Sunday 5 January 2014

Knowledge D

• Salam Ka Jawab Zarur Diya Karo
==============
Quran mein Allah farmata hai ke
Aur jab tumhe salam kiya jaae to tum usse acha jawab do, ya unhi alfaz
ko lota do. beshaq Allah har har cheez ka hisab lene wala hai
( surah al nisa surh no ..4 ayat no ..86 )

bhaiyo-bahno Salam karna sunnat hai lekin jawab dena waajib hai,
matlab agar jawab na diya to gunah hoga. Ek momin ko dusre momin ko
salam karna chahiye, aur sunne wale ko jawab dena chahiye. Lekin ek
paraya mard ek parai aurat ko salam na kare.

Jab milo to salam karo aur jab juda ho to salam karo. Jitna ho sakte
ek dusre ko salam kiya karo, salam mein pahal karne wala ghamand
(gurur) se paak hota hai. Isliye kisi dusre ke salam karne ka intezaar
na karo, balke pahle khud aage hokar salam karo. Salam karne se 10
neki milti hai.

Allah hum sabko khoob ek dusre ko salam karne wala bana de. Aameen.



• Chalte-Firte, Khaate-Peete, Uthte-Bethte Sawab Kamao
=============================
Hum roz apne zaruri kaam karte hain, jese khana khate hain, sote hain,
toilet ko jaate hain, baat karte hain, kaam karte hain......... Agar
in sab kaamo ko hum 'sunnat tarike' se kar len to ye roz-marra ke kaam
bhi sawab ka zariya ban jaaenge.
hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ka khane-peene ka tarika,
sone-jaagne ka tarika, uthe-bethne ka tarika sab sunnat kehlata hai.
Har sunnat mein duniya aur akherat dono ka faida hai.

Allah hum sabko sunnato par amal karne wala bana de, aameen.



• 'Astagfaar' Ke Faide
=====================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jo insan
astagfaar' me laga rahega Allah us ke liye har tangi se nikalne ka
rasta aur har gam se chhutkare ka zariya bana dega aur use aesi jagah
se rozi dega jaha se usko gumaan bhi na hoga. [mishkat]

Isliye bhaiyo-bahno roz ek tasbeeh astagfaar ki padhiye, ya
chalte-firte bhi astagfaar padh sakte hain.
Astagfaar ye hai -
"Astag fi rullah hal lazi la-ilaha illa huwal hayyul qayyum wa atubu ilyh".

Ye ek dua hai, isme hum Allah se apne gunaho ki maafi maangte hain,
Roz raat ko sone se pahle bhi 3 baar isko padh liya karo, kyonke humko
pata nahi ke hum subah zinda uthenge ya nahi, isliye sone se pahle
Allah se maafi maang liya karo, astagfaar padh liya karo.

Allah hum sabko amal ki taufik de, Aameen.



• Agar Kisi Ki Shadi Nahi Ho Rahi Ho?
==================
Agar kisi bhai ya bahan ka rishta nahi ho pa raha ho to ye wazifa padhiye.
Roz isha ki namaz ke baad 11 baar darud sharif padhiye, phir 1111 baar
'Ya Lateef' padhiye, phir 11 baar darud sharif padhiye aur iske baad
Allah se apne acche rishte ke liye dua kijiye, in-sha-Allah jald
behtar rishta ho jaaega.



• Bimaari Aur Uska Ilaj
==============
Hazrat Muhammad (sallallahy alyhiwasallam) ne sahaba (radi allahu
anhu) se farmaya - "Kya mein tumko tumhari bimaari aur uska elaj na
batau ??? To sunlo, tumhari bimaari 'gunah' hein aur uska ilaj
Astagfaar (Allah se maafi maangna) hai.
- behki

Bhaiyo-bahno, koshih karo ke humse koi bhi gunah na ho, lekin agar
gunah ho jaae to Allah se us gunah ki maafi maango aur dobara us gunah
ko na karne ki pakka irada karo aur us gunah ke badle kuch neki ka
kaam bhi kar lo. Jese kisi garib ko kuch rupye de do, ya nafil namaz
padh lo..........



• Yaad Rakhne Ki Baaten
========================
Paak rakho = Badan, Kapde aur Sonch (thinking)
Qaabu me rakho = Zuban, Nafs(ego) aur Gussa.
Yaad rakho = Maut, kisi ka Aehsaan aur kisi ki Nasihat
Bardasht na karo = Na-Haq, Jhoot Fahaashi.
Hasil kro = Ilm (islam ki jaankari), Kisi ki Dua, Kisi ka bharosa
Bekar Na Jaane Do = Apni acchai, Moka, Dost.
Kabhi na todo = Dil, waada, Qanoon.
Chhota na samjho = Qarz, Farz, Marz.

Ek Bar milte hein = Maa-baap, Waqt, Wajahat.
be-izzat karti hai = Chori, Chugli, Chaap-lusi.
Dhyaan se uthao = kadam, kalam, kasam.
Pabandi se padhte raho = NAMAAZ, QURAAN, DUROOD PAK

Allah hum sabko in baato par amal karne ki taufik ata kare,aameen.



• Kismat Pehle Hi Likhi Ja Chuki Hai
======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya "Is duniya ki
saari cheezo mein sabse pehle Allah ne kalam (pen) ko banaya aur usko
likhne ka hukm diya. Kalam ne (pen) ne kaha "Ya Rab, kya likhu"? Allah
ne usko kayamat tak ki poori kaaynat (universe) ki kismat likhne ka
hukm diya."
- abu daud
Fir usne us time se kayamat tak hone waali saari baato ko likh diya.

Ek dusri hadees mein Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne
farmaya) "Allah ne apni makhlooq (Allah ne jo bhi banaya hai) uski
kismat ko zameen aur aasmaan banane se 50 hazar saal pehle likha hai."
Us time se kayamat tak duniya mein jo kuchh ho raha hai ya hoga, Allah
ki kalam un baato ko Allah ke hukm se pehle hi likh chuki hai.

