Thursday 2 January 2014

MUSIC

• MUSIC MAT SUNA KARO
---------------------------------------------
Jab Baajon aur Gaane waali Aurton ka riwaaz aam ho jaye,
To Meri Ummat me pattharon ki baarish, chehre bigadne aur Zameen ke
dhansne ka maamla hoga."

[Tirmizi Kitabul Fitan]

HAZRAT MUHAMMAD (SALLALAHU ALAIHI WASALLAM) NE FARMAYA -
Jo Shakhs GAANA Sunega, Qayaamat ke din Uske Kaano me Pighla hua
SHEESHA daala jayega


• Yeh duniya exam ki jagah hai. Kisi ko Allah khusiya dekar aazmata hai
aur kisi se lekar. Lekin Allah kehta hai ki kisi bhi insaan ko mein
uski bardasht ki taakat se zyada gham nahi deta (konki Allah humse
behtar jaanta hai ki kisme kitni bardasht ki taakat hai).
Chahe khushi mile ya gham, humko Allah ke hukmo ka dhyan rakhna hai.
Yahi asli kaamyabi hai.

Kai baar hum Allah se koi cheez maang rahe hote hain, lekin humko nahi
maloom rahta ki yeh cheez hamare liye nuksan dayak hai. Lekin Allah ko
maloom hota hai. Isliye wo cheez humko nahi deta. Agar usme hamare
liye nuksan nahi to wahi cheez de deta hai jo hum maang rahe hain. Ya
uske badle Allah humko dusri behtar cheez de deta hai.

Isliye har haal mein Allah ka shukr karte raho.

No comments:

Post a Comment