Thursday 2 January 2014

Ramzan

• Ramzan Keh Raha Hai
====================

Ab waqt-e-judai hai mujhay alvida keh do.
Ab janay ka waqt hai mujhay alvida keh do.
Mei bakhshish ka zariya tha tumharay leay.
Dil ro raha hai magar ab alvida keh do.
Tumhei afsos to hoga meray janay par.
Aaunga lout k phir ab alvida keh do.
Tumharay liye rehmat ki wajah tumhari bakshish ka sabab.
kar lo khuda ko razi to mujheab alvida keh do.
Menay tumhei chalna sikha diya. manzilo ka pata bata dia.
Main na chal sakunga tumhray sath ab alvida keh do.


• Ramzan Ka Aakhri Ashra
=================

Aakhsri Ashra yaani aakhri ke 10 din.

Jab ramzan ka akhiri ashra shuru ho jata to Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasallam) apni kamar kas lete (yaani Allah ki ibadat
zyada karne ka irada kar lete) khud bhi puri raat jaagte aur gharwaalo
ko bhi jagaate
- bukhari

hame bhi chahiye ki puri raat jaag kar Allah ki ibadat kare,
shab-e-qadr bhi in 10 dino mein hi hoti hai, allah amal ki taufeeq de.
aameen



• Raahgir Ka Roza Khulwa Do
================

Bhaiyo-bahno, kisi na kisi wajah se bahut se log roze ka time hone par
bhi ghar nahi pahuch paate ya unko raaste mein roza khonlne ke liye
kuch nahi milta, zyada der se roza kholne se unka roza makrooh bhi ho
sakta hai, aese mein agar hum kisi highway, main road, ya kahi bhi is
tarah ke logo ka roza kholne ka intezaam kar den to humko bahut sawab
milega.

Hazrat Mohammed (sallallhu alaihi wasallam) ne farmaya - “Jo kisi
rozedar ka roza iftaar karwaye to usko bhi uskey barabar sawab milega
aur rozedar ke sawab mein kami bhi na hogi”.
[Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1746-Sahih]

Aap bhi Kar Sakte Hain (Isko Share Kariye Taaki zyada Se zyada Log Iss
Nek Kaam Ko Kar Sake)....Jab Magrib Ki Azaan ho rahi ho tab apne
nazdik se gujrane wale raaste par roza iftar ke liye, ghar ya masjid
ki taraf jaane waale logo ko kuch Khajoor, Fruits aur Paani pila kar
unka roza iftar karwa de...Allah aapko bhi uss rozedar jitna sawab
dega...

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.



• Etekaaf Mein Kya Karen aur Kya Na Karen
=========================

Etekaaf Kya Hai : Masjid mein ibadat ki niyat se rukna etekaaf kehlata hai.
Ramazan Mein Etekaaf : Ramzan mein 21vi raat se lekar chaand raat tak
masjid mein etekaaf kiya jata hai. Is beech masjid se bahar nahi aa
sakte. Etekaaf ka example aesa hai jese koi insan kisi ko manane ke
liye uske dar par beth jata hai, padh jata hai, aesa karne se sakht
dil insan bhi pighal jata hai, usi tarah etekaaf karne wala masjid
mein Allah ke dar par padh jata hai, taaki Allah usko maaf kar de, aur
Allah ki rahmat to insan ko maaf karne ke bahane hi dhundti hai.
Etekaaf mein bethne ke baad sirf bahur zaruri kaam jese wuzu, ghusl,
toilet wagerah ke liye hi masjid se bahar (masjid ke baramde) mein aa
sakte hain, aur haajat puri karke foran masjid mein chale jana
chahiye, inke alawa kisi dusre kaam se bahar nahi nikalna chahiye,
jisne aesa kiya uska etekaaf toot jaega aur usko iski kaza rakhna
padhegi. Etekaaf mein jo saath bethe hain unse bhi fizul baaten na
karen.
Aajkal dekhne mein aya hai ke kam umar ke ladke bhi etekaaf mein beth
jaate hain, ye acchi baat hai lekin kisi umar daraz insan ko un par
command rakhna chahiye, kyonke chhote bacche masti zyada karte hain,
aur etekaaf ki baato ka dhyan nahi rakhte.
Etekaaf mein bethne ke baad khoob ibadat karen, kaza-e-umri namaz
padhen (agar ho to), quran sharif ki tilawat karen, nafil namazen
padhen, Khoob Dua karen, Allah ka zikr karen, islam sikhen aur
sikhaen.

