• "मटके के फ़ायदे"
गर्मियां आते ही ठन्डे पानी के ना होने से प्यास
नहीं बुझती और हम फ्रीज में पानी रखना शुरू कर देते है.पर
यह पानी बहुत ज़्यादा ठंडा होने से नुकसान करता है ,वात
बढाता है , इसके अलावा प्लास्टिक की बोतल
भी पानी रखने के लिए महफ़ूज नहीं होती.आपको पता है धीरे धीरे ये
प्लास्टिक घुल कर हमारे जिस्म मे ही जाता है...मिटटी से जुड़ने के लिए
मटके का इस्तेमाल करे...
1.इसमें पानी सही तापमान पर रहता है , ना बहुत ज़्यादा ठंडा ना गर्म..
2.मटके का पानी पिने से फौरन सब्र आता है...
3.मिट्टी में साफ करने की खासियत अल्लाह ने दी है और यह
पानी को सूक्ष्म पोषक तत्व देती है...
4.इसे पिने से ना ही गला खराब होगा ना ही सिरदर्द होगा...
5.बिजली की बचत होगी और भरपूर ठंडा पानी आसानी से उपलब्ध होगा...
6. कुम्हारों को रोज़गार मिलेगा.
7.घर के बाहर भी पानी से भरा मटका रखवा देने से प्यासों को मुफ्त पानी
मिलेगा और हमें सवाब..
• HAZRAT AADAM (ALAYHISSALAAM) ke baare mein Jaankaari
------------------------------ ----------------
1,Hazrat Aadam Alayhissalam Ki Wafaat Ka Din Jumah He
2, Hazrat Aadam Alayhissalam (Allah ke yaha) pahle 40 Saal Tak Putle
Ki Halat Me Rahe, phir unme rooh daali gai
3,Hazrat Aadam Alayhissalam Ne Sab Se Pehla Kalaam Allhamdullillah Kaha
4,Hazrat Aadam Alayhissalam Ek Riwayat Ke Mutabiq 100 Saal Tak Jannat Me Rahe
5,Hazrat Aadam Alayhissalam Ka Zikar Quraan Me 25 Jagah 9 Surto Me Aaya He
6,Hazrat Aadam Alayhissalam Ki Umar Ek Riwayat Ke Mutabiq 936 Saal Batai Gai
7,Hazrat Aadam Alayhissalam Jannat Se 9 Cheeze Sath Laye The
1 Hajar e Aswad
2 Jannati Darakhto Ki Pattiya
3 Lathi Jo Jannat Ke Darakht e Aas Ki Thi
4 Belcha
5 Kudaal
6 Sanobar
7 Sandaan
8 Hathora
9 Asdaasi
Ref. - Hayaat e Aadam, Tabqaat Ibn e Saad
• 3 Gunaah
------------------------------ ----------------------
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
3 Gunaah Aise He Jo Sab Se Pehle huwe aur In Se Bacho
1. Ghamand Se Bacho Is Liye Ke ghamand Hi Ne Shaitaan Ko
Hazrat Aadam (Alahissalam) ko Sajda Karne Se Roka Tha
2. Laalach Se Apne Aap Ko Bachaao Is Liye Ke laalach Hi Ne Hazrat
Aadam (Alahissalam) Ko Darakht e Mammnoo Khaane ki baat dil mein daali
thi
3. Hasad (Jalan / jealousy) Se Bacho Is Liye Ke Hazrat Aadam Ke Ek
Bete Ne Dusre Bete Ko Hasad Me jaan se maar diya tha.
Ref. Ibn e Asaakir:40/49
ALLAH Ta'alaa Hame In Gunaaho Se Bachne Ki Tufeeq Ataa Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN
• पैगम्बर हजरत मुहम्मद (सल्ललाहो अलेही वसल्लम) की वे व्यावहारिक शिक्षाएं
जो रोज़मर्रा के जीवन को सँवारने की शक्ति रखती है
अच्छा मनुष्य, अच्छा ख़ानदान, अच्छा समाज और अच्छी व्यवस्था-यह ऐसी
चीज़ें हैं जिन्हें हमेशा से, हर इन्सान पसन्द करता आया है क्योंकि
अच्छाई को पसन्द करना मानव-प्रकृति की शाश्वत विशेषता है। पैगम्बर हजरत
मुहम्मद (सल्ललाहो अलेही वसल्लम) इन्सान, ख़ानदान, समाज और व्यवस्था को
अच्छा और उत्तम बनाने के लिए जीवन भर घोर यत्न भी किए और इस काम में बाधा
डालने वाले कारकों व तत्वों से संघर्ष भी। इस यत्न में उन शिक्षाओं का
बड़ी महत्वपूर्ण भूमिका और स्थान है जो आपने अपने समय के इन्सानों को,
अपने साथियों व अनुयायियों को तथा उनके माध्यम से भविष्य के इन्सानों को
दीं। ये शिक्षाएं जीवन के हर पहलू, हर क्षेत्र, अर अंग से संबंधित हैं।
ये हज़ारों की संख्या में हैं जिन्हें बहुत ही तवज्जोह, निपुणता, और
सत्यनिष्ठा के साथ एकत्रित, संकलित व संग्रहित करके ‘हदीसशास्त्र’ के रूप
में मानवजाति के उपलब्ध करा दिया गया है। इनमें से कुछ शिक्षाएं
(सार/भावार्थ) यहां प्रस्तुत की जा रही हैं:
● जो व्यक्ति अपने छोटे-छोटे बच्चों के भरण-पोषण के लिए जायज़ कमाई के
लिए दौड़-धूप करता है वह ‘अल्लाह की राह में’ दौड़-धूप करने वाला माना
जाएगा।
● घूस लेने और देने वाले पर लानत है...कोई क़ौम ऐसी नहीं जिसमें घूस का
प्रचलन हो और उसे भय व आशंकाए घेर न लें।
● सबसे बुरा भोज (बुरी दअ़वत) वह है जिसमें धनवानों को बुलाया जाए और
निर्धनों को छोड़ दिया जाए।
● सबसे बुरा व्यक्ति वह है जो अपनी पत्नी के साथ किए गए गुप्त व्यवहारों
(यौन क्रियाओं) को लोगों से कहता, राज़ में रखी जाने वाली बातों को खोलता
है।
● यदि तुमने मां-बाप की सेवा की, उन्हें ख़ुश रखा, उनका आज्ञापालन किया
तो स्वर्ग (जन्नत) में जाओगे। उन्हें दुख पहुंचाया, उनका दिल दुखाया,
उन्हें छोड़ दिया तो नरक (जहन्नम) के पात्र बनोगे।
● ईश्वर की नाफ़रमानी (अवज्ञा) की बातों में किसी भी व्यक्ति (चाहे
माता-पिता ही हों) का आज्ञापालन निषेध, हराम, वर्जित है।
