Sunday 5 January 2014

Knowledge

• Kuch gunah jo ladke zyada karte hain
================
1. Parai ladki/aurat ko dekhna
2. Gaali Dena
3. Jhagda Karna
4. Kamai Mein Haram Halal Na Dekhna
5. Jhoot Bolna

Kuch gunah jo ladkiya zyada karti hain
1. Be Parda Ghoomna
2. Shohar Ki Nafarman
3. Shohar Ki Na-shukri
4. Baal Khol Kar Chalna
5. Bila Zaroorat Ghar Se bahar nikalna.
6. Khushbu laga kar ghar se nikalna.
7. Apni Khoobsurati ko parae mard par zaahir karna.

Ye sabhi gunah ladka aur ladki dono karte hain lekin jo zyada karte
hain uska zikr kiya gaya hai aur iske alawa bhi bahut saare gunah
hain.

Allah hum sabko gunaho se bachne ki taufik ata kare.

• Zindagi Mein Khush-haali Laane Waali Baate
============================
1 Quraan Ki Tilawat Karna
2 Namaz Ki Pabandi Karna
3 Allah Ka Shukar Ada Karna
4 Majboor Ki Madad Karna
5 Gunaaho Se Tauba Karna (maafi maangna)
6 Rishtedaro Se Accha Salook Karna
7 Subah Ke Waqt Sura e Yaseen aur Shaam Ke Waqt Sura e Waqia Ki Tilawat Karna
Allah Hame In 7 Bato Par Amal Karne Wala Banae, aameen.

• Islam Ka Ilm Allah Ko Raazi Karne Ke Liye Sikho
========================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Ne Farmaya - Jo insan islam
ka ilm isliye sikhna chahta ho ke us ilm se wo kam ilm (Jaahilo) Par
Fakhr (ghamand) kare, Ulema (scholar) Se Jhagda Kare, Logo Me Aalim ke
taur Par famous ho jaae aur Log Uski izzat kare to aesa insan dozakh
mein jaaega.
[ Tirmizi 2654, Ibne Majah253]
Bhaiyo-bahno, kam se kam itna islam sikhna har muslim ke liye farz hai
jisse usko iski jaankari mil jaae ke kya kaam halal hai aur kya haram
hai. Ye to sabse kam darja hai, wese ek muslim ko puri zindagi islam
ko zyada se zyada sikhte rahna chahiye, us par amal karna chahiye aur
dusro ko sikhana chahiye. hamare sahaba (radi allahu anhu) ka tarika
ye hota tha ke jo bhi islam ki baat sikhte the, foran apne dusre
saathiyo ko batate the.
Islam ka ilm sikhna zaruri hai lekin ilm sikhne ki niyat sabse pahle
khud ko sahi raaste par lana, Allah ko raazi karna aur apne ilm se
dusro ko sahi raasta dikhana hona chahiye.
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.

• Har Takleef Ke Badle Gunah Maaf Hote Hain
=======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Ne Farmaya Ke
momin Ko Jo Bhi THAKAN, BIMARI, GAM, FIKAR or TAKLIF
Pahunchti He Yaha Tak Ke Agar KANTA Bhi CHUBHTA He To
Us Ki Wajah Se Allah Uske Gunaah Ko Maaf Kar Deta He
Bukhari Shareef
Isliye bhaiyo-bahno har haal mein Allah ka shukr karte raha karo.

• Dusro Ko Maaf Karne Ka Faida
=======================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya -
“Jo Shakhs Kisi Ko Maaf Kar Deta Hai, uski Allah Izzat badha deta hai.

-: (Muslim Sharif)

• Parche/paper aur SMS Ki Hakikat
==========================

Aajkal kuch logo ne ye tarika shuru kar diya hai ke pesa kamane ke
liye ek SMS karte hain ya parch baate hain jis par likha hota hai ke
agar is parche/letter/page ki itni photo copy karwaoge to kuch acchi
khabar milegi nahi karoge to kuch nuksaan hoga, aur isi tarah ke
message hamare mobile par bhi aate hain, usme likha hota hai ke
> Ye Message 9 Logo Ko Send Karo to Murad Puri Hongi
> 5 Dino Mein Khush khabri Milengi
> Jannat Milengi etc
> Yeh Message 10 Logo Ko Send Karo Warna 10 Saal Ke Liye Bad Qismat Ho Jaoge
(Kya Ab Qismat Ke Faisale Mobile karenge)

Kya Hum Apne mazhab Ko Itna Hi Jaante Hain Ke SMS Karne Se Jannat Mil
Jaae, ya Bad Qismat Ho Jaae, agar aesa hi hota to Phir Namaz, Roza,
Hajj, Zakat, Aur Digar Aamaal Kis Kaam Ke, Kya Messages Send Karne Se
Murad Puri Hongi, To ALLAH Ke Saamne Rona, Haath felana Kis Kam Ka

Bhaiyo-bahno is tarah ke parche/paper wo log print karwa kar logo mein
dete hain jo photo copy machine lekra bethe hain, ya printing press
lekar bethe hain ya jinak paper ka business hai. Taake log photocopy
ya isko print karwaaen to unko faida ho.

Is tarah ke SMS mobile company waale hi nikalte hain taake log zyada
se zyada ek dusre ko message bhejen aur company ka faida ho. Kuch log
mazak mein bhi is tarah ke SMS dusro ko bhej dete hain lekin jinko
message milta hai wo serious hokar is SMS ko aage badha dete hain.
------------------------------------------------------------------------
Is tarah ke MESSAGE AAE TOH sabse PEHLE DELETE KARO.

Meri aapse request hai ke is Message ko Zyada Se Zyada share/like karo
Taake ye baat dusre logo tak pahuch sake aur log sahi baat ko samajh
saken.

JazakAllah


• AMEERI AUR GARIBI
====================

Ye duniya exam ki jagah hai, yaha Allah kisi ko pesa dekar aazmaata
hai to kisi ko garib bana kar aazmata hai, insan ameer ho ya gareeb,
usko hamesha Allah ko raazi karne ke kaam karna chahiye. Pesa har kisi
ki kismat ka hota hai, jitna Allah ne pesa kismat mein likh diya hai
utna mil kar rahega. Lekin kabhi bhi ye dil mein khyal nahi lana
chahiye ke agar kisi ke pass bahut pesa hai to Allah usse khush hai
aur jo gareeb hai Allah usse naraz hai. Ho sakta hai ke jo pese wala
hai Allah usse naraz ho aur jo garib hai usse khush ho. Isliye pesa
Allah ki khushi aur na-khushi ki wajah nahi hai.

Jo log haram tarike se pesa kamate hain aur jaldi ameer ban jaate hain
to aese logo ko Allah aur mohlat de deta hai. Haram tarike ye hain,
(byaz ka pesa lena, kisi ko dhoka dekar kamana, kisi ko galat maal
bech kar kamana, chori karna, sharab bechna, jua/satte se kamana
wagerah)

Is duniya mein insan ko bahut kam time rahna hai (56-70 saal). Lekin
marne ke baad ki zindagi kabhi khatam nahi hogi. Agar yaha imaandari
se kamaya lekin garib rahe to bhi insan marne ke baad ki zindagi mein
khush rahega. Lekin jisne yaha be-imaani se kamaya wo 60-70 saal ki
zindagi to aaram se guzar sakta hai lekin marne ke baad ki jo zindagi
hai wo kabhi khatam na hogi waha wo pareshan rahega.