Bhaiyo-bahno, Hamare saath bhi jo kuch ho raha hai ya hoga wo Allah ki
kalam pahle hi likh chuki hai, aksar log aesi baat karte hain ke agar
wo aesa kar leta to aesa ho jata...... jabki Allah ne har kisi ki
kismat pahle hi likh di hai, Log khud ke ilm (knowledge), sehat, maal,
izzat, khubsurati ya baccho par ghamand karte hain, jabki ye sab Allah
ne unki kismat mein likha tha, isliye unko mila. Isliye har baat par
Allah ka shukr ada kariye aur ghamand se bachiye. Isi tarah kisi ki
bimari, garibi, bad-surati ya koi pareshani sab Allah hi ki taraf se
hai, aur jo log is par Allah ki marzi samajh kar sabr karte hain,
Allah ke yaha iska bahut bada badla hai. Ek hadees mein Hazrat
Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke har takleef ke badle
Allah momin ke gunaho ko maaf kar deta hai. Isliye koi khushi mile to
Allah ka shukr ada kijiye aur koi gam mile to sabar kijiye.

Lekin iska matlab ye nahi hai ke insan apni kismat par hi bharosa
karke beth jaae aur apni taraf se koi koshish na kare. Ye bhi islam
mein mana hai. Allah ne insan ko acche aur bure dono kaam karne ka
ikhtiyaar (power) diya hai aur wo jo raasta chahe chun sakta hai.
Insan apne liye Allah se dua bhi karta rahe kyonke dua bhi kismat
badal deti hai.

Short mein puri baat ka matlab ye hai ke insan apne acche kaamo ke
liye koshish karta rahe, lekin jab us kaam ka result aae to wo accha
ho ya bura, dil mein ye yakeen rakhe ke ye Allah ne meri kismat mein
likha tha isliye mujhe mila ya nahi mila.

Jo hota hai Allah ke hukm se hota hai, Allah ke marzi ke bina ek patta
bhi nahi hilta, bas ye imaan hamare dilo mein aa jaae. Aameen.



• Yateemo (orphan) Ki Dekh-Bhaal Karne Waale Ka Sawab
=========================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne beech ki aur shahadat ki
ungli ko milakar farmaya ke mein aur yateem ki dekh-bhaal karne wala
jannat mein is tarah (kareeb) honge.

sahi bukhari - 6005




• Garibi Kin Kaamo Se Aati Hai
==================
Aese bahut se kaam hain jinko karne se garibi aati hai, unme se kuch ye hain.

1= Jaldi-Jaldi namaz padhne se
2= Khade ho kar peshab karnese
3= Peshab karne kijagah wazu karne se
4= Khade ho kar pani peene se
5= Muh se chirag bujhane se
6=Daant se nakhun kartne se
7=Daaman ya Asteen se muh saaf karne se
8= Toote bartan mein khane se
9= Takiya ke upar bethne se
10 = Toota Kanga Istemaal Karne Se

In kaamo se bachiye aur isko share kariye taake dusre bhi jaan saken.




• Kon-Kon Duniya Mein Sabse Zyada Roya Hai?
=====================
4 log Duniya Mein Sabse Zyada Roe Hain

(1) Hazarat Aadam (Alayhisalam) Jannat Se Nikale Jane Par

(2) Hazarat Yaqub (Alayhisalam) Apne Bete Hazarat Yusuf (Alayhisalam)
Ki Judai Mein

(3) Hazarat Yahaya (Alayhisalam) Allah ke Dar Se

Aur
(4) Hamare Pyare Aaqa Hazrat Muhammad (SALLALAHU ALAYHI
WASALLAM) Hum logo ki Fikar Mein

Bhaiyo-bahno jo hamare liye itna roe hain, humne unhi ki baato ko aaj
bhula diya, Hum muh se to bolte hain ke hum Hazrat Muhammad (SALLALAHU
ALAYHI WASALLAM) ke naam par apni jaan bhi de sakte hain lekin unki
sunnato par amal karne mein hi hamari jaan par ban aati hai, ye kesi
mohabbat hai???
Bhaiyo-bahno chhote-chhote kaamo ki sunnato ko sikhiye aur aap
(sallallahu alyhiwasallam) ki batai hui baato par amal karne ki
koshsih kijiye.
Allah hum sabko hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) se sacchi
pakki mohabbat naseeb kare aur sunnato par amal karne wala bana de,
Aameen.



• Kisi Ko Be-Izzat Na Karo
=================
QURAN MEIN ALLAH FARMATA HAI KE -
“HAR US INSAN KE LIYE KHARABI HAI JO TAANA DENE WALA, KISI MEIN BURAI
NIKALNE WALA AUR CHUGAL KHOR HAI.”
(104:1)

“Kabeera (bade) gunaho mein se ek BADA GUNAH kisi momin ki Izzat par
Na-Haq Hamla karna hai.”
(ABU DAWOOD)


• Kisi Ka Saaman Bina Puche Mat Lo
======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke -
Tum me se koi shaqs Apne BHAI ke Samaan ko (bila ijazat) na mazaq me
le aur Na Haqeeqat me le”
(ABU DAWOOD)

Matlab agar lena hai to pahle usse puch le, agar wo ijazat de to le
sakte hain, lekin bager ijazat ke na le.



• Kisi Ka Mazak Na Udao
===============
Quran mein Allah farmata hai ke -
“Aye IMAN Waalo! Tum me se koi dusre ka Mazaq na udae, ho sakta hai ke
jiska Mazaq udaya jaa raha hai wo un se Behtar ho aur na Aurten dusri
AURTON ka Mazaq udaen, MUMKIN hai wo Jinka Mazaq udaa rahi hai (Allah
ki nazar mein) unse ACHI hon.”
(49:11)



• JHOOT
==============
Quran mein kaha gaya hai ke -
ALLAH KI LANAT HAI JHOOTO PAR.
Quran (3:61)

*Laanat yaani 'Rahmato Se Door Kar Dena'

Momin me pedaishi taur par saar khaslate ho sakti hain Magar KHAYANAT
aur JHOOT ki Aadat nahi hosakti
- MUSNAD AHMED

Allah hum sabko jhoot bolne se bachae. Aameen.




