Sunday 5 January 2014

Knowledge E

• Kaaba Kitni Baar Bana Hai
======================
Kaaba Shareef ki Tameer 10 baar hui,
(1) pahli baar "FARISHTO'N" ne ki.
(2) dusri baar Hazrat "Aadam Alaihissalam" ne Tameer ki.
(3) teesri baar "Hazrat Sheesh Alaihissalam" ne ki.
(4) chauthi baar"Hazrat Ibraheem Alaihissalam" ne ki.
(5) panchvi baar "Qaum Amaalqa" ne ki.
(6) chhati baar "Qabeela Jarham" ne ki.
(7) saatvi baar Huzoor Akram Sallallahu Alaihiwasallam ke par Daada
"Qasaa Bin Kilab" ne ki.
(8) Aathvi baar "Qabeela Quraish" ne ki.
(9) navi baar "Hazrat Abdullah bin Zuber RadiAllahu Anh" ne ki.
(10) dasvi baar "Hujjaj Bin Yusuf" ne KAABA Shareef ki Tameerki....!!!
(Hashiya-11 Jalaleen Safa No-281,hashiya-4,Bukhari Safa No-215)



• Duniya Ki Acchi Cheezen
--------------------------------
1. Maa-Baap
2. Nek Aulad
3. Nek Biwi
4. Akalmand Dost

Aakhrat (hereafter) Ki Acchi Cheezen
--------------------------------
1. Ilm (knowledge)
2. Taqwa (Allah par bharosa, acche kaam)
3. Sadqa (donation)
4. Dusro Ka Haq Ada Karna

Jism Ki Acchi Cheezen
--------------------------------
1. Kam Khana
2. Kam Sona
3. Kam Bolna
4. Kam Hansna

Dil Ki Acchi Cheezen
--------------------------------
1. Sabr (patience)
2. Alla ka Zikr
3. Shukar
4. Ghour-o-Fikar

EMAN Ki Cheezen
--------------------------------
1. Haya (sharm)
2. Pakizgi
3. Sachhai
4. Insaaf

Allah hum sabko ye tamam cheezen ata kare, Aameen.



• Ibadat Karne Ke Saath-Saath Acche Insan Bhi Bano
==============================
Ek baar Hazrat Muhammad (sallallaaho alaihe wasallam) ne sahaba (radi
allahu anhu) se farmaya-- kya tum jaante ho diwaliya aur muflis
(garib) kaun hai?
Sahaba (radi allahu anhu) ne arz kiya ki hamare yahan to diwaliya usko
mana jaata he jiske paas na ek dirham (rupya) ho aur na to koi saamaan
!
Hazrat Muhammad (sallallaaho alaihe wasallam) ne farmaya meri ummat ka
muflis (garib) wo hai jo kayamat ke din apni roza, namaz aur zakat ko
saath lekar haazir hoga, magar uske saath wo log bhi hazir honge,
jinme se kisi ko usne duniya mein
- gaali di hogi
- kisi par jhoota ilzaam lagaya hoga,
- kisi ka maal dhoke se ya zabardasti le liya hoga
- kisi ka na-haq khoon kar diya hoga
- kisi ko na-haq mara peeta hoga!

To un saare logo ko uski nekiyan baanti jaane lagengi, aur agar
baant'te baant'te nekiyan khatam ho jaayengi magar usne jin logo pe
zulm kiya hai abhi unke haq (adhikaar) baaki rah gae honge, to un logo
ke gunaah is aadmi par daal diye jaayenge aur fir usko jahannum (hell)
mein daal diya jaaega.

- Muslim sharif, kitab-32, hadith- 6251"

Bhaiyo-bahno, Insaan khoob Ibadat kare ye bahut zaruri hai lekin uske
saath-saath ek accha rahamdil, imaandaar, acche akhlaaq (behaviour) ka
insan banna bhi zaruri hai. Kyonke agar hum Allah ki ibadat karen aur
logo ko pareshaan bhi karen, gaali den, maare, jhoota ilzam lagaen to
upar batai hadees aapne dekh hi li.

Allah hum sabko ibadat ke saath-saath accha insan banne ki taufik bhi
ata kare, aameen.



• ISLAM KYA SIKHATA HAI (kuch baaten) (part 2)
============================
Quran aur hadees ki kuch nashiaten dekhiye,

1- Jo raham nahi karta us par Allah raham nahi karta.
(bukhari,muslim)

2- jo meri (hazrat Muhammad sallallahu alyhiwasallam ki) perwi karega
wah jannat me jayega.
(bukhari)

3- neki ki raah (acche kaam karne ki raah) batane wala neki karne wale
ke barabar hai
(tirmizi)

4- Allah sabar karne walon ka saath deta hai
(surah baqarah)

5- Maa, baap ko uff tak na kaho, na unhe jhidak kar jawab do.
(bani israel 22)

6- maangne wale (bhikari) ko na jhidko aur apne rab ki nemat ka izhar karo
(surah dhuha 11)



• ISLAM KYA SIKHATA HAI (kuch baaten) (part 1)
============================
Quran aur hadees ki kuch nashiaten dekhiye,
1- Acche kaamo mein aur burai se bachne mein ek dusre ki madad karo (al maida 2)

2- Jhuthe aur nashukre logon ko allah (sahi) raah nahi dikhata
(zumar 3)

3- Jo dhoka de wo hum mein se nahi (yaani muslim nahi)
(muslim, muwatta, abu dawood)

4- Chugalkhori karnewala jannat me nahi jayega
(bukhari, muslim)

5- Jab tak tum kitab wa sunnat par amal karoge kabhi gumraah nahi hoge
(bukhari,muslim)

6- Jo insaan dusre ko maaf karta hai Allah uski izzat badhaata hai
(tirmizi)



• Jab Gussa (anger) Aae To?
=====================
Gussa badi kharab cheez hai, isme insan ka dimaag kaam nahi karta, aur
gusse mein liye gae aksar faisle galat hote hain. Isliye Islam mein
gussa ko haram bataya gaya hai.

