Thursday, 2 January 2014

Mout

Dozakh (Hell/narak) ki Aag
-------------------------------------
Dozakh ki aag mein roshni nahi hai, pahle aag ko dahkaaya gaya to wo
pili (yellow) hue aur phir usko dahkaaya kiya gaya to safed (white)
hue aur dahkaaya gaya to kaali (black) ho gai. isliye usmein ab roshni
nahi. Lekin tezi bahut zyada hai.
Allah humko dozakh se bachaye aur jannatul firdaus mein jagah naseeb kare.
Aameen.


• Sabse Zyada Aqal-mand Kaun Hai?
===========================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
SABSE ZYADA AQAL-MAND WO HAI JO MAUT KO SABSE ZYADA YAAD KARTA HO. AUR
MAUT KE BAAD KE LIYE SABSE ACHI TAYYARI KARE****
(IBN E MAAJAH)
Matlab sabse zyada aqal-mand insan wo hai jo duniya mein rah kar acche
kaam kar le, taake marne ke baad Allah ke yaha usko accha result mile,
kyonke marne ke baad insan koi accha kaam na kar sakega, aur uska koi
sawab bhi nahi...........
Allah hum sabko akherat ki fikar karne wala bana de, aur amal ki
taufik ata kare, aameen.



• Murdo (dead) Ki Taraf Se Sadqa (donation) Diya Karo
=========================
Ek Shakhsh Ne hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Pucha
Ke, “Meri Maa Ka Achanak Inteqal (death) Ho Gai Aur mujhe lagta hai ke
Agar unhe baat karne ka moka milta to Wo Kuch Na Kuch Khairat (donate)
Karti !, Agar Mein Unki Taraf Se Kuch Khairat
Karu Toh Kya Unhein Iska Sawaab Milega ?” Hazrat Muhammad (Sallallahu
Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Haan Milega!”
-: Sahi Bukhari, Book #23, Hadith #470
Bhaiyo-bahno, bahut se na-samajh log ye maante hain ke murde ko sawab
nahi pahuchta, to ye hadees unko yaad rakhna chahiye.
Allah hum sabko islam ki sahi samajh ata kare, Aameen.


• Ek Hakikat
================
Duniya naseeb se milti hai aur aakherat mehnat se lekin hum mehnat
duniya ke liye karte hai aur aakherat ko naseeb par chhod dete hain.
Bhaiyo-bahno, aakherat ke liye mehnat karo, kyonke 1 hi zindagi uski
tayyari ke liye di gai hai aur uska bhi bharosa nahi ke wo kab khatam
ho jaae, isliye kal se nahi balke aaj se hi uski tayyari karo.
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.



• Yaad Rakho
===============
1) Duniya Ke Andar DEEN Nahi He BALKE DEEN Ke Andar Duniya He

2) Gunaah Par TABIYAT Khud Chalti He Magar NEKI Par TABIYAT Ko Lana Padhta He

3) Aaj Amal He HISAB Nahi, Kal HISAB Hoga Amal Nahi

4) Aaj Ek AANSU Ka Qatra DOZAKH Ki AAG Ko Bujha Sakta He, Kal AANSU Ke
SAMANDAR Se DOZAKH Ki Aag Ki Ek CHINGARI Bhi Nahi Bujhegi



• Kisi ka bhi janaza (mayyat) nikle, khade ho jao
------------------------------------------------------
Hazrat Jaabir (adiallahu anhu) se farmate hain ki
hamare saamne se ek janaza gujra to Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi
wasallam) khade ho gae aur hum bhi khade ho gaye. humne kaha Ya
Rasoolallah (sallallaho alayhi wasallam) ye to ek Yahudi ka janaza
tha. Aap ne jawab diya ki jab tum janaza dekho to khade ho jao.
(Sahih Bukhari : page-511)

sabak yeh ki janaza Musalman ka ho ya non-muslim ka humko khade ho
jana chahiye aur usko dekh kar maut ko yaad karna chahiye ki hume bhi
ek din marna hai.


