Thursday 2 January 2014

Muharram

Muharram mein Yom-e-Ashura ke roze ki ahmiyat
-------------------------------------------------------------------

Yom-e-ashura matlab 10wa din, Hum muharram ke 10 taarikh ko
yaum-e-ashura kahte hain, is din ke roze ki ahmiyat bahut zyada hai,
hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Imam Hussain (radi
allahu anhu) ki shahadat se bhi pahle is roze ko rakhne ka hukm
farmaya tha aur khud hazrat Hussain radi allahu anhu ne bhi ye roze
rakhe the. Isliye is dine ke roze ka relation hazrat Hussain (radi
allahu anhu) ki shahadat se nahi hai. Balke iski ahmiat to pahle se hi
hai, ye alag baat hai ke aapki shahadat bhi usi din Allah ne kubul ki.

(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne ashura ke din ke
roza ki ahmiyat mein farmaya (jiska matlab ye hai ke) mujhe Allah se
ye ummid hai ke is din ke roze ki barkat se Allah 1 saal ke gunaho ko
maaf kar deta hai.

Yaha par yeh baat dhyan rakhne ki hai ke jaha kahi bhi kisi roza
rakhne ya accha kaam karne se gunaho ki maafi ki baat aati hai waha
matlab sagira (chhote) gunaho se hota hai kyonke kabira (bade) gunah
bager tauba (maafi) ke Allah maaf nahi karta. Aur kabira gunaho mein
bhi aese gunah jismein kisi dusre insan ka haq ada nahi kiya gaya ho
ya uska dil dukhaya gaya ho to jab tak aesa insan humko maaf nahi kar
deta tab tak tauba karne se bhi Allah gunaho ko maaf nahi karta. Jab
wo insan maaf karega, uske baad Allah maaf karega.

(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska
matlab yeh hai ke) ramzan ke roze ke baad sabse ahmiyat wala roza
'Yaum-e-Ashura' ke din ka roza hai.

(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska
matlab yeh hai ke) jab tum log Ashura (Moharram ki 10 taarikh) ka roza
rakho to ya to 9-10 taarikh ka rakha karo ya 10-11 ka rakha karo.
Kyonke yahudi bhi pehle se hi 10 muharram ka roza rakhte hain aur mein
chahta hoon ke islam ke maanne walo ki apni alag pehchan ho, kisi
dusure se uski baat milti hui na ho. Isliye agar yahudi 1 din ka roza
(10 taarikh ka) roza rakhte hain to tum log 2 roza rakha karo.

to is din ka Roza rakhege na bhai/bahano ?


• 1.Taziyadari Haram Hai
Taziya Dekhne Na Jaye Aur Dusro Ko Bhi
Is Gunah Se Bachaye.
2. Taziya Banane Me Madad Bhi Na Kare.
3.Matam Karna Sakht Mana Hai Aur Log
Taziya Bana Kar Uske Aage Apne Seene
Pitate Hai Koi Hathiyaro Se Khud Apne
Jism Ko Zakhmi Karta Hai.
Ye Sab Maal o Daulat,Aur Waqt Ka Israf
Bigad Karna Hai Jo Gunah Hai.
4. Taziya Nikalna,Matam Karna,Dhol
Tashe Bajana Ye Sab Gunah Ke Kaam Hai.
"Aye Iman Walo Apne Aap Ko Us
Jahannam Ki Aag Se Bachao Jo Bahot
Khatarnak Hai"
Ahlesunnat Aur Matam Hargiz Nahi.

Aaj Ke Din Roza Rakkho, Qaza Namaze
Ada Karo, Qvran Ki Tilawat Karo,
Aur
Imam Hasan Radiyallahu Ta'ala Anhu Aur
Imam Hussain Radiallahu Ta'ala Anhu
Khoob Eesale Sawab Karo.
''Logo Ko Neki Ka Huqm Do Aur Buri
Baato Se Roko''

No comments:

Post a Comment