• Har Acchi Baat 'Bismillah' Keh Kar Shuru Karo
==============================
Bismilla hir-rahma nir-raheem

Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
“Har Wo zaruri Baat Jo Allah Ki Taarif Se Na Shuru Ki Jaae Wo Adhuri
(Nakis) Hain”.
(Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1412):-

Note : Allah Ki Taarif Se Murad Hai Bismillahir Rahmanir Raheem kehna



• Allah Par Bharosa Rakho
=============
Quran mein kaha gaya he ke -

Agar kisi kaam ka irada kar lo to phir Allah par bharosa rakho, beshak
Allah bharosa karne walo ko pasand karta hai.
- Surah Aale Imran, 159



• Allah Se Kareeb Hone Ka Tarika
========================
Agar aap Allah ke kareeb hona chahte hain, uske meboob bande banna
chahte hain to Allah se dil ka connection jodna hoga.
Allah ke kareeb hone ke liye humko saari farz ibadat jese namaz, roza,
zakat, haj to karna hai aur gunaho se bhi bachna hai, iske alawa
neeche batae kaam bhi kariye jisse hum Allah ke zyada kareeb ho jaate
hain.
(1) Allah ki kudrat par dhyan dete rahiye - matlab hum apne badan par
hi dhyan den ke Allah ne hamare badan ko kis tarah banaya, ye kese
kaam karta hai, ek phool ko dekhen to Allah ki kudrat ke baare mein
soche ke usne ye kitna khubsurat banaya hai aur kese banaya hai. Allah
ki kudrat ke baare mein thodi der sochna bhi bahut bada sawab hai. Jab
bhi moka mile, Allah ki kudrat par dhyan dete rahiye.
(2) Har Cheez ke liye Allah ka shukr karte rahiye - matlab chhoti se
chhoti cheez ho jese agar ek glass paani hi piya to Allah ka shukr
kariye ke Allah tune paani pila diya, Jab khana saamne aae to Allah ka
shukr ada kariye ke Allah tune khane ka intezaam kar diya, ghar aakar
jab sab ghar waalo ko kheriyat se paaen to Allah ka shukr ada karen,
kahi safar par gae ho aur manzil par pahuch jaaen to Allah ka shukr
kariye ke Allah tune saath kheriyat se manzil tak pahuch diya, isi
tarah har baat ke liye Allah ka shukr karte rahiye.
(3) Har Cheez Allah se Maango - Chhote se chhote kaam ke liye bhi
Allah se dua kariye, jese agar kisi gaadi ke intezaar mein road par
khade hain to Allah se dua kariye ke Allah meri sawari ka intezaam
karwa de, Agar aapki khoi hui cheez nahi mil rahi hai to Allah se dua
kariye ke Allah wo cheez milwa de, Agar sar dukh raha hai to Allah se
dua kariye ke Allah mera sar dard ko door kar de. Matlab ye ke har
chhote se chhote kaam ke liye pahle Allah se madad maangiye phir apni
koshish kijiye.

Agar upar batae kaam sacche dil se karte rahe to in-sha-Allah aap khud
mehsus karenge ke aap Allah ke kareeb hote ja rahe hain. Aur jisne
Allah ko pa liya usne sab kuch pa liya.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.



• Gunaho Se Nafrat Karo, Gunah-gaaron se nahi
=================================
Agar kisi insan mein koi burai hai to uski burai se nafrat kijiye, us
insan se nahi. Agar gunah-gaaro se nafrat karoge to unko sudharne ki
koshish kaun karega, Hum hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki
ummat hain aur hamara ek kaam ye bhi hai ke logo ko acche kaamo ka
hukm karte rahe aur buraiyo se rokte rahen.
Dusron ko Gunaho se bachne ke liye bolte rahen, is niyat se ke hum bhi
us gunah se bache rahen ya hum bhi wo gunah chhod den.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare.



• Kuch Muslim Freedom Fighters Ke Naam
========================
Hindustan ki azad ke liye ladne waale kuch Muslim Ke Naam, Jo azadi ke
liye angrezo se lade. Inke naam bahut kam log jaante hain. Kyonke in
naamo ko kitabo mein jagah nahi mili.

1.      ASHRAFULLAH KHAN
2.      BAHADUR SHA ZAFAR
3.      AZEEMULLAH KHAN
4.      HAKEEM AJMAL KHAN
5.      TIPU SULTAN
6.      FAQRUDDIN ALI AHMED
7.      DR. M. AHMED AAZMI
8.      BEGUM HAZRATH MEHAL
9.      KHAN ADBUL GHAFFAR KHAN
10.     DR ZAKIR HUSSAIN
11.     TAJ MUHAMMED KHAN
12.     SIR SYED AHMED KHAN
13.     SIKANDER HAYATH KHAN
14.     MUHAMMED BARKATHULLAH
15.     DR MUHAMMED IQBAL
16.     MAULANA MUHAMMED ALI
17.     MAULANA ABDUL KALAM AZAAD
18.     M. HAJRA



• Hukumat Karne Waale Aese Hona Chahiye.
===========================
1 baar langar baata ja raha tha, 1 shakhs ne 2 admiyon ka khana manga,
Jab us se swaal kiya gaya ke 2 admiyon ka khana q?
To us ne kaha 1 mere liye aur 1 us shakhs k liye jo kone me betha
Sukhi roti paani mein dubo kar kha raha he. Is par use jawab mila ke -
usi ka diya to hum baat rahe hain, uss shaks ny pucha kaun hein wo?
Jawab mila: wo Hamare Khalefa 'Hazrat Abu Bakar Siddiq (radi allahu
anhu) hain.