Allah hum sabko etekaaf mein bethne wala bana de. Aameen.



• Etekaaf Mein Bethne Ka Sawab
===================

Ramzan ka etekaaf -
Ramzan mein aakhri raato, 21vi raat se lekar chaand raat tak masjid
mein rahna etekaaf kehlata hai. Iska bahut sawab hai.
(1) Etekaaf mein bethne wala Allah ka mehmaan ban jata hai, socho
Mezbaan agar Allah hai to apne mehmaan par kitni rahmat aur barkat
farmaega.
(2) Etekaaf Mein Bethna hazrat Muhammad (sallallau alyhiwasallam) ki
sunnat hai, etekaaf mein bethne se sunnat ka sawab bhi milta hai
(3) Etekaaf mein bethne se humko shab-e-qadr (ramzan mein jaagne waali
raat) bhi mil jaati hai, is raat ka sawab 1000 mahino (84 saal) se bhi
badhkar hai.
(4) Etekaaf mein bethe wala ibadat to karta hi hai lekin uska letna,
bethna, khana-peena bhi sawab mein likha jata hai.
(5) Etekaaf mein bethne se insan duniya se door ho jata hai, isliye
yaha Allah ke nazdeek hona aasana hai.
(6) Etekaaf Mein betha insan masjid se bahar nahi nikal sakta, aese
mein masjid ke bahar waale sawab ke kaam mein hissa nahi le paata,
jese beemar ko dekhne jana, kisi ki mayyat mein shaamil hona, logo ki
madad karna wagerah, lekin etekaaf mein bethne walo ko aese kaamo ka
bhi sawab milta rahta hai
(7) Jo insan Allah ke liye ek din bhi etekaaf mein bethta hai Allah
uske aur dozakh ke beech 3 khaiyan kar deta hai, jiske beech ki duri
aasman aur zameen ki duri se bhi zyada hai, jab ek din ka itna sawab
hai to 10 din bethne par kitna hoga.
(8) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya jo 10 din
etekaam mein beththa hai usko 2 haj aur 2 umra ka sawab milta hai.

Aurat bhi apne ghar ke kone mein etekaaf ki niyat karke beth sakti hain.

Bhaiyo banho, hum kahi tourist place ya shadi mein jaane ke liye 10
din ki leave le lete hain, to kya itne faida ke dino ke liye nahi le
sakte, isme aetekaaf mein bethne ka sawab alag, shab-e-qadr mil jaaegi
wo alag, yaani sawab hi sawab.

Allah hum sabko etekaaf mein bethne wala bana de. Aameen.



• Zakaat Na Dene Ki Saza
===================

Zakat islam ki 5 buniyadi baaton mein se ek baat hai, aur zakaat dena
farz hai. Jo insan zakat nahi deta wo gunahgaar hai aur marne ke baad
aese logo ko bahut bada azab bhugatna hoga, Jiske pass sona ya chaandi
ho aur uski zakat na deta ho, aese insan ke liye kayamat ke din aag ki
takhtiya banai jaaegi fir unko dozakh ki aag mein garam karke uske
dono karwnato, peshaani, aur peeth par daagi jaaegi, aur jab ye thandi
ho jaaegi to phir garm kar li jaaegi.
Jo apne maal ki zakaat nahi deta, akehrat mein uske maal ko ek
zehrila, bada, ganja saanp bana diya jaaega aur zakat na dene waale ki
gardan mein daal diya jaaega, wo saanp uske dono jabde nochega aur
kahega, mein hi (duniya mein) tera maal tha, mein hi tera khazana tha.