● बाप जन्नत का दरवाज़ा है और मां के पैरों तले जन्नत है (अर्थात् मां की
सेवा जन्नत-प्राप्ति का साधन बनेगी)।
● तुम लोग अपनी सन्तान के साथ दया व प्रेम और सद्व्यवहार से पेश आओ और
उन्हें अच्छी (नैतिक) शिक्षा-दीक्षा दो।
● सन्तान के लिए माता-पिता का श्रेष्ठतम उपहार (तोहफ़ा, Gift) है उन्हें
अच्छी शिक्षा-दीक्षा देना, उच्च शिष्टाचार सिखाना।
● तुममें सबसे अच्छा इन्सान वह है जो अपनी औरतों के साथ अच्छे से अच्छा
व्यवहार करे।
● पत्नी के साथ दया व करुणा से पेश आओ तो अच्छा जीवन बीतेगा।
• Kanjus (Bakhil) aur Daan-Sheel (Sakhi)
------------------------------ ------------------------
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alahi Wasallam) Ne Farmaya Ke -
Sakhi (charitable/daan-sheel) Allah Se Qarib He, Jannat Se Qarib He
Insano Se Qarib He, Jahannam Se Dur He
aur Bakhil (kanjus) Allah Se Dur He, Jannat Se Dur He, Insano Se Dur
He, Jahannam Ke Qarib He
Ref.- Mishkat Sharif
Dosto, yaha sakhi ka matlab fizul kharchi se nahi hai, yaha matlab hai
ki jaha zarurat ho waha paisa kharch karo aur Allah ke raaste mein dil
khol kar kharch karo.
• PADOSI (neighbor) Se Kaise Rahna Chahiye.

Islam mein padosi se acche rahne ka hukm diya gaya hai, chahe padosi
kisi bhi mazhab ko maanne wala ho. Aur pados sirf usko nahi kahte ki
jiska ghar hamare ghar se laga ho, balki hamare ghar se 40 ghar door
tak pados kahlata hai.
Hazrat Muhammad (SALALLAHU ALAYHE WASALLAM) NE FARMAYA - WO AADMI
JANNAT ME NAHI JAA SAKEGA JISKE ZULM SE US KE PADOSI MAHFUZ (safe) NA
HO
(MUSLIM:172)
• Sunnat Ki Keemat (Value)

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne jis khaas tarike se
rozana ke (routine) kaam kiye the, jese paani kese piya tha, khana
kaise khaya hai, baat kaise ki hai, chalte kese the, ye sab tarika
sunnat kehlata hai. Hum bhi roz paani peete hain, khana khate hain aur
roz-marra ke har kaam karte hain, lekin inhi kaamo ko agar hum sunnat
tarke se kar lege to ye kaam bhi hamare sawab (punya) mein likha
jayege. Aur in sab kaamo mein sehat ke raaz bhi chhupe hain.
Iske liye Hazrat Muhammad (SALLAHU ALAYHE WASALLAM) NE FARMAYA KE -
JISNE MERI SUNNAT SE MUHBBAT KI USNE MUJHSE MUHBBAT KI AUR JISNE MUJSE
MUHBBAT KI WO JANNAT ME MERE SAATH HOGA
(TIRMIZI:2678)
Allah humko sunnato par amal karne wala bana de.
Aameen.
• Allah Ki Rahmat Paani (water)
------------------------------ ------
Samandar K Khare Paani ko ALLAH Meetha kar k Uthata he (bhaap
banakar), aur Baarish bana kar Barsata he, Baraf bana kar paak karta
hai, waha se nadi-Nalon bankar Darya me girte hue Zamino ko hara-bhara
karta, wapas Samandar me ja girta he,
Yahi Paani, Bakri se Doodh, Hiran se Mushk, Makhi se Shehad,
Saap se Zehar, Seep se Nagina, aur insaan k liye Zindagi ban jata he.
Yehi Paani jhaado me aam, Saib, Anaar Naryal ban jata he.
Phir sab ka Rang, taste, Khushbu, Taseer alag alag or Juda.
Ye Sab kaam ALLAH ne ek Pani me Rakhe hen.
Aur tum apne "RAB" ki kon kon si Nematon ko jhutlao ge.
Dosto, Allah ke jo hum par ahsan hain unmein se ek paani bhi hai, isi
tarah se insano ke liye Allah ne aur bhi bahut si cheeze banai hai jin
par agar gaur kiya jaaye to humko Allah ki taakat samajh mein aati
hai. Koi insan ek anaar ka dana bhi thik uske jesa nahi bana sakta,
aur na hi makkhi ka par jesa ke tesa bana sakta hai. Allah ki is
taakat par aur jo Allah ne humko cheeze istemaal ki liye di hue hain
us par dhyan diya karo, Aisa karna bhi ibadat hai aur sawab ka zariya
hai.
• Peene Wali Cheezo Ko 3 Saans mein peene ka faida
------------------------------ ------------------------------
HAZRAT MUHAMMAD (SALLALLAHU ALAI WASALLAM) PEENE WAALI CHEEZON KO 3
(TEEN) SAANS MEIN PEETE THE AUR FARMAATE THE: AISA KARNE SE ITMINAAN
(sabar) HO JAATA HAI, (Insan) TAKLEEF AUR BIMARI SE bachta hai AUR WO
(PEE HUI) CHEEZ KHOOB HAZAM HOTI HAI.
(MUSLIM : 5406)
Dosto, sunnato par amal karne mein humko duniya ke bhi faide milte
hain aur akherat (marne ke baad) ke bhi.
Sunnat par amal karne se humko sehat bhi milti hai aur sawab bhi, zara
dhyan dijiye, hum paani to roz hi peete hain, agar sunnat tarike se
pee lege to faida hi faida hai, isliye sunnato ko sikhiye aur usko
apni zindagi mein laane ki koshish kijiye.