Agar insan be-imaani se kamata hai to pese ke saath-saath wo bahut
gunah bhi kama raha hai aur Allah ke yaha usko azab hoga, lekin agar
koi insan imaan-daari se mehnat karke kama raha hai, aur wo (ye sochta
hai ke mere kamane se mere ghar waale acche se rahenge) to uska
imaan-daari se kamana sawab ban jata hai.

Agar be-imaani se insan kama raha hai aur agar wo masjid mein laakho
rupye de de, garibo ko laakho rupye daan/donate kar de to bhi usko
sawab na milega, aur agar wo haram ki kamai se khana khaaega to uski
duwa bhi kubul na hogi, agar haram ki kamai se roza kholega to uska
roza bhi kubul na hoga. lekin imaan-daari se kamaya 1 rupya bhi agar
insan Allah ki raah mein deta hai to usko iska bahut sawab milega.

Ek sahabi ke hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne haath choom
liye kyonke wo sahabi mehnat karte the aur unke haath par mehnat ki
wajah se nishan ban gae the, matlab mehnat karke kaam karne walo ko
Allah aur uska rasul dono pasand karte hain.

Ye duniya kuch dino ki hai, insan ko khud pata nahi hota ke wo kitne
din jiyega, isliye pese ke piche nahi bhagna chahiye. Sahaba (radi
allahu anhu) ka ye tarika hota tha ke bas utna kamate the jitna ki
zarurat hoti thi, uske baad Allah ki ibadat mein aur islam ko felane
ka kaam karte the kyonke unko maalum tha ke is duniya mein to kuch
time hi rahna hai, zindagi kese bhi guzar jaaegi lekin marne ke baad
ki zindagi hamesha-hamesha rahegi, isliye wo log waha ke liye mehnat
karte the, sawab kamate the, Allah ki ibadat karte the.

Agar garibi ki wajah se koi zarurat aa jaae to pahle kisi insan se
maangke ki bajae 2 rakat namaz padho aur Allah se maango aur kaho ke
ae Allah tu hi dene wala hai, baaki sab insan to tere hi mohtaaj hain,
mujhe apna mohtaaj bana, kisi ger ka mohtaaj na bana. Iske baad Allah
ki zaat par ummid rakho Allah kisi ke zariye se bhi madad pahucha
dega.

Agar pese ki wajah se koi kisi ki izzat karta hai to hakeekat mein wo
us insan ki izzat nahi kar raha balke pese ki kar raha hai. Aur izzat
aur zillat to Allah dene wala hai, kisi insan ki taakat nahi ke wo
kisi ko be-izzat kar de ya usko izzat wala bana de kyonke quran mein
Allah farmata hai ke "mein jisko izzat dena chahu to puri duniya mil
kar usko be-izzat nahi kar sakti aur jisko be-izzat karna chahu uski
puri duniya milkar izzat bacha nahi sakti". Isliye har cheez Allah se
maango chahe wo pesa ho ya izzat. Kisi insan se ummid na karo, kyonke
wo khud bhi Allah ka mohtaj hai.

Agar garibi ki wajah se koi izzat nahi karta to maayus na ho, kyonke
agar humse hamara Allah khush hai to humko kisi ki zarurat nahi, humko
kisi insan se izzat nahi karwana. Sabse badi baat hamara Allah humse
khush hona chahiye. Bade-bade badshah is duniya mein aae aur chale
gae. Aur duniya mein hi apne mahal aur dualat chhod kar chale gae.
Sikandar puri duniya ko jeetne nikla tha aur usne aadhi se zyada
duniya jeet bhi li thi, lekin ek chhote se bukhar se wo mar gaya, jab
usko laga ke meri maut kareeb hai to usne apne mantri (wazeer) se kaha
ke jab mein mar jaaun aur mera janaza nikle to mere dono haath janaze
ke bahar nikaal dena, taaki log ye dekhen aur samajh sake ke marne ke
baad sikandar ke bhi haath khali hi the, wo kuch na le ja saka.

Agar kisi insan ki kismat mein pesa hai to wo usko zarur mil kar
rahega. Agar wo galat raaste se kamata hai to usko wo galat raaste se
milega (saath hi galat raaste se kamane ke wajah se usko gunah bhi
milega) aur agar koi imaandaari se kamata hai to usko imaandaari se
milega.

Ek baar hazrat Ali (radi allahu anhu) ne ek insan ko apna ghoda
sambhalne ke liye kaha aur socha ke namaz padh lu, jab aap namaz ke
liye khade hue to wo insan ghode ki zeen lekar bhaag gaya, aapne namaz
ke baad soch liya tha ke mein usko kuch rupye dunga. lekin jab jaakar
dekha to wo insan zeen chura kar bhaag gaya tha, ab hazrat Ali (radi
allahu anhu) jitne pese dene waale the wo zeen bhi utne pese ki hi
thi, is par aapne farmaya ke Allah ne uski kismat mein itne hi pese
likhe the lekin usne galat tarika chun liya, agar chori na karta to
mein bhi usko utne hi pese dene wala tha jitne ki wo zeen thi.

Kuch wazifa aur amal hain jiski wajah se hamare rizq mein tarakki ho sakti hai.
(1) Astagfaar (puri dua) padhna - jo insan khoob astagfaar padhta hai
Allah usko aesi jagah se rizq deta hai jiska wo guman bhi nahi karta.
(2) Namaz padhne se Allah rozi mein barkta deta hai.
(3) Roz 'surah waaqiya' padhne se bhi rozi mein barkta hoti hai.
(4) Subah fazar ki 2 sunnato ke bad (2 farz se pahle) 100 baar 'subhan
allahe wabe hamdihi, subhan allahil azim, astargfirullah wa atubu
ilayh. ki tasbeeh se bhi rozi mein izafa hota hai.

Agar koi halal rozi se ameer banta hai to islam ne isse nahi roka hai,
lekin insan ameer ho ya gareeb ye sochna chahiye ke garibi bhi Allah
ki di hui hai aur ameeri bhi. Ameer ho ya garib, Allah raazi to
kaamyabi hai warna sab yahi rah jana hai.

Allah hum sabko quran, hadees aur hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ki sunnato par amal karne wala bana de. Aameen.

• Bimar Ko Dekhne Jao To Ye Dua Padho
=========================
jo shakhs mareez ki iyadat ke liye jaye aur ye dua 7 baar padhen Allah
use Shiafa ata farmate hain (sunan abu dawood, baab dua lil mareez
indal iyadah)
أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ،
as-alul laahal azeem rabbul arshil azeem ayye yashfiyak.


• Ghar Ka Kachra Raaste Mein Na Feko
======================
Raaste se kisi Nuqsaan deh Cheez ka is niyat se hata dena Keh kisi ko
Nuqsaan na pahunche ,bhi sadaqa hai.....
Aaiye ghaur karen ham hamare ghar ka kachra bahar daalte waqt kya
dhyan dete hain keh us me koi aisi cheez to nahin jo doosron ko nuqsan
pahuncha sakti hai....???