Bhaiyo-bahno, thode se rupye bachane ke liye bhala itne bade-bade
azaab kon sahan kar sakta hai, aur humko to Allah ne jo maal diya hai
uska sirf 2.5% hi to zakaat mein dena hai, baaki 97.5% to apne pass hi
rakhna hai. Allah ke diye maal ko Allah ke hi kehne par na dena acchi
baat nahi.

Zakaat dene se Allah ka hukm pura hota hai aur humko sawab bhi milta
hai, zakaat se hamara saara maal paak saaf ho jata hai, Allah hamare
maal mein barkat deta hai, jis maal/sona/chaandi ki zakat di jaati hai
usko paani duba nahi sakta, chor chura nahi sakta aur aag jala nahi
sakti, Allah uski hifazat karta hai.

Allah har insan ko islam ko samajhne aur us par amal karne wala bana de. Aameen.



• Taraweeh Padhne Ka Sawab
=====================

Hazrat Muhammad (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa
Sallam) Ne Farmaya
Jo Ramzan Ki Raat Me Allah Ke Waado Par Yakeen Karte Hue Aur Uss Ke
Ajar Wa Sawaab Ke Shauk Me Namaz Padhta Ho Uss Ke Pichle Sab Gunaah
Muaf Ho Jaate Hai”.

(Bukhari Sharif)

Ramzan ki raat ki namaz se ulemaon ne yaha taraweeh ka matlab nikala hai.


• Kisi Ko Paani Se Bhi Roza Iftaar Karane Ka Sawab
===========================

Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne farmaya - jisne kisi
roza-daar ko iftari ke waqt paani pilaya to Allah (roze qayamat)
mere 'hauje kausar' se usko wo paani pilaega jiske baad jannat mein
jaane tak usko pyas nahi lagegi.

Mishkat Sharif : Istakbaliya, Khutba ki Tafseel : page-173,174

Bhaiyo-bahno aapne dekha ke sirf paani se bhi kisi ka roza khulwa dene
se kitna sawab hai to phir aap sochiye agar koi kisi ko acche se roza
iftaar karwa de ya pet bhar khana khila de to uska kitna sawab hoga.
Agar kisi ki itni hesiyat nahi ke wo zyada cheezo se iftaar karwa sake
to ek khajur hi khila de. Ya paani hi pila de.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.



• Ramzan Ka Mahina
=====================

Hazrat Muhammad (sallallahu 'alaihi wa sallam) ne farmaya jab ramadan
ka mahina ata hai to asmaan ke tamaam darwaze khol diye jate hai ,
jahannum ke darwaze band kar diye jate aur shayateen ko zanziro se
jakad diya jata hai.

Sahih Bukhari Vol. 3, Book 31, Hadith 123



• Sadqa (donation) kiya karo
===================

"Sadqa gunahon ko is tarah khatam kar daita hai jis tarah pani aag ko
buja daiti hai"
(TIRMIZI)



• Zakaat
=======================

Zakaat Dena Farz Hai aur ye islam ke 5 buniyaadi (basic) kaamo se ek
kaam hai. Zakaat dena apne maal/property ko paak karta hai.

Zakat Kya Hai - Islam ke hisab se ameer hain unko apni saal bhar ki
extra bachat/property ka 2.5% garibo ko dene hai, isi 2.5% amount ko
zakaat kahte hain, zakaat Allah ka hukm hai, yaani farz hai, isliye
zakaat na dene wala gunahgaar hoga.

Zakat Kis Par Farz Hai - Aesa muslim jiske pass 7.5 tola sona ya 52.5
tola chaandi ya agar thoda-thoda dono ho aur uski keemat itni ho jisse
52.5 tola chaandi kharidi ja sake ya itna nagad amount rakha ho jisse
52.5 tola chaandi kharidi ja sake, ya extra plot, property ho to aese
insan par zakaat farz hai.

