Sunday, 5 January 2014

Knowledge J

• Maafi Maangne walo ko Allah pasand karta hai
-------------------------------------------------------

ALLAH toba karne walo (maafi maangne walo) ko apna mehboob bana leta
hai aur un se mohabbat kata hai aur karte rahega, Allah farmata hai ki
jab tak banda maafi maangta rahega, mein bhi usse mohabbat karta
rahunga,

------------------
Kuch log bade-bade wazife padhte hain lekin gunah nahi chhodete. Ek
buzurg farmate hain ki wazifo se rehmat ka truck to aa gaya
lekin gunah jo nahi chhode the unke badle Allah ke gazab (gusse) ka
truck bhi saamne hai. Dono ek dusre ko side nahi dete.

Aur zyada din tak gunah mein rehna bhi achi baat nahi hai jane kab
maut aa jae to Allah ke pass kis halat mein jaogae. Aur agar maut bhi
na aae to ye bhi kya kam maut hai jo hum ALLAH ki nafarmani mein jee
rahe hain.?

ALLAH hum sabko toba (Allah se maafi) karne ki taufiq naseeb farmaein
or hum se mohabbat farmae.


• Khane ke kuch sunnat tarike
------------------------------------------------------
1) Khane shuru karne se pahle haath dho lo
2) Khana Bismillah se shuru karo
3) Bhook se kam khao, yaani thoda pet khali rahe.
4) Khana khane ke beech mein thoda paani piyo
5) Khana khane ke baad paani mat piyo
6) Dophar ke khane ke baad foran sidhi karwat par kuch der let jao,
isko kehlulla kahte hain.
7) Raat ke khane ke thodi der chahal-kadmi karo, zyada der bhi mat tahlo.
 Khana kha lene ke baad Allah ka shukr ada karo

Ye sab sunnat tarike hain, inke bahut faide hain, aaj science bhi in
baato ko maanne laga hai ki in sab baato mein faide hi faide hain.
801423Like ·  · Share

Islamic Knowledge
April 5
RAat ka khana kabhi mat chhodo
--------------------------------
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
Raata ka khana hamesha khaya karo, chahe ek mutthi khajur kyo na khao,
kyonki raat ko nahi khana insan ko zaeef (kamzor) kar deta hai
Ibne maza

Raat ke khane ke baad ek dam bistar par nahi jaan chahiye, balki kuch
der tahalna chahiye (zyada der bhi nahi), ye bhi ek sunnat hai,
Photo: RAat ka khana kabhi mat chhodo
--------------------------------
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
Raata ka khana hamesha khaya karo, chahe ek mutthi khajur kyo na khao,
kyonki raat ko nahi khana insan ko zaeef (kamzor) kar deta hai
Ibne maza

Raat ke khane ke baad ek dam bistar par nahi jaan chahiye, balki kuch
der tahalna chahiye (zyada der bhi nahi), ye bhi ek sunnat hai,


• Ek SADQA (Donation) 70 pareshaniyo ko door karta hai.
--------------------------------------------------------------------

Ek SADQA (Donation) 70 pareshaniyo ko door karta hai. Lekin SADQA
Maal, Daulat or Paise ke alawa in kaamo ko karna bhi sadqa hai.

* Kisi ko Dua Dena
* Kisi ko Ilm (gyan) sikhana
* Kisi ko Mashwara (rai/suggestion) Dena
* Kisi ko Muskurahat (smile) Dena
* Kisi ki Madad karna
* Kisi ko Waqt (time) Dena
* Kisi ki Tarbiyat (guide) karna
* Kharab time mein kisi ko himmat dena
* Neki Ka Hukm (Acche kaam karne ko bolte rahna)
* Burai Se Rokna (bure kaamo se rokna)
* Mohabbat se milna (sabse acche se milna)
* Kisi ki galti par usko maaf kar dena
* Saamne wale ko izzat dena
* Kisi Ki Khushiyo Me Shamil Hona
* Kisi ke saath Imaandari Karna (Honesty)
* Raaste us cheez ko hata dena jo kisi ko nuskan pahucha sakti hai
jese bada pathhar, kaanta, kaanch ka tukda wagerah.
* Kisi Bhatke Hue musafir Ko Rasta Dikhana

Allah humko in kaamo ko karne ki tofik de



• Kisi Muslim ko Kaafir na kaho
-------------------------------------------
Jo koi apne muslim bhai ko, jisme kufr ki koi wajah na ho,agar kaafir
kahta hai to khud kaafir ho jata hai

sahi bukhari - jild 5 - 624

Kaafir koi gaali nahi hai, aasan lafzo mein kaafir ka matlab hota hai
Allah ko na maan-ne wala, ya Allah ki nahi balki kisi dusre ki ibadat
karne wala.



• APRIL FOOL
---------------------------------------------
Kisi ko April fool banane mein thode der ka maza hota hai lekin is
kaam mein insan se 4 gunah ho jaate hain.

1. Jhoot,
2. Takleef pahuchana
3. Mazaak udana &
4. Beizzat karna.

Ab is hadees par gaur kijiye -
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab ye
hai ki) Uss Shakhs Ke Liye Kharaabi Hai Jo Baat Karte Huwe Logo Ko
Hasane Ke Liye Jhooth Bolta Hai.
-: (Mishkatul Masaabih)

Yaani mazak mein bhi jhoot bolna, jhoot hi hai. Aur isi ka mazaka
banana, jhoot bolna ye sab guna ka kaam hai.

Isliye kisi ko April Fool banane se KHUD BHI BACHEN AUR DUSRO KO BHI
BACHAEN. PLZ SHARE KARKE SAB KO BATAEN AUR SAWAAB KAMAEN.



• 6 Khubsurat Hadees
----------------------------------------------------
1)'ALLAH' Par Bharosa Karne Wala Kabhi Na-Kaam Nahi Hota..

2) Kisi Ka Raaz Talash Matt Karo Agar Malum Ho Jaye To Phelao
Nahi..

3) Koi Bhi Musibat Padhne Par Maut Ki Tamanna Na Karo..

4) Insaan Ka Sab Se Bade Dushman Us Ke Bure Dost Hain..

5) Kisi Ko Khush Karna Neki Hai..

6) 'ALLAH' Us Shakhs Ho Aabad Karta Hai Jo Hadis Sun Ke Dusron
Tak Pohnchaye.!!


• Khairaat (daan) Na Dene Se Allah ki taraf se Rizq (income) Rok Diya Jata Hai
----------------------------------------------------
Hazrat Muhammad (sallallaahu Alaihe Wasallam) ne farmaya ki Khairaat
ko mat Roko warna tumhara Rizq bhi Rok diya jayega.

(Sahih-Bukhari,­ Vol-no: 02, Book: 24 (Kitaab-ul-Zaka­at), Hadees-no: 1433)
Photo: Khairaat (daan) Na Dene Se Allah ki taraf se Rizq (income) Rok
Diya Jata Hai
----------------------------------------------------
Hazrat Muhammad (sallallaahu Alaihe Wasallam) ne farmaya ki Khairaat
ko mat Roko warna tumhara Rizq bhi Rok diya jayega.

(Sahih-Bukhari,­ Vol-no: 02, Book: 24 (Kitaab-ul-Zaka­at), Hadees-no: 1433)


• Saccha Dost
-----------------------------
Apne dosto ko acche kaam karne aur bure kaamo se bachne ke liye bolte
raho, kyonki apne dost ko burai se bachana hi sacche dost hone ki
nishani hai


• Allah se apne gunaho ki toba (maafi) karte raho
--------------------------------------------------------

{Mafum} Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Irshad
farmaya..
“Jab Shaitan (satan) mardood ho gaya to uss ne kaha, ke Ae Rab! Teri
Izat ke qasam mein tere bandon ko hamesha bhat-kaata rahunga ab tak ke
Unki rooh unke jism main rahay ge. (yaani jab tak mar na jaaye), Allah
ne farmaya Mujhe Qasam he apni Izzat-0-Jalaal ki apne Aala mukaam ki
ke jab tak mere bande mujhse Astaghfaar (maafi maangte) karte rahenge
MAIN unko maaf karta rahuga.

sabak : isliye bhaiyo, pahle to koshish ye karna chahiye ki humse koi
gunah hi na ho, lekin agar koi gunah ho jaaye to phir ye na socho ki
Allah humko maaf nahi karega, Allah har gunah maaf kar deta hai, bas
uske aage ro kar maafi maang lo, aur dil mein ye irada karo ki ab ye
gunah dobara na hoga.

