Thursday, 2 January 2014

Shab-E-Baraat

Shab-E-Baraat
==================================

JAB SHAB_E_BARAT ME ZINDAGI, MAUT, RIZQ, KHUSHI KE FAISLE HOTE HE WAHI
ATAA_E_KHUDA WANDI KE DARWAZE BHI KHULTE HE. APNE WAQT KO QIMTI BANANE
KI FIKAR KARE.
SHABE BARAT ME IN LOGO KI BAGAIR TAUBA MAGFIRAT NAHI HOTI.
MUSHRIQ (Allah ka na maanne wala)
WALIDEN KA NA-FARMAN (Maa-baap ka kehna na sunne wala)
ZINA KRNEWALA (adultory karne wala)
SHARABI
JYOTISH (astrologer)
KATARAHMI KRNEWALA (apne rishtedaaro se door hone wala)
KAPDA TAKHNO KE NICHE RAKHNE WALA.

15 SHABAAN KA ROZA
Mafhum e hadees
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne frmaya
jab nisf shabaan ki raat aaye to us raat ibaadat karo aur din me roza
rakho is raat me Allah magrib k baad aasmane duniya
ki taraf nuzul frmate he aur kehte hai hai koi mgfirat chahne wala
k mai iski mgfirat kardu ? hai koi rizq chahne wala k mai usko rizq
ataa karu ? hai koi pareshan haal k mai aafiyat du ? yaha tak ke
fajar tulua ho jati he.

MISHKAT S/115



• Shab-E-Baraat Ki Daleel
=============================

Bakshish ki raat (Shab-e-Baraat) ko, Dua ki raat (Shab-e-Dua), Dua ki
Qabooliyat ki raat (Shab-e-Qabooliat) aur Barkat ki raat
(Shab-e-Barakah) bhi kehte hain.

1. Urdu/Hindi Translation : 'Imran b. Husain (radi allahu anhu)
riwayat karte hain, Nabi (sallallahu alyhiwasallam) ne Unse ya kisi
aur se farmaya : Kya Tumne Nisf-Shaban (15 Sha'ban) ka Roza rakha?
Unhone jawab diya : Ji Nahi. Jispar Nabi (sallallahu alyhiwasallam) ne
farmaya : Agar Tumne Roza nahi rakha, to Tumhe 2 din Roza rakhna
chahiye. (Sahih)

[Sahih Muslim, Chapter 34: Fasting In The Month Of Sha'ban, Book 6, Number 2607]

2. Muadh bin Jabal (radi allahu anhu) riwayat karte hain, Nabi
(Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya : "Allah Nisf-Shaban (Middle
Shaban - 15th Shaban) ko apni makhlook ki taraf khaas tawajjoh farmata
hai aur Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye jo Mushrik hai aur jo
Dusro se keena (Bughz) rakhta hai." (Sahih)

[Imam Ibn Hajr Haythmi, Majma Az Zawaid, Hadith No. 12860]
[Ibn Hibban, Sahih Ibn Hibban, Vol. 12, Page 481, Hadith No. 5665.]
[Tabrani, Al Muajamul Kabir, Vol. 20, Page 108-109]
[Al Bayhaqi, Shubul Iman, Vol. 2, Page 288]
[Abulhasan Al-Qazwini, Al-Amali, Vol. 4, Page 2]
[Ibn Asakir, Al-Tarikh, Vol. 15, Page 302]
[Ibn Abi ‘Asim, Al-Sunna, Vol. 1, Page 224]
*[Nasiruddin Al-Albani, Silsilah Al-Ahadith Al-Sahihah, Vol. 3, Page
135, Hadith No. 1144]*

3. Abdullah bin Amr (radiallahu anhu) riwayat karte hain, Nabi
(Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya : "Allah Nisf-Shaban (Middle
Shaban - 15th Shaban) ko apni makhlook ki taraf tawajjoh farmata hai
aur Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye jo mushanahi aur jo qatilu
nasfs hai." (Sahih)