Jis insan be-moka gussa aa jaae uske liye Hazrat Muhammad (SALLALLAHU
ALAIHI WASALLAM) ne farmaya ke us insan ko cahiye ke wo jaldi hi wuzu
kare, isliye ke be-moka gussa dilane wala shaitaan hai aur shaitaan
aag se peda kiya gaya hai, aur aag paani se bhuj jaati hai, isliye
wuzu gusse ki aag ko bhuja deta hai.
- mishkat 2-435, mujtabai

Dusri hadees mein bataya gaya he ke khade hone ki halat mein gussa aa
jaye to aadmi ko chahiye ke beth jaae, jaldi hi gussa utar jaega aur
agar bethe-bethe gussa na utre to let jaae taaki gussa khatam ho
jaye.....
- mishkat 2- 343



• Engagement (Mangni) Hone ke baad?
=================================
Engagement ke baad bhi ladka aur ladki ek dusre ke liye waise hi
hai jaise pehle the. Unka ek dusre par koi haq nahi. Jab tak ki unki
shaadi na ho jaae.

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke - tumhare
liye wo aurat (mangni hone ke baad bhi) wesi hi hai jaise ajnabi.

Aur islam ne ajnabi gair maharim (parai ladki) se milne ki aur dekhne
ki ijazat nahi di. Aajkal Engagement ke baad to ladka-ladki ko khuli
ijazat mil jaati hai, ghar walon aur maa-baap ki taraf se!! ye islam
ke hisab se galat hai.

Yaa rakhiye, Engagment ke baad bhi ladka-ladki ka ek dusre par koi haq
nahi hota, jab tak unki shaadi na ho jaae, aur wo ek dusre ke liye
ghair-mahram hi hote hain, isliye ek dusre ko dekhna aankho ka zina
hai, unka ek dusre ko chhuna hatho ka zina hai aur unka ek dusre se
baat karna munh ka zina hai aur zina bahut bada gunah hai.

Agar unko milne julne ki ijazat maa-baap ne di hai to wo bhi is gunah
me shamil hain, aur unki bhi Rauze Mehshar pakad hogi.

Aese maa-baap ya ladka-ladki ko sonchna chahiye ke agar (Allah na
kare) rishta kisi wajah se toot gaya to.........

Shaadi ke baad jo kaam pehle gunah the, sab sawab mein badal jayenge,
jese ek dusre ko pyar se dekhna, baat karna wagerah.

Allah hum sab ko islam ke hisab se kaam karne ki taufik ata kare, aameen.



• Bager Maa Ke Kaun Paida Hua
======================
1. Hazrat ADAM (alyhissalam).
2. Hazrat BIBI Hawwa (alyhissalam).
3. Hazrat MOHMMAD (Sallahualaihi Wasallam) ko Mairaj per Le jaane wala
Burraq (Horse).
4. Hazrat Saleh (alyhissalam) ki ountni.
5. Hazrat Younas (alyhissalam) ko paet me rakhnay wali Machli (Fish).
6. HAZRAT Mosa (alyhissalam) k asa Mubarak se Bunne wala Azdaha.
7. HAZRAT Ismail (alyhissalam) ki Qurbani k waqt Jannat se Aanay wala Dumba



• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam)
Jab Bibi Aamna Ke Pet Mein Aaye
=============================
BIBI AAMNA Farmati hain.. Mere pait me aane ke baad kuch ajeeb si
baaten hua karti thi.
Jab mein ghar se nikalti, dhoop mein ek baadal ka tukda assman me wird
hua, Main jahan jaati wo mujh per chaon (shadow) karta, Main jab
bakriya charane jaati to bakriya mere piche chalti, Jab me chalti to
patthar mere pairo k niche narm rui ki tarha ho jate, air jab kuen se
paani nikalne jaati tab paani uper chadh jaata or mein aasani se paani
bhar leti thi, aur rozana 1 NABI mujhe khwab me mubarak-baad dete
they, ke aap nabiyo ke sardaar ki waalida hain.

Kya shaan hai hamare pyaare Nabiki .. SubhanAllah.
Sallallahu alyhiwasallam.



• Jannat Mein Mahal Chahte Ho?
===============================
Hazrat Muhammad (Sallal lahu Alyhi Wasallam) ne farmaya ke -
jo insan ramzan ke mahine mein masjid mein jaakar Maghrib se Isha tak
ka Etekaaf (ऐतेकाफ) kare aur Masjid mein kisi se baat na kare aur
namaz, quran ki tilawat karta rahe to Allah us insan ke liye jannat
mein ek mahal bana deta hai.

(yaani maghrib ki namaz padhne jaae to Etekaaf ki niyat karke masjid
mein hi ruk jaye phir isha ki namaz padhkar hi ghar lote)

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.