• " KABAR MEI AAG KE SHOOLE "
(Must Read)


Ek shakhs ki behen ki maut hogayi, Jab Usse dafan karke lauta tho yaad
aaya ki rakam ki theli tho kabar mei hi ghir gayi hai chunanche wo
aapni behen ki kabar par aaya aur us ko khooda tho taki theli nikale,
Usne dekha ki behen ki kabar mei aag ke shohole badakh rahe hai,
Chunanche usne thu-ju kabar par mitthi daali aur ghum-geen roota huwa
maa ke pass aaya aur pucha. Pyari ammi jaan.!
Meri behen ke aamal kaise the.?
Wo boli beta kyu puchte ho.?
Arz kiya,meine aapni behen ke kabar mei aag ke shohole bhadakhte dekhe
hai. Ye sunkar maa bhi roone lagi aur kaha.
Afsos.!
Teri behen NAMAZ mei susti kiya karti thi,aur Namaz be-waqt padhti
thi, (yani namaz qaza kar ke padhti thi).
[ MAKASIFATUL-QULUB SAFA:189 DARUL-QUTBUL-ILMIYA BAIRUT ]

AYE ASHIQON ! KYUN ISHQ KA IZHAR AMAL SE NAHI HOTA ??

ALLAH AZZAWAJAL HAM SAB KO SACHA NAMAZI BANAYE.


• SAWAAL
*********
Aadmi Ke Marne Ke Baad Use Khushbu Kyon Lagate Hain?

JAWAAB
*********
Ek Riwayat May Hain Ki Jab Hazrat Zibrayil Alaihisalam Hazrat Aadam
Alaihi Salam Ki Takhliq Keliye Zamin Se Mitti Uthaker Legaye To Zamin
Ne ALLAH-TA'AALA Ki Bargah May Shikayat Ki, Ki Aye ALLAH! Mitti Uthane
Se To Mujh May Kami Aagayi, Khuda Ne Jawab Diya Ghabrao Mat, Jab Yeh
Tum May Wapas Aayega To Pehle Se Zyada Haseen Wa Jameel Aur Khushbudar
Hoga, Yahi Wajah Hain Ki Maiyyat Ko Itr Wa Mushk Se Mu-attar Kiya Jata
Hain!


• Maa Baap Ko Satane Ki Saza
Duniya Mein Hi Mil Jaati Hai Aur Akherat Mein Alag.
======================
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke saare Gunaah
Aese hain Ke Allah Chahta hai To unko Maaf Kar Deta Hai, Magar Maa
Baap Ko Satane Ka Gunaah Aesa He
Jis Ki Saza Duniya Hi Me Maut Se Pehle De Deta He

Ref. Mishkaat Shareef

Bhaiyo bahno, isliye agar kisi se uske maa-baap naraz hain to unse
maafi maangiye aur aainda unko naraz na karna.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.



• Dozakh (hell) Kesi Hai
========================
Dozakhiyon ko jahannam ki aag mein bar bar jalaya jayega. jab woh jal
bhun kar koyla ho jaenge to phir dobara unko naye gosht aur naye
chamde ke saath zinda kiya jaaega aur phir unko aag mein jalaya
jaaega. yeh azaab bar bar hota rahega. jahannam ki aag ki garmi ka yeh
aalam hai ke hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne farmaya
ke farishto ne 1000 baras tak jahannam ki aag ko bhadkaya to woh surkh
ho gai. phir dobara 1000 baras tak bhardaya gaya to wo safed ho gai.
phir teesri bar jab 1000 baras tak bhadkaya gaya to wo kaale rang ki
ho gai to woh nihayat hi khaufnaak kaale rang ki aag hai.
(Sunan Tirmizi : jild-4, page-266, hadees-2600)

ek dusri hadees mein hai ke jahannam ki aag ki garmi duniya ki aag ki
garmi se 69 darje zyadah hai.
(Sahih Bukhari : jild-2, page-396, hadees-3265)

