Thursday, 2 January 2014

Ramzan

• Ramzan Ki Taraweeh
=====================
Allah ne ramzan ke roze farz kiye aur taraweeh ko sunnat kiya, isse ye
maalum hua ke taraweeh ka hukm bhi khud Allah ki taraf se hai. Dusri
hadeeso mein hai ke hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne
farmaya ke maine taraweeh ko sunnat kiya, is baat se hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasallam) ne taraweeh padhne ki taakid farmai hai.
Bahut se log samajhte hain ke jaha taraweeh mein 8-10 din mein quran
poora kar liya jata hai, waha taraweeh padh lene ke baad taraweeh ka
haq ada ho jaata hai, ab bhale hi bache hue dino mein taraweeh na
padhi jaae to bhi thik hai, to un logo ko ye samajhna chahiye ke quran
ka pura sunna ek alag sunnat hai aur taraweeh ka poore ramzan padhna
ek alag sunnat hai. Isliye koi 8-10 mein quran khatam karne waali
taraweeh bhi padh le to bhi usko bache hue dino mein taraweeh padhna
zaruri hai.
Wese 8-10 din mein quran pura karne waali taraweeh un logo ke liye
behtar hai jo zyada sawab kamana chahte hain ya unko business/job ke
silsile mein bahar jana hota hai, kyonke wo 8-10 din mein pura quran
sun lete hain phir jaha unko time mile taraweeh padh li.
Bahut se log ye bhi samajhte hain ke 27wi shab ko quran pura hone ke
baad taraweeh nahi padhna hai, jabki us din to quran pura kiya jata
hai lekin taraweeh to eid se ek din pahle tak padhna hai.

Allah hum sabko poore ramzan taraweeh padhne ke taufik ata kare. Aameen.



• Ramzan Mein Quran Sharif Ki Tilawat Karo
=============================
Allah ne sabhi aasmani kitabe is paak mahine mein hi utaari hain, aur
quran ko bhi isi mahine mein loh-e-mehfuz se aasmaan-e-duniya mein
utara gaya, aur phir waha se dheere-dheere 23 saal mein is duniya mein
bheja gaya. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) bhi pura quran
hazrat Jibrail (alyhissalam) se sunte the, aur kinhi hadeeso mein aya
hai ke Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) se Jibrail
(alyhissalam) sunte the. Baat jo bhi ho lekin isse ye pata chala ke is
mahine mein quran sharif padhne, sunne-sunane ki kitni ahmiyat hai.
Isliye ramzan mein kam se kam 1 quran sharif to pura kariye.
Quran sharif padhne par har huruf par 10 neki hai jese Aleef laam
meem, isse 30 neki mil gai, lekin isko ramzan mein padhenge to iska
sawab Allah 70 guna tak badha dega.
Aur quran sharif padhne ke saath-saath uska tarjuma aur tafseer bhi
padho, kyonke quran ka asal maqsad to usse hidayat paana hi hai. Agar
kahi samajh na aaye to kisi aalim ki help le lo.
Ramzan bahut hi keemti mahina hai, jitna faida utha saken uthaiye,
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.


• Ramzan Ka Mahina (Zarur Padhiye)
=======================
Hadees Ka Mafhoom -
Hazrat Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) ne shaaban ke mahine mein
sahaba (radi allahu anhum) se farmaya -
Tumhare upar ek mahina aa raha he, jo bahot bada mahina he, jo bahot
mubarak mahina he, isme ek raat he (shabe qadr) jo hazaro mahino se
badhkar he.
ALLAH ne (ramzan ke) rozo ko tum par farz kiya aur uske raat ke qiyaam
(yaani taravih) ko sawab ki cheez banaya hai.
Jo shakhs is mahine mein kisi neki ke saath ALLAH ka qurb hasil kare,
(yaani ibadat kare) to esa hai jesa ke gair ramadan me farz adaa kiya
aur jo farz ko adaa kare, wo esa he, jese k gair ramadan me 70 farz
adaa kare. (yaani ramzan mein har ibadat ka sawab aam dino se 70 guna
zyada badh jaata hai)
Ye mahina sabar ka he aur sabar ka badla jannat he, aur ye mahina logo
ke saath gam-khwari (sukh-dukh baatne) ka mahina he, is mahine me
momin ka rizk badha diya jata he.
Jo shakhs kisi rozedar ko iftaar karae, uske liye gunaho ke maaf hone
aur aag (dozakh) se khalasi ka sabab hoga aur rozdaar ke sawab ki
barbar hi usko bhi sawab hoga, magar us rozdaar ke sawab me kuch kam
nahi kiya jayega. Sahaba (radiyallahu anhum) ne arz kiya ! ya
rasulallah (sallallahu alayhi wasallam) ham mein har shakhs to itni
hesiyat nahi rakhta ke rozdaar ko iftaar karae, to aap (sallallahu
alayhi wasallam) ne farmaya (pet bhar khilana zaruri nahi) ye sawab to
ALLAH ek khajur se iftaar karwane par bhi de deta hai ya ek ghoont
paani hi pila dene par bhi de deta hai (yaani Allah hamari niyat ko
dekhta hai, aur uske hisab se sawab deta hai, agar humne bade-bade
programme kar diye lekin usmein hamari niyat taarif aur wah-waahi
paana thi to uska koi sawab nahi milta).
Jo shakhs kisi rozdaar ko paani pilae, haq Allah qayamat ke din meri
hoz se usko esa paani pilaega ,jis ke baad jannat me dakhil hone tak
pyaas nahi lagegi.
Ye esa mahina he ke iska pehle hissa (1 se 10 din) rahmat (blessings)
he, dusra hissa (11 se 20 din) magfirat (gunaho ki maafi) ka he or
teesra hissa (21 se 30 din) aag (dozakh) se aazadi he.
Jo shakhs is mahine mein apne nokar (servant) (jo rozdaar hai) uske
kaam ke bhoj ko halka kar de, to Allah uski (maalik ki) magfirat (usko
maaf kar deta hai) farma deta he aur aag (dozakh se) aazadi farma deta
he.
4 chizo ki isme kasrat rakkha karo, (zyada se zyada kiya karo) jin me
se 2 chize ALLAH ki raza ke liya or 2 chize esi he jinse tumhe
char-e-kar nahi (2cheeze hamare liye hain). Pehli 2 chize jinme tum
apne rab ko raazi karo , wo kalima-e-tayyabah (pehla kalima) aur
istigfar ki kasrat hai aur dusri 2 chize ye he ke jannat ki talab karo
or aag (dozakh) se panah mango, (jab bhi jannat ki dua maango to
jannatul firdaus maanga karo, kyonki ye sab jannato mein sabsi badhi
jannat hai)