• Kya Aap Imaan Ki Mithaas Pana Chahte Ho ?
============================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya-
3 (teen) baate jis insan main hon woh inki wajah se Imaan ki mithaas
pa leta hai,
1. Wo Allah aur uske Rasool (hazrat Muhammad sallallahu alyhiwasallam)
ko sab se zyada mehboob samjhe.
(ye baat sirf bolne ki na ho balke amal se bhi ho)
2. Kisi se mohabat kare to sirf Allah ke liye.
3. Allah ne ise 'kufr' se bacha liya hai to ab woh 'kufr' ko is tarha
na-pasand kare jese khud ko Aag main dala jana na-pasand karta hai.
(matlab kurf se door rahe)

(Sahih Bukhari, Sahih Muslim)

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.


• Pet Ke Bal Mat Soya Karo
===================
Bahut se log hote hain jo pet ke bal sote hain, is tarah sona mana hai.
Abu Zar (Radhi Allahu Ta'ala Anhu) se riwayatki kehte hai "mein pet ke
bal leta hua tha ke Hazrat Muhammad (SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI
WASALLAM) mere paas se guzre (mujhe pet ke bal leta dekh kar) pao se
thokar maari aur farmaya - "Aye Zundab (ye Hazrat Abu Zar ka naam hai)
ye jahannamiyo ke letne ka tarika hai.

Bhaiyo-bahno, pet ke bal letne se bimari aane ka dar bhi hota hai,
koshish karke sidhi karwat se letiye, ye sunnat tarika hai. Ya chit
(peeth ke bal) letiye ye dusre nabiyo ki sunnat hai. Jab bhi sidhi
karwat sona ho to niyat kar lo ke mein sunnat ada kar raha hu, isse
aapka sona bhi sawab mein likha jaaega, in-sha-Allah.

Allah hum sabko amal ki taufik de. Aameen.



• Islam Ki Baat Seekhne Ka Sawab
====================
Hazrat Muhammad (Sallalaho Alayhi Wasallam) ne farmaya
jiska matlab ye hai ke
"Islam ki baat sikhne ke liye jiske pero par dhool mitti lagi ho.
(matlab islam seekhne ke liye koshish ki ho, yaha waha gaya ho jisse
usko dhool mitti lag gai ho) to jaha-jaha usko dhool mitti lagi hogi,
Allah dozakh ki aag ko us jagah ke liye haram kar deta hai. Aur ALLAH
ke farishte uske liye Dua-E-Magfirat kareng

Hazrat Muhammad (Sallalaho Alayhi Wasallam) ne farmaya
jiska matlab ye hai ke
"Jo shaks islam sikhne ki talash mein hoga, Jannat uski talaash me
hogi. Aur jo shaks gunah ke kaam ki talaash me hoga, Jahannam
uske talaash me hogi"

Bhaiyo-bahno, hum log hamare education, business, job ki chhoti-chhoti
baato ko bhi sikhne ki koshish karte hain, kaun sa cricket player kis
team ka hai aur uski kya khasiyat hai ye bhi maalum hai, kaun ki
car/bike abhi launch hui hai aur uski kya khasiyat hai, latest fashion
kya chal raha hai, humko ye sab maalum hai, balki duniya ki har cheez
ka hum ilm lene ki koshish karte hain, lekin afsos bas islam ki baat
sikhne ka hi hamare pass time nahi, balki kuch log to isko time kharab
karna samajhte hain. Jabki duniya ki jaankari duniya mein hi rah
jaaegi, aur islam ki jaankari duniya aur akherat dono mein kaam aaegi.
Duniya ka zaruri ilm bhi sikhen lekin islam ke ilm ko sikhna bhi
zaruri samajhen.

Jisko kisi islami baat ka ilm hota hai to usko amal ka sawab bhi zyada
milta hai, aur be-ilm ko sawab bhi kam milta hai. kyonke ilm wale ne
wo kaam sawab ki niyat se kiya, lekin be-ilm ne zarurat ke hisab se
kiya.

Allah hum sabko islam ki baat sikhne aur us par amal karne wala bana de.



• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam)
Ki Kuch Sunnate (habits)
======================
Hazrat Muhammad (Swallalaho Alayhi Wasallam) ne farmaya -
"Mere Ja-nashino par ALLAH ki rehmat ho." aapse puch gaya ke
"Ya RasoolALLAH Aapke Ja-nashin kon he?" aapne Farmaya "Jo meri sunnat
se Mohobbat rakhte he aur use ALLAH ke bando ko sikhate he."

Bhaiyo-bahno, ek hadees ka mafhoom ke "Agar koi insan kisi aesi sunnat
par amal kare jisko log bhool rahe ho to aese insan ko 100 shahido ka
sawab milta hai, aur ek shaheed ka sawab ye hai ke uske khoon ki boond
zameen par girne se pahle Allah usko maaf kar deta hai".

Kuch sunnate ye hain.
(1) Paani 3 ghoont se pina
(2) Khana-pina sidhe haath se karna
(3) Har accha kaam bismillah se shuru karna
(4) Logo se muskura kar milna
(5) Andhe ko raasta dikha dena
(6) Raaste se paththar hata dena
(7) Bimar ko dekhne jana
(8) Bimar se dua ke liye kehna
(9) Jab kisi bhai se mile to haath milana (haath alag hone se pehle
ALLAH dono ke saare gunah maaf kar deta hai)
(10) Khane se pehle dono haatho ko dho lena
(11) Miswaak karna
(12) Isha ki namaz ke baad so jana (bina zarurat ghar se bahar na nikalna)
(13) Wuzu karke sona
(14) Pet ke bal na sona
(15) Jumma ke din ghusl karna
(iska matlab ye he ke bhale hi roz nahao lekin juma ke din ghusl zarur karo)
(16) Apne se chhoto par raham karna
(17) Bado ki izzat karna
(18) Gareeb aur zaruratmand ka khayal rakhna
(19) Apne ristedaro se achcha suluk karna
(20) Nazre jhuka ke chale |
(matlab kisi parai ladki ko na dekhna)
(21) Ahishta aur narmi se baat karna
(22) Logo ko neki ka hukm karna aur burai se rokna
(23) Ghar se wuzu kar ke masjid jaaye
(24) Masjid me sidhe per se dakhil hona jab bahar nikle to pahle ulte
per darwaze ke bahar rakhna.
(25) koi bhi kaam karne se pehle maa-baap,ustad ya kisi bade ki salah lena
(26) Pehsab beth ke karna.
(27) Pehsab ke chhinto se bachna
(kyoke qabr me iss ka azab bahot bada hai)
(28) Agar koi aap se baat kare to apni pura dhyan uss ki baat par dena.
(29) Logo ko (galtiyo ko) maaf kar dena
(30) Bekar baato se bachna.