• ऐसा हो आपका रेज्युमे
======================
किसी एक वैकेंसी के लिए एम्प्लॉयर के पास तकरीबन 200 रेज्युमे आते हैं और
किसी एक रेज्युमे पर शुरुआती नजर डालने के लिए रिक्रूटर के पास महज 10-30
सेकंड होते हैं। यानी, रिक्रूटर को इंप्रेस करने के लिए आपके रेज्युमे के
पास ज्यादा से ज्यादा सिर्फ आधा मिनट है। इस छोटे लम्हे में अपनी योग्यता
साबित करने के लिए आपका रेज्युमे छोटा, आकर्षक और प्रभावशाली होना चाहिए।
एक्सपर्ट्स से बात करके प्रभावशाली रेज्युमे बनाने के तरीके बता रहे हैं
:
एक अच्छे रेज्युमे का यह गुण होता है कि वह आपकी गैरमौजूदगी में आपकी
वकालत करे। आप जहां नहीं होते, वहां वह आपकी तरफ से बोलता है, आपके करियर
की गति बताता है और अप्लाई की गई जॉब के लिए आपको सबसे काबिल उम्मीदवार
के तौर पर पेश करता है। जिन बातों से एक रेज्युमे प्रभावशाली बनता है,
उन्हें जान लेना चाहिए।
नाम और कॉन्टैक्ट डिटेल्स
रेज्युमे बनाते वक्त लेफ्ट साइड में सबसे ऊपर नाम लिखना चाहिए और उसके
ठीक नीचे अपनी ईमेल आईडी और उसके नीचे फोन नंबर। हो सके तो अपना कोई
दूसरा फोन नंबर भी लिख दें, क्योंकि कई बार फोन पर ही इंटरव्यू आदि की
सूचना दी जाती है। दरअसल, नाम के साथ आपके कॉन्टैक्ट डिटेल्स का जाना
हमेशा फायदेमंद होता है। कई लोग नाम के साथ मेल या फीमेल भी लिख देते
हैं, जो बिल्कुल हास्यास्पद है, क्योंकि मोटे तौर पर नाम से ही जाहिर हो
जाता है कि वह शख्स मेल है या फीमेल। ऐसा न करें।
ई-मेल आईडी बिल्कुल पर्सनल चीज है। हर शख्स आजाद है कोई भी ईमेल आईडी
बनाने के लिए, लेकिन रेज्युमे में ऐसी आईडी का जिक्र न करें जो देखने में
अजीब लगे। इससे एम्प्लॉयर पर खराब इंप्रेशन पड़ सकता है। मसलन अगर नितिन
नाम का कोई शख्स अपने रेज्युमे में teesmarkhannitin@gmail.com या
toosmartnitin@gmail.com जैसी कोई आईडी लिखेगा तो आप खुद ही अंदाजा लगा
सकते हैं कि एम्प्लॉयर पर उसका कैसा असर होगा। आईडी बिल्कुल सादा होनी
चाहिए। इसमें आपका पूरा नाम आ जाए तो बहुत अच्छा। नाम न भी आए तो भी आईडी
में किसी ऐसे वैसे शब्द का इस्तेमाल न हो।
कॉरेस्पॉन्डेंस अड्रेस
टॉप राइट साइड में अपना कॉरेस्पॉन्डेंस अड्रेस दे सकते हैं। परमानेंट
अड्रेस भी देना चाहिए, लेकिन उसकी जगह रेज्युमे में सबसे अंत में रखें,
तो बेहतर है।
ऑब्जेक्टिव
ऑब्जेक्टिव को लेकर तमाम लोग कंफ्यूज रहते हैं कि इसे लिखा जाए या नहीं।
अगर लिखा जाए तो कितना बड़ा। एक्सपर्ट्स की राय है कि ऑब्जेक्टिव को
छोड़ा भी जा सकता है और आप सीधे एजुकेशन पर आ सकते हैं। कुछ एम्प्लॉयर
नाम पते के बाद एजुकेशन देखना चाहते हैं, लेकिन परंपरागत तरीके से अगर
ऑब्जेक्टिव लिखना ही चाहते हैं तो ध्यान रहे कि यह छोटा, सादा और सीधा
हो। कई लोग इसके तहत लंबी चौड़ी फिलॉसफी लिख मारते हैं और भाषा को कठिन
बनाने में जान लगा देते हैं, जो गलत प्रैक्टिस है।
कई लोग 'मैं' शैली में यह भी लिखते हैं कि उन्हें क्या चाहिए और वे क्या
कर सकते हैं, लेकिन ऐसी बातों से बचना चाहिए। साफ और कम शब्दों में यह
बताएं कि आप कंपनी के लिए कैसे फायदेमंद हो सकते हैं। इसके लिए आप अपनी
स्किल्स का हवाला दे सकते हैं। हो सके तो अपने वर्क एरिया से जुड़ी
र्टम्स का इसमें इस्तेमाल करें।



• Baap (father)
==================
Hazrat Muhammad (Sal'lal'lahu Alaihe Wasallam) ne farmaya :
ALLAH ki razaamandi BAAP ki razaamandi main hai, Aur ALLAH ki
na-khushi BAAP ki na-khushi main hai.
[Mishkaat Jild 2, Page 711, Hadees]

Dusri jagah hadees mein aya hai ke - Maa ke per ke neeche jannat hai
aur baap jannat ka darwaza hai.