Bhaiyo-bahno, agar itna kuch jaan lene ke baad bhi koi ramzan mein
roza aur ibadat na kare to usse badhkar koi bad-naseeb nahi.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.



• Kisi Ko Roza Iftaar Karane Ka Sawab
===========================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - jo insan apni
halal income se ramzaan mein roza iftaar karae, us par ramzaan ki
raaton mein farishte rahmat bhejte hain, aur shab-e-qadr mein jibrail
(alyhissalam) usse musaafa karte hain, aur jisse hazrrat jibrail
(alyhissalam) musafa karte hain (ye baat us insan ko to pata nahi
chalti lekin) uski pehchaan ye hai ke us insan ke dil mein rikkat peda
hoti hai aur aankho se aansu behte hain (subhanAllah)

Roza iftaar karane ki badi ahmiyat hai, roza iftaar karaane ke liye ye
zaruri nahi ke koi bada hi programme kiya jaae, jesi hamari hesiyat ho
wesa programme kar den. Kyonki Allah ko dikhawa bilkul pasand nahi aur
jisne dikhawa karne ke liye aur taarif paane ke liye roza iftaar
karwaya to usko sawab kuch nahi milega. Agar chhota programme bhi na
kar saken to 2-4 logo ko bhi iftaar karwa dena bahut sawab ka kaam
hai.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.



• Sehri (Suhur) Khane Ke Faide
===================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab ye
hai ke) -
Sehri mein barkat hai, isko hargiz na chhodo, agar kuch nahi to us
time paani ka ek ghoot hi pi lo, kyonke sehri mein khane-pine waalo
par Allah raham farmata hai aur farishte uske liye kher ki dua karte
hain.

Bhaiyo-bahno, bahut se log aese bhi hain, jo roza to rakhte hain lekin
susti aur kaahili ki wajah se sehri khane nahi uthte, jo aesa karte
hain wo ek sunnat ko chhod dete hain, aur sehri kahne ke faide to
aapne upar padh hi liye, isliye agar sehri mein kuch khaya na jaae to
kam se kam paani ya chaay hi pi lo, kam se kam sunnat to ada ho jaaegi
aur sawab alag milega.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.



• Roza Khajur Se Khola Karo
=====================
(1) Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya :
Khajoor Se Roza Kholo Aur Agar Khajoor Na Mile Toh Paani Se Roza
Kholo, Isliye Ki Wo Paak Hai.
(Abu Dawoòd, Tirmizi)

(2) Hazrat Anas (Radhi Allahu Anhu) Bayaan Karte Hain Ke Hazrat
Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Namaz Se Pehle Taaza Khajooro'n
Se Roza Kholte The, Agar Taza Khajoore Na Milti To Sookhe Khajooro'n
Se Roza Kholte Aur Agar Sukhi Khajoore Na Hoti To Chand Ghoont Paani
Pee Lete The.
(Abu Dawood , Tirmizi)


• Iftaar Se Pahle Ka Time Kharab Na Karo
==============================
Aksar dekha jaata hai ke log Iftar ke time tak bazaar mein Iftari
kharidte rahte hai... Maghrib ki azan se pahle (IFTAR se pehle) ka
time dua ke kubul hone ka, bada hi keemti time hota hai, ALLAH is time
Bando par khaas taur par dhyan deta hai aur Duaen Qubul karta hai...
Aur farishton se hukm deta hai ke mere bande ki dua par aameen kaho,
samandar ki machhliya bhi rozdaar ki is time ki dua par aameen kahti
hain, aur agar hum is keemti time ko bhi bazaar mein barbaad kar den
to hamara hi nuksaan hai. Islye agar ho sake to kharidaari ASAR se
pehle kar len, Aur mahgrib ki azaan se pahle DUA mein lage rahiye...