[Musnad Ahmed bin Hambal, Vol. 2, Page 176, Hadith No. 6642]

[Al-Albani, Silsilah Al-Ahadith Al-Sahihah, Vol. 3, Page 13 (Hasan)]

4. Abu Bakr Siddiq (R.A) riwayat karte hain, Nabi (Sallalahu Alaihi
Wassalam) ne farmaya : "Allah Nisf-Shaban (Middle Shaban - 15th
Shaban) ko apni makhlook ki taraf tawajjoh farmata hai aur Woh sabhi
ki Maghfirat karta hai siwaye jo mushanahi aur jo qatilu nasfs hai."
(Hasan)

[Hafiz ibn Hajar, al-Amaalil mutlaqah, Page 119-120]
[Haafiz al-Munzhiri, al-Targheeb, Vol. 3, Page 459]
[Imam Ibn Khuzaymah, Kitab At-Tawheed wa Ithbat Sifat ar-Rabb, Section : Nuzool]

5. Aap (sallallahu alyhiwasallam ne hazrate aayesha (radi allahu anha)
se farmaya : "Ye Nisf-Sha'ban ki raat hai! Beshaq Allah jo Azeem hai
aur Kudratwala hai Nisf-Sha'ban ki raat ko Apne Ghulamo par khas
tawajjoh farmata hai, aur Jo Istaghfar karte hain Wo unhe maaf farmata
hai, aur Unpar Reham karta hai jo Rehmat ke talabgar hote hain, aur Wo
Apni Saltanat mein Bughz rakhne walo'n ko mauka deta hai." (Hadha
Mursal Jayyid)
[Bayhaqi, Shu`ab al-iman, Vol. 3, Page 382, Hadith No. 3835]

6. Sayyidah Aisha (radiallahu anha) ne farmaya Ek raat maine
Rasoolullah (Sallalahu Alaihi Wassalam) ko nahi paya. To Main (Unhe
dhundne) bahar gayi. Wo Baqi' (ke Qabrastan) mein the (aur Apna
Sar-e-Anwar Aasman ki taraf uthaye huye the
- (Ibn Majah)
aur Aap (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya "Beshaq, Allah (SWT)
Sha'ban ki pandrahwi (15vi) raat ko Aasman-e-Duniya ki taraf ek khas
shaan ke sath nazil hota hai aur Banu Kaib ki bhed ke baal se bhi
zyada logo ki Bakshish farmata hai." [Hazrat Abu Bakr Siddique (Radi
allahu anha) ne bhi iss Hadith ko riwayat kiya] (Daif)

[Tirmidhi, Book 8, Book on Fasting, Chapter No. 39, Concerning
fifteenth of Sha’ban, Hadith No. 739]
[Ibn Maja, Chapter 191. What Was Narrated Concerning The Night Of The
Middle Of Sha'ban, Hadith No. 1389]
[Musnad Ahmed bin Hambal, Hadith No. 26077]
[Mishkat al-Masabih, Hadith No. 1299]
[al-Bayhaqi, Shu`ab al-iman, Vol. 3, Hadith No. 3835]
[al-Bayhaqi, Sunan al-Kubra, Vol. 2, Page No. 173, Hadith No. 2911
[al-Bayhaqi, Kitab Fada’il al-Awqat, Page No. 19-22, Hadith No. 23-29]
[Musannaf ibn Abi Shaybah, Vol. 6, Page No. 108, Hadith No. 29858-29859]
[Ibn Ishaq al-Rahuyah, Musnad, Vol. 2, Page No. 326, Hadith No. 850,
1055, 1700 & 1702]
[al-Muttaqi al-Hindi, Kanz al-‘Ummal, Hadith No. 7451-7452, 7461-7465,
35174-35179 & 35180-35184]