Bahut se log aise bhi hai jo sochte hain ki humne apni zindagi mein
bahut gunah kar liye, ab Allah humko maaf nahi karega. Ye soch kar wo
gunah karna nahi chhodte aur sochte hain ki ab to dozakh mein hi jana
hai, aur maze kar le. Lekin unka ye sochna galat hai, Allah bahut
zyada raham karne wala hai, jab jaago tab hi sawera hai, Allah se jab
bhi maafi maangoge Allah maaf kar dega, chahe kitna hi gunah kyo na
kiye ho, lekin dil mein irada karo ki ab saare gunah chhod duga.
Marne se pahle-pahle Allah se apne gunaho ki maafi maang lo, marne ke
baad moka nahi milega.



• APRIL FOOL
---------------------------------------------
Kisi ko April fool banane mein thode der ka maza hota hai lekin is
kaam mein insan se 4 gunah ho jaate hain.

1. Jhoot,
2. Takleef pahuchana
3. Mazaak udana &
4. Beizzat karna.

Ab is hadees par gaur kijiye -
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab ye
hai ki) Uss Shakhs Ke Liye Kharaabi Hai Jo Baat Karte Huwe Logo Ko
Hasane Ke Liye Jhooth Bolta Hai.
-: (Mishkatul Masaabih)

Yaani mazak mein bhi jhoot bolna, jhoot hi hai. Aur isi ka mazaka
banana, jhoot bolna ye sab guna ka kaam hai.

Isliye kisi ko April Fool banane se KHUD BHI BACHEN AUR DUSRO KO BHI
BACHAEN. PLZ SHARE KARKE SAB KO BATAEN AUR SAWAAB KAMAEN.


• Parindo aur jaanwaro (birds and animals) ke liye paani ka intezaam kijiye.
-------------------------------------------------

Garmi ka Mausam aa gaya hai, isliye Janwaro aur parindo Ke liye apne
Ghar ke bahar ya chhat par paani pine ke liye kuch intezaam kar
dijiye.

Ye bhi bahut sawab (punya) ka kaam hai, ho sakta hai ki Allah ko
hamara ye kaam pasand aa jaye aur Wo Hum Gunahgaaro ke Gunah Maaf
farmade aur Jannat mein bhej de.

Agar hum dusro par raham karege to Allah hum par raham karega


• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ki 'Tawazo' (विनम्रता) Part 3
-------------------------------------------
Sahaba (radi allahu anhu) ke nazdeek Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasllam) se zyada pyara aur mehboob koi dusra na tha, iske baad
bhi sahaba (radi allahu anhu) Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasllam) ko dekh kar isliye khade nahi hote the ki Hazrat
Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ko ye baat pasand na thi

- Shimail Tirmiji



• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ki 'Tawazo' (विनम्रता) Part 2
-------------------------------------------

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) apne kuch saathiyo ke saath
safar kar rahe the, raaste mein jab khane ka intezaam karne ka moka
aya to sabne apne-apne kaam baat liye. Is par Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasllam) ne farmaya ki mein lakdiya been kar lata hu,
saare saathiyo ne aapse kaha ki aap takleef na kariye ye kaam hum log
kar lege. Is par Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ne farmaya
ki ye to mein bhi samjhta hu ki tum log isko khushi se kar loge lekin
mujhe ye baat pasand nahi.


• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ki 'Tawazo' (विनम्रता )
----------------------------------------------------------------

Hazrat Abu Umama (radi allahu anhu) farmate hain ki Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasllam) hamare pass aaye to to hum sab aapki taazim
aur izzat ki wajah se khade ho gaye. Is par Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasllam) ne farmaya jis tarah arab ke bahar ke log ek
dusre ki izzat ke liye khade hote hain us tarah tum na khade hua karo



• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ki diyanat wa amanat
(सत्यनिष्ठा और धरोहर)
-------------------------------------------------------------
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ne jab islam ki daawat logo
ko di to saari qom (shahar wale) aapke dushman ban gaye. Aur Hazrat
Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ko satane mein koi kami na rakhi.
Lekin iske baad bhi koi non-muslim aisa na tha jo aapki diyanat wa
amanat (सत्यनिष्ठा और धरोहर) par shak karta ho balki ye log apna
rupye-paise (maal) lakar aapke pass hi amanat ke taur par rakhte the
(kyonki pahle bank etc. nahi hote the) aur poore makka mein aapse
zyada kisi ko 'amanatdaar' nahi samjha jaata tha.

Jab makka ke logo ne bahut pareshan kar diya tab Allah ke hukm se aap
madina jaane lage, us time bhi aapke pass bahut saare non-muslim ki
amanat rakhi hue thi, isliye aap madina ke liye nikal gaye lekin apne
piche Hazrat Ali (radi allahu anhu) ko chhodne ka ek irada ye bhi tha
ki jinki amanat rakhi thi, Hazrat Ali (radi allahu anhu) unko wapas
kar de aur phir madina aaye.

Yaha ye baat dekhne ko mili ki jin logo ne sataya, pareshan kiya aur
apna shahar chhodne ke liye majbur kiya unki bhi amanat ki itni fikar
thi ki jaate-jaate sabki amanate lota di.


• Hazrat Muhammad (sallalahu alyhiwasallam) ki 'inkisare tabai' (विनम्रता)
-----------------------------------------------------------
Hazrat Ali (radi allahu anhu) farmate hain ki Hazrat Muhammad
(sallalahu alyhiwasallam) bahut bade dil wale, baat ke sacche, tabiyat
ke naram, logo se bahut acche rahte, jo bhi insan aapko daawat deta
aap usko kubul karte, kabhi mana na karte chahe wo daawat kisi garib
ne di ho ya gulam ne di ho. Aur aapko koi gift deta to usko bhi kubul
karte aur baad mein kisi moke par usko bhi gift dete, agar koi bimar
ho jata to wo madina ke kisi bhi kone mein rahta ho usko dekhne zarur
jaate, aur koi kisi galti par maafi maangta to usko maaf kar dete,
apne saathiyo se khud aage badhkar musafa (shake hand) karte, kabhi
apne saathiyo mein per felakar nahi bethte ki kisi dusre ko jagah ki
takleef na ho jaye, aur jo aapse milne aata uski mehman-nawazi karte,
aur kabhi aisa bhi hota ki apna bethne ka kapda (chadar/gadda) par se
khud uth jaate aur apne mehman ko us par betha dete, kisi ki bhi baat
ko beech mein na kaat-te , aur hamesah hasmukh rahte, chehre par
muskurahat rahti. (Ye muskurahat chehre se tabhi hat-ti jab ki wahi
naazil hoti thi)

- Nashruttib


• Hazrat Muhammad (sallalahu alyhiwasallam) ki sakhawat (दानशीलता) Part 2
---------------------------------------------
Hazrat Muhammad (sallalahu alyhiwasallam) ne Hazrat Abuzar (radiallahu
anhu) se farmaya "Ae Abuzar, mujhe ye pasand nahi ki mere pass ohad ke
pahad (mountain) ke barabar sona (gold) ho aur teesre din tak mere
pass usme se ek asharfi (gold coin) bhi bachi rahe, siwae uske ke jo
karz ko ada karne ke liye rakhi gai ho. To ae Abuzar mein us maal ko
dono haatho se khuda ki makhlooq (insano) mein baat kar uthuga

- Sahi Bukhari, Kitabul Istiqraaz Page 32)


• Hazrat Muhammad (sallalahu alyhiwasallam) ki sakhawat (दानशीलता)
---------------------------------------------
Hazrat Muhammad (sallalahu alyhiwasallam) ke ass ek baar 90,000 dirham
(us time ke 20,000 rs.) kahi se aaye. Hazrat Muhammad (sallalahu
alyhiwasallam) ne ek kapde par inko dalwa diye aur saare paise garibo
mein baat diye. Jab saare paise (amount) khatam ho gaya to uske baad
ek aur garib maangne wala aya. Hazrat Muhammad (sallalahu
alyhiwasallam) ne farmaya ki ab mere pass kuch nahi bacha, tum mere
naam se kisi se karz le le, jab mere pass paise aayege to mein usko de
duga.

- Tirmiji


• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ka akhlaaq (behaviour)
-------------------------------------

Hazrat Abdullah (radi allahu anhu) farmate hain ki mene Hazrat
Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) se koi cheez kharidi, kuch paisa
baaki rah gaya to mene kaha ki baaki paisa lekar aata hu, phir mein us
baat ko bhool gaya. 3 din baad mujhe yaad aaya, aur mein waha pahucha
to kya dekhta hu ki Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) usi
jagah par intezaar kar rahe hain, mujhe dekh kar Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki tumne mujhe takleef mein daal
diya. 3 din se isi jagah tumhara intezaar kar raha hu.
- Abu Daud

Ye akhlaaq (behavioiur) hain hamare Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ka.