Isi tarah auraten bhi iftaar ke time tak kuch na kuch pakati rahti
hain, isliye koshish kariye azan se kam se kam 30 minute pahle aapke
saare kaam khatam ho jaaen aur iftaar se pahle ka keemti time aap dua
maangne mein guzaren.

Allah hum sab ko amal karne ki taufeeq ata farmaye. Aameen.



• Iftaar (Roza Kholne) mein jaldi kiya karo
==============================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi wasallam) ne farmaya -
Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair (bhalai) baaqi rahegi jab
tak wo iftaar mein jaldi kartey rahenge
- Sahih Bukhari, Volume 3, 1957

matlab ye ke jese hi azan ki awaz aae wese hi roza khol lena chahiye,
chahe kahi bhi busy hon, roza pehle khol len. Roza Kholne mein der
karna accha nahi hai.
Agar aesi jagahn hon jaha azaan ki awaaz nahi aati ho to time dekh kar
roza khol lijiye.



• RAMZAN
=======================
R-Roza Rakho
A-Allah Se Daro
M-Masjid Ko Jao
Z-Zakat Adaa karo
A-A’maal Ache Karo
N-Namaz Parho


• Agar Galti Se Roze Mein Kuch Kha Liya To?
===========================
Hazrat Muahammad (sallallahu 'alaihi wa sallam) ne farmaya -
jab koi bhool gaya aur kuch khaa pi liya toh isse chahiye apna roza
pura kare kyuke is ko Allah ne khilaya aur pilaya hai.

Sahih Bukhari Vol. 3, Book 31, Hadith 154

Bhaiyo-bahno iska matlab ye hai ke agar kisi ka roza tha aur usne
galti se kuch kha-pi liya to uska roza kharab nahi hota, lekin jese hi
roze ka dhyan aaye khana-pina chhod de, muh mein niwala/lukma ho to
bahar thook de, paani muh mein ho to bhar thook de, kyonke dhyan aane
ke baad agar gale ke neeche utaar liya to roza kharab ho jaayega.
Lekin jab tak yaad na aya tab tak chahe pet bhar kar bhi kha-pi liya
to roza kharab na hua. Ye khana-pina Allah ki taraf se hota hai.

Allah hamare rozo ki galtiyo ko maaf kare, aur hamare rozo ko kubul farmaye.



• Ramzan Ka Mahina Aane Par Kya Hota Hai?
====================================
Hazrat Muhammad (sallallahu 'alaihi wa sallam) ne farmaya - jab
ramadan ka mahina ata hai to asmaan ke tamaam darwaze khol diye jate
hai , jahannum (hell) ke darwaze band kar diye jate aur shayateen ko
zanziro se jakad diya jata hai.

Sahih Bukhari Vol. 3, Book 31, Hadith 123


• Neki Kamane Ka Mahina
==========================
Ramzan ME 1 FARZ ADAA KARNE KA SAWAB 70 FARZ Adaa karne Ke BARABAR
Hai, aur EK NAFIL ADAA KARNE KA SAWAB EK FARZ K BARABAR HE.

Allah humko is mahine ki azmat ko samajhne wala bana de, Aameen.



• Ramzan Mein Kya Kare Aur Kya Na Kare
======================================
Ramzan ME ALLAH KA Khoob ZIKAR KARE, ALLAH SE Apne gunaho ki maafi
maange, ALLAH KI RAZA HAASIL KARE, KAM SE KAM 1 QURAAN PURA KARE. SAAL
ME 2 MARTABA QURA'AN PADHNA WO QURA'AN KA HAQ HE. USME SE EK RAMADAN K
MAHINE ME OR EK RAMADAN K ALAVA.. WESE TO JITNA PADHNA HO PADH SAKTE
HE
LeKIN 1 quran sharif JARUR pura kare. TARAVEEH EK BHI NA CHODE, puri
20 rakaat tarweeh padhen, 5 TIME KI NAMAZ BA-JAMA'AT ADAA KARE,
ZIYADAH SE ZIYADAH DURUD SHARIF PADHE. IBADAT ZIYADAH SE ZIYADAH KARE.
AGAR IBAADAT zyada busy hone ki wajah se zyada na ho sake to KAM SE
KAM GUNAH TO NA KARE. Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.