• Teen insan Teen time Par Pehchaane Jaate hai
========================
Bahadur jang ke waqt
Daana Ghusse ke waqt
Dost Zarurat ke waqt



• Kharab Insan Se Bhi Acchi Tarah Milo
===========================
Hazrate Ayesha siddiqa (Raziallahu ta'ala anha) fatmaati hain:
1 shakhs ne hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) se milna chaha,
to aapne farmaya ke isko aane do ye logon mein bahut bura hai. Jab wo
aaya to hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne usse bahut khush
akhlaaqi se (bahut acchi tarah) baat ki, Jab wo chala gaya to hazrat
Ayesha (razi allahnu anha) ne farmaya ke aap to uske baare mein
aesa-aesa bata rahe the, to phir aap usse khush akhlaaqi se kyo mile.
To hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke aapne
mujhe kab kisi ko bura bhala kehte suna hai??? Beshak qayamat ke din
logon mein sab se bure wo log honge jo logon se milna chhod dein unki
buraai ki wajah se.

(muttafaq alaih) (mishkat : 412)

Isliye bhaiyo-bahno, insan ki burai se nafrat karo us insan se nahi,
jese agar koi insan sharab peeta hai to uski sharab peene ki aadat se
nafrat karo lekin us insan se nahi, balke usse acche akhlaq se pesh
aao aur dheere-dheere usko wo buri aadat chhodne ke liye samjaho.


• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki 3 Nasihat
===============================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Hazrat Abu Zar Gifari
(Razi Allahu Anhu) ko (Naseehat Farmate Hue) Farmaya:
(1) Tum Jaha Bhi Raho Allah Se Darte Raho.
(2) Aur Har Gunah Ke Baad (agar koi gunah ho jaae to) Koi Neki Kar Lo,
To Ye Neki Us Gunah Ko Mitaa Degi.
(3) Aur Tum Logo Ke Saath Acche Akhlaaq (behaviur) Se Milo.
- Mishkat shareef
Allah hum sabko bhi in baato par amal karne ki taufik ata kare. Aameen.



• Agar Apne Bhai Se 1 Saal Baat Nahi Ki To
=============================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - JO APNE BHAI
SE 1 SAAL TAK rishta TODE RAKHE TO USKA YE kaam US (BHAI) KA KHUN
BAHANE KE BARABAR HAI.
{ABU DAWOOD : 4915}


• Fizul Kharchi Karne Ka Gunah
============================
Quran mein bataya gaya hai ke - Fizul paisa kharch na karo, beshaq wo
(Allah ) Fizul kharch karne waalo ko pasand nahi karta

Surah Al-Anaam, (6) Verse 141


• Baccha Peda Hone Par Uske Baal Saat Din Baad Katwa Do
====================================
Bahut se log baccha peda hone ke 40 din baad (sawa mahina hone par)
uske sar ke baal utarwaate hain, jabke Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ne farmaya: Ladka apne akike me girwi hai, uski pedaish
ke saatwe din (7th days) par uski taraf se janwar zibah kiya jaae aur
uska naam rakha jaae aur sar Mundwaya jaae.

[Jame’a Tirmizi, Kitab ul Zahi, Baab Man al Aqiqa, Jild 3, Page No.
177, Hadith No. 1527]


• Aqiqa Jaldi Kar0
====================
Bhaiyo-bahno, aksar dekhne mein aata hai log jawan ho jaate hain lekin
unka aqiqa nahi kiya jaata, kuch ko iski ahmiyat pata nahi aur kuch
paise ki kami ki wajah se nahi kar paate. Agar koi paise ki kami ki
wajah se aesa karta hai to usko ye maalum hona chahiye ke bacche ke
aqiqa ke liye Bakra zauri nahi aur na hi koi badi daawat karne ki
zarurat hai, balke zibah karwakar gosht rishtedaaro aur garibo mein
baat dena chahiye, Iske alawa aap Bhens/buffalo bhi kar sakte hain,
aur agar isko karne ki bhi hesiyat na ho to har bakra eid par jin
madarso mein bhens/buffalo ki qurbani ki jaati hai waha aap aqiqe mein
bhi bacche ka naam likhwa sakte hain, bas waha jaakar aapko batana
hota hai ke bacche ka aqiqe mein naam likhwana hai, is tarah aapka
kaam 1000-2000 mein ho jaaega, abhi bakra eid aa rahi hai, jinke pass
paise ki kami hai wo baccho ka aqiqa yaha karwa sakte hain, aur jin
jawano ya budho ka aqiqa nahi hua wo bhi karwa sakte hain.

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Ladka apne akike me girwi hai, uski pedaish ke saatwe din (7th days)
par uski taraf se janwar zibah kiya jaae aur uska naam rakha jaae aur
sar Mundwaya jaae.
[Jame’a Tirmizi, Kitab ul Zahi, Baab Man al Aqiqa, Jild 3, Page No.
177, Hadith No. 1527]

Girwi hone ka ye matlab hai ke bacche se pura faida hansil na hoga,
jab tak aqiqa na kiya jaae. Aur kuch ulema ne kaha hai ke bacche ki
salamati aur uski naswa aur numa aur usme acche aadate (habits) hona
akike ke saath judi hui hain.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.


• Har insan ke saath 2 farishte hote hain (must read)
------------------------------------------------------------
Jab duniya mein ek baccha paida hota hai to uske saath Allah 2
farishte rakh deta hai, Ek right hand side hota hai jiska kaam us
insan ke acche kaam likhna hota hai, dusra left hand side mein hota
hai jiska kaam us insan ke bure kaam llikhna hota hai. Dono insan ke
kaandho par hote hain. Dono farishto mein acche kaam likhne wala
farishta leader hota hai, jab insan acche kaam ka sirf irada karta hai
chahe accha kaam karna shuru na kiya ho, wo insan ki neki (punya)
likhna shuru kar deta hai, jese kisi insan ne garib ko paisa dene ki
sochi, to uske sochte hi farishta neki likhna shuru kar deta hai aur
tab tak likhta rahta hai jab tak wo us garib ko paisa na de de. aur ek
neki ko 10 neki karke likhta hai (aisa karne ka hukm usko Allah ki
taraf se hota hai, kyonki Allah bahut raham dil hai, wo chahta hai ki
insan marne ke baad jab mere saamne acche aur bure kaam lekar aaye to
uski neki zyada ho taaki mein usko maaf kar saku aur jannat mein bhej
saku). Isi tarah jo left hand side wala farishta hota hai wo insan ke
bure kaam likhta hai. Jab insan bure kaam ka irada karta hai to right
hand side wala farishta usko rok deta hai (kyonki right hadn side wala
farishta leader hai) right hand side wala farishta, left hand side
wale farishte ko bolta hai ki is insan ne abhi bure kaam ka sirf irada
kiya hai, lekin usne bura kaam kiya nahi hai, ho sakta hai ki aakhri
time par iska mann badal jaye aur yeh bura kaam na kare. Lekin jab
insan bure kaam ko kar leta hai to uske baad left hand side wala
farishta uske bure kaam ko likh leta hai, aur ek burai ko ek hi likhta
hai.
Jab insan mar kar Allah ke saamne jayega to Allah in hi farishto ke
likhe hue acche aur bure kaam insan ke aage rakh dega, ki tumne duniya
mein kya kiya hai. Halaki Allah ko sab maloom hota hai lekin phir bhi
usne ek system banaya hai, aur sabko apne-apne kaam sop diye hain.


• Karz (debt) jaldi chukta ho jae aur tarrakki ke liye wazifa.
-------------------------------------------------------------

Namaz barabar padhte rahiye aur Allah se dua karz ki adaigi aur
tarakkai ke liye da maangte rahiye.

Iske alawa ye wazifa padhiye.