Quran sharif mein bhi kai jagah maa-baap ki izzat aur unse muhabbat
karne ka hukm aya hai. Isliye apne maa-baap se mohabbat karo aur unki
har achhi baat ko maano. Unse unchi awaz mein baat na karo.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. aameen.


• Islamic Calendar Mein Mahino Ke Naam
=============================
Aksar Muslmano Ko Islami 12 Maah Ke Naam Yaad Nahi, islamic calendar
mein mahino ke naam is tarah hain -
Hamara naya saal 1 muharram se shuru hota hai.

1. Muharram
2. Safar
3. Rabi' al-awwal (Rabi' I)
4. Rabi' al-thani (Rabi' II)
5. Jumada al-awwal (Jumada I)
6. Jumada al-thani (Jumada II)
7. Rajab
8. Sha'ban
9. Ramadan
10. Shawwal
11. Dhu al-Qi'dah
12. Dhu al-Hijjah


• Bimaar Ya Murde Ke Pass Jao To Acchi Baat Kaho
===================================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya
“Jab Bhi Tum kisi Beemar Ya Murde Ke Paas Jao, To Khair Ki Baat (acchi
baat) Karo, kyonke Tum Jo Kahoge, Uss Baat par Farishte Aameen Kahte
Hain.

(Muslim Sharif)


• Allah Ka Ehsan Apne Bando Par
===========================
Ek Maa apne bacche se bahut pyar karti hai, lekin Allah apne bande se
70 maa ke pyar se zyada pyar karta hai. Isliye har acche kaam par usko
maaf karta rahta hai, Allah ki rehmat to bas bahane dhundti hai Lekin
hum hi na-daan hain jo is baat ko samajhte nahi.

Hazrat Muhammad (Sallallahu Alahi Wasallam) Ne Farmaya..
ALLAH Ne Nekiyo Aur Buraiyo Ke Baare Mein Ek Faisla (rule) Farishto Ko
Likhwa Diya (Uske baare mein ye bataya gaya ha ke)
Jo Shaks Neki Ka Irada Kare Aur Fir [Kisi Wajah Se] Na Kar Sake To
ALLAH Uske Liye Puri Neki Likh Deta Hai...

Agar Irada Kar Lene K Baad Us Neki Ko Kar Le To Uske Liye ALLAH 10
Nekiya Se 700 Tak Balqi usse Bhi Aage Kahi Guna Tak Likh
Deta Hai..

Aur Jo Shaks Kisi Burai Ka Irada Kare Aur Fir Uske Karne Se Ruk Jaaye
To ALLAH Uske Liye 1 Puri Neki Likh Deta Hai [Q Ki Uska Burai Se Rukna
ALLAH Ke Dar K Wajha Se Tha]

Agar Irada Karne K Baad Usne Gunha Kar Liye To ALLAH Uske Liye 1 [He]
Gunha Likhta Hai...

Mafum E Hadees [Bukhari Sharif]

Dusri jagah hadees mein aya hai ki Allah ne har insan ke saath 2
farishte rakhe hue hain, sidhe (right) haath ki taraf neki likhne wala
farishta hai aur ulte (left) haath ki taraf burai likhne wala farishta
hai. In dono farishto mein Allah ne right haath wale farishte ko ameer
(leader) banaya hai, jab insan koi accha kaam karne ka irada karta hai
(abhi wo kaam usne kiya nahi) sirf insan ke sochne par hi neki likhne
wala farishta uski neki likhna shuru kar deta hai aur tab tak likhta
rahta hai jab tak wo us kaam ko nahi kar leta aur 1 neki ko 10 neki
likhta hai. Isi tarah jab insan bure kaam ko karne ka irada karta hai
to right (sidhe) haath wala farishta (jo leader hai), burai likhne
waale farishte ko us insan ke liye 'gunah' likhne se rok deta hai aur
kehta hai ki abhi iska 'gunah' mat likh, isne abhi sirf irada kiya
hai, gunah kiya nahi hai, ho sakta hai aakhri time par iska mood badal
jaaye. aur leader farishta, dusre farishte ko tab tak rokta rahta hai
jab tak insan koi gunah na kar le. Jab insan gunah kar leta hai to
phir left (ulta) haath wala farishta uska gunah likh leta hai lekin 1
gunah ka 1 gunah hi likhta hai.

Bhaiyo-bahno, ye Allah ki hum par meharbani nahi hai to kya hai, lekin
iske baad bhi hum uska haq ada nahi karte.

Hum sab Allah ke ehsano aur meharbaniyo ko samajhne waale ban jaaye.
Aur quran, hadees aur sahaba ki zindagi par hamara chalna aasan ho
jaaye. Allah is kaam mein hamari madad farmae. Aameen.