7. Abu Musa Al-Ash'ari (radi allahu anhu) riwayat karte hain,
Rasoolullah (Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya : "Allah
Nisf-Sha'ban ki raat ko Aasman-e-Duniya par Zahur farmata hai aur Apni
sari Makhlook ko baksh deta hai, Siwaye Mushriko ke aur Mushahin ke."
(Daif)
[Ibn Majah, Chapter 191. What Was Narrated Concerning The Night Of The
Middle Of Sha'ban, Hadith No. 1390]
[Al-Bayhaqi, Shubul Imaan, Hadith No. 3833]

8. Abu Thalaba (Radiallahu anhu) riwayat karte hain, Rasoolullah
(Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya : "Sha'ban ki pandrahwi (15vi)
raat ko, Allah apni makhlook ki taraf khaas tawajjoh farmata hai aur
Woh sabhi ki Maghfirat karta hai siwaye uske jo Bughz aur Dusro se
keena rakhta hai."
(Daif)
[Bayhqi, Tafsir ad-Dar al-Manthur, Under the Verse 44 : 3]

9. Hazrat Uthmaan bin Abil Aas (Radiallahu anhu) riwayat karte hain,
Rasoolullah (Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya : "Sha'ban ki
pandrahwi (15vi) raat ko Allah Aasman-e-Duniya ki taraf ek khas shaan
ke sath nazil hota hai. Phir Ailaan karta hai: 'Hai koi jo Mujhse
Istaghfar karne wala, ki Main usko maaf kar du? Hai koi kuch talab
karne wala, ki Main usko ataa kar du? Allah iss tarah sabhi ki
muradein poori farmata hai siwaye badkari karne walo ke aur Mushriko
ke."
[Al-Baihaqi, Durre Manthur, Vol. 6, Page 27]

10. Sayyidah Aisha (radiallahu anha) riwayat karti hain, rasoolullah
(Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya : ".... Mere paas Jibreel
(Alyhissalam) aye aur kaha: "Ye Sha'ban ki pandrahwi (15vi) raat hai.
Allah iss raat mein Bani Kalb ki bakriyon ke baal ke barabar logo ki
maghfirat farma deta hai. Halaki, Allah iss raat siwaye kaafir ke,
apne dil mein adaawat rakhne wale, apne karibi rishtedaron se talluk
todne wale ke, apne takhno se niche patloon pehanne wale ke,
waalidai'n ki na-farmani karne wale ke aur sharabi ke Apni nazre
rahmat nahi farmaata. ..."
(Daif)
[Imam Zakiuddin Abdul-Azim Al-Mundhiri, Targhib-wat-Tarhib, Vol. 3, Page 460]

11. Hazrat Ali bin Abu Talib (Radi allahu anhu) riwayat karte hain,
Rasooullah (Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya, 'Jab Nisf-Shaban ki
raat aaye, to uski raat ko Ibadat mein guzara karo aur uske din ko
Roza rakha karo. Allah gurub-e-aaftab se hi Aasman-e-Duniya par iss
raat ko nazil hota hai aur farmata hai : 'Hai koi jo Mujhse Istaghfar
karne wala, ki Main usko maaf kar du? Hai koi Mujhse rizk talab karne
wala, ki Main usko rizk ataa kar du? Hai koi pareshani mein mubtala
shaks, ki Main use aafiyat ataa kar du? aur Issi tarah se Ailan
farmata rehta hai, hatta ki Subah tulu ho jati hai."
(Daif)
[Ibn Majah, Chapter 191. What Was Narrated Concerning The Night Of The
Middle Of Sha'ban, Hadith No. 1388]
[Imam Jalalluddin Suyuti, Durre Manthur, Page 26]

12. Hazrat Ibn 'Umar (Radiallahu anhu) se marwi hai, Rasooullah
(Sallalahu Alaihi Wassalam) ne farmaya, Beshaq, paanch raato'n se Dua
lautayi nahi jati hai : Jum'ah ki raat, Id ul-Azha ki raat, Id ul-Fitr
ki raat, Rajab ki pehli raat aur nisf-Sha'ban ki raat.
[‘Abd al-Razzaq, Musannaf, Vol. 4, PageNo. 317, Hadith No. 7927-7928]
[al-Bayhaqi, Sunan al-Kubra, Vol. 3, Page 319, Hadith No. 6087]

Allah hum sabko Shaaban Ki Raat Ka Hak Ada karne, Puri raat ibadat
karne, aur roza rakhne ki himmat, taakat ata kare.