Allah hum sabko sunnato par amal karne wala bana de.
• KYA KAAM KARNE SE KYA HOGA
------------------------------ -------------------------
1) Allah ka Shukar Karte raho, Ne'mate (suvidha) bachi rahegi (milti rahegi)
2) Sajda Karo, Allah Ke Qareeb Ho Jaoge
3) Dusro ki Izzat Karo, Izzat Milegi
4) Sadqa (donation) Karo, Musibate Khatam Ho Jayegi
5) Taubah (Allah se maafi maango), Gunaah Maaf Ho Jayennge
6) Dusro ko khana khilaya karo, rizq (income) badh jayega.
Allah Hame In Bato Par Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN
• ALLAH KA AHSAN
------------------------------ ----------
ALLAH Ka SHUKAR hai aur Saari Taarif ALLAH Ke Liye He, Jisne Insaan Ko
Apni saari jaandar cheezo mein Sab Se Zyada Izzat wala banaya.
Zamin or Aasmaan Ki saari cheeze Insaan Ke Faide Ke Liye banai.
Duniya Ki Har Cheez ALLAH Ne Insano Ke Liye Banai He, ye Chaand Suraj
or Sitare Chamakte He Insaan Ke Liye.
Yaha Tak Ke ALLAH Ne Hawa aur Paani Jesi cheez bhi Insano Ke Liye peda
Farmai aur dusre jaanwar bhi isse faida uthate hain, aur Sab Se khaas
Ye He Ke ALLAH Ne Insaan Ko Ilm or Aqal diya He aur acchi Surat Ke
Sath Peda Kiya
Ek bade ahsano mein se ek ahsan ALLAH ka ye hai ki ALLAH Ne Hame Apne
Sab Se pyare HAZRAT MOHAMMED (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ka Ummati
(follower) Banaya
Beshaq saari Taarif ALLAH Ke Liye hain Jo Dono Jahano Ka Palnewala aur
Hum Sabka Parwardigar hai.
• 7 KAAM JO ALLAH KO BAHUT PASAND HAIN
------------------------------ -----------------------------
1) Har Acche Kaam Se Pahle Bismillah Padhne Waala
2) Har Acche Kaam Ke Baad Alhamdullilah Kehne Waala
3) Galti Ke Baad 'Astaghfirullah' Padhne Waala
4) Future Ki Baat Par InshaAllah Kehne Waala (Jese mein kal dusre
shahar jauga, inshaAllah)
5) Jo baat buri lage us par 'Lahoula Wala Quwwat' Padhne Wala
6) Takleef aur Museebat Ya Kisi Ki Maut Par 'Innalillahi wa Innailaehi
Rajeoon' Kehne Waala
7) Har time Kalma Padhne Waala
Subhan Allah
Allah Hame Amal Ki Taufeeq De
AAMIN SUMMA AAMIN
• Kitne Bhi Gunah Kiye Ho, Allah Sabko Maaf Kar Deta Hai
------------------------------ --------------------------
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Allah farmata hai, Aye Ibn e Aadam (Adam ke bete) Jab Tak Tu Mujh Se
Duwa Karta Rahega aur Mujh Se Acchai Ki Ummid Rakkhega To mein Tujhe
Maaf Karta Rahuga Phir Chhahe Tune Kese Hi kaam Kiye Ho, Mujhe Is Ki
Koi fikar Nahi aur
Aye Ibn e Aadam, Agar Tere Gunaah Aasmaan Ki uchai Tak Pahunch Jaye
aur Phir Tu Mujh Se (un gunaho ki) Maafi maang le To mein Tujhe maaf
kar Dunga aur Aye Ibn e Aadam Agar Tu Mere Paas Zameen Bhar Ke Gunaah
lekar Kar Aayega, Is Shart ke saath Ke Tune Mere saath Kisi Ko Shareek
Nahi Kiya Hoga To Me Tujhe Maaf kar Dunnga.
Ref Tirmizi Shareef
Matlab Allah sab tarah ke gunah maaf kar dega, lekin Allah ke
saath-saath kisi dusre ko bhi Allah jesa maana hoga to Allah usko maaf
nahi karge. Iske alawa jis kisi insan ko takleef di hai, sataya hai,
hak dabaya hai, wo gunah bhi Allah maaf nahi karega jab tak ki wo
insan maaf na kar de jiske saath aisa hua hai.
Dosto, Allah Kitna Apne Bando Par Mehrbaan He, Hame Chahiye Ke Hum
Allah se gunaho ki maafi maangte rahe. Allah Hame Maaf Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN
• SABAK
------------------------------ ------------------------------ --
Ek Aadmi Hazrat Ali (radi allahu anhu) Ke Paas Aaya aur Us Ne Kaha Ke
main Aap Se 4 Sawaal Puchna Chahta Hu, Aap Jawaab dijiye.
1. Wajib Kiya He aur Bara Wajib Kiya He
2. Qareeb Kiya He aur Sab Se Ziyada Qareeb Konsi Cheez He
3. Ajeeb Cheez Kiya He aur Sab Se Ziyada Ajeeb Cheez Kiya He
4. Mushkil Jagah Konsi He aur Sab Se Ziyada Mushkil Konsi Jagah He???
Ye 4 Sawaal Kiye
Hazrat Ali (radi Allahu anhu) Ne Farmaya Ke
1. Wajib Allah Ki Ita'at Hai aur Sab Se Bada Wajib Gunaah Ko Chhodna He
2. Qareeb Qayamat He aur Sab Se Ziyada Qareeb Maut hai
3. Ajeeb Cheez Duniya He aur Sab Se Ziyada Ajeeb Duniya Se Muhabbat Karna He
4. Mushkil Jagah Qabar He aur Sab Se Mushkil Cheez Qabar Me Bager Amal
Ke Jana He
YA ALLAH Hame Sirat e Mustaqeem Par Chalne Ki Taufeeq Ata Farma or In
4 Nasihato Par Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farma
AAMIN SUMMA AAMIN
• Ek Musalman Ke Dusre Musalman Par Hukuk
------------------------------ -------------------------
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke
Ek Muslmaan Ke Dusre Muslmaan Par 6 Huqooq Hain. detail Puchne Par
Aapne (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke
1) Jab Bhi Tum Usko Milo To Salaam Karo
2) Jab Wo Tumhe Dawat De To, dawat ko Qubul Karo
3) Jab Wo Koi raay (suggestion) Ya Mashwara tumhse chahe To
Use Acchi Nasihat or Accha Mashwara (suggestion) Do
4) Jab Use Chink (sneeze) Aaye or Wo Allhamdulillah Kahe To
UsKe Jawaab Me Yarhamukallah Kaho.