• अल्पसंख्यक समुदाय के छात्रों को मुफ्त उच्च तकनीकी शिक्षा
=================================
आर्थिक कठिनाई की वजह से तकनीकी शिक्षा से वंचित वर्गों के लिए इंडिया
शिक्षा मिशन एक बड़ा सहारा बनकर सामने आया है। इंडिया शिक्षा मिशन इस
शैक्षणिक साल में ऐसे बच्चों को इंजीनियरिंग की शिक्षा देने जा रहा है जो
हमारी जनसंख्या के अल्पसंख्यक और अन्य कमजोर वर्गों से सम्बंध रखते हैं।
इंडिया शिक्षा मिशन के अनुसार देश की ज्ञान आधारित अर्थव्यवस्था में
विकास को देखते हुए आने वाले दिनों में हमारे देश को तकनीकी रूप से
प्रशिक्षित और सक्षम लोगों की बड़ी तादाद की आवश्यकता होगी और देश के
समावेशी विकास के लिए सभी को साथ लेकर करने चलने वाले विकास को सुनिश्चित
करने के लिए आवश्यक होगा कि समाज के कमजोर वर्गों को विशेष रियायतें दी
जाएं।

इंडिया शिक्षा मिशन का कहना है कि जनसंख्या के अनुसूचित जाति / जनजाति,
अल्पसंख्यक और महिलाओं और अन्य कमजोर वर्गों को रोजगार के लायक तकनीकी
कार्य बल में बदलना उनकी प्रतिबद्धता है और इस तरह देश के समावेशी विकास
में अपना योगदान देना उनका लक्ष्य है। इसके तहत इंडिया शिक्षा मिशन साल
2013-14 में देश भर के ऐसे जरूरतमंद बच्चों को फ्री स्पांसरशिप्स के
माध्यम से उच्च तकनीकी शिक्षा की ज़रूरतों को पूरा कर रहा है।

देश भर से बच्चों के चयन के लिए इंडिया शिक्षा मिशन ने छात्रों और
छात्राओं से आवेदन मांगा है। इंडिया शिक्षा मिशन में खुद के पंजीकरण की
प्रक्रिया भी बहुत आसान है। इसके लिए छात्र और छात्राओं को
www.indiashikshamission.org/ register पर अपना पंजीकरण कराना होग। अपनी
शैक्षिक जानकारी के अलावा, आर्थिक स्थिति और छात्र और छात्राओं को क्यों
लगता है कि वो फ्री स्पांसरशिप्स पाने के लायक़ हैं, उन्हें ये स्पष्ट
करना होगा। इसके बाद मिशन मेरिट के आधार पर छात्र और छात्राओं का यॉचयन
करेगा । और इस तरह चयनित छात्र - छात्राओं की फीस इंडिया शिक्षा मिशन की
ज़िम्मेदारी होगी।

www.indiashikshamission.org/

इंडिया शिक्षा मिशन की ये व्यवस्था इंजीनियरिंग पूरे चार वर्षीय
पाठ्यक्रम के लिए है। देश के कमज़ोर वर्गों को तकनीकी शिक्षा दिलाने की
इस अनोखी योजना के तहत पिछले साल 189 छात्र फायदा उठा चुकें हैं।


• Kisi Ki Pareshani Ka Mazak Mat Udao
===================
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Apne Bhai Ka Mazaaq Mat Udao Kyun Ke Shayad (Mazaq udaane ki wajah se)
Allah Us Par Raham Farmade aur Tum Ko Us Musibat Me Daal De

Ref. Tirmizi Shareef


• Pyare Nabi Ki Pyari Baaten
=============================
(Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
(1) Us insan par Allah raham nahi karta jo dusre logo par raham nahi karta
(2) Jo insan (islam ka) Ilm sikhne ke liye nikla wo Allah ke raaste
mein hai, jab tak ghar laut na aaye
(3) Paaki aadha Imaan hai, (paaki matlab saaf-suthra rahna, gandagi se
door rahna, agar ghusl karne ki zarurat ho to foran ghusl karna, bina
wajah ke ghusl mein der na karna), Kitni badi baat hai ki paaki ko
aadha iman kaha gaya hai
(4) Sharm/haya imaam ki shaakhon (branch) mein se ek branch hai.
(aajkal hum dekhte hain ki ladka ho ya ladki dono se sharm aur haya
khatam hoti ja rahi hai, sharm/haya ko kaayam rakhiye)
(5) Namaz chhodna bande aur kufr ke darmiyaan milaan karna hai


• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki kuch hadees
=====================================
(1) Ghibat (peeth piche burai) karna Zina (adultory) se bhi zyada bada gunah hai
(2) Chugli karne wala jannat mein daakhil na hoga
(3) Aapas mein salam ko felao (salam khoob karo)
(4) Haq (sahi) baat kaho, chahe saamne waale ko kadwi hi lage
(5) Sabse bada kaam Allah ke liye kisi se pyar karna aur Allah ke liye
kisi se bughz (dil mein burai rakhna) hai.
- Mishkaat


• Baccho Se Pyar Aur Bado Ki Izzat Karo
===============================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad
Farmaya -
“Jo Hamare Chhoto Par Meharbani Na Kare aur Hamare Bado Ki
Ta’azim Wa Tauqeer (izzat) Na Kare Wo Hamare Raaste Par Nahi”.
- (Mishkat P:423)

Allah hum sabko baccho se pyar aur bado ki izzat karne wala bana de.


• Islam Sikhne Waale Ka Rutba
=========================
Hazrat Muhammad (sallallahuahlyhiwasallam) ne farmaya - Jo Islam Ki
tarakki Ke Liye Ilm Seekh Raha ho aur Maut Aa gai To Uske Aur Ambiya
(nabiyo) Ke beech Jannat Mein Ek Darje Ka Fark Hoga

- MISHKAT

Allah hum sabko islam sikhne aur us par amal karne wala bana de.



