Thursday, 2 January 2014

Shab-e-Qadr

• Allah Ne Shab-E-Qadr Kyo Banai
==========

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ko jab ye ehsas hua ke meri
ummat ki umar to bahut kam hoti hai (60-70 saal). Jabke duniya mein
aane waale mere se pahle ke nabiyo ki ummat ki umar sekado saal hua
karti thi, Agar meri ummat neki mein umar ke hisab se unki barabri
karna chahe to mushkil hai, is baat se Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ko thoda gam hua, isliye Allah ne ummat-e-Muhammadiya
ko ye raat inaam mein di hai ke agar koi shab-e-qadr ki 10 raat bhi
apni zindagi mein jaag le to usko kam se kam 840 saal ki ibadat ka
sawab milega.

Allah ka hum par bahut ehsan he ke usne humko shab-e-qadr jesi raat
ata ki, Allah hum sabko is raat ko jaagne aur uska haq ada karne ki
taufik de, aameen.



• Shab-E-Qadar Ki Keemat
====================

Shab-E-Qadar ramzan mein jaagne waali ek raat hai. Jo insan is raat
mein jaag kar Allah ki ibadat kar leta hai usko 1000 mahino (83 saal,
4 mahine) se bhi zyada ibadat karne ka sawab milta hai.

Ye raat Allah ki taraf se ummat-e-Muhammadiya ko inaam he, kyonke
humse pahle ki ummat ko ye raat nahi di gai. Is raat ki badi keemat
hai, Allah ne quran ki puri 1 surah (inna anzalnaahu) is raat ki
taarif mein utaar di. Pura Quran sharif Loh-e-mehfuz se
aasman-e-duniya mein isi raat mein utara gaya. Isi raat mein farishto
ko banaya gaya aur Adam (alyhissalam) ka madda isi raat mein jama hua,
isi raat mein jannat mein ped (trees) lagae gae, Isa (alyhissalam)
zinda aasmaan par isi raat mein utha liye gae, isi raat mei bani
israil ki dua kubul hui. Aur Hazrat Jibrail (alyhissalam) farishto isi
raat ko ek farishto ke giroh ke saath duniya mein aate hain aur jis
insan ko Allah ki ibadat karte paate hain uske liye rahmat ki dua
karte hain, phir farishte puri duniya mein fel jaate hain aur masjid,
ghar, jugnle, jahaz, pahad, gaadi mein jaha bhi unko koi insan Allah
ki ibadat karta hua milta he, farishte usse haath milaate hain. Is
raat mein jo insan imaan ke saath sawab ki niyat se jaagta hai Allah
uske saare sagira (chhote) gunaho ko maaf kar deta hai, kabira (bade)
gunah bager toba ke maaf nahi hote, isliye is raat mein apne kabira
gunaho ki Allah se khoob maafi maangiye.

Ye bahut keemti raat hai, khush naseeb hai wo insan jisko ye raat mil
jaae, isliye ramzaan ki 21, 23, 25, 27 aur 29 raato ko jaagiye,
shab-e-qadar inhi raato mein se ek raat hoti hai. Kai ulema is baat
par zor dete hain ke 27 raat hi shab-e-qadar he.

Jo log sirf moj-masti ke liye raat jaagte hain aur Allah ki ibadat
nahi karte, unko raat jaagne se koi sawab nahi milta.

Allah hum sabko shab-e-qadar ki ibadat naseeb kare. Aameen.



• Shab-E-Qadar (Ramzaan Mein Ibadat Ki Raat)
========================

Shab-E-Qadar Kya hai -
Ramzan mein ek khaas raat hoti hai. ye raat bahut hi barkat aur bhalai
ki raat hai, is raat ko jaagkar Allah ki ibadat karte hain. Quran mein
is raat ko 1000 mahino se badhkar bataya gaya hai, matlab agar koi
insan is raat ko jaagkar Allah ki ibadat kar le to usko kam se kam
1000 mahine ibadat karne ka sawab milta hai, 1000 mahine matlab 83
saal, 4 mahine. Kam se kam 1000 mahine ka sawab to milta hi hai aur
Allah chaahe to isse bhi badhkar de sakta hai.

