Thursday, 2 January 2014

Azaan

Azaan Ka Jawab Kese Den
======================

Jab Azaan ho to humko uska jawab dena chahiye, aesa karne se jitna
sawab azan dene wale ko mil raha hai utna hi humko bhi milega. Ek
hadees mein aya hai ki agar logo ko azaan dene ka sawab pata chal
jaaye to azaan dene ke liye ladai hone lage.

Azaan ka jawab is tarah dijiye.

Azaan : Allahhu Akbar, Allahu akbar
Jawab : Allahhu Akbar, Allahu akbar

Azaan : Allahhu Akbar, Allahu akbar
Jawab : Allahhu Akbar, Allahu akbar

Azaan : Ash hadu al lailaha illallah
Jawab : Ash hadu al lailaha illallah

Azaan : Ash hadu al lailaha illallah
Jawab : Ash hadu al lailaha illallah

Azaan : Ash hadu anna Muhammadur rasulAllah
Jawab : Ash hadu anna Muhammadur rasulAllah (sallallahu alyhiwasallam)

Azaan : Ash hadu anna Muhammadur rasulAllah
Jawab : Ash hadu anna Muhammadur rasulAllah (sallallahu alyhiwasallam)

Azaan : Hayya alas salah
Jawab : La hawla wala kuwwata illa billa hil aliyil azim

Azaan : Hayya alas salah
Jawab : La hawla wala kuwwata illa billa hil aliyil azim

Azaan : Hayya alal falah
Jawab : La hawla wala kuwwata illa billa hil aliyil azim

Azaan : Hayya alal falah
Jawab : La hawla wala kuwwata illa billa hil aliyil azim

Azaan : Allahhu Akbar, Allahu akbar
Jawab : Allahhu Akbar, Allahu akbar

Azaan : Lailaha Illallah
Jawab : Lailaha Illallah

Iske baad Azan ke baad ki dua padhiye.



• Azaan Ke Time Chup Raha Karo
============================

Hazrat Muhammad (Sallallaahu Alaihiwasallam) ne irshad farmaya:
Jab Azaan di jaye to har kaam chhod do, yaha tak k Quran padhna bhi,
Jo shakhs Azaan k darmiyaan baat karta hai to maut k waqt use Kalma
Naseeb nahi hoga.

Allahu akbar

Dosto, jab bhi azaan ho to humko azaan ka jawab dena chahiye, agar ye
na kar sako to kam se kam us time chup ho jana chahiye. Aajkal dekha
gaya hai ki bahut se log gaana aur tv bhi band nahi Karte.

Allah hum sabko islam ke raaste par chalaye.
Aameen


• Azaan Dene Ka Sawab
---------------------------------------

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya- “Muajjin (azaan
dene wala) ke Gunah Waha Tak Maaf Kar Diye Jate
Hain, Jaha Tak Uski Awaz Pahunchati Hai! Jaandar aur Bejaan,Jo Muajjin
Ki Awaz Sunte Hain, Wo Sab Qiyamat Ke Din Uske Liye
Gawahi Denge! Muajjin Ki Awaz Par Namaz Me Ane Wale Ke Liye 25 Namazo
Ka Sawab Likh Diya Jata Hai Aur Ek Namaz Se Pichli
Namaz Tak Ke Darmiyan Ke Gunah Maaf Kar Diye Jate Hain!”
(Abu Daud)

Ek hadees ka matlab (mafhoom) hai jisme Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ne farmaya- Agar tum logo ko azaan dene ke sawab ke
baare mein pata chal jaaye to tum log azaan dene ke liye aapas mein
ladai karne lago.

Makka shahar ki ek khubsurat azaan suniye
http://www.youtube.com/watch?v=SQcWy-vHUhE

Azaan in Makkah BEAUTIFUL!
Very beautiful voice great to listen to.


• TV or AZAAN Ka Safar
----------------------------------------------

Jab TV naya-naya aya tha tab
Tv Chal Raha Tha, Azaan Ki Awaaz Aai, Tv Fouran Band Kardiya

Waqt Guzarta Gaya
Tv Chal Raha Tha, Azaan Ki Awaaz Aai, Tv Ki Aawaaz Fouran Bad Kardi

Aur Waqt Guzrta Gaya
Tv Chal Raha Tha, Azaan Ki Awaaz Aai, Tv Ki Aawaaz Kam Kardi

Aaj Afsoos Noubat Yaha Tak Aa Gai He Ke

Tv Chal Raha He, Azaan Ki Awaaz Aa Rahi He, Lekin Kisi Ko Koi Parwaah Hi Nahi

Aur aage ab kya hoga, Allah bachaye.

Dosto, dheere-dheere hamare dilo par zang chadhta ja raha hai, hamare
andar imaan kamzor hota ja raha hai, lekin humko ahsas nahi hai,
isliye iske baare mein fikar kare. Roti-Rozi, education ki fikar to
din raat karte hain lekin kabhi iske baare mein bhi soche.

Allah humko siraate mustakim par chalaye


• AZAAN.
------------------------------------------------------

FAJR ki AZAAN Sab Se Pehle Indonesia Se Shuru Hoti He or
Phir
Sumatra
Malaysia
Dhaka
Sri Lanka
India
Pakistan
Afghanistan
Musqat
Saudia
Kuwait
Dubai
Yemen
Iraq
Iran
Istanbul
Tarabils
Libya
America tak Continue 9 hrs Fajr Ki AZAAN Hoti Huwi Waapas Indonesia
Pahunchti He,
Jahan Zohar Ki AZAAN Ka Waqt Ho Jata He
Isi Tarah 5 Waqt Ki AZAAN Se poori Zameen Par 1 Bhi Second Aisa Nahi
Ke AZAAN Ki Awaaz Na Aati Ho _


• Azan ki awaz sun kar b tu Namaz nai jata.

A muslman.
Yaad rakh 1din azan b nai hogi par teri
namaz zarur hogi.

Plz don't miss namaz ... dear brother and sisters dont miss
Namaz .
Namaz se hi duniya aur akhirat
ki kamiyabi success hai....

No comments:

Post a Comment