• JANNAT KESI HOGI
-------------------------------------------------

Allah ne insan ko kyon paida kiya? Allah ne insan ko apni ibadat
(pooja) ke liye paida kiya hai. Allah ne insan ko duniya mein bheja
Aur insan ko sirf acche kaam karne ka hukm diya, aur kaha ki jo mujhse
(Allah se) pyar karta hai wo in sab bure kaamo se bachega aur jisne
mera (Allah ka) kahna maana aur acche kaam kiye iske badle usko jannat
di jayegi. Saari Jannate Allah ke arsh (throne) ke neeche hogi.

Jo sabse chhote level ka jannati hoga uskko is duniya se 10 times badi
jannat milegi. Jannat mein aisi-aisi cheezen hongi jo kisi aankh ne
nahi dekhi aur kisi kaan ne nahi suni aur na kisi dimag ne sochi hain.
Jo jitne zyada acche kaam karega usko utni badi jannat milegi, aur is
tarah jannat ka level badhta jaayega. Insan ko waha kabhi maut na
aayegi, balki jannat mein hamesha-hamesha rahega. Waha usko koi bhi
dukh na hoga, na tension hoga, na bimari hogi, na thakhan hogi. Bas
waha aaram hi aaram hai aur khushiya hi khushiyan hain. Waha insan jo
acchi cheez chahega usko wo milega. Uske mahal ki eet (brick) sone ki
hogi aur heere-moti se uski judai hogi. Milk aur Honey ki nahar bahti
hogi, agar insan ka dil apple khane ko karega to apple ki branch uske
muh se aakar lag jayegi jisme apple lage honge. Insan ke dil se
ghamand, jalan, yaani har tarah ki burai ko nikal diya jayega. Iske
alawa jannati ko Allah hurien bhi dega, hurien kya hain? hurien
jannati insan ki biwiya hogi (jannati ke liye wo parai nahi hongi),
aur duniya ki jo biwi thi wo un sab huron ki sardar hogi. Ye sab
hurein bahut khubsurat hongi lekin duniya ki biwi ko Allah un sa huron
se khubsurat kar dega.

Jab har insan jannat ke aish-aaram ke maze le raha hoga to Allah
jannatiyo se puchega ki tumse jo wada kiya gaya tha kya tumne wo sab
pa liya, sab jannati kahege "Ha Allah, humne wo sab paya" Allah kahega
ki aur kuch chahte ho ya aur koi kami hai, sab jannati jawab dege "
Nahi Allah, aapne sab de diya, ab kisi cheez ki kami nahi lagti" Allah
kahega ki abhi ek cheez bachi hai, kya tum mujhe dekhna nahi chahoge,
Aur Allah paak saare jannatiyo ke saamne aa jayega, jab Allah ki
khubsurati saare jannati dekhege to Jannat ke aish-aaram bhool jayege
aur Allah ko dekh kar sajde mein gir jayege......................

Sabse badi jannat 'Jannatu Firdaus' hai, isliye jab bhi dua kiyar karo
Allah se 'jannatul firdaus' maanga karo. Jab chhoti jannat ke log
'jannatul firdaus' ke jannati ke jalwe dekhge to sochege ki kash hum
bhi waha hote.

Allah hum sabko 'Jannatu Firdaus' ata kare.



• ALLAH KE NAZDEEKI KESE BADHA SAKTE HAIN
--------------------------------------------------------------
HAZRAT MUHAMMAD (SALLALAHU ALAIHI WASALLAM) NE FARMAYA - "Allah ka
irshaad hai, Jo shaqs Mere Kisi Wali se Dushmani karega, Mera Uske
khilaf Ailaan-e-Jung hai. Meri Kisi Mehboob Cheez ke Zariye Mera Banda
mujhse Itna KARIB NAHI HOTA jitna is amal se HOTA hai Jo maine us par
FARZ kiya hai (yaani namaz, roza, zakat etc.)
Aur NAWAAFIL ke zariye mera Bandah mujhse barabar kareeb hota rehta
hai Yahan tak ke Mai Us se Muhabbat karne lagta hoon. Aur Jab Mai usko
Mehboob bana leta hu to Mai uska Kaan ban jaata hu Jis se Wo Sunta hai
aur Uski Aankh ban jata hu Jis se Wo dekhta hai. Aur Uska hath ban
jaata hu Jis se Wo pakadta hai. Aur Uska Paer ban jata hu Jis se wo
Chalta hai. (yaani wo insan apna har kaam chalna, bolna Allah ki marzi
ke hisab se karne lagta hai, Allah ke khushi ke khilaf kuch nahi
karta)
Aur agar Wo mujh se maangta hai to Mai Usko Zaroor deta hu. Aur agar
Wo Meri Panaah maangta hai Mai usey zarur Panah deta hu. Aur Jo bhi
Kaam mujhe karna hota hai Usey karne me itni Narmi Nahi baratta Jitni
Kisi Aise Momin (insan) ki Rooh (Qabz karne) me, Jo Maut (ki Takleef)
ko Na pasand karta hai aur Mai uski Takleef ko Na pasand karta hu."

[Sahih Bukhari Bab At-Tawaaze' 2/962,963]


• JAB LOG BE-SHARAM HO JAATE HAIN TO ALLAH Ki SAZA AATI HAI
--------------------------------------------------

History mein Firon Pehla raja Tha Jis Ne Khudai Ka Dawaa Kiya (khud ko
God bolna) Ke Me Sab Se Bada RAB Hu. History Ne Use Mushrik e A'zam
Kaha Aur Allah Ka Azaab Aaya Us Par aur Paani Me Duboya aur bahar
Phenk Diya. is tarah is par 1 hi azab aya jabki isne Khudai ka daawa
kiya tha

LEKIN Allah Ne Jab "Qoum e Loot" Par Azaab Bheja To 5 Azaab Ek Saath Bheje
1 Zameen Me Zalzala (earth quake)
2 Farishte Ki Cheekh
3 Pattharo Ki Barish
4 Upar Ka Niche or Niche Ka Upar zameen ho jana
5 Chehre Ka badal diya jaana

Firon aur "Qom e Loot" Me farqa Ye Tha Ke Qoum e Loot BE HAYA Thi aur
Jo Qom Bhi Be Haya (Be sharam) Ban Jaati He Un Par Allah Ki saza aati
hai.

Aaj Hamara Mua'ashara (samaj) Bhi Isi Be-sharmi Ki Taraf Ja Raha He
Allah Hamari Hifazat Farmaye or Hame Apni Panaah Me Rakkhe



• JANNAT KIN LOGO PAR AASHIQ HAI
-----------------------------------------------------

Jannat 5 logon per aashiq hai,

1. Bhuke ko khana khilane wale par
2. Dusro ki madad karne wale par
3. Zuban ko bekar aur fizul ki baton se roknay wale par
4. Quran parhanay wale par
5. aur HAZRAT MUHAMMAD (SALLALLAHO ALAIHE WASSALAM) PAR DUROOD BHEJNEY
WALAY PER.

SUBHAN ALLAH


• MUSIC MAT SUNA KARO
---------------------------------------------
Jab Baajon aur Gaane waali Aurton ka riwaaz aam ho jaye,
To Meri Ummat me pattharon ki baarish, chehre bigadne aur Zameen ke
dhansne ka maamla hoga."

[Tirmizi Kitabul Fitan]

HAZRAT MUHAMMAD (SALLALAHU ALAIHI WASALLAM) NE FARMAYA -
Jo Shakhs GAANA Sunega, Qayaamat ke din Uske Kaano me Pighla hua
SHEESHA daala jayega


• 5 chizon ki hifazat karo
-----------------------------------------------
1- Namaz me dil ki
2- Tanhai me nafs ki (yaane bure kaam karne se ruke raho)
3- Mehfil me Zuban ki
4- Raaste me nigah ki (yaani kisi parai aurat par nazar na jaaye)
5- Dunya me Imaan ki


• BAGHER MAA-BAAP KE KON-KON PAIDA HUA
----------------------------------------------------

1. Hazrat ADAM (alyhissalam).
2. Hazrat BIBI Hawwa (alyhissalam).
3. Burraq (Horse) jo Hazrat MOHMMAD (Sallahualaihi Wasallam) ko Mairaj
per Le gaya tha
4. Hazrat Saleh (alyhissalam) ki ountni (camel)
5. Hazrat Younas (alyhissalam) ko pet me rakhnay wali Machli (Fish).
6. HAZRAT Mosa (alyhissalam). k asa Mubarak se Banne wala Azdah (snake)
7. HAZRAT Ismail (alyhissalam) ki Qurbani ke time Jannat se aane wala Dumba.