• Kis Jagah Jhoot Bola Ja Sakta Hai
========================
Hazrat Muhammad (sallalhau alyhiwasallam) ne farmay ke -
“Wo Shakhs Jhoota Nahi, Jo Logo Ke Darmiyaan Sulaah (burai ko door)
Karwaane Ke Liye Jhoot Bole”
(Masnad-e-Ahmad, Hadees 27818)

Dosto, agar 2 log pahle kabhi dost ya rishtedaar hua karte the lekin
baad mein kisi baat par unme jhagda ho gaya ya unke dilo mein ek dusre
ke liye nafrat paida ho gai aur unhone ek dusre se milna, baat karna
band kar diya to aese haalat mein dono ko wapas milwaane ke liye thoda
jhoot bol sakte hain, lekin ye jhoot dono ka bhala karne aur aapas
mein wapas dosti karwane ke liye hona chahiye, isme hamara koi
duniyawi faida na chhupa ho.

Ek hadees ka mafhum hai ki agar 2 momin bhai 3 din se zyada aapas mein
baat band rakhte hain to unki nekiya unke sar ke upar nahi uthti
(yaani Allah ke yaha kubul nahi hoti) aur Allah har hafte har insan ke
acche/bure kaam par nazar daalta hai aur jisko chahta hai usko maaf
kar deta hai, lekin jab do jhagda kare ya baat band kiye hue logo ki
file jaati hai to Allah farmata hai ki inki file side mein rakh do.
mein isko tab tak na dekhuga jab tak ye aapas mein sulaah/dosti na kar
len.


• Baap / Father / Waalid
========================
Maap ke baare mein hum bahut kuch sunte aaye hain, lekin Islam mein
Maa ke saath-saath Baap ko bhi bahut izzat aur pyar karne ke liye kaha
gaya hai, dekhiye kya kehta hai islam, Baap ke baare mein -

(1) Jis insan se uska baap naraz hota hai, Allah bhi us insan se naraz hota hai.

(2) Maa agar jannat hai to baap jannat ka darwaza hai. Matalb agar maa
ki khidmat karke jannat kama bhi li to tab tak andar na ja sakoge jab
tak baap bhi raazi na ho.

(3) Baap ka dard aur mohabbat tabhi pata chalti hai jab insan khud
baap banta hai.

(4) Jite ji Maa-Baap ki itni kadar nahi hoti lekin jab dono ka
intekaal ho jata hai tab samajh aata hai ki humne kya cheez kho di.

(1) Baap ki Izzat Karo Taake Tumhari bacche Tumhara
izzat Kare (kyonki jesa tum apne baap ke saath karoge, wesa hi tumhare
bacche tumhare saath karenge.

(2) Baap Ki Izzat Karo Taake Iss Se Fayda Utha Sako.
(kyonki islam mein Baap ki izzat karne ko kaha gaya hai, aur islam ki
kisi bhi baat mein nuksaan nahi)

(3) Baap Ka Hukm Maano Taake Khush Haal Reh Sako.
(Baap har kaam hamari bhalai ke liye hi kehta hai, chahe wo humko thik
lage ya na lage, isliye baap ka kehna maanna chahiye)

(4) Baap Ki Sakhti (gussa) Bardash Karo Taake Kaabil Ban Sako.
(Baap hamari acchai ke liye hi humko daanta hai kyonki usne humse
zyada duniya dekhi hoti hai)

(5) Baap Ki Baate Gour Se Suno Take Dusro Ki Na Sunni Pare.
(Baap ko hamase zyada tajurba hota hai)

(6) Baap Ke Samne Uncha Mat Bolo Warna Allah Tum Ko
Nicha Kar Dega.

(7) Baap Ke Samne Nazren Jhuka Kar Rakho Taake Allah
Tum Ko Duniya Mein Buland Kare.

(8) Baap Ek Kitaab Hai Jis Par Tajruba Likha Jata Hai.

(9) Baap Ke Aansu Tumhare Samne Na Gire Warna Allah
Tum Ko Jannat Se Gira Dega.

(10) Baap Ek bahut accha hifazat karne wala hai Jo Puri Zindagi
Khandan Ki Hifazat Karta Hai (Allah ke hukm se)

(11) Khush-Naseeb Hain Wo Log Jinke Maa-Baap Zinda Hain!
Wo Khidmat Karke Allah Ke Yahan Apna Martaba Badha Len Aur Jinke
Maa-Baap ka intekaal Ho chuka Hain Wo Unki Taraf Se Sadqaat Karen,
Khairaat Karen Aur Unke Liye Duayen Karen!

Allah Aage Unke Darjaat Buland Farmayen Aur Hamen Iss Shariat Ke Masle
Mein Sahi Samjh Ata Farmaye.

!! Ameen Summa Ameen Ya Rabbul Aalameen!!



• Keemti Baaten
============================
1) Duniya Ke Andar DEEN Nahi He, BALKE DEEN Ke Andar Duniya He - Iska
matlab ye hua ki agar koi insan duniya mein doob jata hai to wo islam
se door ho jata hai lekin agar islam ki baat par chalta hai to usko
islam aur duniya dono mil jaate hain, kyonki islam mein duniya se door
hone ko mana farmaya hai, balki duniya ke saare zaruri kaam karte hue
islam par chalna hai, isliye islam mein duniya ko chhod kar jangal
mein jaakar Allah ki ibadat karna mana hai, balki duniya mein rahkar
shaadi karna, ghar walon ke liye halal tarike se kamana, apne bacchon
ki acchi parwarish karna, ye sab zaruri hai, aur in sab kaamo ko karte
hue gunaho se bachna aur Allah ki ibadat karna, Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasallam) ki sunnato par chalna hi sahi tarika hai.

