Thursday 2 January 2014

Maa-Baap Ke saath Kese Rahna chahiye

• Maa-Baap Ke saath Kese Rahna chahiye,
Quran mein dekhiye Allah kya farmata hai
------------------------------------------
Allah quran mein farmata hai ki -
Apne rab ka faisla sun lo, ki uske (Allah ke) siwa kisi dusre ki
ibadat (puja) na ki jaaye, Maa-baap ke saath accha suluk (vyawhar)
kiya jaye Tumhare saamne agar tumhare maa-baap mein se ek ya dono
budhe ho jaaye to unko kisi baat par Uff bhi na kaho aur na unko
jhidko. baat-cheet karne mein Maa-baap ki izzat aur ikraam ka bahut
zyada khyal rakho, mohabbat mein apne dono haath unke liye bicha do,
(Yaani unko khoob izzat aur pyar do) aur ye dua karte raho ke ae mere
rab, tu in par aisa hi raham kar jesa inhone mere bachpan mein mujh
par kiya tha, aur mujhe paala-posa tha.
- Quran Sipara 15, Surah 17, Ayat No. 22-24

No comments:

Post a Comment