Roz fazar aur asar ke baad 100 baar - Allahumma akfini bi halalika 'an
haramika, wa aghini bi fadhlika 'an siwaka (اللھم اکفنی بحلالک عن
حرامک و اغننی بفضلک عمن سواک) padhiye. Is wazife ke pahle 3 baar darud
sharif aur baad mein 3 baar darud sharif padhiye. (fazar aur asar ki
pabandi na ho paaye to subah shaam ko bhi padh sakti hai, lekin
fazar-asar ke baad padhna zyada behtar hai)

Iske alawa - ya wahhab (یا وھاب)o 414 baar padhiye aur shuru-aakhir
mein 7 baar darud sharif padhiye. iske liye koi bhi ek time bana
lijiye aur isko padhiye

Aur saath hi - ya Lateef (یا لطیف)o 1100 baar padhiye aur shuru-aakhir
mein 11 baar darud sharif padhiye. iske liye koi bhi ek time bana
lijiye aur isko padhiye

In sab kaamo ko Allah par poore yakin ke saath kijiye, InshaAllah
Allah aapke karz ko ada karwa dega aur rozi-roti mein barkat bhi dega.


• SHARAB KA GUNAH
===================
Afsos hai ki kuch muslim bhai beer ko sharab nahi samajhte. Aur
naa-daani mein beer ko cold drink ki tarah pi lete hain. Lekin bhaiyo
dhyan rakho ke beer bhi sharba hi hai. aur Islam mein sharab peena
haram hai.

Sharab pina to alag baat hai, SHARAAB ka BanaNe Wale, BanwaNe Wale,
PilaaNe Wale, Bechne Wale, Kharidne Wale ye sab bhi gunahgaar hain.

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - HARGIZ SHARAB
NA PEENA! ISLIYE KE SHARAB saari BURAIYON KI JAD HAI.
(MUSNAD-E-AHMAD : 21570)

Hazrat Muhammad (sallallau alyhiwasallam) ne farmaya
Sharaab Peena, Juan Khelna, aur Tabla Bajana Sakhat Gunah Hai
[Abu Daud]

Hazrat Muhammad (SallAllahu AlyhE Wasallam) Ne Farmaya:"Sharab
buraiyon Ki Jad Hy, Jis Ny Sharab Pi, 40 Roz Uski Namaz Qabool Nahi
Hogi. Wo Aadmi Jahliyat Ki Maut Marega Jisky Pait Mein Martay Waqt
Sharab Hogi."
(Tabrani,Awst. Sahihah: 1636)

Hazrate Ayesha (Razi Allahu Anha) farmati hai k ek Raat maine Huzoor
Akram (sallallahu alaihi wasallam) ko na paya to Mai Talash ke lye
Nikli, Aap (Sallallahu alaihi wasallam) JANNATUL BAQEE' (MADINE KA
QABRSTAN) me the, Aap (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya ke Mere
paas JIBRAEEL alaihis salam Tashreef laye aur kaha ke Aaj NISF SHABAN
ki Raat he, isme Allah Ta'ala itne Logo ko JAHANNAM se Nijaat dega
jitne QABEELAE KALB ki bakriyo ke baal hai (ARAB K QABEELO ME IS
QABEELE KI BAKRIYA SAB SE ZIADA THI) Magar Chand Bad-Naseeb Shaqso ki
taraf is Raat bhi Nazre Inayat na hogi (matlab kuch logo ko Allah is
raat mein bhi maaf nahi karega, wo kaun hain)
1) MUSHRIK
(jo Allah ko nahi maanta)
2) KEENA RAKHNE WALA
(apne bhai ke liye dil mein burai rakhne wala)
3) RISHTA TODNE WALA
Apne rishtedaaro se rishta tod lene wala
4) PAIJAMA/PANT TAKHNO SE NEECHE LATKANE WALA,
5) APNE Maa-Baap KA kehna na sunne wala
6) SHARAB PEENE WALA
(Ref.: BAIHAQI)

Allah humko sharab pine, pilane, banane, bechne ki burai se bachae, aameen.



• Shaadi Ke Baad Pehli Raat
====================
Shadi karna sunnat hai aur islam ka ek hissa hai. Isliye har insan ko
shadi karna chahiye. Bagher kisi jaiz wajah ke agar koi shaadi nahi
kar raha ya der se kar raha hai to ye islam ke khilaf hai.

Jin logo ki shadi hone wali hoti hai, unme se bahut se logo ke dimaag
mein kuch sawal hote hain ki islam ke hisab se shaadi ke baad ki pehli
raat ko kya karna chahiye, ya iska sahi tarika kya hai.

Hum yaha pehli raat ki kuch baat karege, lekin ye baat sirf islam
sikhne ki niyat se padhiye, dil mein kuch gandagi na rakhiyeaur na koi
galat comment karna. Hamara maksad sirf un logo ko islam ka tarika
batana hai jinko is baare mein maalumaat kam hai.

Shaadi ke baad jab ladka room mein jaaye to sabse pahle salam kare,
kheriyat maalum kare aur thodi baat karne ke baad ladki ki peshani
(forehead) ke baal sidhe haath ahista se pakadiye aur ye dua padhe.
Hadees dekhiye, Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne irshad
farmaya : jab koi shaks nikah kare aur pehli raat (suhag raat) ko apni
dulhan ke paas jaye to narmi ke sath uski peshani ke thode se baal
apne sidhe hath me le kar yah duwa padhe :'Allahumma in'ni as'a'luka
min khai'riha wakhai'ri ma fiha wakhairi ma jabalta'ha alai wa a'udhu
bika min shar'riha washar'ri ma fiha wa sharri ma jabalta'ha alai'
(tarjuma : ae Allah me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo
barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah
chahta hu iski burai aur fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne Hasin : page-164)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)

Peshani ke baal pakad kar dua karne se pahle apni biwi ko ye bata
sakte hain ki ye hamare aaqa Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwsallam)
ka hukm hai, warna jis ladki ko nahi maalum ho wo kuch galat na sochne
lage.

Iske baad agar wuzu na ho to wuzu kar lijiye aur 2 rakat namaz
padhiye, Ye namaz koi sunnat/farz/wajib nahi hai. Ye Allah ka shukr
ada karne ke liye nafal namaz hai, Isliye padhna zaruri nahi lekin
Allah ka shukr karne ki niyat se padhna chaho to padh lo. Namaz is
tarah padhiye ki ladka aage ho aur ladki uske piche khade ho jaaye.
namaz ke baad Shaadi saath kheriyat se hone ke liye Allah ka shukr ada
kijiye aur ye dua kariye ki Allah is shaadi ko kaamyab banaye, aage
bhi hansi-khushi rakhe, bacche nek de, aur is tarah bhi duwa kar sakte
hain "ae ALLAH tera shukra aur ehsan hai ki tune hume ye din dikhaya
aur hume is khushi wa ne'amat se nawaza aur hume apne Habib sallallaho
alayhi wasallam ki sunnat par amal karne ki taufiq ata farmayi. aye
Allah humari is khushi ko humesha isi tarah kayam rakh. hume mel-milap
pyar muhabbat ke sath zindagi gujarne ki taufiq ata farma. ae Rabbe
Qadir hume nek farmabardar aulad ata farma. AAMIN, aur iske alawa jo
bhi aap shaadi ki kaamyabi ke liye dua karna chahe kar sakte hain. Dua
ke pahle aur aakhir mein darud sharif padh lijiye.