5) Jab Wo Bimaar Ho To Usko dekhne jaao
6) Jab kisi ka intkeaal ho jaye (death) ho jaaye to UsKe Janaze Mein jao.
Ref Muslim Shareef
Allah Hame In 6 baato par amal karne ki tofik ata kare
AAMIN SUMMA AAMIN
• Geebat (pith ke piche burai karna) kya hai
------------------------------ -------------------
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Se Pucha Gaya Ke -
GIBAT Kya He??? ToHazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) ne
Farmaya, Apne Bhai Ke Baare Me (peeth ke piche) Aesi Baat Karna Jis Ko
(sun kar) Wo Na Pasand Kare, Phir Pucha Gaya Ke
Agr Wo Burai Us Bhai mein ho To???

Agar Wo Burai Us Mein He To Gibat He aur Agar Wo Burai Us mein nahi
hai to Phir Wo Bohtaan (ilzaam) Bandhna Hai.
Ref - Tirmizi Shareef
Aajkal mard ho ya aurat sabhi is burai mein shamil hain, isliye hum
sabko is burai se bachne ki koshsih karna chahiye.
Dua kariye ki Allah is burai se hamari hifazat kare.
AAMIN SUMMA AAMIN
• Sehat (Health) Ke Liye Kuch Hadees

1) Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Farmaya Ke
Tum Log SANTRA (orange) Khaya Karo Q Ke Ye DIL Ko Mazboot Banata He
Ref - KANZUL UMMAL:28253
2) Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Farmaya Ke -
Tum Log RAAI /MUSTURD-SARSU Ka ISTIMAL Karo Q Ke Allah Ne Isme Har
Bimari Se SHIFA Rakkhi He
Ref - HAIFAIZUL QADIR:262
3) Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Farmaya Ke -
Gaay Ka Dhoodh (cow milk) piya Karo Q Ke Wo Har Qisam Ke Paudo (Ghaas)
Ko Charti (Khati) He Is Liye Iske Dhoodh Me Har Bimaari Se SHIFA He
Ref - HAKIM:8224
Iske Alawa Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Shahad
(Honey), Kalonji, Kahjur aur mausam ke phal (fruit) ko khane par bhi
zor diya hai.
Islam ke hisab se Insan ko apni sehat ka bhi khyal rakhna chahiye,
Allah Hame In Ahadis Par Amal Ki Taufeeq Ata Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN
• Hum Bahut Khush Naseeb Hain
------------------------------ -----------------------
Ek Sahabi Ne Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Se Arz Kiya
Ke "Aye Allah Ke Rasul, Humne Aap Ko Dekha, Aap Se Baat Ki, Aap Ke
Saath Khana Khaya, Kya Hum Se Bhi Ziyada Koi Khush Naseeb He Is Duniya
Me??????
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) ne Farmaya Ke
Tumne Mujhe Dekha aur Meri Baate Suni To Mujh Par Imaan Laae,
Aane Wali Ummat Mujhe Dekhe or Sune Bager Imaan Layegi, Wo Tum Se
Zyada Khush Naseeb Hogi.
- Mishkaat Shareef
Subhanallah
Allah Hame Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ki Sunnato Ko
Apni Zindagi mein Laane Ki Taufeeq Ata Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN
• Dhyan Rakhne Wali Baat
------------------------------ ---------------
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Badgumani Se Bachte Raho (Matlab kisi ke baare mein aisa sochna jesa
wo nahi hai), Kyun Ke Badgumani Ki Baatein Aksar Jhooti Hoti He, Logo
Ke Aaib (kamiya) Talaash Na Karo, Aapas Me Hasad (jalan) Na Karo, Kisi
Ki Peeth Ke Peeche Buraai Na Karo, Ek-dusre se Nafrat Na Rakho Balke,
Sab ALLAH ke Bande Bhai-Bhai Ban Kar Raho
- Sahih Bukhari
Allah Amal Ki Taufeeq De
AAMIN SUMMA AAMIN
• Jawaan insan Ka Tauba Karna (Allah se Maafi Maangna)
------------------------------ ------------------------------ --
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Jab Ek Jawaan insan Tauba Karta He To purab se pashchim Tak Ke
kabarastano Me Se 40 Din Tak qabar ka azab Hata Liya Jata He.
- Ibn e Majah
Subahanallah,
Allah Apne Bando Par Kitna Mehrbaan He, ke wo bas apna raham karne ke
liye bahane dhundta hai, So Dosto Hum Sab Allah Ke Na-farmaan Hain,
Aaj Hum Sab Sacche Dil Se Allah Ke Saamne Apne Gunaaho Ki Maafi
Maange, Inshallah Allah Hamari Taubah Ko zarur kubul karega.
Is Se Pehle Ke Maut Aaye Allah Ke Samne Gunaaho Ki Maafi Manglo
Allah Amal Ki Taufeeq De
AAMIN SUMMA AAMIN
• Jaaniye Hazrat Is'haaq (Alahissalam) ke baare mein
------------------------------ ------------------------------ -
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) se kai saal pahle Hazrat
Is'haaq (Alahissalam) huwe the, Ye Hazrat Ibrahim (alyhissalam) ke
bete the.
Hazrat Is'haaq (Alahissalam) ALLAH Ke bahut bade Nabi (prophet) aur
Bahut Saari khubiyo ke Maalik the.
Quraan Ne Unki Acchai aur Sharafat, Nabuwwat wa Rahmat or Bulandi Wa
badhai Ki gawahi Di He.
Unhe Ye cheez Haasil He Ke 'Bani Israail' Ke Saare Ambiyaa (prophets)
Unhi Ki Nasl se hain.
Kitabo se maloom hota hai ki karib (3500) Ambiyaa Un Ki Nasal Main
Paida Huwe hain.
Iske alawa Masjid e Aqsa (Palestine) Jaisi Masjid bhi inhone hi banai thi.