Allah hum sabko sunnato par amal karne ki taufik ata kare. Aameen.



• Sood / Byaz / Interest
=======================
Sood/byaz ka lena ek bahut bada gunah hai.
Allah quran mein farmata hai.
"Jo log sood khate hain, wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthenge
Jinhe shaitan ne lipat kar deewana bana liya ho, ye haalat unki is
wajah se hogi ki unhone kaha tha ki kharid wa farokht (kharidna
bechna) bhi sood ki tarah hai, jabki Allah subhanahu ne kharid aur
farokht ko halal qarar diya hai aur sood ko haram, phir
jisko uske Rab ki naseehat pahunchi aur wo (sood lene se) baaz aa gaya
to wo jo kuch pahle le chuka hai wo usi ka hai aur uska maamla Allah
ke supurd hai lekin agar wo phir bhi sood leta rahta hai to ye log
jahannami hain, ye ismein hamesha rahanergey:
{Al Quran, Surah Baqara (2), verse 275}

Hazrat Muhammad (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya -
Sood ke 70 gunaah hain aur sabse halka gunaah aisa hai jaise koi apni
maa se zina karta hai
{Sunan ibn Majah, Vol2, 431-Hasan}

Bhaiyo-bahno, islam mein sirf sood lena hi haram nahi hai, balki sood
dena, dilwana, likhna, beech waani karna, sood ke liye help karna bhi
gunah hai.

Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sood khane wale,
khilane wale, iski gawahii dene wale, aur isko likhne wale, sab par
laanat farmaee hai
{Sunan ibn Majah, Vol 2, 434- Hasan}

Allah hum sabko sood/byaz ke gunah se bachae.



• Sab Kuch Allah ke Hukm se Hota Hai
====================
Aag ki sifat hai jalana lekin
Aag ne Hazrat Ibrahim (alyhissalam) ko nahi jalaya.

Chaaku ki sifat hai kaatna lekin
Chaaku Islamil (alyhissalam) ko nahi kaat saka.

Paani insan ko duba deta hai lekin
Paani Musa (alyhissalam) ko nahi duba saka.

Badi Machli insan ko kha leti hai,
Machli Yunus (alyhissalam) ko nahi maar saki.

In saare pegambaro ko bharosa in cheezo par nahi Allah par tha to
Allah ne inki madad ki, aur cheezo ki sifaat ko badal diya.
Hum bhi hamara yakeen cheezo / asbaab par nahi Allah par rakhen to
Allah hamari madad karega.



• 3 Cheeze
========
3 Cheezen Paak Rakho:
Jism, Libas or Khyalat.

3 Cheezen Qabu me Rakho:
Zuban, Nafs or Ghussa.

3 Cheezien Yaad RaKho:
Mout, Ahsan or Naseehat.

3 Cheezien HasiL Kro:
iLm, Dua or Aetimad.

3 Cheezien Zaya Mat Kro:
Rizzq, Waqt or DosT.

3 Cheezien Kabhi Na Toro:
DiL, Ehad or Qanoon

3 Cheezien Chhoti Na samjho:
Farz, Qarz or Marz.

3 Cheezien ZaLeeL Kraati hein:
Chori ,Chugli or Jhoot.

3 Cheezien dhyan se uthao:
QaLam, Qadam or Qasam.

3 Cheezien roz Parho:
NAMAZ, QURAN or DROOD...

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aaemeen.


• Fizul Kharchi Na Karo
================
Quran mein Allah farmata hai -
Aur Rishtedaro Aur Mohtajo Aur Musafiro Ko Unka Haq Ada
Karo Aur Fizul Kharchi Se Maal Na Udao. Ki Fizul Kharchi Karne
Wale Toh Shaitan Ke Bhai Hain Aur Shaitan Apne Parwardigaar
Ki Nemato Ka Nashukri Karnewala Hai”.

- (Surah 17.Isra, Ayat 26-27)



• Khana Bhook Se Kam Khao
======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
“Insan Ne Pet Se zyada Bura Koi Bartan Nahi Bhara.
Adam ke bete (yaani insan) Ko Kuch lukme hi Kaafi Hai Jo Uski Peeth Ko
Sidha Rakhe Agar, zyada Khana Zaruri Ho To Tihaai Pet Khane Ke Liye,
Tihaai Paani Ke Liye Aur Tihaai Saans Ke Liye rakhe”.

-: (Tirmizi Wa Ibne Maza)

Bhaiyo-bahno, aaj scienc bhi bolta hai ke zyada khana nuksan deta hai.
Hamare nabi ki har sunnat mein faide hi faide hain, duniya aur akherat
dono ke........
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.




• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki apni ummat (follower)
se muhabbat
===============================
Jab Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke pyare bete ki
intekaal (death) par Aap bahut gamgeen (sad) the, BIBI AYESHA (radi
allahu anha) ne AAP se arz kiya ke ALLAH ne har Nabi ko ye khasiyat di
hai ke wo apni zindagi me koi 1 dua maang sakte hain, jo foran qubul
ki jaaegi, to AAP apne bete ki dobara zindagi ki dua que nahi maang
lete, ALLAH qabool karne wala hai.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke wo dua maine
aakherat mein apni "UMMAT" ke liye sambhaal kar rakhi hai.

