Thursday 2 January 2014

Shaitan

Shaitan (satan) Kaun hai?
--------------------------------------------------------------------


Insan ko banane se pehle Allah ne duniya banai. Isme usne pehle
Jinnato ko bheja. (Jinnat insan se bahut alag hote hain, humko dikhai
nahi dete, inko bhi Allah ne apni puja ke liye banaya tha, insan mitti
se bana hai aur jinnat aag se). Bahut saal tak duniya mein jinnat rahe
lekin baad mein unhone ladna-jhagadna, maarkaat shuru kar di. Allah ne
farishto ko bola ki jinnato ko khatam kar do (farishte Allah ke sewak
hai, jinko na bhuk lagti hai, na pyas lagti hai, na neend aati hai,
yeh na women hain na men hai, bas hamesha Allah ke liye kaam karte
rahte hain, halaki Allah ko kisi ki help ki zaroorat nahi lekin phir
bhi Allah ne inko bana diya, jese insano ko banaya hai) Jab farishte
duniya mein jinnato ko khatam karne aaye to sabko khatam kar diya
lekin ek jinnat ka baccha bahut chhota tha, farishto ne Allah se kaha
ki Allah humne sabko khatam kar diya lekin yeh baccha bahut chhota
hai, isko khatam nahi karte, iski kya galti hai, yeh to abhi kuch
samajhta bhi nahi, Allah ne kaha thik hai isko mat maaro (Halaki Allah
past, present, future sab jaanta hai, lekin farishte nahi jaante the)
aur Farishte us bacche ko apne saath aasman par le gaye.

Yeh chhota baccha bada hota gaya aur isne Allah ki itni puja ki ke
Allah ne is jinnat ke bacche ko baad mein saare farishto ka leader
bana diya. Ab Allah ne insan ko banane ka irada kiya, sabse pehle
insan ka putla (structure) tayyar kiya gaya (jinka naam adam hai). Ab
Allah ne saare farishto aur us jinnat jiska naam 'iblis' tha, usko
hukm diya ki is adam ke putle ko sajda karo (halaki Allah ke siwa kisi
ko sajda nahi karna chahiye lekin jab Allah khud bol raha hai to uske
hukm ko taala nahi ja sakta, yeh sirf Alla ka ek exam tha) Allah ka
hukm sunkar saare farishto ne adam ke putle ko sajda kiya lekin us
jinnat ke bacche ne sajda karne se mana kar diya, wo ghamand mei naa
gaya aur kaha ki yeh mitti se bana hai aur mein aag se, aur ab to
mujhe itni badi post bhi mil gai hai mein isko sajda nahi karuga.
Allah ne usko ek mauka aur diya lekin usne ghamand ki wajah se Adam ko
sajda nahi kiya, is baat par Allah gussa ho gaya aur us jinnat ko kaha
ki yaha se chala ja aur teri post bhi tujhse le li jayegi. Baad mein
shaitan dar gaya, usne socha ki ab mera haal to kharab ho gaya hai
lekin is adam ko bhi mein nahi chhoduga, jiski wajah se meri yeh halat
hue hai, Us jinnat ne Allah se request ki aur kaha ki, Allah meri
izzat to kharab ho gai hai lekin tu mujhko itni zindagi de aur itni
taakat de ki mein Adam ke hone wale baccho ko teri raah se bhatka saku
aur apna badla le saku.

Allah ne kaha ki thik hai tujhko mene yeh power diya, lekin jo mera
nek banda hoga woh tere bahkawe mein nahi ayega. Yahi jinnat ka baccha
jisne Allah ki ibadat ki to farishto se bhi upar ho gaya lekin Allah
ki baat na maane se shaitan bana, jisko aaj hum shaitan bolte hain.
Jab Adam ke putle ko Allah ne aatma daal di aur unko swarg (jannat)
mein bhej diya, Kyonki Adam (men) the isliye unki partner ke roop mein
Hawwa ko banaya jo ki (women) thi. Dono ko Allah ne jannat mein bhej
diya lekin kaha ki ek tree hai waha, uska fruit mat khana (yeh
adam-hawwa ka exam tha). Kyonki shaitan ne Allah se power le liye the,
isliye ek din usne Adam ko bahka diya ki tu yeh fruit kha le, Jab Adam
ne shaitan ki baat maan kar fruit kha liya to Allah, Adam se naraz ho
gaya aur kaha ki ab tum jannat mein nahi rah sakte, tumko duniya mein
jaana padega. Allah ne Adam aur hawwa ko duniya mein bhej diya. Yahi
se shaitan ne apni Adam se apne badle ki shuruat kar di. Aur aaj bhi
shaitan insano ko Allah se door karne ki koshish karta rahta hai aur
apni dushmani nibhata hai, yeh kaam wo kayamat tak karega. Taaki uske
saath-saath hum bhi dozakh mein jaaye.