Namaz ke baad kisi bhi kaam mein jald-baazi na karen, balki ladki se
is tarah baat kariye ki uski thodi jhijhak door ho jaaye. Thoda apne
baare mein baat kariye thoda uski suniye. Jab ladki ki thodi jhijhak
door ho jaaye to aur aap saath mein sone ka irada karen to usse pahle
ye dua padh lijiye.
"Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma
razaq tana (Tarjuma: "ALLAH ke naam se. Ae ALLAH door kar hamse
shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu
hame ata karega")
"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi
hai) to ALLAH us padhne wale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko
Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"
(Bukhari shareef Jild 3,Safa 85, Tirmizi shareef,Jild 1,Safa 557)
Note : Ye yaad rakhiye ki jo peshani ke baal pakad kar dua karna hai
wo sirf pehli raat mein hi padhna hai aur ek hi baar padhna hai, lekin
ye waali dua ("Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni
bish-Shaitana ma razaq tana) aapko hamesha padhna, jab bhi biwi ke
saath sone ka irada ho usse pahle is dua ko padhna zaruri hai, chhoti
si dua hai, 4-5 baar padhne se yaad ho jaayegi, agar is dua ko padhe
bagher aap biwi ke saath sote hain to ho sakta hai ki shaitan/jinn bhi
aapke saath-saath aapki biwi se sohbat kar le. Is dua ko padhne se
Allah hifazat farmata hai.

Miya biwi ka saath mein sone ka sahi tarika ye hai ki dono ek dusre ke
badan ko bila zarurat na dekhe, Hazrate Ayesha siddiqa farmati hai
jiska mafhum hai ki "Hazrat Muhammad (sallallhau alyhiwasallam) ne na
kabhi unke badan ko dekha na unhone".

Saath mein sote time bila zarurat baat na karen, aur jab saath mein
soye to apne upar ek chadar daal len (yaani pura badan khula na rahe).
Porn film ko dimaag se nikaal den kyonki wo veshya (prostitute) hoti
hain aur ye aapki biwi hai, isliye sirf islami tarike ke hisab se hi
saath mein soyen.
(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Pakhane ki jagah me Aurat se Sohbat (sex) karna haram hai
(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Jisne Aurat ya Mard se uske piche ke mukam se sohbat (sex) ki usne
yakinan kufr kiya (Abu Dawood Shareef)
(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
ALLAH Qayamat ke din aese shaks ki taraf nazre rehmat nahi farmayega.
Jisne apni Aurat ke piche ke raaste se sohbat ki
(Bukhari shareef,Tirmizi shareef ,Ibne maja Shareeef)

Isliye biwi ke saath jaanwaro jesa kaam na karen, short mein mera
matlab hai ki porn movies jesa kuch na karen. Balki sirf islami tarike
se saath mein soiye. aur Jis style se karna chaho karo, lekin sex
ladki ke piche ke raaste se na ho.

Jab aurat ka mahina (haiz/maahvaari) ho us time uske saath let-beth
sakte hain, kiss kar sakte hain lekin sex nahi kar sakte, jab tak ki
wo ghusl karke paak na ho jaaye. Isi tarah roza ki haalat mein saath
nahi so sakte, lekin peshani (forehead) par kiss kar sakte hain. roza
kholne ke baad so sakte hain, Shaadi baad ladka-ladki ko ek dusre ki
zarurato bhi samajhna chahiye ki hamara saathi kab kya chah raha hai.

Bahut se logo ko ye galat fahmi hoti hai ki agar shadi ke baad pehli
raat mein miya biwi saath nahi soe to dusre din walima nahi ho sakta,
Jabki aesa kuch bhi nahi hai, bagher saath soe bhi walima kiya ja
sakta hai.

Ek aur zaruri baat ye thi ki ladka ho ya ladki koi bhi apne
dost/saheli ko apni raat ki baat na batae, aksar dekhne mein aaya hai
ki subah ladki ko uski saheli pakad leti hai aur ladke ko uske dost,
aur wo unse raat ki baat puchte hain, lekin islam mein is baat ko
bahut sakhti se mana kiya gaya hai ki koi apni personal baat apne
dosto/saheli ko bataye aur ye ek gunah bhi hai. Is baat ka ek duniywai
nuksan ye bhi hai ki agar koi dulha apne dost ko raat ki baat suna
deta hai to phir baad mein uski bhabi jab bhi uske saamne aayegi usko
dulha ki sunai hue baat yaad aa jaayei aur ho sakta hai wo imagine bhi
karne lage. Isliye is burai se bachiye. Aur apni biwi ko khud beizzat
na kariye. Ladki ko bhi apni saheliyo ko kuch baat nahi batana
chahiye.

Ladka aur ladki ko is baat ki jaankari hona chahiye ki jab dono ek
saath so lete hain to islam ki nazar se dono naa-paak ho jaate hain,
naa-paak hone ke baad dono na namaz padh sakte hain na quran sharif ko
haath laga sakte hain, isliye saath mein sone ke baad ghusl karna
(nahana) zaruri hai, ghusl jitni jaldi kar lo utna accha hai. Ghusl
sirf saade nahane ko nahi kahte balki ghusl ka ek khaas tarika hota
hai. Ghusl sunnat tarike se bhi ho jaata hai aur agar sirf uske farz
bhi pure kar liye to ghusl ho jaayega, Mujhe jo aasan tarika laga mein
wo bata raha hu.
Sabse pahle dil mein niyat kar lijiye ki mein naa-paaki ko door karne
ke liye ghusl kar raha hu (lafz muh se kehna zaruri nahi dil mein
irada kar lena kaafi hai). Ab apne badan ki wo jagah dho lijiye jaha
gandagi lagi hai, phir jese wuzu karte hain, pura wuzu kar lijiye,
lekin ghusl ke wuzu mein garare karna zaruri hai (agar roza ho to
garara na karen). Jab pura wuzu kar chuke to 3 baar sar par paani
daaliye, phir 3 baar sidhe kaandhe par paani daaliye, phir 3 baar ulte
kaahnde par paani daaliye, iske baad pure badan par paani bahaiye, aur
phir pure badan ko haath se ragadiye, agar saabun (soap) laga rahe ho
to yu bhi ragadna ho jaata hai isliye phir alag se ragadne ki zarurat
nahi, ragadne ki wajah ye hai ki pure badan par paani fel jaaye, ek
baal ke barabar bhi jagah sukhi na rahe, agar sukhi rah gai to ghusl
complete na hoga. isliye har jagah paani pahuchane ki koshish kariye,
apni baglo mein, baalo mein, pet ki naaf mein, taango ke beech mein
piche ki taraf aur aage ki taraf, yaani sab jagah paani pahuch jaaye,
ladkiya apne kaano ki baaliyo aur naak ki nath ko paani daal kar
ghumaye taaki paani andar tak chala jaaye, agar anguthi pahani hain to
anguthi ko aage piche kare. Jab ye yakeen ho jaaye ki paani sab jagah
pahuch gaya aur koi bhi hissa sukha na raha to ab aapka ghusl ho gaya.
aur aap paak ho gaye. Agar ladki ne nail-polish laga rakhi hai to uska
naakhun se saaf karne ke baad hi ghusl kare kyonki nail-polish ki
wajah se naakhun sukhe rah jaate hain isliye ghusl nahi ho paata. Agar
ghusl ka jo tarika hai wesa ghusla na kiya gaya to insan agar pure
samudra (dariya) ke paani se bhi naha le to paak nahi hoga.