SubhanAllah


• AGAR BURE KAAM SE BACHNA CHAHTE HO TO
-------------------------------------------------------

Agar tum koi Bure kaam se bachna chahte ho,us waqt samjho ke tumhara
Rab tumhe Dekh raha hai.

Hazrat Ali [RadiAlla Tala Anhu]


• HAR TAKLEEF KE BADLE GUNAH MAAF HOTE HAIN
-------------------------------------------------------

HAZRAT MUHAMMAD (SALLALAHU ALAIHI WASALLAM) NE FARMAYA -
"Musalman Ko Jo Bhi Thakan, Beemari, ­Fikar, Pohanchti ­ Hai, Yaha Tak
Ke Kaanta Bhi Chubtah Hai Toh Iski Wajah Se Allah Uske
Gunaho Ko Maaf Farma Deta Hai"

(Muslim + Bukhari)

Isliye har takleef par sabar kiya karo.


• LOGO KO ACCHE KAAM KARNE KE LIYE KAHTE RAHO
-------------------------------------------------------------
HAZRAT MUHAMMAD (SALLALAHU ALAIHI WASALLAM) NE FARMAYA -
Neki ki taraf rahnumayi (GUIDE) karne wala bhi neki karne wale ki tarah hai."

[Tirmizi 4:305;2679]


• SABSE BADA GUNAH
------------------------------------------------------------
HAZRAT MUHAMMAD (SALLALAHU ALAIHI WASALLAM) NE FARMAYA -
SABSE BADA GUNAAH ye hai ki INSAN APNE MAA BAAP ko BURAA BHALA kahe.

(MUSLIM:263)


• Apni pant/jeans/pajama takhno (ankle) se upar rakho
------------------------------------------------

Hazrat Muhammad (SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM) Ne Farmaya -
ALLAH us insan ki taraf apni rahmat ki nazar nahi daalega Jo
APNA KAPDA TAKABBUR or Ghuroorr Ki Wajah Se Zameen Par Ghaseet Kar Chalta He

Ref
Sahih Bukhari, Vol 7, 5783

Bhaiyo, isliye apni pant/jeans/pajama hamesha takhno ke upar hona
chahiye, namaz mein bhi aur namaz ke bahar bhi.

Ye baat sirf ladko ke liye hai, ladkiyo ko har kapda apne takhno se
neeche rakhna chahiye.

Allah humko amal ki tofik de.


• Insan ke acche akhlaq (behaviour) ka sawab
----------------------------------------------------------------------

Hazrat Muhamamad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya -
insaan k acche akhlak ku leke rozana roza (fast) rakhne ka or rozana
tahajjud (namaz) padhne ka sawab milta he.

( mishkat sharif part 2 page no 305 )


• Agar kisi ko kisi se pyar ho jaaye to
-----------------------------------------
Islam mein kisi anjan ladki/ladke ko dekhna, phone par ya saamne
romantic baat karna, milna, gift dena, kiss karna, ishare karna (yaani
usse affair karna ya usko pareshan karna ya usse friendship karne ki
koshish karna) sab mana hai. Yeh sab gunah ka kaam hai aur Islam mein
mana hai. Koi bhi ladki tab tak haram hoti hai, jab tak ki us ladki se
aapki shadi na ho jaaye. Jab shadi ho jaaye to sab halal ho jaata hai.
Lekin ab kisi se pyar ho hi gaya hai to usko dil mein rakho aur Allah
se dua karo ki Allah meri isse shadi karwa de. Uske yaha shadi ke liye
rishta bhejo. Lekin ladki ko shadi se pehle dekhna, phone par ya
saamne baat karna, milna, gift dena, kiss karna, ishare karna sab mana
hai.---------------------------------

Islam mein kisi jawan ladki ka ek ajnabi ladke se bagher kisi zaruri
kaam ke baat karna mana hai (baat bhi kare to akele mein na kare,
koshish kare ki parde ki aad mein se kare. Hamare Sahabiyat aur Hamari
Maa (Hazrat Muhammad Sallallahu alyhiwasallam ki biwiya) se zyada paak
daaman aur imaan wali kaun ho sakta hai.

Lekin Allah ne Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ko dusre
logo ko yahi baat batane ko kaha ki ek baligh ladka aur baligh ladki
apas mein mulakat na kare.

Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ne kaha ki kisi bhi ladke
ki ek ladki par anchahe mein nazar padhti hai to woh nazar maaf hai,
lekin jaan karke kisi ladki ko dekhna gunah hai.

Ek baar ek sahabi jo ki naabina (blind) the, Hazrat Muhammad
(Sallallahu alyhiwasallam) se milne ke liye aaye. Hazrat Muhammad
(Sallallahu alyhiwasallam) ne apni biwi se kaha ki aap parde ke peeche
chale jaiye, aapki biwi ne pucha ki yeh to naabina (blind) hain,
Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ne jawab diya ki yeh
naabina (blind) hai to kya hua, aap to aankh wali hain.

Kuch log yeh samajhte hain ki ladki ko hi parda karna hai, lekin islam
mein ladko ko bhi apni aankho ko gunah se bachane ko kaha gaya hai ki
tum bhi kisi lakdi ko na dekho.

• ALLAH KAUN HAI (WHO IS ALLAH)
-----------------------------------------------
Allah wo hai jisne is puri duniya ko banaya, chaand, taare, suraj,
aasman banaya, yeh sab cheeze Allah ne bagher kisi raw material ke
banai (yaani agar kisi ko pencil banana hai to uske liye lakdi lagegi)
lekin Allah ne sirf hukm diya aur cheez ban gai, phir is duniya mein
insano ko paida kiya, insano ko apni pooja ke liye banaya aur insan ke
liye hawa, paani, trees, animal banaye. Yaani har cheez Allah ki banai
hue hai, Har kaam Allah ke hukm(order) se hota hai, jesa hawa ka
chalna, paani ka girna etc. Allah hamare dil ki baat bhi jaanta hai,
hum kya karne wale hain, kya kar chuke hain aur kya karege, yeh Allah
ko maloom hai.
Uska roop insano jesa nahi hai. Allah ek noor (light/prakash) hai, Wo
hamesha se tha aur hamesha rahega. Allah kisi se paida nahi hua, wo
khud se hai aur na uski koi aulad hai (kyonki yeh system to usne
insano ke liye banaya hai). Allah ko bhuk nahi lagti, neend nahi aati,
woh thakta (tired) nahi, wo bezar (ubta) nahi hota (kyonki yeh sab
baate usne insano ke liye banai hai) yeh saari baate to insano mein
hoti hai.
Allah bahut naram dil (dayawan) hai, bahut maaf karne wala hai. Allah
quran mein insano ko challenge karta hai ki duniya ke saare trees ko
pen bana lo, saare samudr (sea) ko ink bana lo aur duniya ke saare
insan mil jao aur meri taarif (praise) likhna chaho tumhare pen khatam
ho jayege, ink khatam ho jayegi, insan khatam ho jayege lekin meri
taarif (prashansa) puri na ho payegi.