(2) Gunaah Par TABIYAT Khud Chalti Hai, Magar NEKI Par TABIYAT Ko Lana
Padhta He -
Insan ke piche uska nafs aur shaitan hamesha laga rahta hai jo hamesha
gunah ki aur insan ko khichta hai, lekin aese mein insan ko apne nafs
par kaabu rakh kar, aur shaitan ko dhutkaar kar Allah ke hukm aur
hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke tarike par koshish karke
zindagi guzarna chahiye.

(3) Aaj Amal Hai HISAB Nahim Kal HISAB Hoga Amal Nahi -
Iska matlab ye hai ki duniya mein insan ko Allah ne acche kaam karne
ka hukm diya lekin ye thodi power bhi usko de di ki ab uski marzi ki
wo chahe to acche kaam kare ya chahe to bure kaam kare. Duniya mein
uske kaamo ke baare mein koi hisab nahi liya jaayega. Lekin marne ke
baad insan ke pass acche ya bure kaam karne ka power khatam ho jaayega
aur Allah duniya mein kiye uske kaamo ka usse hisab lega aur uske
hisab se hi usko dozakh ya jannat mein bhejega, Isliye kaha gaya hai
ki duniya mein acche/bure kaam kar sakte ho yaha Allah hisab na lega,
marne ke baad kuch nahi kar sakte aur phir waha Allah hisab lega.

(4) Aaj Ek AANSU Ka Qatra DOZAKH Ki AAG Ko Bujha Sakta Hai
Kal AANSU Ke SAMANDAR Se DOZAKH Ki Aag Ki Ek CHINGARI Bhi Nahi Bujhegi -
Iska matlab ye hai ki duniya mein rahte hue agar insan apne gunaho/
galtiyo ki Allah se ro-ro kar maafi maang leta hai to Allah usko
dozakh se bacha lega aur uske gunaho ko maaf kar dega, lekin agar usne
duniya mein apne gunaho ki maafi Allah se nahi maangi to phir marne ke
baad wo Allah ke saamne kitna bhi roe, Allah usko maaf nahi karega.
Kyonki duniya kaam karne ki jagah hai aur akherat fal ki jagah hai.

YA ALLAH Hame Marne Se Pehle MaUT Ki Taiyyari Karne Ki Taufeeq Ata
Farma AAMEEN SUMMA AAMEEN...



• Islam Mein Kapda Pahanne Ka Tarika
=========================
Dosto, insan kapda pahanta hai aur kapda kesa hona chahiye, kese
pahanna chahiye, ye bhi islam mein sikhaya gaya hai. Hum roz kapde
pahante hain, lekin agar hum in kapdo ko sunnat tarike se pahan lege
to hamara kapde pahanna jesa chhota kaam bhi sawab ban jaayega.
Aajkal bahut se log kapde pahanne mein apne man-pasand actor-actress
ki copy karte hain, chahe wo kapda kesa bhi ho ya kitna bhi mehnga ho.
Agar kisi man-pasand actor ne fate hue kapde pahane to log aesa bhi
karne lagte hain, Aur jo aesa karta hai usko kuch log bahut accha aur
modern samajhte hain, dar-asal aese logo apni ki koi soch hi nahi
hoti, bhed-chaal ki tarah chalne lagte hain, lekin islam insan ko
kapde pahanne hi nahi balki puri zindagi jeene ka tarika batata hai,
magar kya humne kabhi ye sikhne ki koshish ki hai ki is baare mein
islam kya kehta hai ya kapde pahanne ka sunnat tarika kya hai.
Humko kisi actor-actress ki copy karne mein nahi balki hamare pyare
hazrat Muhammad (sallalhau alyhiwasallam) ko copy karne mein fakr
mehsus karna chahiye. Hum muh se to bahut mohabbat ka daawa karte hain
lekin kaam saare unke (sallallahu alyhiwasallam) ke khilaf karte hain.
Aaiye dekhte hain ki kapde ke baare mein kya sunant hai aur islam kya
sikhata hai -

(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Ko safed [white) Rang
Ka Kapda Pasand Tha [Tirmizi]
Islam mein mard ke liye halke rang ko zyada pasand kiya gaya hai, jese
safed (white), kyonki isme saadgi hoti hai. Laal (red), Orange is
tarah ke bhadkeele aur chamak wale kapdo ko pasand nahi kiya gaya. Isi
tarah jis tarah ke kapde aurat pahanati hai wo mard na pahne aur jo
mard pahante hain wese kapde aurate na pahne. Isko islam mein sakht
mana kiya gaya hai. Aajak ladke kaano mein baali, haath mein kade,
gale mein locket pahan kar ghoomte hain jo ki ek gunah hai, aurat bhi
aesi cheeze aur kapde na pahane jo mard pahante hain.

(2) Kapde Pahanne se pahle unko jhatak lijiye, kahi usmein koi jaanwar
ya kachra na ho.