(1) Islam ke hisab se, jab tak ladka-ladki ki shaadi na hue thi tab
tak unka ek dusre ko pyar se dekhna, pyar se baat karna ye sab gunah
tha, lekin jab unki shadi ho gai to ab in dono ka pyar se baat karna,
saath mein acche se rahna, ek dusre ko pyar karna sab sawab ban jata
hai.
(2) Jab miya biwi ek dusre ko pyar ki nazar se muskura kar dekhte hain
to Allah dono ko muskura kar dekhta hai.
Allah insan se har pal ka hisab se lega, lekin kuch kaam aese hain
jinke time ka hisab Allah nahi lega, usmein se ek miya-biwi ka saath
bethna bhi hai.
(3) Agar kisi ladki se uska dulha naraz hokar so gaya to us ladki par
farishte raat bhar laanat karte hain
(4) Ladke ko chahiye ki apni biwi ka hara tarah se dhyan rakhe, uski
har sahi baat puri karne ki koshish kare. Usko khush rakhe.

Allah hum sabko sunnat tarike se har kaam karne ki taufik ata kare, Aameen.
Note: Jis kisi ko kuch confusion hai ya kuch aur zyada detail mein
puchna chahta ho to iske liye comment nahi balke mujhe personal
message kariye.


• Kya Aap Hazrat Muhammad Ke Pyare Banna Chahte Ho?
===================================
Hazrat Muhammad (Sal’lal’lalhu Alaihe Wasallam) ne farmaya : Tum sab
main mujhe zyada pyara aur Qayamat ke din mere sabse pass wo log honge
jinke akhlaaq (behavior) zyada ache honge.
[Tirmizi : 2018]
Bhaiyo-bahno, islam mein akhlaq (behavior) ka bhi bahut bada maamla
hai, ek jo upar hadees bayan ki gai hai ye uska ek example hai. Kai
baar dekhne mein aata hai ki kuch log namaz, roza karte hain, lekin
unke akhlaq acche nahi hote, lekin aese logo ko akhlaq ki ahmiyat bhi
samajhna chahiye.
Allah hum sabko acche akhlaq wala bana de. Aameen.


• Logo ko Acche Kaam Karne Ke Liye Kaho Aur Bure Kaamo Se Roko
-------------------------------------------------------------
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Jo insan Kisi Burai Ko Dekhe To Use Hath Se Rok De, Agar Hath Se Rokne
Ki Taqat NA HO To, Zabaan Se Roke or Agr Aisa Bhi Na Kar Sake To Us
Burai Ko Dil Me Bura Samjhe Ye Imaan Ka Sab Se Kam Darja He
Ref
Tirmizi Shareef


• Salam Pahle Karo
======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ne farmaya ke - Salaam Me
Pahal Karne Wala Ghamand (takabbur) Se Paak Hai.
-: (Mishkat Sharif, Jild 2, Page-684, Hadees-4434)


• Allah Ne Humko Bahut Diya Hai
====================
EK AADMI BUZRUG SE: ALLAH ne sab ko ameera banaya aur mujhe kuch nahi diya.
BUZRUG: Tujhe ek laakh rupye deta hu. tu apna ek haath kaat ke mujhe de.
AADMI: Nahi de saqta.
BUZRUG: 10 Laakh rupye deta hu. Apni ek per kaat ke mujhe de.
AADMI: Nahi de saqta.
BUZRUG: Jitna maange ga usse zyaada dunga, apni ek aankh mujhe de de.
AADMI: Aap mujhe saari duniya ki daulat de do. Phir bhi nahi de saqta.
BUZRUG: Ae Aadmi, ALLAH NE TUJHE ITNI Keemti cheezen di hain, AUR TU
KEHTA HAI ALLAH NE KUCH NAHI DIYA.
Bhaiyo-bahno, Allah ka har insan par karam hai, kisi ko kuch diya hai
kisi ko kuch. Sirf maal aur daulat hi Allah ka raham nahi hai balke
dusri bhi bahut si cheeze hoti hain, Allah kisi ko dekar aazmaat hai
to kisi se lekar. Bas, har haal mein Allah ka shukr karte rahiye.
Hum sab Allah ka shukr karne waale ban jaaen, Aameen.



• हज़रत मुहम्मद (सल्लल्लाहु अलय्ही वसल्लम) का आखिरी संदेश
----------------------------------------------------------------
हज़रत मुहम्मद (सल्लल्लाहु अलय्ही वसल्लम) द्वारा हिजरत के दसवें साल में
अपने अंतिम हज के अवसर पर मुहम्मद (सल्लल्लाहु अलय्ही वसल्लम) के इस
ऐतिहासिक भाषण में सारी मानवता के कल्याण की शिक्षाएँ निहित हैं।
यह इस्लामी आचार-विचार का घोषणा पत्र है।
हज़रत मुहम्मद (सल्लल्लाहु अलय्ही वसल्लम) ने कहा:
प्यारे भाइयो! मैं जो कुछ कहूँ, ध्यान से सुनो। ऐ इंसानो! तुम्हारा रब एक है।
अल्लाह की किताब और उसके रसूल की सुन्नत को मजबूती से पकड़े रहना। लोगों
की जान-माल और इज़्ज़त का ख़याल रखना । कोई अमानत रखे तो उसमें ख़यानत न
करना। ब्याज के क़रीब न भटकना।
किसी अरबी को किसी अजमी (ग़ैर अरबी) पर कोई प्राथमिकता नहीं, न किसी अजमी
को किसी अरबी पर, न गोरे को काले पर, न काले को गोरे पर, प्रमुखता अगर
किसी को है तो सिर्फ अल्लाह पर यकीन व गुनाहों से बचने (यानी अच्छे काम
करने) से है अर्थात् रंग, जाति, नस्ल, देश, क्षेत्र किसी की श्रेष्ठता का
आधार नहीं है। बड़ाई का आधार अगर कोई है तो ईमान और चरित्र है।
तुम्हारे ग़ुलाम, जो कुछ ख़ुद खाओ, वही उनको खिलाओ और जो ख़ुद पहनो, वही
उनको पहनाओ। अज्ञानता के तमाम विधान और नियम मेरे पाँव के नीचे हैं।
इस्लाम आने से पहले के तमाम ख़ून खत्म कर दिए गए। (अब किसी को किसी से
पुराने ख़ून का बदला लेने का हक़ नहीं) और सबसे पहले मैं अपने ख़ानदान का
ख़ून–रबीआ इब्न हारिस का ख़ून– ख़त्म करता हूँ।अज्ञानकाल के सभी ब्याज
ख़त्म किए जाते हैं और सबसे पहले मैं अपने ख़ानदान में से अब्बास इब्न
मुत्तलिब का ब्याज ख़त्म करता हूँ।
औरतों के मामले में अल्लाह से डरो। तुम्हारा औरतों पर और औरतों का तुम पर
अधिकार है।औरतों के मामले में मैं तुम्हें वसीयत करता हूँ कि उनके साथ
भलाई का रवैया अपनाओ।
लोगो! याद रखो, मेरे बाद कोई नबी नहीं और तुम्हारे बाद कोई उम्मत
(समुदाय) नहीं। अत: अपने रब की इबादत करना, प्रतिदिन पाँचों वक़्त की
नमाज़ पढ़ना। रमज़ान के रोज़े रखना, खुशी-खुशी अपने माल की ज़कात देना,
अपने पालनहार के घर का हज करना और अपने हाकिमों का आज्ञापालन करना। ऐसा
करोगे तो अपने रब की जन्नत में दाख़िल होगे।
ऐ लोगो! क्या मैंने अल्लाह का पैग़ाम तुम तक पहुँचा दिया! (लोगों की भारी
भीड़ एक साथ बोल उठी–) हाँ, ऐ अल्लाह के रसूल! (तब मुहम्मद (सल्लल्लाहु
अलय्ही वसल्लम) ने तीन बार कहा–)
ऐ अल्लाह, तू गवाह रह। ऐ अल्लाह, तू गवाह रह। ऐ अल्लाह, तू गवाह रह।
(उसके बाद अल्लाह ने क़ुरआन की यह आखिरी आयत उतार दी)
आज मैंने तुम्हारे लिए दीन को पूरा कर दिया और तुम पर अपनी नेमत पूरी कर
दी और तुम्हारे लिए इस्लाम को दीन की हैसियत से पसन्द किया।