Ek dusri hadees shareef mein yeh bhi hai ke jahannam mein aag ka ek
pahad hai jiski uchai (height) 70 saal ka rasta hai. is pahad ka naam
Saood ( ???? ) hai. dozakhiyon ko iske upar chadhaya
jayega to 70 baras mein woh uski bulandi par pahunchenge phir unko
upar se giraya jayega to 70 baras mein niche pahunchenge. isi tarah
hamesha azaab diya jata rahega.
(Mishkat : jild-3, page-236, hadees-5677 ; Sunan Tirmizi : jild-4,
page-260, hadees-2585)

Ye to kuch hi hadees hain jisse humko dozakh ke azab ke baare mein
pata chalta ai, Upar batai gai hadees se to kuch hi baate pata chalti
hain, dozakh isse bhi zyada khatarnaak hai. Dozakh mein Allah ke
na-farmaano ko daala jaaega.

Alla humma ajirni minan naar.
Allah hum sabko dozakh ke azaab se bachana, aameen.


• Har Jaandar Ko Ek Din Marna Hai
======================
Quran mein Allah farmat hai
“Har Jaandar Ko Mout Ka Maza Chakhna Hai (Kullu Nafsin Zaikatul Maut)
Aur Tumhey Qayamat Ke Din Purey Purey Badley Milengey, Phir Jo Koi
Dojakh Se Dur Rakha Gaya Aur Jannat Me Dakhil Hua So Wo Pura Kamiyab
Hua, Duniya Ki Zindagi Toh Dhoke Ke Maal Ke Siwa Kuch Bhi Nahi Hai”

-:(Surah Aal-E-Imran : A-185)



Mar Gaya
=====================
Aeisa nahi k nafs ka shetan mar gaya
Shetan to hai zinda, Han insan’ mar gaya.

Sajdon mein sar jhukane ki fursat nahi rahi
Insano ki rooh mein basa wijdaan’ mar gaya.

Masjid to pakki ban gai aur shan’daar bhi,
Kacchi hain RABB se chahaten, imaan’ mar gaya.

Ae Insan herat hai teri qismat pe
kis trah, Peda huwa tha khush_numa. viran mar gaya



• Tajjub Hai
==================
*Ta'ajjub he us sakhs par jo Jahannam ko jaanta he magar fir bhi gunah karta he
*Ta'ajjub he us sakhs par jo Jannat par yakin rakhta he magar usse
haasil karne ki koshish nahi karta.
*Ta'ajjub he us sakhs par jo Allah ta'ala ko jaanta he magar uski
bandgi nahi karta
*Ta'ajjub he us sakhs par jo Qabristaan ko jaata he magar ibrat hasil nahi karta
*Ta'ajjub he us sakhs par jo Saitaan ko apna dushman jaanta he magar
fir bhi uski ita'at karta he.

Allah hum sab ko sirat-e-mustakim par chalaye.


• Ye Kya Ho Raha Tha
====================
Tha Main Neend Mein aur
Mujhe Itna Sajaya Ja Raha Tha,
Bade Hi Pyar Se Mujhe Nehlaya Ja Raha Tha,
Najane Tha Wo Konsa Ajab Khail
Mere Ghar Mein,
Bac'chon Ki Tahra'n Mujhe Kandhe Pe Uthaya Ja Raha Tha,
Tha Paas Mere Mera Har Apna Us Waqt,
Phir Bhi Main Har Kisi K Mu Se Bulaya Ja Raha Tha,
Jo Kabhi Dekhte Bhi Na Thy,
Muhabbat Ki Nigha Se,
Un K Dil Se Bhi Pyar Mujh Pe Lutaya Ja Raha Tha,
Maloom Nahi Heran Tha Har Koi
Mujhe Sota Hua Dekh Kar,
Zor Zor Se Ro Kar Mujhe Hansaya Ja Raha Tha,
Kaanp Utthi Meri Rooh,
Mera Wo Makaa'n Dekh Kar,
Pata Chala Mujhe DAFNAYA Ja Raha Tha,
Ro Pada Phir Main Bhi Apna Wo Manzar
Dekh Kar
Jahan Mujhe Hamesha K Liye Sulaya Ja Raha Tha.