Ye Raat Ramzaan Mein Kab Aati Hai -
Bahut se log ye samajhte hain ke shab-e-qadar ramzaan ki 27 shab hi
hoti hai, lekin ye zaruri nahi hai ke shab-e-qadar isi raat ko ho.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke Shab-E-Qadar
ko ramzaan ki aakhri 10 taak raato mein talash karo, matlab ye raat
21, 23, 25, 27, 29 raat mein se koi bhi ek raat ho sakti hai (Allah ne
is baat ko chhupa liya ke shab-e-qadar isme se kon si raat hai).
Isliye agar shab-e-qadar jesi keemti raat ko paana hai to ye 5 raat
jaagna padhega, kisi bhi keemti cheez ko paane ke liye thodi mehnat to
karna padhti hai. Kai ulema ne is baat par zor diya hai ke
shab-e-qadar 27vi raat ko hoti hai.

Hum kisi ki shaadi, party, movie, exam mein raat bhar jaag lete hain
to kya itni keemti raat ke liye hum sirf 5 raat nahi jaag sakte. Wese
bhi ramzan mein insan raat 12-1 baje tak sota he aur 4 baje sehri ke
liye uth jata hai, phir fajar padh kar hi sota hai, agar hakikat mein
dekha jaae to sirf humko 3-4 hrs. hi zyada jaagna hai.

Allah hum sabko shab-e-qadar ka jaagna naseeb kare. Aameen.


• Assalaam u Alaikum Warahmatullahi Wabarkatahu Shab e Qadr Nafl Namaz &
Wazifa (Part:2) Dushri Shab e Qadr 1. Maah e Mubarak ki 23vi shab ko 4
rakat namaz 2 salaam se padhe. Har rakat me baad Surah Fateha ke Surah
Qadr 1 martaba aur Surah Ikhlaas 3 martaba padhe. Phir baad salaam ke
70 martaba darood sharif padhe. IN SHA ALLAH TA’ALA magfirate gunaah
ke liye yeh namaz bahot afzal hai. 2. 23vi shab e qadr ko 8 rakat
namaz 4 salaam se padh. Har rakat me baad Surah Fateha ke Surah Qadr 1
martaba aur Surah Ikhlaas 1 martaba padhe aur baad salaam ke 70
martaba Kalma e Tamjeed padhe aur ALLAH TA’ALA se apne gunaho ki
bakhshish talab kare. ALLAH TA’ALA iss namaz ko padhne wale ki gunah
muaf farmakar IN SHA ALLAH TA’ALA magfirat farmayega. Wazifa : 23vi
shab ko Surah Yaseen 1 martaba aur SUrah Rehman 1 martaba padhni bahot
afzal hai. (Book name as a refrence: 12 Mahino ki nafl namaze
(Aukaatusalaat),Page No.25,26) —


• Assalaam u Alaikum Waeahmatullahi Wabarkatahu

Shab e Qadr Nafl namaz wa fazaeel

HUZUR E ANWAR SARKAR E DO AALAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM
irshaad farmate hai ki meri Ummat me se jo mard ya aurat yeh khawahish
kare ki meri qabr noor ki roshni se munawwar ho toh use cahiye ki Maah
e Ramzan ki shab e qadr me kasrat ke saath Ibaadat e Ilahi baja laaye
taaki inn Mubarak raato ki ibaadat se ALLAH PAAK uske naama e aamal se
buraiya mitakar nekiyo ka sawab ata farmaye. Shab e Qadr ki ibaadat
70000 shab ki ibaadato se afzal hai.

Nafl Namaz & Wazifa
Pehli Shab e Qadr

21vi shab ko 4 rakat namaz 2 salaam se padhe. Har rakat me baad Surah
Fateha ke Surah Qadr aur Surah Ikhlaas 1 baar padhe. Baad Salaam ke 70
martaba darood paak padhe.
IN SHA ALLAH TA’ALA iss namaz ke padhne wale ke haq me farishte dua e
magfirat karenge.

Wazifa :
Maahe Ramzanul Mubarak ki 21 shab ko 21 martaba Surah Qadr padhna bhi
bahot afzal hai.
(Book name as a refrence: 12 Mahino ki nafl namaze (Aukaatusalaat),Page­ No.25)

Note : Jyada se jyada share karo taaki sabhi musalmano tak ye namaz ki
details pahunch sake...

No comments:

Post a Comment