Zakat Kisko Di Ja Sakti Hai - Zakat us garib momin ko di ja sakti hai
jo khud zakat nahi deta ho. Kisi ek insan ko itni zakat na di jaae ki
wo khud zakat dene wala ban jaae. Zakat ka amount dete time uski niyat
karna zaruri hai. Agar rishtedaaron mein koi garib hai to sabse pahle
usko zakaat den, kyonki isse dohra sawab milega, ek zakaat dene ka
dusra rishta nibhane ka. Madarse mein baccho ke khane ke liye zakat de
sakte hain.

Zakat Kisko Nahi De Sakte : Masjid Banane ke Liye, Madarsa Banane Ke
Liye zakat nahi de sakte, Isi tarah murda ke kafan-dafan ke liye ya
uska karz ada karne ke liye zakat nahi de sakte, iske alawa apne
maa-baap, dada-daadi, nana-naani, ya sage pota-paati, nawasa-nawasi ya
miya/biwi ko zakat nahi de sakte.

Ye zaruri nahi ke zakaat sirf ramzan mein hi di ja sakti hai, aap
chaho to saal mein kabhi bhi zarurat-mand ko zakat ka pesa dekar uski
madad kar sakte hain.

Allah hum sabko islam ke tariko par chalne ki taufik ata kare, aameen.



• Kin Logo Ko Roze Ka Sawab Nahi Milta
=========================

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
Bahut se rozdaar aese hote hain jinko roza rakhne ke baad bhi kuch
sawab nahi milta bas wo din bhar bhooke-pyase rahte hain. Aur bahut se
raat jaagne waale aese hain inko bhi raat jaagne ki takleef ke siwa
kuch nahi milta.

Is hadees mein 3 logo ki taraf ishara kiya gaya hai
(1) Wo insan jo roza to rakhta hai lekin roza iftaar haram kamai se
karta hai, aese insan ne jitna sawab roza rakhne se nahi kamaya usse
zyada gunah haram kamaai khane se mil gaya. Haram kamai apni bhi ho
sakti hai ya hum jiske yaha roza iftaar karne ja rahe hain uski bhi.
Isliye khud bhi haram kamai se bachiye aur agar kisi dusre ki bhi
haram kamai hai to uske yaha bhi roza kholne se bachiye. Kuch haram
kamai ye hain : Rishwat (bribe), byaz (interest), jua, satta, milawat,
jhoot bol kar maal bechna, dhoke se bechna, chori wagerah).
(2) Wo insan jo roza to rakhta hai lekin roze mein kisi ki ghibat
(pith piche burai) karta hai. Iska roza bhi kuch faida nahi deta. Aur
ye gunah bahut zyada log karte hain, isliye isse bachna bahut zaruri
hai.
(3) Teesra wo insan jo roza rakhne ke baad bhi gunaho se nahi bachta,
jese jhoot, gaali, jhagda, chugli, parai aurat ko dekhna, music sunna,
naach dekhna, kisi ka dil dukhana wagerah.

Isi tarah kuch log jaagne waali raato ko jaagte hain lekin unka jaagna
unko faida nahi deta. kyonke aese log Allah ki ibadat karne ke liye
nahi jaagte, balki yaha-waha ghoomte phirte hain, masti karte hain, ya
logo ko dikhane ke liye jaagte hain, aese logo ka raat ka jaagna bhi
kuch sawab nahi deta hai balki agar raat jaagte hue kuch guanh kar
diye (jhoot, gaali, ghibat, wagerah) to iska gunah hi miega.

Upar jo gunaho se bachne ki baat batai gai hai wo sirf ramzan ke liye
nahi balki puri zindagi ke liye hai.

Allah hum sabko gunaho se bachne ki taufik ata kare, aura hamare rozon
ko kubul kare. aameen.