Bhaiyo-bahno marne se pahle marne ke baad ki tayyari kijiye. Kyonki
waha hamare saath na biwi na baccha na maa-baap, koi nahi jaayega. Bas
hamare nek aamal (acche kaam) jayenge.

Duniya acche kaam ki jagah hai fal ki nahi, akherat fal ki jagah hai
acche kaam ki nahi.



• Murda Kya Kehta Hai?
==================================

Hazrat Muhammad (Sallallahu AlaihiWa Sallam) Ne Farmaya -
Agar Log Murde Ka Thikana Dekh Len Aur Uski baat Sun Len
To Mayyat Ko Bhool Jayennge, Aur Apni Jaano Par Rone Lagenge.
Jab Murde Ko Takht Par Rakha Jata Hai To Is Ki Rooh Far-Farate Hue
Pukarti Hai Ke Aye Mere ghar walon' Duniya Tumhare Saath Is Tarah Na
Khele, Jis Tarah Mere Saath Kheli. Maine Halaal Aur Haraam Maal Jamaa
Kiya, Fir Wo Maal Dusro Ke Liye Chhod Aaya,
Is Ka faida Tumhare Liye Hai Aur Nuqsaan Mere Liye Hai, Bas Jo Kuchh
Mujh Par Guzar Rahi Hai, Is Se Bacho Aur sabak Haasil Karo
[Ref: Mishkaat Shareef]

Note: yaha us murde ki baat hai jo gunahgaar tha.

YA ALLAH, Hame Marne Se Pehle Maut Ki Taiyyari Karne Ki Taufeeq Ataa
Farma. (AAMEEN)



• Naam, Kapde Aur Ghar
=====================

Insaan saari zindagi 3 cheezo ke liye bahut mehnat karta hai.
1-Mera NAAM Uncha Ho.
2-Mera Kapde Achche Ho.
3-Mera Ghar Khubsoorat Ho.

Lekin Maut ke baad tino Cheezain Badal Jati
Hai...

1-Naam "MARHUM (late)".
2-Libas "KAFAN".
3-Makaan "QABR".

Jab sabke aakhir mein yahi haath aana hai to kuch time ki cheezo ke
piche kyo itna bhaagna. Ha, apni zarurat puri karne ke liye zarur
rupye kamao, lekin zyada rupye ke lalach thi nahi. Aur Apna keemti
time yu hi barbaad na karo aur Allah ko zindagi rahte raazi karo
kyonki maut ke baad hum kuch nahi kar sakte.

Allah humko is baat ko samajhne ki taufik de, Aameen.



• Dozakh (Hell/Nark) Ki Aag Kesi Hai
==================================

Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne farmaya ki -tumhari ye
aag (duniya ki aag) jisse insan jalte hai wo jahannum (hell) ki aagke
70 hisson main se 1 hissa hai, phir farmaya : jahannum ki aag duniya
ki aag ke mukable main 69 darje (yani duniya ki aag se 70 quna zyada)
bhadka di gai hai.
(Muslim : hadees-7165)

Ek dusri jagah bataya gaya ki duniya ki aag jahannuam ki aag ke aage
itni thandi hai ki agar kisi dozakh wale ko dozakh se nikal kar duniya
ki aag mein daal diya jaaye to usko duniya ki aag mein mithi neend aa
jayegi.

Allahu Akbar.

Isliye dosto, Gunah karne se pehle socho ke hum to duniya ki aag ki
tapish bhi bardasht nahi kar sakte to jahannum ki aag ka azaab kese
bardasht kar payenge..!!

Alla humma ajirni minan naar
Ae Allah hum sabko jahannum ki aag se bachana.

Aameen, Summa aameen.



• Marne Ke Baad Konsi Cheez Kitni Der Zinda Rehti He???