• Shabe-Baarat
===========================

Hadith: jab Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat ho to raat ko ibadat karo
aur dusrey din roza rakho

Hazrat Ali bin talib Radi-Allahu-Anhu farmatey hain ki jab Nisf Shaban
( 15 Shaban) ki raat ho to raat ko ibadat karo aur dusrey din roza
rakho isliye ki iskey Ghrub-e-Shamsh se Fajar tulu honey tak
aasman-e-duniya par Allah subhanahu nuzul farmatey hain aur kahtey
hain ki koi Maghfirat ka talabgar hai ki main uski maghfirat karu ,
koi rozi ka talabgar hai ki main usko rozi du , koi beemar hai ki main
use beemari se aafaiyat du , hai koi aisa , yahan tak ki Fajar tulu ho
jati hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1388 (Hasan Shawaheed from 45 Rivayat )

( Jisko hadith ka sahi knowledge hai wo is web site se is hadith ki
information le sakta hai jo saudi ke awqaf se authenticated hai )

Hadith:
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=173&hid=1378&pid=109851
Rivayat:
http://library.islamweb.net/hadith/dyntree1.php?type=1&sid=5722&bk_no=173&cid=542
Asaneed:
http://library.islamweb.net/hadith/asaneed.php?bk_no=173&cid=542&sid=5722

Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki ek raat maine Rasoollallah
Sallallhu-Alaihi-Wasallam ko bistar par na paya to unki talash mein
nikli aur dekha ki aap jannatul baqi mein aasman ki taraf sir uthaye
huye hain Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne faramaya ki Aayesha kya
tumhey ye khayal hai ki Allah aur uska Rasool tum par zulm karengey
mainey arz kiya mujhe aisa koi khayal na tha bulki mainey samjha aap
apni kisi biwi ke baas gaye hongey to aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam
ney farmaya ki Allah subhanahu Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat
aasman-e-duniya par nuzul farmatey hain aur banu kalb ki bakriyon se
bhi zyada logo ki bakhshis farma detey hain
( banu kalb ek kabeeley ka naam tha jiskey pass tamam arab se bhi
zyada bakriya thi)
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1389 ( Hasan Shawaheed from 35 rivayat )

Hadith:
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=173&hid=1379&pid=109851
Rivayat:
http://library.islamweb.net/hadith/dyntree1.php?type=2&sid=4049&bk_no=173&cid=581
Asaneed:
http://library.islamweb.net/hadith/asaneed.php?bk_no=173&cid=581&sid=4049

Abu Musa Al-Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah
Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah subhanahu nisf Shaban ki
raat ( 15 shaban) ko tamam makhluq ki bakhshis farma detey hain siwaye
shirk karney waley ke aur keena rakhney wale ke
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1390 (45 Hasan Shawahid of hadith )
Hadith:
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=173&hid=1380&pid=109851
Asaneed
http://library.islamweb.net/hadith/asaneed.php?bk_no=173&cid=542&sid=5021

Wo jo shaban ke beech mein koi roza na rakhega usey is sahih hadith ke
ref se ramadhan ke baad 2 rozey rakhney ka hukm hai

Imran bin Husain Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah
Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne unse farmaya kya tumney shaban ke beech
mein kuch rozey rakhey unhoney kaha nahi to Aap
Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki tum (ramadhan ke) iftar ke
din purey kar lo to ( iskey badle mein) do rozey rakhna
Sahih muslim, Vol3 ,2751