Allahu Akbar.......... dekhiye Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ki hamare liye mohabbat. Aur aaj hum unse mohabbat ka
dawa to karte hain lekin unki batai hui baat par amal nahi karte.....
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) se asli mohabbat to unki
sunnato par amal karna hi hai..........

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare....



• Allah kiske Khilaf Ho Jaaega
====================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Allah
farmata he ke 3 tarah Ke log aese Hain Jinka Qayamat Ke Din Mai Khud
Muddaii (Opponent/Khilaf) Banuga”,

(1) Ek Wo Shaksh Jisne Mere Naam Par kisi se Waada Kiya Aur Phir Waada
pura na kiya.
(2) Dusra Wo Shaksh Jisne Kisi Aazad Aadmi Ko Bech Kar Uski Qeemat
Khayee (yaani kisi azad insan ko ghulam banwa diya)
(3) Teesra Wo Shaksh jisne kisi mazdoor (labor) se kaam karwaya, aur
usne kaam pura kar diya lekin isne uski mazduri puri na di.

- (Sahih Bukhari, Vol 3, 2270)

Allah hum sabko in 3 bade gunaho se bacahe, Aameen.



• Quran Ki Ayat Ka Tarjuma/Translation
============================
“Aur Allah ke hukm ke bager to Koi Shaksh Mar Hi Nahi Sakta, Har kisi
ki maut ka time likha hua hai Aur Jo Shaksh (Apne Kiye Ka) Badla
Duniya Me Chahe To Ham (Allah) Usko Isme Se De Dete Hai Aur Jo Shaksh
Aakhirat mein Badla Chahe Usse Usi Me Se Denge Aur (Nemat Imaan Ke)
Shukr Karne Wale Ko Bahut Jald Ham (Allah) Jazaye Khair Denge”.

-:(Surah Aale-Imran Ayat:145)



• Khane-Peene Ke Bartan Mein Saan ya Foonk Na Maaro
=============================
Hazrat Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) ne bartan me (jisme
khate pite ho usme) saans lene aur foonkne se mana farmaya hai.
-(Abu Dawood: 3728)


• Jannat Ki Guarantee
========================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Farmaya,
Tum Apni Taraf Se Mujhe 6 Baato Ki guarantee De Do, Mai Tumhe Jannat
Ki guarantee Deta Hoon”.
(1) Jab Baat Karo Toh Sach Bolo.
(2) Jab Wadaa Karo To Poora Karo.
(3) Jab Tumhare Paas Koi Amanat Rakhe To Uske Maangne Par Wapas Do.
(4) Apni Sharmgaaho Ki HifaazatKaro. (Zina/Adultory Se Bacho)
(5) Apni Aankho Ko Niche Rakho.
(Parai Aurto/Ladkiyo Ko Mat Dekho)
(6) Apne Haatho Ko Roke Raho.
(Kisi Par Zulm Na Karo)-:

(Ibn Habban : 271 ~ Ahmad : 5/323 ~ Haakim : 4/358’359)

Allah hum sabko in 6 baato par amal karne ki taufik ata kare, aameen.



• Durud Aur Salam Bhejne Ka Faida
==============================
Ek baar hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke chehre Mubarak
par khushi mehsus ho rahi thi, to kisi sahaba (radi allahu anhu) ne
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se pucha ke aapke chehrey Mubarak par
khushi ki wajah kya hai? to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne
farmaya, abhi mere pass Jibrail (alyhissalam) aae the aur kaha ke
(Allah farmata hai) ke tum is baat se khush nahi ho ke tumhari ummat
mein se jo shaksh ek martaba durud bhejega to main us par 10 rahmat
nazil karunga aur tumhari ummmat mein se jo shaksh ek martaba Salam
bhejega to main us par 10 martaba salamati bhejunga
(mafhoom-e-hadees)
Sunan Nasai, Vol 2, #1298 (Hasan)

Allah hum sabko kasrat se durud aur salam bhejna wala bana de. Agar ho
sake to roz 1 tasbeeh durud shareef ki padha kariye. Allah hum sabko
amal ki taufik de. Aameen.



• Baccho Ki 5 Acchi Adat
====================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : Mujhe Bachho
ki 5 aadate pasand hai...

1) Wo Ro kar maangte hai aur apni baat manwa lete hain.
(Isme matlab ye chhupa hai ke insan ko bhi Allah ke saamne ro kar,
gid-gida kar apni baat manwana chahiye)

2) Wo mitti se khelte hai
(yaani guroor/ghamand ko khaak me milate hain).

3) Jhagda Karte hain aur phir sulaah-samjhota kar lete hain,
(yaani Dil me kisi ke liye burai nahi rakhte aur purani baato ko bhool
jaate hain).

4) Jo mil jul kar khate hai aor khilate hain,
(zyada maal jama karne ki unko adat nahi hoti)

5) Mitti se ghar banate hain aur khel kar gira dete hain,
(yaani ye batate hain ke ye duniya Faani hai aur ek din sab kuch
khatam hona hai.).

Bhaiyo-bahno is hadees se humko 5 baaten sikhne ko milin
(1) Allah se ro kar, gid-gida kar apni dua karo jisse dua mein zyada
asar peda hoga, Aur Allah jaldi sunega.
(2) Insan ko ghamand/gurur se door rahna chahiye.
(3) Apne bhai ke liye dil ko saaf rakhna chahiye. Agar koi baat ho
jaae to ya to hum usse maafi maang le ya uski galti ho to hum maaf kar
den. Lekin Jhagda lamba na khichen.
(4) Apne maal mein se apne bhaiyo, rishtedaaro, garibo ko bhi khilao
aur baato, aur zyada maal jama karne ki lalach na karo.
(5) Insan ki zindagi chhoti hai lekin duniya ke liye aese intezaam
karta hai jese usko yaha hamesha rahna hai, isliye duniya mein mehmaan
ki tarah raho. aur ye yaad rakho ko ek din sabko maut aana hai aur jo
bana hai wo fana hai.