• Salam Karne Ke Faide
======================
Hazrat Muhammad (sallaallahu alaihi wasallam) se pucha gaya ke kaun sa
islam behter hai?
Aapne farmaya ke - tum Khana khilao aur salam karo, jisko Pehchante ho
usko bhi aur jisko Nahi Pehchante usko bhi.
(Bukhari,Muslim).
bhaiyo, salam karne ke faide bahut hain, lekin anjan momin ko salam
karna to door hum jaan-pehchan ke logo ko bhi salam karne se bachte
hain, lekin upar ki hadees se humko salam ki ahmiyat pata chal gai,
isliye aaj se pakka irada kariye ke koi bhi momin saamne aaega to usko
salam karenge. chahe wo humse chhota ho ya bada, karege na inshaAllah.



• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki kuch aadate/habits.
===================
1. Chalte time nazar Niche Rakhte.
matlab taak-jhaak karte hue na chalte aur na kisi parai aurat ko dekhte.
2. Salam Hamesha Pehle Karte.
matlab ye na dekhte ke saame chhota baccha hai ya koi bada hai, na ye
dekhte ke ameer hai ya gareeb, balke salam pahle khud karte.
3. Mehman Nawazi Khud Karte.
4. Nafil Namaz Chup Ke Padhte.
Matlab ibadat mein dikhawa nahi karte the.
5.FARZ Ibadat Sab ke Samne Karte.
Farz ibadat sabke saamne karte, taake dusro ko sabak mile.
6. Bimar ki tabiyat dekhne jaate.
8. Miswak (daatun) Karte.
9. Ishaa ki namaz Se Pehle Kabhi Na Sote.
10. Kabhi Khulkar Na Haste, Sirf Muskurate.
Allah humko bhi in saari baato par amal karne ki taufik ata kare. Aameen.


• Sabse Accha Sadqa (donation) kya Hai ?
=======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
SAB SE accha SADQA YE HAI KE KOI ILM SEEKHE PHIR APNE BHAI KO SIKHA DE
{IBN-E-MAJA : 243}



• Allah Se Apne Gunaho Ki Maafi Maango
========================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Allah Ki
Qasam Main Din Mein 70 baar Se Zyada Allah Se Istigfaar Aur maafi
maangta hu.
(Sahih Bukhari, Vol7, 6307)
Bhaiyo-bahno sochne waali baat hai ke hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) se kabhi koi gunah nahi hua aur aap to bakshe bakshae
the, lekin phir bhi aap Allah se maafi maangte the to phir hum kya
cheez hain, humse to har kadam par gunah hota hai lekin hum apne
gunaho ko gunah nahi samajhte. kyonke humko unki aadat ho chuki hai.
Gunaho se bacho aur agar gunah ho jaae to foran Allah se maafi maang
lo aur dobara us gunah ko na karne ka pakka irada karo. yaad rakho
duniya mein kuch saal hi rahna hai, hamara asli thikana to akherat hi
hai jaha hamesha hamesha rahna hai.
Allah hum sabko gunaho se bachne ki taufik ata kare, Aameen.



• Ek Musalman Ke Kuch Kaam
==========================
Khidmat (sewa) Karo...... Maa Baap Ki.
Khayal (dekh-bhaal) Karo......Padosiyo Ka.
Izzat Karo......Bado Ki.
Dosti Karo......Imaandaro Se.
Sabar Karo......Musibat Mein.
Allah se Maafi Maango ...... Jab Gunah Ho jaae.
Sudhaar Karo......Aapas Me.
Bharosa Karo...... Allah Par.
Kadar Karo......Zindagi Ki.
Bacha Karo......Jhoot Se.
Zyada Karo ...... Acche Kaam
Kharch Karo...... Acche Kaamo Ke Liye
Bacha Karo......Haram Ki Kamai Se.
Haasil Karo...... Islam Ki Jaankari Ko.
Insaaf Karo...... Chahe Saamne Koi Bhi Ho
Chhupaya Karo...... Dusro ke raaz
Jhuka Karo...... Allah Ke Samne.
Roya Karo...... Allah ke Dar Se.
Pesa Do ...... Garibo Ko
Raham Karo...... Yateemo (orphan) Par.
Mohabbat Karo...... Chhoto (children) Se.
Khatir (welcome) Karo......Mehmaano Ka.
Dekhne Jao ......Beemar Ko.
Jald Ada Karo ...... Karz Ko
Nafrat Karo...... galat Kaamo Se.
Yakeen Karo...... Akhirat Par (mar kar phir zinda hone par)
Yaad Karo...... Maut Ko.
Bola Karo...... Hamesa Sach.
Maaf Karo...... Galti Karne Walo Ko.
Kami Karo...... Khawaish Me. Fizul Kharchi Mein
Roka Karo...... Bure Kaam Karne Waalo Ko
Madad Karo...... Pareshan Logo Ki
Amal Karo......Ilm Ke Mutabiq.
Dara Karo...... Allah Ki Narazgi Se.
Vyapar (business) Karo...... Imaandari Se.
Parhez Karo...... Fizul Kharchi Se
Accha Suluk Karo......Dosto Se.
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.


• Buri Baat Se Khud Ko Roko
========================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasalllam) ne farmaya ke -
Buri Baat Bolne Se Chup Rahna 60 Saal Ki Ibadat Se Behtar Hai, Jo Buri
Baato Se khud ko Roke To Usne Najaat Paayi.
(Baihaqi, Tirmizi Sharif)
Matlab ye ke Jis Sakhs Ne Buri Aur Fizul Baato Se khud Ko Roke Rakha,
usko Duniya Aur Aakhirat Ki Bahut Si Aafto, Musibato Aur Nuksano Se
bach gaya, Kyoke Insaan zyadatar apni zuban ki wajah se pareshaniyo
mein ghirta hai.
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.