Allah kehta hai ki mein kya hu, kesa hu is baare mein dimag mat lagaya
karo, kyonki tum sirf utna soch sakte ho jitna tumko mene dimag diya
hai, uske aage tum nahi soch sakte (yaani mujhe puri tarah nahi samajh
sakte). Agar mujhe thoda samajhna hai to meri banai hue cheeze dekha
karo, jese ek makkhi (fly) ko dekho jisko mene banaya hai, uske par ko
dekho ki mene kese banaya hai, tum saare insan mil kar bhi ek makkhi
ke par jesa dusra par nahi bana sakte. Ek anar (Pomegranate) ka dana
nahi bana sakte. Aasman, suraj, chaand sitaro ko dekho jinko mene
banaya hai, to tum meri vishalta ko thoda to samajh paoge.
Isliye islam mein sirf Allah ki pooja ki jaati hai kisi dusri cheez ki
nahi. Kyonki baaki saari cheez to Allah hi ki banai hue hai. Humko
creator ki pooja karna hai, creation ki nahi


• ASHARA e MUBSSHARA
Yani Wo 10 SAHABA Jin Ko Hazrat Muhammad Sallallaho Alayhi Wasllam Ne
Duniya Me Hi JANNAT Ki BASHARAT De Di Thi
1 Hazrat Abu Bakar
2 Hazrat Umar
3 Hazrat Usman
4 Hazrat Ali
5 Hazrat Zuber
6 Hazrat Tallha
7 Hazrat Abdur Rahaman Ibn e Aouf
8 Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah
9 Hazrat Saad Bin Abi Waqqas
10 Hazrat Saeed Bin Zaid

Ref
Tirmizi Shareef


• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab
yeh hai ki)

Rasul Allah Sallallaho Alayhi Wasllam Ne Farmaya Ke
Muslman Ko Jo Bhi THAKAN, BIMARI, GAM, FIKAR or TAKLIF
Puhnchti He Yaha Tak Ke Agr KANTA Bhi CHUBHTA He To
Us Ki Wajah Se Allah Us Ke Gunaah Ko Maaf Kar Deta He

Bukhari Shareef


• KHUSH HAALI LANE WALI 7 CHEEZE:

1 Quraan Ki Tilawat Karna

2 Namaz Ki Pabandi Karna

3 Allah Ka Shukar Ada Karna

4 Majboor Ki Madad Karna

5 Gunaaho Se Tauba Karna

6 Rishtedaro Se Accha Salook Karna

7 Subah Ke Waqt Sura e Yaseen or
Shaam Ke Waqt Sura e Waqia Ki Tilawat Karna

Allah Hame In 7 Bato Par Amal Karne Wala Banaye


• "Jannat Ki Sab Sy Bari Naimat (visheshta) Kon Si Hy?

Ans: "Sabsy Bari Naimat Jo Musalmanon Ko Us Roz Milay Gi Woh ALLAH
TA'ALA Ka Deedar Hy, Ky Is Naimat Ky Barabar Koi Naimat Nahe, Jisay 1
Bar ALLAH Ka Deedar Naseeb Hoga Woh Hamesha Hamesha Isi Ky Zauq Mein
Duba Rahy Ga.

• Baap K 6 adhikar (darjaat)

1) walid Ka Ehtram Kro Takey apki Olad apka Ehtram Kre...

2) walid Ki Baten Goor Se Suna Kro TakeY Dosron Ki Na Sun'ni Paren...

3) walid K Samne oncha Na Bolo Wrna ALLAH apku Nicha Kr Dega...

4) walid K Samne Nzr Jhukao Takey ALLAH apku Dunya Me Bulndi Nsib Kre...

5) walid Ki Sakhti Brdasht Kro Takey Ba-kamal Ho Sko...

6) Yad Rkhna K walid K Anso apke Dukh Se Na Gire Wrna ALLAH apku
JAnNAT Se Gira Dega.

"WALDAIN" K Saye Se Azeem Tar Dunya Me Koi Cheez Nhi..

ALLAH Pak Duniya Ke Sabi Waleed Or Waleeden Ku Khush Rakhe Or Hamein
Unka Farmabardar Banaye......

[Ameen Summa Ameeen



• 4 Admiyo ne HAZRAT ALI(Radi Allahu Ta'ala Anho) se 1
Sawal Pucha aur kaha k
Hum Sab ko alag alag Jawab dein,

Sawal:Ilm Behtar hai Ya Daulat??

Aap(Radi Allahu Ta'ala Anho) ne Jawab diya,

1 : Ilm behtar hai kyun ki Maal kharch
karne se Ghat'ta hai aur
Ilm Kharch karne se badhta hai...

2 :Ilm behtar hai kyunki Maal ki Tum
Hifazat karte ho
aur Ilm Tumhari Hifazat karta hai...

3 : Ilm behtar hai kyun ki Ilm wale k
Dost Zyada aur
Maal wale k Dushman Zyada hote
hein...

4 : Ilm behtar hai kyunki Ilm Nabiyo
ka Wirsat hai aur
Maal fir'on,Namrud,Qa roon ki
Wirsat hai...

SUBHAN ALLAH!


• ISLAM MEIN PROPHET KAUN HAIN
ALLAH NE UNKO KAUN SI (HOLY BOOK) AASAMANI KITABE DI THI.
(PART 4)
------------------------------------------------------------------------
Jab Musa (alyhissalam) prohet the, us time jo log islaam ko maanne
wale the, woh sahi the. Lekin Musa (alyhissalam) ke baad jab new
prophet Allah ne bheje to kuch logo ne new prophet ko apna prophet
maanne se mana kar diya aur unki baat ko maanne se inkar kar diya aur
kaha ki Hum to Musa (alyhissalam) ko hi apna prophet manege aur Taurat
ko hi apni kitab manege. Aise log islam se bahar ho gaye, aaj unko
Jewish (Yahudi) kaha jaata hai.

Isi tarike se Jab Isa (alyhissalam) ke time jo Isa (alyhissalam) ko
prohet maante the aur Injeel ko follow karte the, woh log sahi islam
par the lekin Isa (alyhissalam) ke baad Jab Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasallam) duniya mein aaye to ab Isa (alyhissalam) ke
maanne walo ko Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ko apna
prophet maanna tha aur Injeel ko chhod kar Quran ko follow karna tha.
Jin logo ne aisa kiya Woh Islam mein hi rahe. Jinko Aaj muslim kaha
jata hai lekin jin logo ne aisa karne se mana kiya aise log aaj
'chrisitian' ke naam se jaane jaate hain.

Aaj ke Islam ke maanne walo ko Hazrat Muhamamad (sallallahu
alyhiwasallam) ko apna prophet manna hai aur quran ko apni kitab manna
hai. Lekin Taurat, Jubur, Injeel ko follow nahi karna hai lekin in
kitaabo ko sacchi aasamani kitab maanna hai, Isi tarike se baaki
prophet ko follow nahi karna hai lekin baaki prophets ko bhi Allah ka
sahi prophet maanna hai.

Islam mein aisa kaha gaya hai ki Taurat, Jubur, Injeel yeh sabhi
aasamni aur sahi kitabe hain, lekin ab yeh apne sahi roop mein nahi
hain jesa ki Allah ne bheji thi (yaani insano ne ismein apne hisab se
change kar diye hain). Isliye present Taurat, Jubur, Injeel apni asli
halat mein nahi hai.

Quran jisko present muslims follow karte hai, iske rules/message/order
kayamat tak ke insano se liye hain, aur quran mein koi insan chah kar
bhi change nahi kar sakta kyonki Quran ko sahi rakhne ki zimmedari
khud Allah ne li hai. Aur kayamat tak Hazrat Muhammad
(sallallahualyhiwasallam) hi prophet rahege.
.......... end ..............


• Arshe Azim kya hai - Arsh allah ka takht (sihasan/throne) hai, jis par
Allah betha hai, us arsh ko kai farishto (angel) ne utha rakha hai.
Arsh ka size bhi hamari samajh se bahar hai. Iske size ka andaza isse
lagaiye ki insan ko duniya se jaane ke baad jo jannat di jaayegi, us
ek jannat ka size is duniya se kai guna badha hoga. aur aisi
arabo-kharabo jannat Allah ke arsh ke neeche rahegi.
Quran Paak kya hai - Quraan, Allah ke shabd (words) hain. Kisi insan
ki rachna nahi hai. Isme Allah ne duniya walo ko apne
rules/message/order bataye hain.
Sajda kisko kiya ja sakta hai - Islam mein Allah ke siwa kisi ko sajda
nahi kiya ja sakta. Kisi insan ne agar Allah ke siwa kisi ko sajda
kiya to wo Islam se bahar ho jaayega.
Allah kesa hai - Allah ek noor (prakash) hai. Allah ko kisi ne apni
aankho se nahi dekha. Kyonki kisi ki aankh mein itna power nahi hai ki
woh Allah ko dekh sake. Lekin duniya se jaane ke baad Allah insano ko
wo takat dega jisse wo Allah ko dekh sakege. Kai islamic books mein
milta hai ki Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Allah ko
Mairaj ki raat mein dekha tha.


• Hazrat Muhammad (sallalahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlaby
yeh hai ki)

- Wuzu ka Pura karna Adha Iman hai
- ALHAMDULILLAH kehna Meezaan (akhirat mein nekiyna naapne wala
tarazu) ko bhar deta hai
- 'SUBHAN ALLAH' aur 'ALLAHU AKBAR' ki tasbih (maala) padhne se itni
nekiya milti hai ki zameen se lekar aasman tak nekiyo se bhar jaaye.
- NAMAZ Noor hai
- ZAKAAT DALEEL hai
- SABR (patience) roshni hai
- Quran Tumhare liye wakil (advocate) hai ya tumhare khilaf wakil hai.