ek jagah kaha gaya hai ki 'shaitan insano ka khula dushman hai'.
Shaitan ke pass itni taakat hai ki wo insano ke dil-dimaag mein
bure-bure khyal daalta hai. Bure kaamo ke liye dil ko tayyar karta
hai. Acche kaam karne se insan ko rokta hai. Insan ke blood saath
behta hai. Lekin jo insan Allah se mohabbat karta hai us par is
shaitan ka bas nahi chalta. kyonki quran mein kaha gaya hai ki 'beshak
shaitan ki chaale bahut kamzor hai' lekin jiska imaan kamzor hota hai
wo shaitan ki in kamzor chaalo mein bhi aa jaata hai.

Allah hum sabko shaitan ki chalo se bachaye.... aameen!



• Shaitan 4 Baar Kab Roya
================

1) JAB US PAR LANAT HUI

2) JAB ZAMEEN PAR BHEJA GYA

3) jab hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne apni nabuwat ka elaan kiya.

4) JAB SURAH FATEH (Alhamdu Sharif) NaAZIL HUI, JO shaitan KI RAAH ME
SABSE BADI DEWAAR HAI .


Bismillahir'rah manirrahim
.
Hadith: Shaitan raat bhar
uski naak ke nathney
(upper part of nose) mein
baitha rahta hai.
.
Abu Hurairah
Radiallahuanhu se rivayat
hai ki Rasoollallah
SallallahuAlaih i Wasallam
ne farmaya jab koi so kar
uthey aur wudhu karey to 3
baar apni naak ko saaf
karey kyunki shaitan raat
bhar uski naak ke nathney
(upper part of nose) mein
baitha rahta hai.
.
Raavi : Abu Hurairah
Radiallahuanhu
Sahih Bukhari, Vol 4,3295



"Shaitaan ne ALLAH se puchha- Duniya me mera khana kya hoga.
ALLAH Ne kaha- Jo Khana koi Musalman Bina "BISMILLAH" kahe khayega wo
tumara khana Hoga."



• Shaitan Ke Rishtedaar
============================

Shaitan kehta hai ke:
1:Azaan ki awaz sun kar Namaz ko na jane wala mera Baap hai.
2: Fizul kharch karne wala mera Bhai hai.
3: Imam sahab se pehle Rukoo, Sajda karne wala mera Beta hai.
4: Mehmaan aane per moo banane wali aurat meri Maa hai.
5: Sar pe dupate k bagair rehne wali aurat meri BV hai.
6:Bagair bismillah k khana shuru karne wale meri aulad hain.
.
aur Jo ye baat kisi ko batae (like/share) kare wo mera dushman hai
aur jo na batae (like/share) wo mera dost hai
=
ISS MSG KO FORWRD KAR HI DO

InshaAllah aaj se ham sab saitan ki baato se aur unke iraado se bachenge !

INSHAALLAH



• Shaitan Ke Baccho Ke Naam Aur Unke Kaam
===============================


Bada shaitan to iblees hi hai, lekin uske insan se zyada bacche hote
hain, aur wo sab bade shaitan ke hukm ko maante hain aur har roz
unhone insan se kya galat kaam karwae, ye jaakar bade shaitan ko
khabar karte hain.

Shaitan ne apni kuch baccho ko khaas kaamo par laga rakha
hai. Hazrate Sayyeduna Mujahid (Radi Alaahu ta'aala anhu) ke mutabiq
un ke naam aur kaam ye hain:-

1) Laqees, Walhaan :- Ye dono Wuzu aur Namaz par lage hue hain. aur
wuzu aur namaz ke time logo ko bahkate hain, unke dilo mein waswase
daalte hain.

2) Hafaf :- ye sahra par laga hai, sahra mein shaitanat failata hai.

3) Jamboor :- ye bazaron par laga hua hai, maal ki jhuti ta'arif aur
jhuti qasmo par logo ko uksata hai.

4) Basr :- Pareshaan logo ko jahalat ke kaam, matam, gareban chaak
karna, chehre ko nochne ki baat dil mein daalta hai.

5) Abeez :- Ye AMBIYA (Alaihimus Salam) ke dilo mein waswasa dalne par
laga rahta tha.
AMBIYA (Alaihimus Salam) ma'asoom hain fir bhi ye (abeez
shaitaan) apni duty par laga rahta tha.

6 A'aoor :- ye shaitan zina (adultory) par laga hua hai, zina ke time
mard aur aurat ki sharm gaaho par sawaar rehta hai.