• Roze Mein Kya Nahi Karna Chahiye
=========================
Hazrat Muhammad (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya -
Roza Dozakh (hell) se bachnee ke liye ek dhaal hai isliye ( jo rozedar
ho) wo na to biwi se humbistari kare aur na fahash (buri) aur jahalat
ki batein kare aur agar koi shaksh us se ladey ya usey gaali de to
uska jawab sirf ye kahna chaahiye ki main Rozedar hun. Do baar (kahe)
, us zaat ki kasam jiskey haath mein meri jaan hai Rozedar ke munh ki
Bu Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi zyada pasandeeda aur
pakeeza hai (Allah farmata hai) banda apna khana peena aur apni
Shahwat meri liye chodta hai, Roza mere liye hai aur main hi iska
badla dunga aur nekiyon ka sawab bhi asal neki ke 10 guna hota hai
(dusri hadeeso mein 70 guna bhi aya hai)

Sahih Bukhari, Vol 3, 1894


• Roza
============================
Assalamu alaikum. kal ya parsu se Ramazan ul Mubarak ka mahina shuruu
hone jaraha hai. Isme ek neki ka sawab 70 guna(times) badha diya jata
hai. Ek nafil ka sawab ek farz ke barabar milta hai aur ek farz ka 70
faraiz ke barabar. Ye mahina Nekiyan kamane ka mahina hai.

Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne Is mahine ke bade fazael
bayan kiye hain aur Riwayaat me aata hai ke Tez hawa se ziada ap
sallalallahu alaihi wasallam is mahine ke aakhri ashre me Bhalai karne
me tez hojaya karte the.

ek hadees ka mafhoom hai jisme Allah ke rasool sallallahu alaihi
wasallam ne farmaya

Roza Dhaal hai.Jab tumme se koi Roza ho to Behayai ki baten na kare or
Shor na kare.Agar koi Use Gaali de ya usse Ladai Jhagda kare to kehde
ME ROZE DAR HU.
(BUKHARI)

FB jitna rozana istemal karte hain utna waqt Quran paak ki tilawat me
den. ye wahi mahina hai jisme Quran naazil hua.

har lamha iska qeemti banayen waqt ko zaaya na karen aur khussoosan
jhagde bahes kar ke apne Qeemti auqaat ko zaya na karen.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.


• Ramzan ka Mahina
=======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
Agar Logo Ko Maalum Hota Ke Ramzan Kya Hai To Meri Ummat
Tamanna Krti ke Kaash, Pura Saal Ramzan He Ho

[ibne Khuzaimah Jild,3 Page,190]


• रोज़ा के प्रभाव ( Effects of Roza )
======================================
आध्यात्मिक उत्थान व आत्मिक शान्ति :--------
एक दो दिन नहीं, चार छः दिन भी नहीं बल्कि पूरे 29 (या) 30 दिन, आसान व
नर्म मौसम में ही नहीं बल्कि मई-जून के बेहद सख़्त गर्म मौसम में भी (14
घंटे तक) इस विचार से भूखे-प्यासे रहना कि ‘यह अल्लाह का हुक्म है’
आध्यात्मिक उत्थान का एक बड़ा प्रबल साधन और आत्मिक शान्ति का बड़ा
सक्रिय माध्यम बनता है।

चरित्र-निर्माण :--------
इस माह में रोज्दार, रोज़ा के टाइम में एक बूँद पानी भी नहीं पीता, चाहे
कितनी भी गर्मी पढ़ रही हो, अगर वो एकांत में खा-पी भी ले तो किसी इन्सान
को पता भी न चले, और सब समझे के ये रोज्दार ही है, लेकिन रोज्दार ऐसा
नहीं करता, ये बात ईश्वर के समक्ष उत्तरदायित्व का जो भाव और विश्वास
उत्पन्न करती है और इसे दृढ़ करती है वह जीवन व्यतीत करने की आम अवस्थाओं
में भी मनुष्य को उत्तरदायित्व (Accountabity) के गुण से सम्पन्न करता
है। और यह गुण उसके चरित्र-निर्माण में महत्वपूर्ण भूमिका निभाता है।

आदेश है कि रोज़े की हालत में पत्नी/पति से संभोग मत करो। इससे उस
कामुकता, वासना तथा यौन-उत्तेजना को क़ाबू में रखने का आत्मबल उत्पन्न
होता है जो बेक़ाबू हो जाने पर व्यक्ति और समाज को तबाही की गहरी खाइयों
में गिरा देती, और चरित्रहीनता की गन्दगियों में लिप्त कर देती है।

परहित और समाज-सेवा :--------
प्रेरणा दी गई है कि रोज़े के दिनों (रमज़ान के महीने) में परहित के
कामों में अग्रसर हो जाओ। भूखों को खाना खिलाओ, ग़रीबों की मदद करो,
अबलाओं, विधवाओं, असहायों, अनाथों, बीमारों की आर्थिक सहायता करो।
तुम्हारी जीवनशैली स्वकेन्द्रित (Self Centred) नहीं होनी चाहिए। इस
महीने तुम जो कुछ भी नेक, अच्छा, परहित और समाज-सेवा का काम करोगे उसका
पुण्य (और परलोक जीवन में पुरस्कार) आम महीनों और दिनों की तुलना में
तुम्हें 27 से 70 गुना तक अधिक मिलेगा।