ALLAH Ne Un Ke bayan Karte Huwe Farmaya Ke
Ham Ne Hazrat Ibraahim (Alahissalam) Ko Hazrat Is'haaq (Alahissalam)
(ki pedaish) Ki khabar Di Ke Wo Nabi acche logo Main Honge aur Ham Ne
Un Par aur Is'haaq Par Barkaten Naazil Farmaai
[Surah e Saaffat:112,113]
Un Ki Paidaaish Iraaq Main Huwi Magar Poori Zindagi Shaam (syria) Main
Rahe aur 160 Saal Ya 180 Saal Ki Umar Main duniya se parda kiya. Aur
Apne Waalid Mohtaram Ke Barabar Main "Madeenatul Khaleel " Main Dafan
Huwe
Hazrat Is'haaq (alahissalam) Ki Qabar or Rooh Par Darud aur Salaam Ho.
• 1000 Din Ki Ibaadat Ka Sawaab Chhote Se Kaam se
------------------------------ ------------------------------
JAZALLAHO ANNA MUHAMMADAN SALLALLAH ALAYHI WASLLAM MA HUWA AHLUHOO
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Jo insan Ye Duwa Padhega To 70 Farishte, 1 Hazaar Din Tak Is Ka Sawaab
Likhte rahenge.
- Tabraani Fil Auwsat
Ek Martaba Darud Parh Kar Like & Tag Kare
Allah Amal Ki Taufeeq De
AAMIN SUMMA AAMIN
• Sharm or Haya Ki Keemat
------------------------------ ------------------------------ --
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Har Mazhab (dharm) Ke Maan-ne Walo Ki Kuch Khas Kaam or Aadat Hoti He
Jo Un Ki Pehchan Hoti He aur Muslmaano Ki Khas Sifat or Aadat SHARM or
HAYA He.
Reference : Ibn e Majah
Islaam Ki Talim (education) Sharm or Haya He aur Isi mein insan ki
Izzat Bhi He. Jab Ke Aaj Western Tahzeeb BE HAYAI Par He, Isi Wajah Se
Waha Aaj Aourto Ki Izzat Nahi Ki Jaati He or Afsoos He Us Muslmaan Par
Bhi Jo In western cutlure Par Chal Kar Apni Izzat Kho Deta He.
Kuch time pahle tak zyadatar ladkiya sharm aur haya waali hua karti
thi, lekin aajkal zyadatar ladkiya aesi ho gai hai ki ladke sharma
jaaye lekin ladkiya nahi sharmati. Ye sab western culture ki den hai.
Sharm-haya waali baat ladke aur ladkiyo dono par laagu hoti hai.
Allah Hame Sharm or Haya Ki Dolat Se Maala Maal Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN
• SAWAAL:
------------------------------ ------------
Us Farishte Ka Naam Batao Jo Qayamat Ke Din SOOR Phukennge?????
A, Hazrat Mikail Alayhissalam
B, Hazrat Israfil Alayhissalam
C, Hazrat Jibrail Alayhissalam
D, Hazrat Izrail Alayhissalam
Rply Fast
• CHASHMA (GLASSES) UTARNE KE LIYE WAZIFA

Har farz namaz ke baad 7 baar ye dua padhiye.
faka shafna anka gita-aka faba sarukal yawma hadeed.
(Surah Qaf, Ayat 22)
iske baad isko apni ungliyo par phukiye aur aankho par lagaiye.
iske baad 3 baar 'Ya Nooru' padhiye aur usko bhi ungli par phunk kar
apni aankho par lagaiye.
Aur phir Allah se apni aankho ki roshni ke liye dua kijiye.
InshaAllah, aankho ki roshi mein faida hoga.
Iske alawa, apne khane ka bhi dhyan rakhiye, apne khane mein sabziya,
doodh (milk), machli (fish) aur jin cheezo mein vitamin A ho usko
zyada khaiye. Raat ko sote time aankho mein 'surma' lagaiye aur subah
aankho ko saaf paani se dhoiye.
Koshish hamaria hai, Marzi Allah ki. Agar wo chahega to hamara chashma
utar jayega.
• DEEN (ISLAM) ROSHNI HAI AUR
DUNIYA USKI SAAYA (SHADOW) HAI
------------------------------ ---------------------------
Jab Kisi Insaan Ke Aage Roshni (light) Hoti He To Us Ka Saaya (shadow)
Piche Piche Aata He aur Jab Roshni Piche Hoti He To
Us Ka Saaya Aage Aage Aata He.
Deen ROSHNI He or Duniya Saaya He. Deen Ko Aage Rakhenge To
Duniya Khud Ba Khud Piche Piche Aayegi aur Deen Ko Piche Rakhenge To
Duniya Aage Bhaagegi.
So Hamesha Islam Ko Har Kaam Me Aage Rakkho Taake Duniya Khud Ba Khud
Aap Ke Pass Aayegi
Allah Hamre Dilo Me Deen Ki keemat Peda Kare
AAMIN SUMMA AAMIN
• DUNIYA KE PAHLE INSAN
HAZRAT ADAM (alyhissalam) KO JAB JANNAT SE DUNIYA MEIN BHEJA GAYA TAB
UNKO IS PAHAD PAR UTARA GAYA THA
------------------------------ -----------------------------
Jabal e Sarandeep
Sri Lanka
Like & Tag To All
Dosto 22 Se Ziyada Ahadis He Ke Hazrat Aadam (Alayhissalam) Ko
Srilanka Me Utara Gaya or Is Pahaar Ka Naam Bhi Hadis Me Aaya He.
Hazrat Adam (alyhissalam) duniya ke sabse pahle insan the, aur Allah
ke prophet (nabi) bhi the, matlab duniya ka sabse pahla insan Musalman
tha............. matlab islam duniya ka sabse purana mazhab (religion)
hai
Baad mein Maa 'Hawwa' ko bhi Allah ne duniya mein bheja,
Christian in dono ko Adam and Eve kahte hain.
• YE 4 CHEEZE KABHI MAT TODNA
------------------------------ ----------------
Zindagi Me 4 Cheeze Kabhi Mat Torna
1 Wa'ada
2 Dil
3 Rishta
4 Bharosa
Kyonki agar koi in 4 cheezo mein se ek bhi cheez todta hai to usse
Allah bhi naraz hota hai.