Note : Quran samajh kar padhenge or us par Amal karenge to Qayamat ke
din wo Hamare liye wakil hoga, Aur Quran nahi padenge, na Amal karenge
to Wo Qayamat ke Din Hamare khilaf wakil banega.

karne mein bahut chhoti-chhoti baate hain lekin sawab (reward) bahut
zyada hai, karege na inshaAllah.


• zil Hijjah (yaani haj wala mahina) ki ahmiyat
:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
zil Hijjah ka mahina Urdu calendar ka mahina hai. Is mahine ki 10
taarikh ko bakra eid manai jaati hai. Is mahine ki ahmiyat isse hi
zahir ho jaati hai ki Allah ne haj jesi khas ibadat isi mahine mein
rakhi. Yu to ye poora mahina hi barkat ka mahina hai. Lekin is mahine
ke shuru ke 10 din bahut khaas hain.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab
yeh hai ki) Allah ko is mahine ke shuru ke 10 din ki ibadat baaki
saare saal ke dino se zyada pyari hai.
Is mahine ki 1 tarikh se 9 tarikh tak roza rakhna chahiye (kyonki 10
se 13 tarikh tak roza rakhna haram hai). In dino ke ek roze ka sawab 1
saal tak roze rakhne ke sawab ke barabar hai. Aur raat ka jaagna 1
'shabe qadr' ke jaagne ke barabar hai.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab
yeh hai ki) mein ummid karta hoon ki zil hijjah ki 9 taarikh ka roza,
pichle aur agle saal ka kaffara ho jaata hai.
Ek riwayat mein hai ki Arfa yaani 9 taarikh ka roza 1 hazar roze ke barabar hai.
Allah hum sabko is mahine ki kadr karne ki tofik ata kare, Ameen.


• Islam Ki Jaankari (Par 3)
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

Jab bhi Allah ko apna koi message/order/rules haalat ya situation ke
duniya mein bhejna rahta tha, jese jab Allah ne socha ki ab duniya
walo ko sharab peene se roka jaaye to Allah apne farishte ko Hazrat
Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke pass bhejta tha. Jab farishta
Quran ki ayat lekar Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke pass
aate the to aap ko badan mein dhoojni (tremor) aane lagti thi aur
bahut wazan maloon hota tha aur aap pasina-paisna ho jaate the. Aapko
aisi awaz aati thi jesei koi badi chain khichta hai. Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasallam) ke sahaba/companion aapki aisi halat dekh
kar samajh jaate the ki Allah ka message (quran ki ayat) lekar
farishta aaya hai. Uske baad Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) dusre logo ko quran ki ayat/shlok bata diya karte the.
Baad mein aapke sahaba/companion ne quran ki in saare
message/order/rules ko ikattha kar liya. Is tarah quran tayyar ho
gaya. Quran Allah ki taraf se Arabic langunage mein aaya hai lekin
isko aaj duniya ki saari languages mein translate kiya ja chuka hai.
Quran ke rules/messages/order kayamat tak ke liye hain (yaani kisi fix
time ke liye nahi). Quran ke messages saare insano ke liye hain sirf
musalmano ke liye nahi. Quran ki hifazat (safety) khud Allah karta
hai, isme kayamat tak koi bhi kuch bhi change nahi kar sakta. Karodo
logo ko yeh muh zabani yaad hai. Quran mein bure kaamo se roka gaya
hai aur acche kaam karne ko kaha gaya hai. Iske saare word Allah ke
khud ke hain, isko kisi insan ne nahi likha na hi socha hai.
Mein yaha par islam ki poori jaankari, uske messages, rules, Allah ke
order nahi bata paya hoon, kyonki usko batane ke liye bahut lamba
likhna padega. Agar kisi ko interest ho to Quran ko read kare. Yeh
duniya ki saari languages mein available hai.


• Islam Ki Jaankari (Par 1)
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

Allah ne duniya ko banane se bhi hazaro-lakho saal pehle quran ko
tayyar kar diya tha. Kyonki Allah ne soch rakha tha ki mein duniya
banaunga, ismein insan aur jinnat ko paida karoonga aur unko life
jeene ka sahi tarika batane ke liye Quran bhejunga. Allah ko sab kuch
maloom hai, jo ho chuka hai, jo ho raha hai aur jo hone wala hai.
Isliye duniya banane ke baad kya-kya situation ayegi, uske hisab se
Allah ne pehle hi apne messages/rules/order quran mein tayyar kar diye
the.

Allah ne insano ke liye duniya banai aur yeh pahad, trees, sun, moon,
animals, nadiya, samudr (sea), aag sab kuch insano ke istemaal (use)
ke liye banaya. Lekin Insan ko Allah ne kyo banaya? Insan ko Allah ne
apni ibadat (pooja) ke liye banaya. Aur iske liye hi usne humko duniya
mein bheja hai warna agar wo humko nahi banata to usko kuch nuksan
nahi tha aur banane se kuch faida bhi nahi. Woh sirf humse khud ki
ibadat/pooja chahta hai.

Jab Allah ne duniya bana di aur insano ko isme paida kar diya to Allah
ko maloom tha ki log galat raaste par chalne lagege, maar-kaat karege,
jhoot, chori, jhagda karege aur Sabse badi baat Allah ko chhod kar
Allah ki banai hue cheezo ki ibadat/pooja karne lagege. Allah kabhi
bhi insan ke roop mein is duniya mein nahi aaya balki raah se bhatke
hue insano ke liye usne apne prophets (doot) bheje. Allah apne
prophets (doot) insano mein se hi chunta tha aur unko kehta tha ki Tum
meri baat dusre insano tak pahuchao. Insano se kaho ki acche kaam kare
aur bure kaamo se bache aur sirf ek Allah ki ibadat/pooja kare. Allah
chahta to saare insano ko hidayat (sahi raasta) de-de aur saare insan
sudhar jaate aur kuch bhi bure kaam na kare. Kyonki Allah hi ke haath
mein sabke dil-dimaag hain. Lekin Allah to insano ka exam lena chahta
hai, isliye kuch decission usne insano par hi chhod diye.


• इस्लाम धर्म के प्रमुख मत व विश्वास
-------------------------------------------------------------------
इस्लाम की परिभाषा
इस्लाम शब्द अरबी भाषा का शब्द है जिसका अर्थ है अमन, शान्ति, अच्छाई,
आत्मसमर्पण व सलामती.

संक्षेप में ईश्वर के आदेशों और ईश्वर के पैगम्बर हजरत मुहम्मद
'सल्लल्लाहो अलैही वसल्लम की शिक्षाओं को इस्लाम कहते है. और इस्लाम के
अनुयायी को मुस्लिम या मुसलमान कहते हैं.

इस्लाम के प्रमुख मत व विश्वास

१. ईश्वर एक है जिसको अरबी में अल्लाह, फ़ारसी में खुदा और हिन्दी में
ईश्वर कहते हैं.

२. इबादत (पूजा) के योग्य केवल ईश्वर है. ईश्वर के अलावा और कोई इबादत के
योग्य नहीं.

३. ईश्वर ही सृष्टि का रचयिता है, उसने ही पूरे संसार को पैदा किया. उसने
ही सभी मनुष्यों और जीवों को जीवन दिया. ईश्वर सर्वशक्तिमान है. ईश्वर सब
का पालनहार है.

४. ईश्वर ने समय समय पर संसार में मनुष्यों के मार्गदर्शन के लिए अपने
दूत भेजे. ये ईश्वर का सन्देश लोगों तक पहुंचाते थे. इन को नबी या
पैगम्बर कहते हैं. जिन पैगम्बरों को ईश्वर ने धर्मग्रन्थ प्रदान किये
उनको रसूल कहते हैं. प्रमुख रसूल चार है. हज़रत मूसा अलैहिस्सलाम इनको
तौरेत, हज़रत दाउद अलैहिस्सलाम इनको ज़बूर, हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम इनको
इंजील और हज़रत मुहम्मद 'सल्लल्लाहो अलैही वसल्लम' इनको क़ुरआन प्रदान
किया गया.

५. हजरत मुहम्मद 'सल्लल्लाहो अलैही वसल्लम ईश्वर के अंतिम रसूल व पैगम्बर
है. उनके बाद क़यामत (प्रलय) तक कोई दूसरा पैगम्बर नहीं आ सकता.