Allah hum sabko in 5 baato ko samajhne aur us par amal karne ki taufik
ata kare. Aameen.



• Aap Kisko Pasand Karte Ho?
==================
Aap kisko pasand karte ho? Kisi Filmi actor ko ya Kisi party ke leader
ko ya kisi game ke khiladi ko????

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke - Insan
(Qayamat Ke Din) Usi Ke Saath Hoga Jis Se Usne (Duniya Mein) Muhabbat
Ki.
- Sahih Bukhari: 6168

Ek Dehati (villager) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke
pass aya aur Pucha:
ALLAH Ke Rasool (sallallahu alyhiwasallam) QAYAMAT KAB Aaegi ?
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
Tum Ne Qayamat Ke Liye Kya Tayyari Kar Rakhi He ?.
Usne Kaha Ke ALLAH Aur Uske Rasool (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) Ki Muhabbat..
farmaya Ke Qayamat Ke Din Tum Uske Saath Hoge Jis Se Tumhe Muhabbat He.
- Sahih Muslim: 2639

Bhaiyo-bahno, mohabbat sirf kahne se nahi hoti, amal se bhi dikhti
hai, hum khud ko dekhen, hum kiske tariko par zindagi guzar rahe hain,
aaj koi actor/actress fashion karta hai to hum bhi wesa hi fashion
karne lagte hain, lekin humko sunnat libas pahanne aur sunnat par amal
karne mein sharm aati hai. Isse ye pata chala ke hum muh ki muhabbat
apne nabi se kar rahe hain aur amal waali mohabbat kisi actor/actress
se kar rahe hain aur amal waali mohaabat zyada gahri hoti hai. Jo
jisko follow kar raha hai hakikat mein wo usse mohabbat karta hai.
Kya aap chahte ho ke kayamat ke din kisi hollywood ya bollywood ke
actor/actress ke saath raho? Jo duniya mein jisko pasand karta tha
aakherat mein bhi uske saath hi hoga.
Bhaiyo-bahno, kahne ka matlab ye he ke agar kayamat ke din hazrat
Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ka saath chahiye to unse muh se
bolne waali mohabbat ke saath saath zindagi mein unki sunnato par bhi
chalo. Tabhi Allah humko kayamat ke din unke saath rakhega.
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.



• 99 Bimari Ka Ilaj
=====================
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alaihi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
“La Hawla Wala Quwa’ta Illa Billah Hil Ali Yel Azeem”
Ye Jannat Ke Khazano Me Se Ek Khazana Hai.

Dusri Riwayat Me Aata Hai Ke Ye Kalma 99 Bimariyo Ki Dawa Hai
Jis Me Se Halki Bimari Ranj-O-Gam Aur Pareshani hai, Jo isko Padhne Se
Door Ho JatiHai.

(Tirmizi Shareef)



• Allah ke 9 Hukm
=====================
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Mujhe Mere Rab Ne 9 Baato Ka Hukm Diya
1) Sabke saamne aur akele mein Har Haal Me Allah Se Daru
2) Chahe Ameer Ho Ya Faqeer Har Haal Me Darmiyaani Halat Par Rahu
3) Kisi se Khush Hu Ya Naraaz Lekin Us Halat Me Bhi Insaaf Karu
4) Jo Mujh Se Rishta Kaate Me Usse Jodu.
5) Jo Mujhe Na De Me Usko Ata Karu
6) Meri Baate Allah Ke Zikar Wali Ho
7) Jo Mujh Par Zulm Kare Me Usko Maaf Karu
8 ) Meri Khamoshi Gor or Fikar Ke Liye Ho
9) Meri Nigaah Ibrat Ki Nigaah Ho

Ref. Mishkaat Shareef

Ye baate Allah ne hazrat Muhammad (sallallau alyhiwasallam) ko batai,
hakikat mein ye hamare liye bhi hain. Isliye Allah se dua karo ke
humko in 9 baato par amal karne ki taufik ata kare. Aameen.



• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Ko pasand thi
==========================
[01] Khajoor (Dates)
[02] Kharboozah (Melon)
[03] Zaitoon (Ollvos)
[04] Gud (Jaggery)
[05] Jav (Barley)
[06] Sirka (Vineger)
[07] Anjeer (Fig)
[08] Dhoodhi / Lauki / Aal
[09] Shahad (Honey)
[10] Doodh (Milk)
[11] Anaar (Pomegrate)
[12] Kaddu (Sweet Pampkin)

-:[REF: Shama'il-e-Tirmizee]

Aaj science ye kahta hai ke in sab cheezo ke bahut faide hain.

Jab bhi aap In Cheezo Ko Khaen To Ye Niyyat Kare Ke
Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ko Ye Cheeze Pasand Thi,
Is Liye Main Bhi Is Ko Pasand Karta Hun Aur Khata Hun. Agar Aap Aesi
Niyat Karte Hai To Aap Ko Khane Ke Saath-Saath Sunnat Par Amal Karne
Ka Bhi Sawaab Milega.

Allah Ta'ala Ham Sabko Amal Ki Taufeeq Ataa Farmaye.
(AAMEEN SUMMA AAMEEN)



• Allah se gunaho ki maafi maango
===============
Quran mein bataya gaya he ke -
"Aur Allah se Maafi chaho, Beshak Allah maaf karne Wala meharbaan hai".
{ Surah-e-An-Nisa, Ayaat No:106 }



• Khudkushi (suicide) Karne Wala
Jannat Mein Nahi Jaaega
======================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi) ne farmaya -
Pichley zamane mein ek shaks zakhmi ho gaya tha aur
us se usko badi takleef ho rahi thi aakhir usne chhuri (knife) se apna
haath kaat dala jisse khoon bahne laga, jiski wajah se wo mar gaya,
Allah ne farmaya,"Mere Bande ne marne mein jaldi
ki isliye maine bhi Jannat ko is par HARAM kar diya ".