Dil, 10 Minute
Dimaag, 20 Minute
Aankh, 4 Hour
Chamdi, 5 Din
Haddiya, 30 Din

Lekin Acche Hamesha Zinda Rehte Hain

So Dosto Jo Cheez Duniya aur Aakhirat Me Kaam Aane Wali He
Us Ki Fikar Karo aur acche kaam Karte Raho

Allah Hame Amal Ki Taufeeq De


• Janaza (Arthi) Mein Zarur Jaya Karo
----------------------------------------------------------------

Hazrat Muhammad (SallAllahu Alahi Wasallam) ne farmaya :
Jo shakhs janaza (arthi) mein jata aur aur namaz padhta hai usko ek
qeeraat ka sawaab milta hai, aur jo dafan tak saath rahe usko do
qeeraat ka sawaab milta hai. Nabi-e-kareem (SallAllahu Alahi Wasallam)
se pucha gaya : Do qeeraat ka kya matlab hai? Aap ne farmaya : Do bade
pahaado ki tarah.

Sahih Al-Bukhari(Hadees no.1325)

Dosto, isliye janaza mein zarur shamil hona chahiye, aur iska ek dusra
faida ye bhi hai ki humko ye sabak milta hai ki hum ko bhi ek din aise
hi jana hai. Isliye Marne se pahle apne rab ko raazi kar lo.



• MARNE KE BAAD MURDA HUMSE KYA BOLTA HAI
-------------------------------------------------------------------

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Farmaya Ke -

Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabze Me Meri Jaan He, (matlab Allah ki kasam)
Agar Log Murde (dead body) Ka Thikana Dekh Le or Us Ki baat Sunle To
Murde Ko Bhul Jayennge aur khud apne aap Par Rone Lagennge.

Jab Murde Ko Takht (Table) Par Rakha Jaata He To Is Ki Rooh
phad-phadate Huwe kahti He Ke "Aye Mere rishtedaaro, Duniya Tumhare
saath Is Tarah Na Khele Jis Tarah Mere saath Kheli. Maine Halaal or
Haraam Maal Jama Kiya, Phir Wo Maal Dusro Ke Liye chhod Aaya, Is Ka
faida Tumhare Liye He aur nuksaan Mere Liye He. (matlab maine maal
kamane mein haram-halal na dekha aur ab jab mein mar kar Allah ke pass
ja raha hu to mera paisa mere kisi kaam na ayega, balki is maal ka
faida mere rishtedaar uthayege aur mere saath bas mere gunah ja rahe
hain, jiski saza Allah mujhe dega aur mere maal se maze mere
rishtedaar lege) Bas Jo Kuch Mujh Par Guzar Rahi He, Is Se Bacho or
sabak Hasil Karo.

- Mishkaat Shareef

Marne ke baad har sabak dene wali baat bolta hai, lekin Allah ne uski
awaz ko humse chhupa rakha hai.

Dosto, har insan ko apne biwi, baccho aur family se pyar karna
chahiye, unke aaram ke liye halal tarike se paisa kamana chahiye,
lekin haram ka raasta nahi chunna chahiye, kyonki haram kamane se hum
gunahgar honge aur iski saza bhi humko hi bhugatna hai. Hashr ke
Maidan mein hamari family hamari hi madad nahi karegi, (marne ke baad)
har insan ek dusre ko pehchange ki duniya mein ye meri maa thi, ye
meri biwi thi, ye mera beta tha. Agar kisi ko jannat mein jaane ke
liye 1 neki bhi kam padh rahi hogi aur wo apne duniya ke rishtedaaro
(Maa-Biwi-beta) se 1 neki bhi maangega to wo nahi denge. Isliye apni
family ke liye Allah ko naraz mat karo. Aur apni akherat ka khyal
rakho. Allah ko raazi karo.

