lagte hain, jab bhi wuzu
tute, foran naya wuzu bana lo. Allah Hame Hamesha Wazu Ke Saath Rehne
Ki Tofik Ata kare

AAMIN SUMMA AAMIN



• WUZU KARKE SONE KE FAIDE
---------------------------------------------


(2) farishte sari raat uski liye nekiyan likte rehte hai.
(3) jab karwat badalta hai iski bakshis ke liye dua karte hai.
(4) jab subha so kar uthta hai to jo dua mange poori hoti hai.

No comments:

Post a Comment