• Ramzan Mein Apne Nokar (servant)
Ke Kaam Ka Bhoj Halka Kar do.
============================

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - Jo insan
ramzan ke mahine mein apne nokar (jo rozdaar ho) ke kaam ka bhoj halka
karega, Allah us insan ko maaf kar dega aur usko dozakh se azadi dega.


• Roza Kin Cheezo Se Kharab Ho Jaata Hai
========================

Roza Allah ke azab se bachata hai
Roza Dozakh Ki Aag se bachata hai

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwsallam) ne farmaya - Roza insan ke
liye dhaal (shield) hai jab tak wo usko faad na daale.
Dhaal ka istemaal hum dushman se bachne ke liye karte hain, thik wese
hi roza hamari shaitan se hifazat karta hai.
Ek sahabi (radi allahu anhu) ne pucha ke roza kis cheez se fatt jata
hai, is par Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwsallam) ne farmaya -
Roza Jhoot aur Ghibat (Pith piche burai karne se) fatt jata hai.

Allah hum sabko Jhoot aur Ghibat jese bade gunaho se bachae. Aameen.



• Roza Mein Gunaho Se Bacho
==========================

Roza dozakh (hell) ki aag se dhaal hai, aur jab koi roza rakh le to to
kharab baat kare, na fizul ki baaten kare, na kisi se jhagda kare,
agar koi humse jhagda kare ya kharab baat kare to usse keh do ke mein
roze se hoon
- bukhari - jild 1, page 624, hadees 1894



• Sehri Khane Ke Faide
===================

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - farishte aur
khud Allah sehri khane waalo par apni rahmat farmata hai, Allah ka hum
par kitna ehsaan hai ke ramzan mein hamare khane ko bhi sawab ki cheez
bana diya, lekin kuch log kaahili/susti ki wajah se sehri khane uthte
hi nahi aur is sawab se mehrum rah jaate hain.

Hazrat Muhammad (sallallahy alyhiwasallam) ne farmaya - Musalmano aur
dusri aasmaani kitaab waalon ke roze mein sehri khane ka hi fark hai
kyonke wo sehri nahi khaate.

Hazrat Muhammad (sallallahy alyhiwasallam) ne farmaya - Sehri khaya
karo kyonke isme barkat hai. Aap jab kabhi kisi sahabi ko sehri khane
bulate to farmate "Aao barkat ka khana kha lo"

Hazrat Muhammad (sallallahy alyhiwasallam) ne farmaya -
Sehri kha kar roze ko aasan karo, (kyonke zyada bhook lagne par ibadat
mein bhi dil kam lagta hai) aur dophar mein thoda sokar raat ke aakhri
pahar mein uthkar Allah ki ibadat kiya karo, kyonke is time Allah
saatwen aasaman se pehle aasmaan par aa jata hai aur apne bando ki
duaen khaas taur par sunta hai. Lekin afsos hum log us time sote rahte
hain.

Hazrat Abdullah (radi allahu anhu) se riwayat hai ke mein ek baar
Hazrat Muhammad (sallallahy alyhiwasallam) se milne gaya to aap us
time sehri kha rahe the, aapne farmaya - Ae Abdullah, sehri barkat ki
cheez hai, jo Allah ne tumko ata ki hai, isko mat chhodna.
Hazrat Muhammad (sallallahy alyhiwasallam) ne farmaya -
Sehri zarur khaya karo chahe to ek khajur hi kha lo ya ek ghoont paani hi pi lo.

In hadeeson se humko sehri khana kitna zaruri hai ye pata chalta hai
aur sawab to he hi. Jo nahi khate hain ab khana shuru kar den aur jo
khate hain wo ye niyat karke khaen ki hum ek sunnat ada kar rahe hain,
isse sawab aur badh jaaega. Lekin yaad rakhen ke sehri mein zyada bhi
na khaaen ke din bhar acidity aur khatti dakaare aati rahen.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.