7. Vaasam :- Is shaitan ki duty ye hai ki jab koi shakhs apne ghar
me bagair salam kiye ya ALLAH ka naam liye dakhil hota hai, to wo ghar
walo me fasad (jhagda) karwane ka sabab banta hai.

8. Matoos :- ye shaitan galat aur be-buniyad, jhuti afwahen logo
mein failata hai.

- Hayatul Hayavaan, (Jinnaat ki Hikayaat, Page 32)

Allah humko in sab shaitano se bachaye.
Aameen


• Jinki Shaadi Ho Chuki Hai Ya
Hone Wali Hai Wo Zarur
Padhiye.
.
Hazrat Muhammad
(Sallallahu Alaihi Wasallam)
ne farmaya,
.
(jiska matlab ye hai ki)
Shaitan (Iblis) ka takht
(throne) samundar par hai,
aur wo apne
chamcho ko logo mein
fasad (jhagda) karwane
bhejta hai.
.
Uski
nazar mein zyada achcha
wo hota hai jo bada jhagda
karwaye,jab
koi chhota shaitan us (Iblis)
bade shaitan se aakar kahta
hai ki,
maine ye-ye kaam kiya
(yani kisi se chori karwayee,
kisi ko sharab
pilwa di),
tuo shaitan kahta
hai ki tune kuch bhi (khaas)
kaam nahi
kiya,
.
phir koi (shaitan)
aakar kahta hai ki maine aaj
miya-biwi
(husband-wife) mein ladayi
karwa di aur itni ladayi
karwai ki wo
alag-alag ho gaye,
.
ye baat
sunkar Iblis(bada shaitan)
usko apne
paas bula leta hai ki haan
tune bada kaam kiya hai.
Aur wo (iblis -
bada shaitan) usko (chhote
shaitan ko) gale se laga leta
hai.
.
Sahih Muslim, Vol 6 , 7105
.
Aur Allah chahta hai ki Miya-
biwi saath mein mil-julkar
khushi-
khushi rahe.
.
(1) Jo time miya-biwi ka
saath mein pyar se guzarta
hai Allah us
time ka hisaab Qayamat
mein nahi
mange ga.
.
(2) Jab Miya-biwi ek dusre
ko pyar ki nazar se dekhte
hain to Allah
dono ko khush hokar
dekhta hai (Matlab Allah
chahta hai ki dono
aapas mein mil julkar khush
rahe)
.
(3) Agar aurat ko Allah ke
baad kisi ko sajda karne ki
permission
hoti to ek Biwi ko hoti ki
apne dulha ko kare. (Matlab
Biwi ko apne
Dulha ki har sahi baat ko
sunna chahiye.
.
(4) Dulha ko bhi chahiye ki
apni biwi ka dhyaan rakhe.
.
(5) Jab aadmi apne biwi-
baccho par kharch karta hai
to wo paisa
bhi sawab mein likha jata
hai.
.
Allah saare miya-biwi ko
saath mein hansi-khushi
rahne ki tofik ata
kare.
Aameen
.
Dua ki guzarish


• Jaldbazi shaitan ka kaam hai, lekin ye kaam jaldi karna chahiye
------------------------------------------

1-Mehmaan Ko Khana Khilane Me..
2-Maiyat Ko Dafan Karne Me..
3-Ladkiyo Ke Nikah Me..
4-Qarz Ada Karne Me..
5-Gunaho Se Touba Karne Me..


• Shaitan ki chaale (tricks)
--------------------------------------------

Shaitan insan ka khula dushman hai, insan ke saath wo chaale chalta
aur gunaho ke liye uksaata hai aur Allah se door kar deta hai. Uski
kuch chale aisi hoti hain

1. Zindagi ke maze lete raho, zindagi bahut lambi hai, budhape mein
Allah se maafi maang lena.
2. Tumne bahut gunah kar liye hain, Ab Allah tumhe maaf nahi karega,
isliye ab gunaaho ko chhodne se kya faida.
3. Abhi to tum jawan ho, zindagi ke maze karo. Abhi se kaha daadhi
(beard) rakh rahe ho
4. Aajkal ye gunah to har koi kar raha hai, phir tum isse kyo bach
rahe ho, maze karo.
5. Jab gussa aae to chup mat betho, qaayar log chup bethte hain.
6. Abhi namaz-roza karne ki umar nahi, ye kaam to budhape ke hain,
abhi to zindagi ke maze karo, budhape mein Allah ki ibadat karna.
7. Abhi

Allah hum sabko shaitan ki chaalo se bachaye

No comments:

Post a Comment