आदेश है कि गुनाहों के प्रायश्चित के लिए ईद-उल-फ़ित्र (जो रमज़ान ख़त्म
हो जाने के अगले दिन आती है) की (सामूहिक) नमाज़ अदा करने से पहले-पहले
ग़रीबों को दान (सदक़ा-ए-फ़ित्र) दो। यदि ऐसा न करोगे तो तुम्हारे 29/30
दिन के रोज़े, अल्लाह के यहाँ स्वीकार्य होने से वंचित (Unacceptable)
रहेंगे। इस दान की न्यूनतम मात्रा भी निश्चित कर दी गई है।

यह एक महीने के रोज़ों की अनिवार्य इबादत, दरअस्ल इस्लामी जीवन-व्यवस्था
में, एक आध्यात्मिक, नैतिक, शारीरिक व सामाजिक प्रशिक्षण-व्यवस्था
(Refresher Course, Crash Training Programme) है ताकि व्यक्ति, समुदाय व
समाज को अगले ग्यारह महीनों के लिए उच्च मानवीय मूल्यों एवं चारित्रिक
सदगुणों से लैस कर दिया जाए।

नोट: कृपया यहाँ ध्यान दीजिये के अच्छे काम करने की आज्ञा सिर्फ रमजान के
लिए ही नहीं है, बाकी के ११ महीनो में भी इस महीने की ही तरह अच्छे काम
करना है और बुरे कामो से बचना है. जो साल भर अच्छे काम करते हैं वो तो
अपनी जगह हैं ही, लेकिन जो नहीं करते उनकी इस महीने प्रैक्टिस हो जाती है
ताकि वो भी साल भर ऐसे काम कर सकें.

रोज़ा का असली उद्देश्य सिर्फ भूखा-प्यासा रहना नहीं है, बल्कि अपनी
इच्छाओ को ईशवर की इच्छा के आगे समर्पित करना है और ईशवर की इच्छाएं कभी
हमारे लिए गलत नहीं हो सकती.


• Roza Saari Ibadato Ka Darwaza Hai
=======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska mafhum ye hai ke)
Roza saari ibadato ka darwaza he yaani roze ki wajah se dil roshan ho
jata hai jiski wajah se dusri ibadat me bhi maza aane lagta ??



• Jannat Ke Darwaze 'Rayyan' se Sirf Rozedaar Jaayega
=================================
HAZRAT MOHAMMAD (SALLAL-LAHU'ALHE-WASALLAM) Ne Farmaya:
Jannat Ka Ek Darwaza Hai Jise 'Rayyan' Kehte Hain.. Qayamat Ke Din Us
Darwaze Se Sirf Roze-Daar Hi Jannat Me Dakhil Honge,Unke Siwa Or Koi
Usme Se Nahi Dakhil Hoga. Pukara Jaye Ga Ke RozeDaar Kahan Hai? Wo
Khade Ho Jayenge Unke Siwa Usse Or
Koi Nahi Andar Jane Paye Ga Or Jab Ye Log Andar Chale Jayenge To Yeh
Darwaza Band Kar Diya Jaye Ga, Phir Usse Koi Andar Na Ja
Sakega.

SAHIH BUKHARI -(Volume 3, Book 31, Number 1896)

Ae Allah, hamara naam bhi is darwaze se pukara jaaye, Aameen.


• Roza Rakhne Waale Se Allah Ki Mohabbat
=================================
Ek baar Musa (alyhissalam) ne Allah se pucha "Ae Allah, tune mujhe ye
izzat bakshi hai ki mein tujhse direct baat kar sakta hu, kya tune ye
khaas baat kisi dusre ko bhi di hai?
Allah ne farmaya - Ae Musa, aakhri time mein main ek ummat ko bhejuga,
jo Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki ummat hogi, uske
(roza rakhne ki wajah se) sukhe hont, acchi baat kehne waali zaban,
kamzor badan, kamzori se dhansi hui aankhe, sukha kaleja, bhooka pet
hoga, wo mujhe puka-renge (dua mein) to wo mere bahut zyada kareeb
honge, tumse bhi zyada.
Ae Musa (alyhissalam) jab tum mujhse baat karte ho to tumhare aur mere
beech mein 70,000 parde hote hain, lekin iftaar (roza kholne ke time)
hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki ummat ke roz-daro aur
mere beech ek parda bhi nahi rahega. Aur meri ye zimmedari rahegi ki
mein un roz-daaro ki ek bhi dua khali na jaane du.

Allahuakbar, bhaiyo-bahno roza rakhne waali ummate Muhammadiya
(sallallahu alyhiwasallam) ke liye Allah ki mohabbat ko dekhiye, agar
iske baad bhi koi roza na rakhe to wo bahut bad-kismat hai.
Allah roz-daar ki har dua sunta hai, basharte wo dua insan ke haq mein
behtar ho.
Allah jitne humse muhabbat karta hai, humko us muhabbat ko samajhne
wala bana de, aur ramzan ke pure rakhne ki taufik ata kare, Aameen.