६. ईश्वर द्वारा रसूलों को प्रदान किये गए सभी आसमानी किताबें
(धर्मग्रन्थ) सत्य है. ईश्वरीय धर्मग्रन्थ चार है- तौरेत,ज़बूर,इंजील और
कुरआन.
१.तौरेत हजरत मूसा अलैहि: को प्रदान की गयी ये यहूदियों का प्रमुख धर्मग्रन्थ है.
२.ज़बूर ये दाउद अलैहि: को प्रदान की गयी.ये यहूदियों और ईसाईयों दोनों
का धर्मग्रन्थ है.
३.इंजील ईसा अलैहि: को प्रदान की गयी.ये ईसाईयों का प्रमुख धर्मग्रन्थ
है. ईसाई इसे बाइबल कहते हैं.
कुरआन को छोड़कर बाकी तीनों धर्मग्रंथों में यहूदियों और ईसाईयों ने
बदलाव कर दिए हैं.अब ये तीनो धर्मग्रन्थ अपने मूल रूप में नहीं है.इसलिए
इस्लाम में ये तीनो धर्मग्रन्थ मान्य नहीं है. इन तीनों धर्मग्रंथों के
आदेश और शिक्षाओं को मानना मुसलमानों के लिए वर्जित है.

७. कुरआन ईश्वरीय ग्रन्थ है. इसका एक एक शब्द ईश्वर की वाणी है.इसका एक
भी शब्द किसी पैगम्बर या किसी दुसरे व्यक्ति का नहीं है. कुरआन अंतिम
ईश्वरीय ग्रन्थ है.

८. फ़रिश्ते-ईश्वर की एक ऐसी अदृश्य मखलूक (प्राणी) है जिनको ईश्वर ने
नूर(प्रकाश) से पैदा किया. इसलिए ये मनुष्यों को दिखाई नहीं देते.ये
ईश्वर की हर आज्ञा का पालन करते हैं. इनको ईश्वर ने विभिन्न कामों में
लगा रखा है. हांलाकि अल्लाह को काम करवाने के लिए किसी की ज़रुरत नहीं,
फिर भी उसने फरिश्तो के ज़रिये एक तरीका बनाया हुआ है. फ़रिश्ते पूरी तरह
से पाप से मुक्त है.

९. अच्छी या बुरी किस्मत ईश्वर की देन है. जीवन में जो कुछ अच्छा या बूरा
होता है सब ईश्वर की तरफ से है. जीवन में जो कुछ हो रहा है या जो कुछ
होने वाला है सबको ईश्वर पहले से जानता है. मनुष्य जो कुछ अच्छा या बूरा
करता है वो अपनी मर्ज़ी से करता है लेकिन इसकी अनुमति ईश्वर की दी हुई
है. मनुष्यों अपने पापों और कुकर्मों का खुद जिम्मेदार है क्योंकि उन्हें
करने या न करने का निर्णय ईश्वर ने मनुष्यों को दिया है.

१०. एक दिन ये पृथ्वी व आकाश बल्किपूरा ब्रह्माण्ड नष्ट हो जायेगा.इसी
दिन का नाम क़यामत या प्रलय है. प्रलय कब आएगा इसका सही ज्ञान केवल ईश्वर
को है लेकिन ईश्वर ने कुरआन में और पैगम्बर मुहम्मद सल्लल्लाहो अलैही
वसल्लम ने हदीस में कई निशानियाँ बताई है जो प्रलय आने से पहले जाहिर
होंगी.

११. जब इन्सान मरते हैं तो उनके बदन को जला दिया जाए या दफना दिया जाए
लेकिन उनकी आत्माएं एक ख़ास जगह भेज दी जाती हैं, जिसको आलमे बरज़ख कहते
हैं. यह जगह न दुनिया की है ना जन्नत दोज़ख की. यह आत्माएं तब तक वह राखी
जायेंगी जब तक इश्वर प्रलय नहीं लाएगा. जब प्रलय आएगा तब दुनिया में सारे
जीवित लोग भी मर जायेंगे. फिर सृष्टि के आरम्भ से लेकर प्रलय आने तक
जितने भी मनुष्य हुए उन सबको वापस जीवन दिया जायेगा.उनको एक जगह इकठ्ठा
किया जाएगा फिर उनके कर्मों का हिसाब होगा .जिनके कर्म अच्छे होंगे उनको
स्वर्ग में रखा जायेगा और जिनके कर्म बुरे होंगे उनको नरक में डाल
दियाजायेगा.

१२. ईश्वर ने अपनी आज्ञाओं का पालन करने वालों के लिए जन्नत(स्वर्ग)
बनाया है और आज्ञाओं का पालन न करने वालों, दुष्टों व पापियों के लिए
जहन्नम(नरक) बनाया है.

इस्लाम मत के अनुसार ऊपर बताई गयी सभी बातों पर इस्लाम के अनुयायी को दृढ
व पूर्ण विश्वास होना अनिवार्य है.

इनमें से एक भी बात का इनकार करने वाला व्यक्ति इस्लाम से बेदखल(निष्कासित) है

• Islam mein kaha gaya hai ki khud bhi acche kaam karo aur dusro ko bhi
acche kaam karne ko kaho.
______________________________________________________
Islam mein kaha gaya hai ki khud bhi acche kaam karo aur dusro ko bhi
acche kaam karne ko kaho. Sirf akele hi bhale kaam jese namaz, roza,
daan-dakshina/help ka kaam nahi karna hai, balki dusro ko bhi aisa
karne ko kehna hai.
Kisi ko acche kaam ka bolna hamara kaam hai, lekin hamari baat ko
maanna ya na maanna (accept or reject) karna uska kaam hai. Islam mein
kisi tarah ki zor-jabardasti nahi hai. Agar kisi ne hamare kehne par
bhi acche kaam nahi kiye to hamara farz (duty) to pura ho jayega. Aur
agar hamare kehne par acche kaam kar liye to karne wale ko to
sawab/reward (punya) milega hi saath hi jitna usko sawab/reward milega
utna hi humko bhi milega, yaani ek chain system ki tarah reward milta
rahega.(Islam mein jis tarah acche kaam ka chain system se
sawab/reward milta rehta hai, usi tarah agar kisi ko bure kaam karna
sikha diya, to uska gunah (paap) bhi chain system ki tarah hi milta
rahta hai)
Duniya mein kisi ne acche kaam kiye lekin agar dusre ko aisa karne ko
nahi kaha to marne ke baad us se pucha jayega ki tumne kisi dusre ko
acche kaam karne ko kyon nahi kaha.
Isi tarah agar hamara koi friends/relative/colleague duniya se bure
kaam karke gaya hai aur jab Allah usse puchega ki tumne bure kaam kyon
kiye to wo hum par ilzam laga dega ki yeh mera
friend/colleague/relative tha lekin yeh akele acche kaam karta raha
par kabhi mujhko nahi kaha.
Sahaba ke yeh tarika tha ki jo bhi islam ki baat sunte the dusre tak
zaroor pahuchate the. Isliye Brothers/Sisters khud bhi acche kaam kare
aur dusro tak bhi is baat ko pahuchae.
In Quran Allah says : "Let there arise out of you a group inviting to
all that is good, enjoining what is right, and forbidding what is
wrong. They are the ones to attain success."[Aal-e-Imran, 3:104]
Prophet Muhammad Said. "Whoever amongst you sees an evil should change
it with his hand. If he is unable to do that then with his tongue. If
he is unable to do that, then with his heart, and that is the weakest
level of Iman." [Muslim]

• Muhammad (s.a.w.) kon hain?
-------------------------------------------------------------------------
Allah ne pehle insano ke liye duniya banai phir insano ko apni ibadat
(pooja/prayer) ke liye banaya. Allah kabhi bhi insan ke roop mein
duniya mein nahi aaya. Lekin usne time-time par bhatke (misguide) hue
logo ko sahi raasta (path) dikhane ke liye apne paigambar (prophets)
bheje. Allah insano mein hi se ek nek (gentleman) insan ko chunta tha
aur usko prophet bana deta tha. Phir us prophet ko kehta tha ki tum
meri baat dusre insano tak pahuchao aur mere baare mein sabko batao ki
Allah kon hai aur sab insano se kaho ki woh sirf Allah ki ibadat
(prayer/pooja) kare aur insano ko bure kaam se roko aur acche kaam
karne ko kaho. Jab se duniya ki shuruat hue, Allah ne kai insano ko
paigamber (prophet) banaya. Duniya ke sabse pehle paigamber (prophet)
duniya ke pehle insan Adam (A.S.) the. Sabse aakhri paigambar
(prophet) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) hain. Hazrat
Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) saare paigambaro (prophets) mein
sabse bade hain aur Allah ke sabse zyada pyare hain. Inke baad kayamat
(judgement day) tak koi paigamber (prophet) nahi aayega. Musalman,
paigambar (prophets) ki ibadat (pooja/prayer) nahi karte, lekin inse
bahut mohabbat, pyar karte hain aur inke bataye hue raaste (path) par
chalte hain. Kyonki inhone insano ko wahi bataya jo Allah ne inko
batane ko kaha. Yeh khud bhi Allah ki ibadat (prayer/pooja) karte the
aur dusre insano ko bhi yahi karne ko kahte the. Aaj ka musalman
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke bataye hue raaste par
chalta hai. Musalman hone ki sabse badi shart yahi hai ki insan sirf
Allah ki ibadat (pooja) kare aur Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ko Allah ka paigamber (prophet) maane aur unke bataye
hue raaste par chale.