• Roza Kabar Ke Azaab Se Bachata Hai
========================

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - Jab kisi insan
ko kabar mein dafnaya jaata hai, agar wo momin hai to uske acche kaam
jese roza, namaz wagerah usko gher lete hain. Jab (azab ke) farishte
namaz waali side se uske pass aana chahte hain to namaz unko rok deti
hai aur jab roza waali side se aana chahte hain to roza unko rok deta
hai.

Allah hamari bhi kabar mein hifazat farmae, Aameen.



• Ramzan Mein Dua Jaldi Kubul Hoti Hai
=============================

Ramzan ke mahine mein Allah apne bando par khaas rahmat naazil karta
hai aur uski duaon ko sunta hai, wese to poore ramzan mein hi duaen
kubul hoti hain lekin roza iftaar karne se pahle ka jo time hota hai
(yaani maghrib ki azaan se 15-20 pahle ye time shuru ho jaata hai) ye
time duaon ke kubul hone ka khaas time hota hai, is time Allah hamari
dua zarur sunta hai, lekin ye keemti time hum iftaari tayyar karne
mein ya khane-peene mein gawa dete hain.
(1) Is time Allah arsh ko uthane waale farishto ko hukm deta hai ke
apni-apni ibaadat ko chhodkar rozdaaro ki duaon par aameen kaho.
(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke har raat
ko ek farishta pukaarat hai ke, Ae bhalai ke talash karne wale, dhyan
de aur aage badh, aur ae burai ko pasand karne waale, bas kar aur
aankhe khol, iske baad farishta phir kehta hai, he koi maghfirat
(maafi chahne wala) jiski maghfirat ki jaae, he koi tauba (gunaho se
maafi chahne wala) jiski tauba ko kubul kiya jaae, he koi aur bhi kuch
maangne wala jiski dua kubul ki jaae.
(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke Ramzan
mein har din Allah ke yaha se dozakh ke kedi chhode jaate hain aur har
insan ki kam se kam ek dua roz kubul ki jaati hai.
(4) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke 3 insano
ki dua kabhi bhi khali nahi jaati (a) rozdaar ki iftaar ke time, (b)
insaaf karne waale baadshah ki dua (c) mazloom (laachaar-majboor) ki
dua, in logo ki duaen Allah baadalon se upar utha leta hai aur aasaman
ke darwaaze inke liye khol diye jaate hain aur Allah farmata hai ke
mein teri zarur madad karuga
(5) Hazrat Aaesha (radi allahu anha) farmati hain ke jab ramzaan aate
the to Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) bahut fikarmand ho
jaate the aur namaz zyada padhne lagte the aur duaon mein bahut aajizi
(requesting) ho jaate the aur Allah ka khauf dil mein aa jaata tha.

Yaad rakhiye ke hum jo dua maangte hai Allah uske badle 3 kaam karta
hai, (1) jo humne dua maangi, Allah usko wesa ke wesa hi pura kar deta
hai (2) Jo humne maanga, agar wo hamare haq mein accha nahi hai to
Allah uske badle koi dusri acchi cheez humko de deta hai ya agar koi
pareshani aane waali hoti hai to us dua ke badle us pareshani ko hata
deta hai (3) Agar ye dono kaam bhi Allah nahi karta to hamari dua ke
badle dher saari nekiya de deta hai, jab mar kar Allah ke yaha insan
jaega aur apni dua ke badle nekiya dekhega to kahega, kaash meri
duniya mein ek bhi dua kubul na hui hoti.

Bhaiyo-bahno is mahine ki keemat ko samajhiye aur Khoob dua kariye.
Allah hum sabki jayaz tamannaon ko kubul kare, Aameen.