Allah Hame Marne Se Pehle Maut Ki Tayyari Ki Taufeeq Ata Farmaye

AAMIN SUMMA AAMIN


• Marne ke baad
----------------------------------------------
Apni Duniya Me Mast Rehta Tha Main
Mout Ki Fikar Na Karta Tha Main
Gunaah Ko Gunaah Na Smajhta Tha Main
Mauj Masti mein din guzarat tha mein
Film, Music, Parties mein time guzarat tha mein
Dil Chahta to Tha Ke Padhu NAMAAZ Main
Par Masjid Tak Na Jata Tha Main
Duniya Ki chamak Me Magan Tha Main
time Dosti Me Barbad Karta Tha Main
Aisa sochta tha ki zindagi lambi hai
Abhi na maruga mein.
Phir achanak ek din accidnet ho gaya,
Aankho ke saamne Andhera Chaya
Aankh Khuli To Khud Ko Qabar Me Paya
Phir ALLAH Ne Pucha Ke 'Kiya acche kaam karke aaye ho"?
Iska kuch jawab na de paya.
Ghar ko bhagna chaha Lekin Ja Na Paya
Qabar Ki Tanhai Ne Bahut Daraya
Aawaz Di Apno Ko To Koi dost, rishtedaar madad ko Na Aaya
----------------------------------------------

Dosto, samajhdar ko ishara kaafi hai, Allah kare hamare saath aisa
kuch na ho, aur abhi kuch nahi hua, lekin aaj nahi to kal, marna sabko
hai, isliye abhi mauka hai, marne ke baad kisi ko mohlat nahi di
jaati. Jo karna hai apni zindagi mein hi karna hai. isliye acche kaam
karne ke liye budhape ka intezaar mat kariye. kyonki kisi ko nahi pata
kiski kitni zindagi hai............

Allah humko islam par chalne ki tofik ata kare.


• Qayamat Ke Din Ibn e Aadam Ke Qadam:
---------------------------------------------------------------
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Qayamat Ke Din insano ke per Us time Tak Nahi Hil Sakenge Jab Tak Ke
usse 4 Cheezo Ke Baare Me Sawaal Na Kar Liya Jaye

1 Umar«Zindagi» Kaha Guzaari???
2 Ilm (knowledge) Par Kitna Amal (follow) Kiya???
3 Maal Ke Bare Me
Kaha Se Kamaya or Kaha Kharach Kiya??
4 Apne Jisam Ke Bare Me Ke
Kaha Khapaya???

Ref
Tirmizi Shareef

Allah Hame Apni Zindagi Ko Sahi Raste Par Guzarne Ki Taufeeq Ata
Farmaye, aur duniya mein rahte-rahte in 4 jawabo ko dene ki tayyari
karwa de.

AAMIN SUMMA AAMIN


• Marne ke baad bhi sawab (punya) kese kama sakte hain
--------------------------------------------------------


1 Kisi Hospital Me Ek Wheel Chair Le Kar Do Jab Bhi Koi Bimar Bethega
Tumhe Sawab Milega

2 Logo Ke Bethne Ki Jagah Par Ek Water Cooler Laga Do Har Lamha Sawab Milega

3 Ek Darakht [tree] Laga Do Koi Insaan Ya Janwar Waha Bethega To Tumhe
Sawab Milega

4 Kisi Muslman Ko Ek Quraan Le Kar Do Jab Bhi Wo Quraan Padhega Tumhe
Sawab Milega

5 Masjisd Ke Banane Me Hissa Lo Hamesha Sawab Milega

6 Isi tarah ke kaam jinse logo ko faida pahuchta rahe, karke jao.

7 Aur Sab Se Asaan Tariqa Ke Is Baat Ko SHARE Kardo Jo Koi Bhi Is Par
Amal Karega Tumhe bhi Sawab Milega, aur jab tak amal karta rahega
tumko bhi sawab milta rahega, aur uske sawab mein koi kami na hogi.

Allah Amal Ki Taufeeq De AAMIN


• Allah ki taraf se Azab (Saza) Kab Ayega
----------------------------------------------

Hazrat Muhammad (Sallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Jab GAANE Wali Aurat aur NACH GAANO [Music] saamne aa jayege (yaani
aisa hone lagega), aur SHARAB bahut pi jaane lagegi aur is Ummat Ke
Aakhri Log Pehle Zamane Ke Logo Par LAAN TAAN [Ungliya Uthane] Lagege
To Ese time In AZAABO Ka Intizar Karo