(3) Kapda pahanne mein Pahle Daya (right) Haath Aastin Me Daale Fir
Baaya Haath isi Tarha Paijama Aur Shalwar Ke Liye Pahle Dahina (right)
Paao Fir Baya Paao>>[Tirmizi]
aur kapde utaarne mein iska thik ulta karenge, ki kurta utaarne mein
sabse pahle ulta haath nikalenge phir sidha aur pajama mein bhi aesa
hi karenge.

(4) Kapda Pahnte Aur Utarte Wakt Bismillah Padhe aur Kapda Pahnne aur
utaarne ki dua padhe. Kapde utaarne se pahle bismillah aur dua padh
len, barhana haalat mein dua na padhe.

(5) Kapde Hamesha beth kar badaliye. Khade ho kar na badaliye.

(6) Aurat ho ya mard kapde tight na pahne, kyonki tight kapdo mein
badan ka shape aur utaar chadao (curve) dikhta hai, isliye thode dhile
kapde pahaniye jisse badan ka shape na dikhe.
Isi tarah ye bhi dhyan rakhiye ki kapda itna patla na ho ki badan
dikhe, aurato ko iska khaas khyal rakhna chahiye, kyonki aajkal kapde
bhi bahut patle aa rahe hain, agar kapde patle ho to andar astar
lagaiye.

(7) Kapde aese ho jo kam se kam satar ko dhak hi de. Aadmi ka satar
pet ki naaf se lekar ghutne tak hota hai lekin aajkal dekhne mein aya
ki log shorts (chhoti nekar), burmunda mein hi ghoomte hain, jo ki
islam ke khilaaf hai.
Aurat ka pura badan hi uska satar hai, lekin aajkal dekhne mein aata
hai ki aurat bade-bade gale, badi peeth, half aastin, short aur tight
kapde, legin pahan leti hain, jisse unka pura badan ka shape dikhta
hai, aese kapde pahanna gunah ka kaam hai, isliye aese kapde na
pahaniye, balki aese kapde pahaniye jisse badan chhupta ho, kyonki
kapde pahanne ka maksad badan ko dhaakna aur chhupana hi hai, dikhana
nahi. Aur upar se sar ke pure baal bhi dikhte rahte hain, aurat ke sar
ke baal bhi uske satar mein shaamil hain, isliye burqa ya scarf
pahaniye taaki baal kisi paraye mard ko na dikhe.
Hazrat Muhamamd (sallalhua alyhiwasallam) ne farmaya jiska matlab ye
hai ki aurat khushbu na lagaye (kyonki iski wajah se wo jaha se
niklegi paraye mard ka dhyan khichegi), aur apne per bhi patak-patak
kar na chale jisse uski payal ki awaz hoti hao (ye bhi paraye mard ka
dhyan khichegi) aur na itra kar chale.
Ek jagah farmaya ki apni khubusri ko paraye mardo ke saamne zaahir na
karo. Iska matlab ye hai ki apne room mein apne dulha (husband) ke
liye jitna tayyar hona hai ho jao, lekin bazaar mein dusre mardo ko,
khud ko dikhati na phiro.
Jo aurat paraye mardo ko dihane ke liye tayyar hogi wo jannat ki
khusbu bhi na le payegi.

(7) Mard Paijama..Ya Lungi Takno (ankle) Se Upar Rakhe..Takhno Se
Niche Latkane Se ALLAH Naraz Hota Hai,
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne armaya..Tahband (lungi)
Taqno Se Niche Latkane Wale Par ALLAH Nazarr E Rahmat Nahi Farmaye Ge
[Muslim]
Note: lekin aurato ko apne kapde hamesha takhno ke neeche rakhna chahiye.

(7) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Ko Kurta Bohot Pasand Tha
[Tirmizi.Abu Dawood]

(8) Paak Saaf kapde pahaniye.

(9) Kapde hamesha akele mein badaliye. kyonki agar mard-mard ka badan
bhi bina kisi sahi wajah ke dekhta hai to ye gunah hai.

ALLAH Ham Sab Ko Pyare Nabi Ki Sunnato Pe Amal Ki Taufiq Ata Farmaye
Aameen Summa Aameen



• Kisi Ke Baare Mein Bad-gumani na karo
==========================
Quran Mein Allah farmata hai -
Tum Kisi Bhi Insaan Ko Bura Na Samjho, Shayad wo wesa Na Ho Jis Tarah
Tum samajhte Ho, sahi ilm To ALLAH Ke Pass He, aur Tum To bager ilm
wale ho.
Al Quran,(Sura Bqrah,216)



• Khubsurat Baaten
===================================
1) Kisi Momin Ki Taraf Muskura Kar Dekhna SADQA Hai
(2) Sanjida (serioius) Rehne Wala Hamesha IZZAT Pata Hai
(3) Imaan Par Maut Jannat Me Jaane Ki dalil Hai
(5) Maa-Baap Ki Khidmat Dono Jahaan Mein faida deti hai
(6) Marne Wale Se sabak Haasil Karo, jis tarah wo duniya mein hi sab
kuch chhod kar chala gaya, humko bhi wese hi jaana hai.
(7) Jis Ne Sabar Kiya, Us Ne Sab Kuchh Pa Liya
(8) Jo Chup Raha, Us Ne NIJAAT Payi (matlab kai pareshaniyo se bach gaya)
(9) Gunah Se Bachna, Sab Se Badi NEKI Hai

Allah Hame Amal Karne Ki Taufeeq De. (AAMEEN)

No comments:

Post a Comment