• SAMAJHDAR INSAN YE 4 KAAM MARNE SE PAHLE KAR LETA HAI
------------------------------ ------------------------------ ------------
1 Jisne Duniya Ki mohabbat ko chhoda, duniya ke chhodne se pahle.
2 Jisne Apni Qabar Banai (qabar ki tayyari ki), Is Me Dakhil Hone Se Pehle
3 Jisne Apne Allah Ko Raazi Kiya, Usse milne se Pehle
4 Jisne Namaazo Ko Parha, Us Ki Namaaz Parhne Se Pehle
Allah Hame In 4 KAAMO ko karne Ki Taufeeq Ata Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN
• JHOOT BOLNE KA NUKSAN
------------------------------ ------------------------
Hazrat MUhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke- Beshak Jhuth
Burai Ki Taraf Le Jaata He aur Har Burai Jahannam (hell) Ki Taraf Le
Jaati He. Ek Aadmi Jhuth Bolta Rehta He Yaha Tak Ke Allah Ke Yaha Is
Ko Bada Jhutha Likh Diya Jata He
- Bukhari Shareef
Allah Hame Is Jhuth Ki Bimaari Se Hifazat Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN
• PYAR, ISHQ AUR MOHABBAT
(isko padhne mein aapke sirf 2 minute lagege lekin bahut saari baate
samajh mein aayegi, inshaAllah)
------------------------------ ----------------------
Islam ke hisab se shaadi se pahle ka har rishta galat mana gaya hai.
Kyonki shadi se pahle tak hamara ladki par koi hak nahi hota hai.
Isliye shadi se pahle kisi ladki se pyar ka izhar karna, usko pyar ya
sex ki nazar se dekhna, usse dosti karne ki koshish karna, usko
pareshan karna, usse (romantic) baat karna, sab galat hai, aur gunah
ka kaam hai. Isliye aise kaam nahi karna chahiye. Allah Quran mein
farmata hai ki "Apni nazre jhuka kar rakho" yaani parai aurato ko mat
dekho.
Agar ladki bhi ladke se pyar karti hai to, ladki bhi gunah kar rahi
hai, yaani ab ladka-ladki dono ko gunah hoga, isliye dono ka milna,
baat karna, sex karna ye sab gunah hoga. Jiski saza Allah dega. Kyonki
jab tak shadi nahi ho jaati dono ka ek dusre par koi hak nahi hai, aur
islam ke hisab se ye haram kaam hai.
Isliye kisi ladke ko kisi ladki se shadi se pahle pyar/mohabbat nahi
karna chahiye, phir bhi agar kisi ka dil par zor na rahe aur kisi se
pyar ho jaye to ladke ko ladki ke ghar shadi ka rishta bhejna chahiye,
taaki dono ki shadi ho sake, aur ladke ko uski mohabbat mil jaye. Agar
ladki wale mana kar de, to us ladki ko dil se nikal dijiye, kyonki us
par tumhara koi hak nahi hai.
Agar ladki wale 'Ha' kar dete hain to Rishta pakka ho jane ke baad
bhi, jab tak shadi nahi ho jaati tab tak ladka-ladki ka milna, baat
karna, sex karna sab gunah ka kaam hai, kyonki jab tak dono ki shadi
nahi ho jaati tab tak dono ka ek dusre par koi hak nahi hai. Aur Islam
ke hisab se ye gunah ka kaam hai.
Aajkal ki new generation ke muh se ye baat sunne ko milti hai, ki us
ladke ya ladki se hum shadi kyo kare jisse hum pyar nahi karte, lekin
ye dhyan rakhiye ki ye hamara nahi angrezo (western) culture hai,
balki wo log to sirf pyar/sex hi karte hain, shadi unke yaha ka
culture nahi. Bahut kam log shadi karte hain, shadki karne ke baad bhi
kuch saal saath rahte hain phir dusre se shadi kar lete hain. Hamare
yaha to pahle shadi hoti hai phir pyar hota hai, aur yahi islamic aur
sahi tarika hai. Tajurba (experience) kahta hai ki is tarah ki shadi
hi sabse zyada successful hoti hai. Pyar ke baad wali shadi zyadatar
fail hoti dekhi gai hai. Kyonki jab ladka ya ladki pyar mein khud ko
bahut accha present karte hain, lekin shadi ke baad saari hakikat
saamne aa jaati hai.
Kuch log ye soch sakte hain ki shadi se pahle ladka-ladki agar mil le,
baat kar le to ek dusre ko samajh lete hain. Lekin Islam mein shaadi
se pahle akele mein baat karne ki ijazat nahi hai, lekin shadi se
pahle ladka-ladki ek dusre ko dekh le aur jab dono ek dusre ko pasand
kar le tabhi shadi ho.
Jab ladka-ladki ki shadi ho jaati hai to ab dono ka ek dusre par hak
ho jata hai, ab dono ek-dusre ko khoob pyar kar sakte hain. Shadi se
pahle ladk-ladka ka baat karna, milna sab gunah tha lekin shadi ke
baad yahi kaam sawab ban jata hai, jab miya-biwi saath mein
khuhsi-khushi rahte hain to Allah bhi khush hota hai. Aur Allah ka
hukm hai ki miya-biwi saath mein acche se rahe. Aur ek dusre ko pyar
kare.
Iska bhi dhyan rakhe ki Quran mein Allah farmata hai - paak daaman
aurate, paak daaman mardo ke liye hain
(is ayat se ye samajh mei aya ki shadi se pahle agar hum khud ko is
tarah ke gunaho se bacha kar rakhege to humko biwi bhi paak daaman
milegi aur agar shadi se pahle hum gunah karte phire to ho sakta hai
ki humko bhi aisi hi biwi mile)
Allah humko islam ke hisab se chalne ki tofik ata kare aur aajkal ke
zamane ki nai-nai, jhooti aur galat baato se bachaye. Aur duniya mein
aane ka maksad (aim) dhyan rakhe ki Allah ne humko sirf apni ibadar
karne ke liye duniya mein bheja hai. Aur humko zor dekar wahi kaam
kara hai.
• Prindo Ke liye paani ka intezaam kariye
------------------------------ --------------------
Garmi Ke Dino Mein, Parindo Ko Paani Ki badi pareshani ho jaati hai,
kyonki kai jagah taalab, nadi mein paani sookh jata hai, isliye thoda
sa paani apne ghar ki chhat, gallery mein bhi rakh de, taaki pyase
parinde paani pi sake. Ye bahut sawab ka kaam hai.
