Thursday 2 January 2014

Qurbani

Qurbani Karne Ka Sawab
============================

Hazrat Muhammad (SALLALLAHU WASALLAM) se sahaba ne kaha "ya RASOOL
ALLAH ! Ye Qurbaaniya kya hai? Aapne farmaya : ye Tumhare Baap hazrat
IBRAHIM (Alaihissalam) ki sunnat hai, sahaba ne pucha "Ya RASOOL ALLAH
! kya isse humko sawaab milega ? farmaya: Har Baal ke badle ek Neki
hai....................
(Ahmad -ibn e maja)


• QURBANI Karna Kis ko Zaruri (WAJIB) HAI
===========================

1:...Kisi shakhs ne qurbani ki mannat mani ho to us pr qurbani wajib
he.(badaiA:5/61)

2:..kisi ne marne se pehle qurbani ki wasiyyat ki ho or itna maal
chhoda ho k uske tihay(1/3) maal se qurbani ki ja sake to uski taraf
se qurbani krna wajib he.(Aalamgiri:5/306)

3:..Jis shakhs pr sadka e fitr wajib he us pr qurbani k dino me
Qurbani b wajib he, lihaza jiske paas Rehne ka makan, khane pine ka
saman, istemal k kapde or rozana istemal ki dusri chizo k Alawa saade
bawan (52.5) tola chandi ki maliyat ka Naqad rupeea,tijarat ka saman
ya dusra saman ho us pr qurbani wajib he.(Durr:6/312)

*masalan ek shakhs k paas 2 makan he 1 me rehta he dusra khali he to
us pr qurbani wajib he jabke us makan ki qeemat Saade bavan tola
chandi ki maliyat k barabar ho.(aalamgiri:5/293)

*ya masalan: ek makan me khud rehta he or dusra kiraye pr diya he to
us pr b qurbani wajib he Albatta uski kamai ka zariya hi yahi makan ka
kiraya he to ye b zaruriyat e zindagi me shumar hoga or us pr qurbani
wajib nhi hogi.(Bazzaziyah:6/287)

*ya kisi k paas 2 Gadi he ek aam istemal ki or dusri zayid to us pr b
qurbani wajib he.(Aalamgiri:5/293)

* ya kisi k paas 2 plot he ek makan banane k liye or dusra zayid he to
agr dusre plot ki qeemat saade bavan tola chandi ki maliyat k barabar
ho to us pr qurbani wajib he.(Hawala sabik)

4:..Aurat ka mahar(Muajjal) itni maliyat ka ho to us pr b qurbani
wajib he ya waliden ki taraf se diya gaya zewar or shadi me mili zayid
chize nisab k barabar ho to us pr qurbani wajib he.(hashiya
radd:6/312)

5:.. ek shakhs mulazim he uski monthly income se uska guzar basar hota
he, bachat nhi hoti,us pr qurbani wajib nhi, jabke uske paas koi or
maliyat na ho.(Durr:6/312)

6:.. Ek shakhs k paas qabile kasht zamin he jiski pedawar se uski
guzar awqat hoti he to wo zamin uski zaruriyat me se he isliye kuch
aur na ho to qurbani wajib nhi.(aapke masail..:5/408)

7:.. ek shakhs k paas hal jotne k liye bel or dudhyari gaye bhens k
alawa Aur janvar itne he k unki maliyat nisab(52.5 tola chandi)ko
pahunchti he to us pr qurbani wajib he.(bazzaziyah:6/287)

8:..ek shakhs Nisab ka malik nhi, na qurbani us pr wajib he
(Garib)lekin us ne shouk se qurbani ka janvar kharid liya to qurbani
wajib he.(Aalamgiri:5/291)

9:..Musafir par (chahe maldar ho) qurbani wajib nhi.(Aalamgiri:5/292)

10:..Sahih call k mutabik bache or pagal pr qurbani nhi chahe maldar
ho. (Al Fiqhul islami:3/603/604)

AGAR MUJHSE LIKHNE ME KOI GALTI HUI HO TU MERI ISLAAH KARE


• Bakra Eid par qurbani ----
=================================

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki qurbani ke
dino mein qurbani se zyada koi cheez Allah ko pasand nahi. In dino
mein yeh nek kaam sab nek nekiyo se badh kar hai aur kurbani karte
wakt khoon ki boond jo zameen par girti hai, to zameen par pahuchne se
pehel hi Allah ke pass kurbani kubul ho jaati hai, isliye khoob dil
khol kar aur khoob khushi se kurbani kiya karo.
Dusri jagah Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki
kurbani ke jaanwar ke badan par jitne baal hote hain, har-har baal ke
badle mein ek neki likhi jaati hai (yaani lakho nekiya milti hai, agar
koi insan subah se lekar jaanwar ke baal ginne bethe to shaam tak bhi
nahi gin sakta, ab socho kitni nekiya ban jaati hongi.)
Allah hum sab ko ikhlas ke saath (bagher dikhawe ke) Allah ki raah
mein kurbaani karne ki tofik ata kare, Ameen


• KYA 1 BAKRE SE POORE GHAR WALO KI
TARAF SE QURBANI HO JAAEGI-
---------------------------------

Ghar mein agar 4-5 log hain jo zakat dete hain, ya un logo ke pass kam
se kam 30-35 hazar nagad ya itne ke hi zewar ya koi property hai,
rahne wale ghar ke alawa to aise har insan ki taraf se alag qurbani
hogi. Ek bakra zibah karne se sabki kurbani ada nahi hogi.

Jese agar biwi ke pass 30-35 hazar se zyada ka zewar hai to biwi ki
taraf se alag qurbani hogi, maa ke pass itna zewar hai to unki taraf
se alag kurbani hogi, bhai ke pass koi plot hai ya bank mein ya ghar
par 30-35 hazar nagad rakhe hain to us par bhi kurbani wajib hai.

Agar 1 bakra kharidne se zyada ki taakat nahi hai to ghar ke baaki
logo ki taraf se kurbani ada karne ke liye 'bade jaanwar' mein apna
naam likhaiye. Agar aesa nahi kiya to gunah hoga.

Kahi koi confusion ho to kisi Aalim se contact kijiye.



• Agar Pesa Ho To Qurbani Zarur Karo
======================

Hazrat Muhammad (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya jiski gunjaish
ho phir bhi wo Qurbani na kare to wo hamari Eidgaah ke qareeb bhi na
aae

{Sunan ibn Majah, Vol3, #4 (Hasan)}

No comments:

Post a Comment