• Roza Mein Ye Kaam Zyada Kariye
====================

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - Ramzan mein ye
4 kaam zyada karna chahiye, jisme se 2 Allah ko raazi karne ke liye
hain, ye 2 kaam pehla kalima aur astagfaar hain,
(1) Kalima - "La ilaha il-lal-la muham madur rasul lul-lah"
Hadees mein isko sabse accha zikr maana gaya hai, Agar saato aasmaan,
saaton zameen aur inme rahne waale (insan, jinnat, farishte, chaand,
suraj, pahad, nadi, samandar wagerah) ek tarazu mein rakh diye jaaen
aur ek taraf ye kalima rakha diya jaae to kalima waala palda bhari ho
jaega. Ramzan mein chalte-firte jab bhi time mile is kalima ko padhte
rahiye.
(2) Astaghfaar (Allah se apne gunaho ki maafi) - "Astagh firulla hal
lazi la-ilaha illa huwal hayyul qayyum wa atubu ilyh".
Hadees mein aya hai ke jo shaks astaghfaar ko khoob padhta hai Allah
har tangi se uske liye raasta nikaal deta hai, aur har dukh ko door
kar deta hai, aur uske liye aesi jagah se rozi (income) pahuchata hai
jaha se us insan ko gumaan bhi nahi hota. Insan gunahgaar to hota hai
lekin accha gunagaar wo hai jo apne gunaho ki Allah se maafi maangta
rahe, aur us gunah ko dobara na karne ka pakka irada kare, agar insan
gunaho se maafi nahi maangta to har gunah ke badle uske dil par ek
kaala nukta lag jaata hai, aur dheere-dheere uska pura dil kaala ho
jata hai, jisse phir usko gunah ka kaam bhi gunah nahi lagta.

aur dusre 2 kaam apne faide ke liye hain, ye 2 kaam hain dozakh se
panah maango aur jannat ki dua karo.
Jab bhi hum dua mein jannat maange to Jannatul Firdaus Maange kyonke
jannat ke saare darjo mein se jannatful firdaus sabse bada darja hai.

Upar batae 4 kaam poore ramzan kariye,
(1) Kalima khoob padhiye (2) Astaghfaar Khoob Kariye (3) Allah se
Jannat Maangiye (4) Dozah se Allah ki Panah Maangiye.

Allah hum sabko in 4 baato par amal karne ki taufik ata kare, aameen.



• Roza Mein Gunaho Se Bachiye
======================

Roza Allah ki ibadat ka ek tareeka hai, Lekin sirf bhuka aur pyasa
rahne ka naam Roza nahi hai, balki roza poore badan ka hota hai, jese
aankh ka roza, kaan ka roza, zuban ka roza, haath ka roza, per ka roza
wagerah.
(1) Aankh ka roza matlab apni aankh ko parae mard ya parai aurat ko
dekhne se bachao, hamari aankh kuch buri cheez na dekhe,
(2) kaan ka roza matlab hamare kaan kisi dusre ki burai (ghibat) na
sune, music na sune,
(3) zuban (jeebh) ka roza matlab hum kisi ki peeth piche burai
(ghibat) na karen, jhoot na bolen, chugli na karen, gaali na den, kisi
ko kadwi baat na bolen, taana na den, dil na dukhaen,
(4) haath ka roza matlab kisi par hamare haath zulm na karen,
(5) per ka roza matlab hamare per bure kaamo ki taraf chal kar na jaaen.
Roza mein bhooke pyase rahne ke alawa in upar batae gunaho se bachna
bhi zaruri hai tabhi hum roze ke maqsad (aim) tak pahuch sakte hain.
Aur Allah bhi aese hi roze ko pasand karta hai jisme gunaho se bacha
gaya ho.
Yaha par ye baat dhyan dene ki hai ke sirf roze mein hi upar batae gae
gunaho se nahi bachna hai balki puri zindagi in gunaho se bachna hai.
Aajkal TV har ghar mein hai jiski wajah se insan roze mein bhi kuch
gunaho se nahi bach pata, jese music islam mein haram hai lekin TV ke
zariye rozdaar bhi music sun raha hai, parai aurat/mard ko naachte hue
dekh raha hai, vulgar (sexy) scene puri family ke saath beth kar dekh
raha hai. Kam se kam ramzan mein to TV ko band rakhna chahiye.
Allah hum sabko gunaho se bachte hue roza rakhne ki taufik ata kare, Aameen.

No comments:

Post a Comment