1) Surkh Aandhiya [Tez Hawa]
2) ZALZALE (Bhukamp / earth quake)
3) ZAMEEN Me Dhansana
4) Insan ki sHAKLO Ka Bigad Jana
5) PATTHARO Ki Barish aur Esi Bahut Sari nishaniya hai Ek Ke Baad
Dusri Chalti Rahegi

- Tirmizi Shareef

Dosto aaj upar batai gai saari baate ho rahi hain, Allah apne azab se,
apne gusse se Hamari Hifazat Farmaye aur humko in gunaho se backhne ki
tofik de. Aameen


• Log sabse darte hain, bas...........
-----------------------------------------------------

Log AAG Se Darte He Ke Wo Jala Degi
Log PAANI Se Darte He Ke Dubo Degi
Log TUFAAN Se Darte He Ke Wo UDAA Le Jayegi
Log ZALZALE Se Darte He Ke Wo Dhansa Dega

PAR LOG ALLAH SE Q NAHI DARTE HE
JO IN SAB PAR QADIR (in sabko control mein rakhne wala) HE
Allah Hame Us Ka Khauf Ata Farmaye AAMIN


• Janaza ki namaz aur dua mein shaamil hua karo
---------------------------------------------------------------

Hazrat Muhamaad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke Jis Mayyit
Ki Namaaz e Janaza Ek Aisi Jama'at Parhe Jis Ki Ta'adaad 100 Tak Ho or
Ye Jama'at Mayyit Ke Liye Shafa'at Kare«Yaani Magfirat Ki Duwa Kare»
To Is Ki Shafa'at Qabool Ki Jati He aur Mayyit Ki Magfirat Kardi Jati
He

Ref
Muslim Shareef
Mishkaat Shareef

Aaj Kal Dekha Gaya Ke Log Sirf Apne Janne Walo Ke Hi Janaze Me Jate
He. Aur Jin Logo Ko Nahi Jannte Unke Janaze Me Nahi Jate. Aisa Nahi
Karna Chahiye. Hum Jitne Janaze Ki Namaaz Parhennge Log Hamare Janaze
Me Bhi Aayennge

Allah Hame Amal Ki Taufeeq De

AAMIN SUMMA AAMIN


• Gunaho se bachne ka tarika
---------------------------------------


Har Din Ki shuruaat ye soch kar karo ki Aaj Meri Zindagi Ka Aakhri Din
He. Aisa karne se Har Roz Apne Aap Me badlao paoge.

Allah Hame Marne Se Pehle Mout Ki Taiyyari Naseeb Kare

AAMIN SUMMA AAMIN


• क़यामत के टाइम क्या होगा, कुरान में बताया गया है
--------------------------------------------------------------------------

जब ज़मीन बड़े ज़ोरों के साथ ज़लज़ले में आ जाएगी (1) और ज़मीन अपने अन्दर के
बोझे (मादनयात मुर्दे वग़ैरह) निकाल डालेगी (2) और एक इन्सान कहेगा कि
उसको क्या हो गया है (3) उस रोज़ वह अपने सब हालात बयान कर देगी (4)
क्योंकि तुम्हारे परवरदिगार ने उसको हुक्म दिया होगा (5) उस दिन लोग
गिरोह गिरोह (अपनी कब्रों से) निकलेंगे ताकि अपने आमाल को देखे (6) तो
जिस शख्स ने ज़र्रा बराबर नेकी की वह उसे देख लेगा (7) और जिस शख्स ने
ज़र्रा बराबर बदी की है तो उसे देख लेगा


• Maut (death)
----------------------------------------


Aaj Qabarstan Aise Logo Se Bhare Par'ry Hain Jo Kabi Sochate The Kee
Dunya Un Ke Beghair Chal Hi Nahi Sakti !!

Kal jo tan ke chalte the apni shaan-o-shaukat se
shamma tak nahi jalti aaj unki turbat par!!!

Mitne wali duniya ka E'atabar karta hai
kya samaj ke tu aakhir is se pyar karta hai!!

HAR JAAN KO MAUT KA MAZA CHAKHNA HAI.
YA ALLAH hamara khatima bil khair farmana... ameen

No comments:

Post a Comment