• Allah kon hai aur kya hai?
---------------------------------------------------------------------
Allah ek hai, akela hai, koi uska saathi (partner) nahi, Allah kisi se
paida nahi hua na hi usse koi paida hua hai. Na wo sota hai, na wo
khata hai na thakta hai (yaani jo insan ke saath hota hai, usko nahi
hota tabhi to woh Allah hai, sona-khana-thakna to usne hamare liye
banaya hai). Allah hamesha se hai aur hamesha rahega. Jo kuch bhi
aasman aur zameen mein hai sab usi ka banaya hua hai. Allah har jagah
mojud (present) hai. Hamare aage-peeche (past/future) sabko jaanta
hai. Allah bahut raham karne wala (dayalu) hai. Wahi humko khilata,
pilata hai. Hamare dil ke raaz jaanta hai. Muslam sirf Allah ki ibadat
(prayer/pooja) karte hain.


• इस्लाम में आपसी लड़ाई के नुकसान
---------------------------------------------
हजरत उबादा रदिअल्लहु अन्हु कहते हैं की हजरत मुहम्मद सल्ल्लालाहू
अलेहीवासल्लम घर से इसलिए बहार आये की लोगो को यह बता दें की शबे कद्र कब
है. मगर उस समय २ लोग लड़ रहे थे. आपने फ़रमाया की मैं इसलिए आया था की
तुम लोगो बता सकू की शबे कद्र कब है लेकिन इन २ लोगो में झगडा हो रहा था
जिस की नहूसत से अल्लाह ने वोह बात मेरे दिमाग से निकाल दी. लेकिन अल्लाह
ही बेहतर जानता है की इसको भुला देना अल्लाह की नज़र में ज्यादा बेहतर हो.
इससे यह पता चला की आपस का झगडा बहुत बुरी चीज़ है की जिसकी वजह से हमेशा
के लिए शबे कद्र की फिक्स तारीख हमको पता न चल सकी. इसके अलावा भी आपस का
झगडा बरकात को दूर कर देता है.
एक बार हजरत मुहम्मद सल्ल्लालाहू अलेहीवासल्लम ने कहा की तुम लोगो को
नमाज़, रोज़ा, सदका से भी बेहतर काम बताऊँ. सब सहाबा ने कहा की बिलकुल
बताइए. आपने कहा की आपस का अच्छा व्यवहार, अच्छा सुलूक सबसे बढ़कर है. और
आपस की लड़ाई दीन को मुंडाने वाली है, यानी जिस तरह उस्तरे से सर के बाल
एकदम साफ़ हो जाते हैं वेसे ही आपस की लड़ाई से दीन भी ऐसे ही साफ़ हो जाता
है.
हजरत मुहम्मद सल्ल्लालाहू अलेहीवासल्लम का इरशाद है की जो अपने मुस्लमान
भाई तीन दिन से ज्यादा बातचीत बंद रखे और इस हालत में मर गया तो सीधे
दोज़ख में जायेगा.
एक हदीस में आया है की हर सोमवार और गुरुवार के दिन अल्लाह को हर बन्दे
के अच्छे या बुरे कामों की लिस्ट बताई जाती है. और जिन्होंने अच्छे काम
किये हैं, अल्लाह अपने करम से उनको माफ़ कर देता है. जब दो ऐसे मुसलमानों
की फाइल अल्लाह को पेश की जाती है जो आपस में बातचीत बंद किये हुए हैं,
भले ही उन्होंने अच्छे काम किये होते हैं लेकिन अल्लाह उनको माफ़ नहीं
करता और कहता है की इनकी फाइल को साइड में रख दो और तब तक रखे रखो जब तक
यह एक दुसरे से बात न शुरू कर दे.
शबे बारात (रमजान से पहले जागने वाली रात) को अल्लाह बहुत सारे लोगो को
माफ़ कर देता है लेकिन उन लोगो को माफ़ नहीं करता जो आपस में एक दुसरे के
लिए दिल में बुरे रखते हैं
हजरत मुहम्मद सल्ल्लालाहू अलेहीवासल्लम ने कहा की तीन तरह के लोग ऐसे
होते हैं जो नमाज़ तो पढ़ते हैं लेकिन उनकी नमाज़ कुबूल नहीं होती, ऐसे तीन
लोगो में आपस में लड़ने वाले लोग भी शामिल हैं.
हजरत मुहम्मद सल्ल्लालाहू अलेहीवासल्लम ने आपस में एक दुसरे की इज्ज़त
उतारने को सबसे ख़राब सूद बताया है.
भाइयो, अपने अल्लाह और उसके रसूल की ख़ुशी और आखिरत में अपने भले के लिए
उन भाइयो को मना लो जो हमसे नाराज़ हैं, उनसे माफ़ी मांग लो जिनका दिल
दुखाया है, जिनसे बात बंद है उनसे बात शुरू कर दो. पहल हम करेंगे तो
अल्लाह के यहाँ मर्तबा भी हमारा बढेगा. एक बार हजरत हसन रदिअल्लहु अन्हु
और हजरत हुसैन रदिअल्लहु अन्हु में बात बंद हो गई. कोई समझाने वाला हजरत
हुसैन रदिअल्लहु अन्हु के पास गया की तुम छोटे भाई हो तुम पहल कर लो,
हजरत हुसैन रदिअल्लहु अन्हु ने कहा की मुझे पहल करने में कोई शर्म नहीं,
लेकिन मैंने पहल कर दी तो जन्नत में मेरा ओहदा मेरे बड़े भाई से भी ऊँचा
हो जायेगा और मैं नहीं चाहता की मैं जन्नत में मेरे बड़े भाई से ऊपर के
दर्जे में रहूँ. यह बात जब हजरत हसन रदिअल्लहु अन्हु को पता चली तो
उन्होंने आगे बढ़कर हजरत हुसैन रदिअल्लहु अन्हु को ख़ुशी से गले लगा लिया.
इसलिए भाइयों, जन्नत में अपने रुतबे बड़े कर लो, आगे होकर खुद गले मिल लो
चाहे गलती किसी की भी रही हो. अल्लाह की नज़र में दोस्ती की पहल करने वाला
ज्यादा पसंदीदा है.

• Hazrat Muhammad (Sallal lahu Alyhi Wasallam) ne kaha ki jo insan
ramzan ke mahine mein masjid mein jakar Maghrib se Isha tak ka
Aitekaaf (ऐतेकाफ) kare aur Masjid mein kisi se baat na kare aur namaz,
quran ki tilawat karta rahe to Allah us insan ke liye jannat mein ek
mahal bana deta hai.
(yaani maghrib ki namaz padhne jaye to Aitekaaf ki niyat karke masjid
mein hi ruk jaye phir isha ki namaz padhkar hi ghar lote)

• kon se Nabi kaha pe dafan hain
1: Adam (A.S) Sri Lanka
2: Nooh (A.S) Jordan
3: Houd (A.S) Yamen
4: Saleh (A.S) Lebanon
5: Louth (A.S) Iraq
6: Ibraheem (A.S) Israel
7: Ishaq (A.S) Palestin
8: Yaqoob (A.S) Palestin
9: Yousaf (A.S) Palestin
10: Ayyub (A.S) Amman
11: Shoaib (A.S) Syria
12: Ismail (A.S) Or
13: Hamare Pyare Nabi-e-Pak
(S.A.W.sallam) "Saudi Arabia"

No comments:

Post a Comment