• SHAB E BAR'AAT yaani 15 SHABAN KI RAAT.
=====================================
Bar'aat ka meaning BARI (riha) hone ke hain, Is raat mein Gunahgaaro
ki Maghfirat aur Mujrimo ki Bar'aat (rihai) hoti hai islye is ko SHAB
E BAR'AAT kehte hai. Ye SHABAN (mahina) ki 15th raat hai yaani 14th
Shaban ki Shaam se Shuru hoti hai, Is Mubarak Raat me KHRAWI (AKHIRAT
KI) TIJRAT ki ek badi NUMAISH lagti hai,

Kai Hadeeso mein is raat ki fazilat ka zikr hai -

1. Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
"ALLAH TA'ALA NISF SHABAN ki Raat ko ASMAANE DUNYA par Nuzool farmata
hai aur har ek ki MAGHFIRAT farmata hai siwaye
-->Aise shaqs ke jo MUSHRIK (jo Allah ko nahi maanta) ho ya
--> jiske DIL me KEENA (BUGHZ) (apne bhai ke liye dil mein burai) ho.
(Ref.: TARGHEEB,BAIHAQI,IBNE HIBBAN)

2. Ayesha (Razi Allahu Anha) farmati hai k ek Raat maine Huzoor Akram
(sallallahu alaihi wasallam) ko na paya to Mai Talash ke lye Nikli,
Aap (Sallallahu alaihi wasallam) JANNATUL BAQEE' (MADINE KA QABRSTAN)
me the, Aap (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya ke Mere paas
JIBRAEEL alaihis salam Tashreef laye aur kaha ke Aaj NISF SHABAN ki
Raat he, isme Allah Ta'ala itne Logo ko JAHANNAM se Nijaat dega jitne
QABEELAE KALB ki bakriyo ke baal hai (ARAB K QABEELO ME IS QABEELE KI
BAKRIYA SAB SE ZIADA THI) Magar Chand Bad-Naseeb Shaqso ki taraf is
Raat bhi Nazre Inayat na hogi (matlab kuch logo ko Allah is raat mein
bhi maaf nahi karega, wo kaun hain)
1) MUSHRIK
(jo Allah ko nahi maanta)
2) KEENA RAKHNE WALA
(apne bhai ke liye dil mein burai rakhne wala)
3) RISHTA TODNE WALA
Apne rishtedaaro se rishta tod lene wala
4) PAIJAMA/PANT TAKHNO SE NEECHE LATKANE WALA,
5) APNE Maa-Baap KA kehna na sunne wala
6) SHARAB PEENE WALA
(Ref.: BAIHAQI)

aur kuch aur jagah inka bhi kaha gaya hai
A) JAADUGAR
Jo jaadu karta ho, GHAIB KI (chhupi hue) CHEEZ BATLANE WALA jaise ,
NAJAYAZ AMLYAT O HAAZRAAT WALE KARTE HAI,
C) HATHO KI LAKEER DEKH KAR BATLANE WALA,
D) ZAALIM SIPAHI..... jo logo par zulm karta ho.

Is raat ko hame IBADAT me guzarni chahiye. Bahut se logo ko dekha hai
ki wo bas ye samajhte hain ki raat jaagna hai, kaise bhi jaag lo.
Lekin aesa nahi hai, is raat ko ibadat karte hue guzarna hai, naa ki
mauj-masti karte aur khate-pite, ghoomte phirte hue. Agar raat bhar
ibadat karna hai to jaagiye warna so jaaiye, kyonki agar ibadat nahi
karenge to jaagne se koi faida nahi. Ho sakta hai ki jab ibadat na kar
rahe ho to kuch gunah ke hi kaam ho jaaye.
Humko ye samajhna chahiye aur Buzrugaane Deen farmate hain ki jin
Raaton mein NEKI ka Ajar badhta hai usi tarah agar usme GUNAH kare to
Uska AZAAB bhi badhta hai. Islye Jo RAAT me Ibadat nahi kar sakte aur
Fuzool ghoomne me Waqt Zaya karte hai wo BEHTAR hai k ISHA padh k
sojaen.

Allah humko is raat ki kadar karne wala bana de aur raat bhar ibadat
karne ki taufik ata kare. Aameen.

No comments:

Post a Comment