• Bimar Ke Pass Jao To Usse Dua Ke Liye Kaho
============================

“Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki jab tum kisi
bimar ke pass jao to usse apne liye dua karwao kyo k uski dua farishto
ki dua ki tarha hoti hai”

(Ibne maja:1502/1)




• ROAD PAR CHALTE HUE YE KAAM KARO
---------------------------------------------------

1) Salaam Karo
2) Salaam Ka Jawaab Do
3) Nazar Ko Nichi Rakkho (yaani parai aurato ko mat dekho) aur kidi
dusre ke ghar mein taak-jhaak karte hue na chalo
4) Kisi Ko Taklif Na Phuchao
5) Bure Kaam Se Bacho
6) Kisi ko pareshani mein dekho to madad karo (jese kisi ki gaadi
kharab ho gai to usse madad karne ke liye pucho)
7) Agar koi raasta puche to usko raasta dikhao
Road par koi takleef dene wali cheez padi hai to usko road se hata do
(jese kaanta, kaanch ka tukda etc.)
9) Allah ka zikr (tasbeeh/jap) karte hue chalo
10) Agar paidal chal raho ho to Road ke side mein chalo taaki dusre
chalne walo ko tumse takleef na ho

Allah Hame Amal Ki Taufeeq De
AAMIN SUMMA AAMIN


• Jo Apne Liye Pasand Karo, Wahi Bhai Ke Liye Karo
============================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya -
tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak apney bhai ke liye
wohi pasand na karey jo apney aap ke liye karta hai

Sahih Bukhari, Iman ka Bayan ,13


• Islam mein Tattoo gudwana, chehre ke baal ukhadna mana hai
----------------------------------------------------------------

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwsallam) ne farmaya jiska matlab ye hai ki -
Allah Ne LA'NAT Ki He godne [Tattoos] Waliyo Par aur
gudwane Waliyo Par aur Chehre Ke Baal Ukhadne [Threading] Waliyo Par
or ukhadwane Walo Par aur Danto [Teeth] Ko Khubsurti Ke Liye Kushada
Karne Waliyo Par

- Bukhari Shareef _ 5939


• Waalid/Father
======================
1) Walid ki izzat karo taake aapki aulad bhi aapki izzat kare.
2) Walid Ki Baaten dil laga kar suno taake tumko dusro ki baate na sunni padhe.
3) Walid Ke Saamne uncha Na Bolo Warna ALLAH aapko Nicha Kar Dega...
4) Walid Ke Saamne Nazar Jhukao Taake ALLAH aapko Bulandi Naseeb Kare...
6) Yaad Rakhna Ke walid Ke Aansu aapki wajah Se Na Gire Warna ALLAH
aapko JANNAT Se Gira Dega.

ALLAH Duniya Ke Sabhi Waleed aur Waleeda Ko Khush Rakhe aur Hamein
Unka Farmabardar -Banae, Aameen.



• Bharosa, Sabr, Kaabu
=======================
Allah farmata hai -
"Mujh Se Kal Ka Rizq Na Maang, Jis Tarah Main Tujh Se Kal Ka Amal Nahi
Maangta."
"Tu Mere Thode Diye Se Raazi Ho Jaa, Qayamat K Din Main Tere Thode
Kiye Se Raazi Ho Jaunga."
"Jab Tujhe Gussa Aaye To Mujhe Yaad Kiya Kar, Main Apne Ghazab Ke Waqt
Tujhe Yaad Rakhunga .

Dosto, har acche kaam ke liye dua maangi ja sakti hai, lekin pahli
baat mein Allah chahta hai ki banda us par bharosa kare kyonki aaj
usne diya hai to kal bhi wahi dega. Yaha Allah par bharosa rakhne se
matalb hai.

Dusri baat mein matlab hai ki har haal mein Allah ka shukr karte raho.
Aur Sabar karo.

Teesri baat mein apne gusse par kaabu rakhne ki baat kahi gai hai,
kyonki gussa karna mana hai. Agar kisi ko gussa aaye aur wo khada hai
to beth jaaye aur betha hai to let jaaye, isse gussa kam ho jata hai.

Allah humko upar ki baato par amal karne ki taufiq de.
Aameen.



• ALLAH KAUN HAI (WHO IS ALLAH)
-----------------------------------------------
Allah wo hai jisne is puri duniya ko banaya, chaand, taare, suraj,
aasman banaya, yeh sab cheeze Allah ne bagher kisi raw material ke
banai (yaani agar kisi ko pencil banana hai to uske liye lakdi lagegi)
lekin Allah ne sirf hukm diya aur cheez ban gai, phir is duniya mein
insano ko paida kiya, insano ko apni ibadat ke liye banaya aur duniya
ki saari cheeze insan ke liye jese hawa, paani, trees, animal banae.
Har kaam Allah ke hukm se hota hai, jese hawa ka chalna, paani ka
girna etc. Allah hamare dil ki baat bhi jaanta hai, hum kya karne wale
hain, kya kar chuke hain aur kya karenge, yeh Allah ko maloom hai.
Uska roop insano jesa nahi hai. Allah ek noor (light/prakash) hai, Wo
hamesha se tha aur hamesha rahega. Allah kisi se paida nahi hua, yaani
wo kisi ki aulad nahi, wo khud se hai aur na uski koi aulad hai
(kyonke ye system to usne insano/jaanwaro ke liye banaya hai taake
unki duniya quantity badh sake).
Allah ko bhook nahi lagti, neend nahi aati, wo thakta (tired) nahi, wo
bezar (oobta) nahi (kyonke ye sab baate usne insano ke liye banai hai)
isliye ye saari baate insano mein hoti hai. Jo so jaae, jo thak jaae,
jisko bhook lag jaae wo God nahi ho sakta.

Allah bahut naram dil (dayawan) hai, bahut maaf karne wala hai. Uski
jitni taarik ki jaae wo kam hai. Allah quran mein insano ko challenge
karta hai ke duniya ke saare trees ko pen bana lo, saare samandar
(sea) ko ink bana lo aur duniya ke saare insan mil jao aur meri taarif
(praise) likhna chaho tumhare pen khatam ho jayege, ink khatam ho
jayegi, insan khatam ho jayege lekin meri taarif (prashansa) puri na
ho paegi.

Allah kehta hai ki mein kya hu, kesa hu is baare mein dimag mat lagaya
karo, kyonke tum soch hi nahi sakte, kyonke tum sirf utna soch sakte
ho jitna tumko mene samajh diya hai, uske aage tum nahi soch sakte.
Agar mujhe samajhna chahte ho to meri banai hui cheeze dekha karo,
jese ek makkhi (fly) ko dekho jisko mene banaya hai, uske par ko dekho
ki mene kese banaya hai, Kyonke tum saare insan mil kar bhi ek makkhi
ke par jesa (jesa ka tesa) dusra par nahi bana sakte. Ek anar
(Pomegranate) ka daana nahi bana sakte. Aasman, suraj, chaand sitaro
ko dekho jinko mene banaya hai, to tum meri greatness ko thoda samajh
paoge.


• Wo 10 Sahaba Jinko Duniya Mein Jannat Ki Khabar Suna Di Gai
========================
In 10 sahaba (radi allahu anhu) ko ASHARA e MUBSSHARA kahte hain,
Yaani Wo 10 SAHABA Jin Ko Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam)
ne Duniya Me Hi Ne Allah ke hukm se in logo ko JANNAT Ki khush khabri
suna di thi.
1 Hazrat Abu Bakar (radi allahu anhu)
2 Hazrat Umar (radi allahu anhu)
3 Hazrat Usman (radi allahu anhu)
4 Hazrat Ali (radi allahu anhu)
5 Hazrat Zuber (radi allahu anhu)
6 Hazrat Tallha (radi allahu anhu)
7 Hazrat Abdur Rahaman Ibn e Aouf (radi allahu anhu)
8 Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah (radi allahu anhu)
9 Hazrat Saad Bin Abi Waqqas (radi allahu anhu)
10 Hazrat Saeed Bin Zaid (radi allahu anhu)

Ref
Tirmizi Shareef

No comments:

Post a Comment