• Ramzan Mein Allah Ki Rahmate
================================
Hazrat Muhammad (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) ne farmaya : ALLAH
farmata hai ke : Insaan ka har nek amal (kaam) usi ke (faide) ke liye
hai magar Roza … ke wo khaas mere liye hai aur main hi uska badla
dunga aur Roza gunahon ke liye ek dhaal hai,
Agar koi Roze se ho to use fohashgoyi (buri baat) na karni chahiye aur
na shor machaye, Agar koi shakhs usko gaali de ya ladna chahe to uska
jawaab sirf ye ho ke main ek rozdaar aadmi hoon, Us zaat ki qasam
jiske haath main Mohammad (Sal’lal’lahu Alaihe wasallam) ki jaan hai !
Rozedaar ke moonh ki boo ALLAH ke nazdeeq mushq ki khushboo se bhi
zyada behtar hai, Rozdaar ko do khushiyan haasil hongi (Ek to jab) wo
iftaar karta hai to khush hota hai aur (Dusre) jab wo apne RABB se
mulaqaat karega to apne roze ka sawaab paakar khush hoga. {Sahih
Bukhari : 1904}



• Month of Ramzan
===========================
Abu Huraira related that the Prophet (Salllalalhu Alyhiwasallam) said:
Allah the Majestic and Exalted said:
"Every deed of man will receive 10 to 700 times reward (for his good
actions), except the one who is fasting, for fasting is for Me and I
shall reward it (as I like). There are two occasions of joy for one
who fasts: one when he breaks the fast and the other when he will meet
his Lord"
(Muslim)



• Ramzan Mein Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jaate Hain
============================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
Jab Ramzan Ka Mahina Shuru hota hai to Jannat ke darwaaze khol diye
jaate hain, jahannam (hell) ke darwaze band kar diye jaate hain aur
shaitan ka ked kar liya jata hai.

[Sahih Bukhari, Volume 3, Book 31, Number 123]


• Roze Ka Badla Allah Khud Deta Hai
===================================
Jab insan roza rakhta hai to ye Allah ko bahut pasand aata hai, Allah
farmata hai ki har nek amal ka badla farishte dete hain, magar roze ka
badla me khud deta hu.

Bhaiyo-bahno roze ki ahmiyat ko samajhiye, aur poore roze rakhiye,
Allah hamari madad farmaye.


• Ramzan Ka Mahina
============================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Farmaya Ke Ramzaan Ka
Mahina Aa Gaya He, Jo Barkat Wala He, Allah isme Tumhari Taraf
Mutawajje Hota (zyada dhyan deta) He aur Apni Khaas Rahmate
(blessings) Nazil Farmata He, Gunaaho Ko Maaf Farmata He, Duwa Ko
Qabool Farmata He aur Tumhare Tanafus Ko Dekhta He (tanafus Yaani Ek
Dusre Se Ibadat Me Muqabla Karna Ke Kon Ziyada Ibadat Karta He) aur
Farishto Par Fakhr Farmata He, Bas Allah Ko Apni Nekiya Dikhlao.
Bad-Naseeb He Wo Sakhs Jo Is Mahine Me Bhi Allah Ki Rahmat Se Mahroom
Reh Jaye.
Ref.: Tabrani

Allah Hame Amal Ki Taufeeq Ata Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN


• Roza Jahannam (Hell) ki Aag se Dhaal (safety) Hai
=================================
Roza jahannum (hell) ki aag se dhaal hai aur jo koi insan roza rakhe
to wo na kharab, na gandi na bekaar ki baaten kare aur na hi kisi se
jhagda kare. Agar koi jhagda kare to usko keh de ki main roze se hu.

(Bukhari - jild 1, page 624, hadees 1894)

Bhaiyo-bahno, ramzan ki ahmiyat ko samajhiye aur poore roze rakhiye.
Allah hamari madad farmaye. Aameen.


• Ramzan Ki Ahmiyat (importance)
======================================
Ramzaan Bahut barkato aur rahmato ka mahina hai. Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki agar meri ummat ko iski
ahmiyat pata chal jaaye to wo chahege ki saara saal hi ramzaan jesa ho
jaaye. Is mahine mein 1 neki ke badle 70 neki likhi jaati hai.
Gunahgaro ke gunah Allah maaf karta hai. Shaitan ko ked kar diya jaata
hai.

Is mahine ki ahmiyat isi baat se lag jaati hai ki Allah ne saari
Aasmaani kitabe (Toret, Zubur, Injeel, Quran) Ramzan ke mahine mein
utari. Quran loh-e-mehfuz se duniya waale aasmaan par pura ka pura isi
mahine mein utara gaya aur waha se 23 saal mein thoda-thoda haalat ke
hisab duniya mein bheja gaya.

