Thursday 2 January 2014

Maa-Baap Ke Liye Allah Ka Hukm (part 2)

• Maa-Baap Ke Liye Allah Ka Hukm (part 2)
Quran mein dekhiye Allah ka kya hukm hai
------------------------------------------
Allah quran mein farmata hai ki -
Hamne insan ko ye wasiyat kar di ki wo apne maa-baap ke saath accha
suluk (vyawhar) kare, (jab wo chhota tha) uski maa thak-thak kar uska
bojha laade rahi, usko doodh pilane mein 2 saal lagaye. Ae insan, tu
mera aur tere baap ka hak maan (kyonki) tumko meri tarafn laut kar
aana hai (yaani marne ke baad Allah ke saamne hi pesh hona hai) Ha,
agar maa-baap tujh par dabao daale ki tu mere saath shirk kare (yaani
Allah ke saath kisi dusre ki bhi ibadat/puja kare) jiski ilmi dalil
tere pass ho hi nahi sakti to phir unka (is baat ka) hukm mat maan,
Lekin duniya mein unke (maa-baap ke) saath bhalai karte rahna

- Quran Sipara 21, Surah 31, Ayat No. 14

No comments:

Post a Comment