• ALLAH SE MAAFI MAANGO,
ALLAH HAR GUNAH KO MAAF KAR DEGA.
------------------------------ ------------------------
Allah bahut zyada raham karne wala, bahut zyada maaf karne wala hai,
socho ek maa apne bacche se kitna pyar karti hai, Isi tarah Allah apne
bande se 70 Maa ke pyar se zyada pyar karta hai, bas insan ko iski
khabar nahi hoti, aur Allah se maafi nahi maangta, aur insan sochta
hai ki maine itne gunah kar liye, ab to Allah maaf nahi karega lekin
Allah to humko maaf karna chahta hai, lekin hum maafi hi nahi maangte.
Jab koi insan Allah se apne gunaho ki maafi sacche dil se maangta hai
to Allah uske saare gunaho ko maaf kar deta hai, chahe usne kitne bhi
gunah kiye ho. Bas insan ke dil mein ye pakka irada hona chahiye ki ab
jis gunah ki Allah se maafi maang li hai, wo gunah dobara nahi karuga.
Agar sacche dil se irada kiya ki ab koi gunah nahi karuga, aur Allah
se maafi maang li phir bhi anjane/anchahe dusri koi galti ho gai, to
bhi koi baat nahi, Allah se phir maafi maang lo, Allah phir maaf kar
dega, kyonki Allah humse bahut pyar karta hai. Lekin hum jaan-bhujhkar
ye soch kar gunah na kare ki Allah maaf kar dega. Aisa karke humko
Allah ki mohabbat ka galat faida nahi uthana chahiye.
Kahne ka matlab ye hai ki Allah se hamesha apne gunaho ki maafi
maangte raho, Allah maaf kar dega, aur gunaho se bachne ki koshish
karte raho. Lekin Allah se maafi marne se pahle-pahle maangna hai.
Yaha par ye baat dhyan rakhne ki hai ki Allah kewal usi gunah ko maaf
karega jo humne Allah ke saath kiye hai, lekin agar humne kisi insan
ka dil dukhaya, kisi ki gibat (back biting) ki kisi ko dhoka diya,
kisi par zulm kiya, kisi par jhoota ilzam lagaya to aise gunaho ko
Allah maaf nahi karta, jab tak ki wo insan humko maaf na kar de jiske
saath humne bura kaam kiya hai. Jab wo insan maaf kar deta hai to
Allah bhi maaf kar deta hai.
Allah humko saaare gunaho se bachaye.
• Maa-Baap Ke Liye Allah Ka Hukm (part 2)
Quran mein dekhiye Allah ka kya hukm hai
------------------------------ ------------
Allah quran mein farmata hai ki -
Hamne insan ko ye wasiyat kar di ki wo apne maa-baap ke saath accha
suluk (vyawhar) kare, (jab wo chhota tha) uski maa thak-thak kar uska
bojha laade rahi, usko doodh pilane mein 2 saal lagaye. Ae insan, tu
mera aur tere baap ka hak maan (kyonki) tumko meri tarafn laut kar
aana hai (yaani marne ke baad Allah ke saamne hi pesh hona hai) Ha,
agar maa-baap tujh par dabao daale ki tu mere saath shirk kare (yaani
Allah ke saath kisi dusre ki bhi ibadat/puja kare) jiski ilmi dalil
tere pass ho hi nahi sakti to phir unka (is baat ka) hukm mat maan,
Lekin duniya mein unke (maa-baap ke) saath bhalai karte rahna
- Quran Sipara 21, Surah 31, Ayat No. 14
• Maa-Baap Ke saath Kese Rahna chahiye,
Quran mein dekhiye Allah kya farmata hai

Apne rab ka faisla sun lo, ki uske (Allah ke) siwa kisi dusre ki
ibadat (puja) na ki jaaye, Maa-baap ke saath accha suluk (vyawhar)
kiya jaye Tumhare saamne agar tumhare maa-baap mein se ek ya dono
budhe ho jaaye to unko kisi baat par Uff bhi na kaho aur na unko
jhidko. baat-cheet karne mein Maa-baap ki izzat aur ikraam ka bahut
zyada khyal rakho, mohabbat mein apne dono haath unke liye bicha do,
(Yaani unko khoob izzat aur pyar do) aur ye dua karte raho ke ae mere
rab, tu in par aisa hi raham kar jesa inhone mere bachpan mein mujh
par kiya tha, aur mujhe paala-posa tha.
- Quran Sipara 15, Surah 17, Ayat No. 22-24
• Byaz (interest) Lena Mana Hai (part 3)

------------------------------ -------------
Allah quran mein farmata hai ki -
Ae Imaan walo! byaz mat khao, ye to dugne par bhi kai guna hai (isliye
haram hai) aur Allah se daro taaki tumhara bhala ho, aur bachte raho
us aag se jo tayyar ki gai hai inkaar karne walo ke liye.
- Quran Sipara 2, Surah 2, Ayat No. 278-280
• Byaz (interest) Lene Walo ke khialf
Allah aur uske rasul (sallallahu alyhiwasallam) ka elan-e-jung

(part 2)
Allah quran mein farmata hai ki -
Ae imaan walo, daro Allah se aur jo bhi byaz baaki hai (kisi se lena)
usko chhod do, agar tum imaan wale ho Aur agar aisa nahi karte to
Allah aur uske rasul (sallallahu alyhiwasallam) se elan-e-jung sun lo,
aur agar byaz ko lena band kar dete ho to tumhara asli maal tumko
milega, tum kisi par zulm na karo, tum par bhi zulm na kiya jayega.
Aur agar (tumne kisi ko udhar diya ho to) aur kisi ke paas us time
lotane ke liye paise na ho to to sahulat hone tak usko dheel dena
chahiye, agar karz maaf kar do to tumhare liye behtar hoga, agar tumko
samajh ho!