Hazrat Ibrahim (alyhissalam) ke sahife isi mahine ki 3 taarikh ko
utaare gaye. Hazrat Daud (alyhissalam) ko zubur 18 ya 21 ramzan ko
mili, Hazrat Musa (alyhissalam) ko Toret 6 ramzan ko di gai, Hazrat
Eesa (alyhissaslam) ko injeel 12 ya 13 ramzaan ko di gai.

Sochne waali baat hai ki Allah ko ramzan ka mahina kitna pasand hai ki
bade-bade kaam isi mahine mein kiye. Isliye hum bhi is mahine ki
ahmiyat ko samjhen aur Allah ki ibadat karke, roze rakh kar iska pura
faida uthaye.

Allah hum sabko bhi is mahine ki ahmiyat samajhne aur iska haq ada
karne wala bana de. Aameen.


• Roza Na Rakhne Ka Nuksaan
=========================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - Jo insan bina
kisi 'jaiz wajah' ke ramzaan ke roze nahi rakhta, wo agar us roze ke
badle saari umar bhi roze rakhe to us chhute hue roze ki barabri nahi
kar sakta.

Jaiz wajah = Aurat ka hez (maahvaari) se hona, bimar ya kamzor insan
(agar wo roze rakhe to bimari badhne ka khatra ho), safar karne wala
wagerah (etc.) jesi kuch wajah hain ke agar ye log roza na rakhe to
inko gunah na hoga lekin in rozo ka baad mein kaza rakhna zaruri hai,
kaza na rakhe to gunah hoga.

Jo log roze nahi rakhte unme se kuch to apni jagah sahi hote hain
lekin kuch jhoote bahane bhi banate hain lekin dhyan rakhiye, Aap
jhoot bolkar kisi insan ko to samjha sakte hain lekin Allah sabke dilo
ke haal jaanta hai, usse kuch chhupa nahi hai. Aur roza to wese bhi
Allah hi ke liye hai.

Allah hum sabko ramzan ke pure roze rakhne wala bana de - Aameen.



• Ramzan Ke 5 Inaam
========================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - Meri ummat ko
Ramzan mein 5 cheeze Allah ne Khas tor par di hain jo kisi dusri ummat
ko nahi di
(1) Rozedaar ke liye Samandar ki machliya (fishes) tak dua karti hain
aur roza iftaar tak karti rahti hain
(2) Rozedaar ke liye jannat ko roz sajaya jata hai, phir Allah jannat
se farmata hai ki jaldi hi mere nek bande tujhme rahne ke liye aane
wale hain.
(3) Ramzan mein shaitan aur uske saathi ked kar diye jaate hain.
(4) Rozedaar ke muh ki bu (jo khali pet rahne ki wajah se aati hai),
Allah ko mushk ki khushbu se bhi zyada pasand hai (kyonki insan Allah
ke liye bhuka-pyasa rahta hai, is wajah se Allah apne bando se
muhabbat karta hai, aur jo jisse muhabbat karta hai uski har cheez
usko acchi lagti hai)
(5) Ramzan ki aakhri raat (jis din chaand dikhta hai), us raat
rozedaar ke saare gunah maaf kar diye jaate hain, sahaba (radi allahu
anhu) ne is raat ke baare mein Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) se pucha ke kya ye raat shabe-qadr hai, farmaya nahi
(ye raat shabe qadr nahi) balki dastoor ye hai ki mazdur ko kaam khatm
hone ke time hi mazduri de di jaati hai (matlab ye ke jo ramzan ke
roze rakhta hai, taraweeh padhta hai, quran ki tilawat karta hai, aur
dusri ibadat karta hai to us pure mahine ka sawab Allah usko ramzan ki
aakhri raat mein de deta hai. Iske baad jab eid ki namaz padh kar roza
rakhne waale apne gharo ko ko lot-te hain to Allah unke saare gunah
maaf kar deta.

Bhaiyo-bahno, Allah ka humpar bahut bada ahsaan hai ki usne humko
ramzaan jesa mahina ata kiya, humko ramzaan ki keemat samajhna chahiye
saath hi iske liye Allah ka shukr bhi ada karna chahiye, aur ramzaan
ka pura-pura faida uthana chahiye, jisne ramzaan ka mahina paya aur
khud ke gunaho ko maaf na karwa paya to uske liye Jibrail
(alyhissaalam) ne bad-dua ki aur Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ne us par aameen kaha, Allahu akbar.
Allah hum sabko is mahine ka sahi haq ada karne wala bana de. Aameen.