Sahih Bukhari Vol 4, Book 56, No. 669.

Bhaiyo-bahno, is baat ko dhyan rakhiye ke agar zindagi mein koi
takleef-pareshani aa jaae to us par sabar karo, Aur Allah se madad
maango, kyonke har acche aur bure halat Allah ki taraf se hi hote
hain, Allah bas insan ka exam leta hai. Sabar karne walo ke saath
Allah hota hai, aur takleef ke badle Allah us shaks ke gunaho ko maaf
karta hai, agar kisi ko ek thokar bhi lagti hai to uske badle Allah
koi gunah maaf kar deta hai. Aur sabar karne walo ko Allah accha badla
deta hai.
Lekin jo gharbra kar khudkushi (suicide) jese kaam kar lete hain unki
duniya aur akherat dono kharab ho jaati hai. Aur sabse badi cheez
jannat us par haram ho jaati hai. Aur aese insan ko wahi azab diya
jaata rahega jis tarike se usne khudkushi ki thi, agar kisi ne unchai
se kood kar jaan di thi, to usko hamesha wahi takleef hoti rahegi jo
usko koodne ke time hui thi.

Allah hum sabko is baat se door rakhe, Aameen.



• Allah Ke Yaha Izzat Wala Kaun?
==================
Hazrat Musa (Alaihi Salam) Ne Allah se Arz Kiya Ke, “Aey RAB! Tere
Nazdeek Kaun Sa Banda Zyada Izzat Wala Hai ?”
ALLAH Ne Farmaya, “Wo Jo Badla Lene Ki taakat hone ke Bawajud (Dushman
Ko) Maaf Karde”.

Bhaiyo-bahno, Allah ke yaha khud ko izzat wala banao, aur logo ko maaf kar do.



• Kon Sa Gussa Accha Hai?
===============
Pehli baat to ye hai ke islam mein gussa karne se mana kiya gaya hai
aur insan ko sabar karne ka hukm diya gaya hai, lekin kabhi-kabhi
insan ko gussa aa hi jata hai.
Gussa 4 tarah ka hota hai, Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam)
Ne Farmaya Ke -
1) Kuch Logo ko Jaldi Gussa Aata He or Jaldi Chala Jata He Ye Log Na
To Taareef Ke layak Hein or Naa Hi Buraai Ke.

2) Kuch Logo Ko Der Se Gussa Aata He or Der Se Jata He Ye Log Bhi Na
To Taareef Ke layak Hein or Naa Hi Buraai Ke.

3) Tum Me Sabse kharab wo hai Jinko Jaldi Gussa Aae or Der Se Jae, Ye
Log Buraai Ke Qabil Hein

4) Tum Me Sabse Accha wo hai Jin Ko Der Se Gussa Aae or
Jaldi Khatam Ho Jaae, Ye Tareef Ke Qabil Log Hain.

Ref.: Mishkaat Shareef

Jab kisi ko gussa aa jaae to hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ne farmaya ke agar wo khada ho to beth jaae, aur beta
ho to let jaae, isse gussa kam ho jata hai.
Dusri jagah hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke
jab kisi ko gussa aae to wuzu kar le.

Allah hum sabko gusse se bachae.



• Yaad Rakho
===============
1) Duniya Ke Andar DEEN Nahi He BALKE DEEN Ke Andar Duniya He

2) Gunaah Par TABIYAT Khud Chalti He Magar NEKI Par TABIYAT Ko Lana Padhta He

3) Aaj Amal He HISAB Nahi, Kal HISAB Hoga Amal Nahi

4) Aaj Ek AANSU Ka Qatra DOZAKH Ki AAG Ko Bujha Sakta He, Kal AANSU Ke
SAMANDAR Se DOZAKH Ki Aag Ki Ek CHINGARI Bhi Nahi Bujhegi



• Sabse Pahle Imaan Laane Waale Log
==================
Aurton mein HAZRAT KHADEEJA (radi allahu anha)

Azad Mardon mein HAZRAT ABU BAKAR (radi allahu anhu)

Ghulamon mein HAZRAT ZAID BIN HARIS (radi allahu anhu)

Bachon mein HAZRAT ALI (radi allahu anhu)



• Allah Ki Rahmat aur Azaab (saza)
=======================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmya -
“Jis Roz Allah Ne Rehmat Ko Paida Kiya To Uss Ke 100 Hissae Kiye
Aur 99 Hissae Apne Paas Rakh Kar Ek (1) Hissa Apni Saari Makhlooq Ke
Liye Bhej Dia. (usi rahmat ki wajah se ek maa apne bacche se pyar
karti hai, jaanwar apne baccho se pyar karte hain)
Pas Agar Kafir Bhi Yeh Jaan Le Ke Allah Ke Paas Kitni Rehmat Hai To
Woh Bhi Jannat Se Maayoos Na Ho Aur Agar Momin Yeh Jaan Jaae Ke Uss Ke
Paas Kitna Azaab Hai To Jahannum Se Wo
Bhi Be-Khoof Na Rahay”.

- (Sahih Bukhari 5/2374 H-6204)
- (Sahih Muslim 4/2109 H-2755)
- (Tirimzi 5/549 H-3542)

Allah hum sab par apni rahmat naazil farmae aur apne azaab se bachae. Aameen.



• Kayamat Kab Aaegi
===================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya “Qayamat Qayam
Na Ho Gi Jab Tak Aaftaab (Suraj/Sun)
Pacchim (West) Se Na Nikley, Phir Jab Aaftaab Pachim Se Nikley Uss
Waqt Sab Aadmi Imaan laaenge (Allah Par, Itni Badi Nishaani Dekh Kar)
Lekin Uss Din Ka Imaan Faaida Na Dega Uss Shakhs Ko Jo Pehley Imaan
Nahi Laaya Ya Uss Ne Imaan Ke Saath Neki
Nahi Ki”.

-: (Muslim Shareef 1/256,258:396)

No comments:

Post a Comment