• Byaz (interest) Lene Wale Dozakh Mein Jayenge
Quran mein Allah ka elan

Jo log byaz khate hain wo kayamat ke din is tarah khade honge jese
kisiko shaitan ne lipat kar
paagal ya khabti kar diyo ho, ye isliye ki unhone bakwaas (bahas) ki
thi ki business karna bhi wesa hi
hai jesa byaz lena, aur Allah ne kharidna-bechna (yaani business
karna) halal kar diya aur byaaz
(sood/interest) ko haram kar diya, bas jisko ab uske rab ki taraf se
nasihat pahunch jaaye
byaz khana (lena) chhod de, pahle jo ho chuka so ho chuka aur uska
faisla aage Allah ke bas mein hai.
Aur jo koi phir bhi byaz khaye to aise log aag (dozakh) mein jayenge
aur usme hamesha rahenge.
- Quran Sipara 2, Surah 2, Ayat No. 275
• Zal-zale (earthquake) bhukamp kyo aate hain
------------------------------ ---------------------
Hazrat Aaisha Siddiqa (radi Allahu anha) Se Kisi Ne Pucha Ke
Zal-Zale Q Aate He???
Maa Aaisha (Radi Allahu anha) Ne Farmaya Ke Jab Aurate paraye Mardo Ke
Liye Khushboo lagati hain (yaani khushbu laga kar bazaar mein jaati
hain taaki paraye aadmi us khushbu ko mehsus kare), aur Jab aurate
paraye mardo ke Samne Nangi Hone Me Sharam Mahsoos Na Kare (Yaani
Zinaa/adultery Aam Ho Jaye), aur Jab Sharaab or Music Aam Ho Jaye To
Zal-Zale Aate He.
Dosto, aajkal ye sab baat aam ho gai, har jagah ye baat dekhne ko
milti hai, phir zal-zale kyo na ayege.
Allah Hame In Tamaam Buraiyo Se bachaye.
AAMIN SUMMA AAMIN
• Bura Khyal Aane Par Gunah Nahi Hota
------------------------------ ----------------------
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya -
(jiska matlab ye hai ki)
" ALLAH ne Meri Ummat (followers) ki un galtiyo ko Maaf kiya hai jiska
sirf Dil mein waswasa (bura khyal) aata ho ya Dil mein sochta ho ki
mujhe ye bura kaam karna chahiye, magar is baat ko sirf dil mein hi
rakh leta ho aur na aisa kuch karta ho na iski kisi se baat karta ho.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6664
Matlab ye ki hamare dilo mein jo bure khyal aate hain uska gunah Allah
humko nahi deta lekin jaan-bhujkar bura sochege to gunah ho sakta hai,
lekin achanak se koi bura khyal aa gaya to gunah nahi hai. Isliye koi
bura khyal aa jaye to Allah se maafi maang kar Jaldi se apna dimag
kisi dusre kaam mein laga lijiye.
Allah humko acchi soch ata kare, Aammen
• Jinki Shaadi Ho Chuki Hai Ya Hone Wali Hai Wo Zarur Padhiye
------------------------------ ------------------------------ -------
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya -
(jiska matlab ye hai ki)
Shaitan (Iblis) ka takht (throne) samundar par hai aur wo apne chamcho
ko logo mein fasad (jhagda) karwane bhejta hai , uski nazar mein zyada
achcha wo hota hai jo bada jhagda karwae, jab koi chhota shaitan us
(Iblis) bade shaita se aakar kahta hai ki maine ye-ye kaam kiya (yani
kisi se chori karwaee , kisi ko sharab pilwa di ) to shaitan kahta hai
ki tune kuch bhi (khas) kaam nahi kiya , phir koi (shaitan) aakar
kahta hai ki maine aaj miya-biwi (husband-wife) mein ladai karwa di
aur itni ladai karwai ki wo alag-alag ho gaye, (ye baat sunkar Iblis -
bada shaitan) usko apne paas bula leta hai ki haan tune bada kaam kiya
hai. Aur wo (iblis - bada shaitan) usko (chhote shaitan ko) gale se
laga leta hai
Sahih Muslim, Vol 6 , 7105
Aur Allah chahta hai ki Miya-biwi saath mein mil-julkar khushi-khushi rahe.
(1) Jo time miya-biwi ka saath mein pyar se guzarta hai Allah us time
ka hisab nahi mangega.
(2) Jab Miya-biwi ek dusre ko pyar ki nazar se dekhte hain to Allah
dono ko khush hokar dekhta hai (Matlab Allah chahta hai ki dono aapas
mein mil julkar khush rahe)
(3) Agar aurat ko Allah ke baad kisi ko sajda karne ki permission hoti
to ek Biwi ko hoti ki apne dulha ko kare. (Matlab Biwi ko apne Dulha
ki har sahi baat ko sunna chahiye.
(4) Dulha ko bhi chahiye ki apni biwi ka dhyan rakhe.
(5) Jab aadmi apnem biwi-baccho par kharch karta hai to wo paisa bhi
sawab mein likha jata hai.
Allah saare miya-biwi ko saath mein hansi-khushi rahne ki tofik ata
kare. Aameen —
गर्मियां आते ही ठन्डे पानी के ना होने से प्यास
नहीं बुझती और हम फ्रीज में पानी रखना शुरू कर देते है.पर
यह पानी बहुत ज़्यादा ठंडा होने से नुकसान करता है ,वात
बढाता है , इसके अलावा प्लास्टिक की बोतल
भी पानी रखने के लिए महफ़ूज नहीं होती.आपको पता है धीरे धीरे ये
प्लास्टिक घुल कर हमारे जिस्म मे ही जाता है...मिटटी से जुड़ने के लिए
मटके का इस्तेमाल करे...
1.इसमें पानी सही तापमान पर रहता है , ना बहुत ज़्यादा ठंडा ना गर्म..
2.मटके का पानी पिने से फौरन सब्र आता है...
3.मिट्टी में साफ करने की खासियत अल्लाह ने दी है और यह
पानी को सूक्ष्म पोषक तत्व देती है...
4.इसे पिने से ना ही गला खराब होगा ना ही सिरदर्द होगा...
5.बिजली की बचत होगी और भरपूर ठंडा पानी आसानी से उपलब्ध होगा...
6. कुम्हारों को रोज़गार मिलेगा.
7.घर के बाहर भी पानी से भरा मटका रखवा देने से प्यासों को मुफ्त पानी
मिलेगा और हमें सवाब..
• HAZRAT AADAM (ALAYHISSALAAM) ke baare mein Jaankaari
------------------------------

No comments:
Post a Comment