• Roza Na Rakhne Walo Ke Liye Bad-Dua
=========================================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) masjid mein khutba dene ke
liye jab mimbar par chadh rahe the tab mimbar par pehla kadam rakh kar
aapne farmaya ‘Aameen’ phir dusra kadam rakh kar farmaya ‘Aameen’ Phir
teesra kadam rakh kar farmaya ‘Aameen’. Iske baad aapne khutba sunaya,
aur neeche utar aaye, is par sahaba (radi allahu anhu) ne puch ke ‘Aaj
mimbar par chadhte time aapse aesi baat suni jo pahle kabhi nahi suni
thi’.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jis time mein
‘Aameen’ keh raha tha us time Jibrail alyhissalam (Allah ke sabse bade
farishte) aaye the, aur jab maine apna pehla kadam mimbar par rakha to
Jibrail (alyhissalam) ne bad-dua ki ke “Barbaad ho jaaye wo insan
jisne ramzan ka mubarak mahina paya, phir bhi Allah se apne ko maaf na
karwa liya” is baat par maine ‘Aamin’ kaha. Phir jab maine dusra kadam
rakha to Jibrail (alyhissalam) ne bad-dua di ke barbaad ho jaaye wo
insan jiske saamne Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ka naam
liya jaaye aur wo darud sharif na padhe. Maine kaha aamin. Jab maine
teesra kadam rakha to Jibrail (alyhissalam) ne bad-dua di ke barbaad
ho jaaye wo insan jiske maa-baap ya dono mein se koi ek budhe ho jaaye
aur wo unki khidmat karke jannat mein na chala jaaye. Maine kaha
aamin.

Allahu Akbar

Is hadees mein Jibrail (alyhissalam) ne 3 bad-dua di hain, aur Hazrat
Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne us par aameen kaha hai, pehli
baat to Jibrail (alyhissalam) jese bade farishte ki bad-dua hi kya kam
thi aur phir us par Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki
aameen ne is bad-dua ko kitna bada bana diya wo zahir hai.

Note: (Upar jo pehli bad-dua hai “Barbaad ho jaaye wo insan jisne
ramzan ka mubarak mahina paya, phir bhi Allah se apne ko maaf na karwa
liya” iska matlab ye hai ki agar koi insan ramzan mein roze na rakhe,
tarawih na padhe, Allah se apne gunaho ki maafi na maange, aur in sab
kaamo ko karke wo Allah se khud ko maaf na karwa sake to ye bad-dua
uske liye hai.

Isliye dosto, ramzaan mahine ki keemat samjho, pure roze rakho, puri
tarwih padho, quran sharif ki tilawat karo aur Allah se apne gunaho ki
maafi maango, Allah zarur maaf karega. Aur jo sawab milega wo alag
hai.

Allah hum sabko ramzaan ke pure roze rakhne aur ramzaan ka haq ada
karne ki taufik ata kare. Aameen.


• RAMZAN MEIN TARAWEEN KI 20 RAKAAT YA 8
--------------------------------------------------------------------
Taraweeh :- Jo Namaz Jamat ke sath RAMAZAN ki Raato me padhi jaati hai
usko TARAWEEH kehte hai.
(FATHUL BARI)

1.Saaeb Bin Yazeed Razi Allahu anhu se riwayat hai ke
Hazrat Umar Razi Allahu anhu ke Zamane me log RAMAZAN me 20 RAKATEN
padha karte the,

2.aur Hazrat OSMAN Razi Allahu anhu ke Zamane me Qayam ki SHIDDAT ki
wajeh se laathyo par Tek lagate the.

3.Shutair Bin Shakl jo Hazrat ALI Razi Allahu Anhu ke ASHAAB me se the,
RAMAZAN me IMAMAT karte the aur 20 RAKAAT padha karte the.

4.Hazrat Ali ne ek Shaqs ko Mamoor kiya k wo Logo ko 20 RAKAAT padhaya kare.
[BAIHAQI SUNAN KUBRA JILD 2,SAFHA 496]

Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya
"......
Aur tum mere baad Bohat Sakht IKHTELAAF dekhoge, to tum par Lazim hai
MERI or Hidayat yafta KHULFAE RASHIDEEN ke tareekhe ko Mazbooti se
apne Daadho se Pakadlo"
(IBNE MAJA,ABU DAWOOD,TIRMIZI,MUSNAD AHMED)

Ab apke ZIMME hai 20 ya 8 Rakaat padhna.
20 padhenge Khulafa ki Sunnat pe Amal hoga, jo k Ap(Sallallahu alaihi
wasallam ) ka hukum hai.

yaad rakhe TARAWEEH ki RAKAAT Ap (sallallahu alaihi wasallam ) se
SAHEEH SANAD se Sabit nahi hai.
Jo Ayesha Razi Allahu Anha ki Hadis pesh ki jati hai 8 Rakaat sabit
karne wo TAHAJJUD hai na k Taraweeh.
Allah hum sab ko Ramazan me Kasrat se Ibadat karne ki Taufeeq ata
farmaye. Ameen.


• Ramzaan ki Chand Raat ko Magrib ki Namaz k Baad 21 Martaba,

"$urah-e-QADAR" (Ina Anzalna Ho) Padho,

Pure $al RIZQ, Aapke pichhey Daudegi.
In$ha Allah.
Allah ki Rehmat $ub ko bataiye. koi Mehroom na reh jaye...

No comments:

Post a Comment