Sunday, 5 January 2014

Namaz

• SAWAAL:

Kis Namaaz Me RUKU or SAJDA Nahi Hota He?????

A, Namaaz e Janaza

B, Namaaz e Chast

C, Namaaz e Ishraaq

D, Namaaz e Tahajjud

Rply Fast

• Namaz Na Padhne Ka Nuksan
======================
Jo shaks Namaz padhta rahe, Uske liye Namaz Qayamat Ke din Noor,
Daleel Aur najaat hogi, Aur Jo na padhe uske liye Qayamat ke din Na
Noor hoga or Na Daleel Aur Na hi Najaat. Or Wo Shaks Qayamat K Din
Fir'on, Haman aur Uby bin khalf Ke Saath Hoga.

Note: Fir'on, Haman aur Uby bin khalf ye tino bahut bade gunahgaar
the, Allah ki in par lanat hui hai.

Allah hum sabko 5 time ka namazi bana de. Aameen.

• Namaz
==========================================
Guzar gai Namaz e Fajar or tu sota raha...
Qeemti waqt ko khwabon mein khota raha...

Subha namodaar huyi per tu bedaar na hua...
Umar bhar so ker bhi tu bezaar na hua...

Aai zuhar to tujhe kaam ne uljha diya...
Be Namazi bana ker kitna tujhe phansa diya...

Milega rizq tujhe Namaz k baad bhi...
Palega tera ghar Namaz k baad bhi...

Dekh aa gai Namaz e Asar tawani lekar...
Quwwat hai iss mein tu isse ada ker...

Tandrust hai aaj tu ye shukr ada kerti...
Badan ko apne sajdon ki lazzat diya ker...

Chal diya aftab ab ghuroob hone ko...
Namaz e Maghrib hai ab shuru hone ko...

Khatam ho gaya teri zindagi ka aik or din...
Chala gaya yeh bhi haath se tere Nekiyon bin...

Ab tujhe chahiye rahat sone se pehle...
Eesha parh le apni zindagi khone se pehle...

Paaega sukoon tu Allah ke zikr mein hi...
Milega Qaraar tere dil ko isi fikar mein hi

Namaz Padho, Isse pahle ke hamari namaz padhi jaae.........




• NAMAAZ aur SEHAT
====================
Ek jagah farmaya gaya hai ke namaz mein shifa (cure/ilaaj) hai.

Aaj Medical Research Kehti He Ke Dil Pure Jisam Ko Khoon Supply Karta
He Lekin Dimaag Dil Se Upar Hone Ki Wajah Se Khoon Puri Speed Se
Dimaag Tak Nahi Puhnchta or Ye Kami Dimaag Ki kamzoori or Depression
Ki Wajah Bannti He. Insaan Din Mein Ek Martaba Bhi Aesi Position Mein
Aaye Ke Uska Dimaag Uske Dil Se Niche Ho, Jis Tarah Muslmaan SAJDA
Karte time Khoon Sahi Tarah Se Dimaag Tak Pohunch Jata He, Jis Ki
Wajah Se Khoon Dimaag Ko Taro Taaza Rakhta He, Subhanallah.

Tum Apne Rab Ki Kon-Kon Si Nemato ko jhuthlaoge, Zara Sochiye Jo Banda
Din Me 5 Dafa Allah Ke Samne Jhukta He Uska Dimaag Kitna Fresh or
Tazaa Rehta Hoga.

Allah Hame 5 Waqt Ki Namaaz Ki Pabandi Naseeb Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN


• Namaz Padhne Ke Faide
====================
1.Chehre ki Nooraniat
2.DiL ka Noor.
3.Jism ki Raahat
4.Qabar main Saathi.
5.Nuzool-e-Rehmat ka zarya.
6.Aasmano ki Chaabi.
7.Meezaan-e-hisab ka Wazan
8.ALLAH ki Raza.
9.Janat ki Qeemat.
10.Aag se Bachao ka zarya.
11.Rizq mein barkt !

Allah hum sabko 5 time ka namazi bana de, aameen.



• Namaz
---------------------------
Kal Fursat Na Mili To Kya Karoge?
Itni Mohlat Na Mili To Kya Karoge?
ROz Kehte Ho Kal se Padhenge "NAMAZ"
Kal Aankhe Na Khuli To Kya Karoge????
bhaiyo-bahno 'Kal' ki baat shaitan ka behkawa hai, isliye aaj se hi
namaz shuru kariye. Namaz Padhiye isse pahle ke aapki namaz padhi
jaae. Allah hum sabko 5 time ki namaz padhne ki taufik ata kare,
aameen.


• Namaz Na Padhne Ka Gunah
======================
Be-namazi ko qabar mein kuch saza di jaati hai jinme se kuch ye hain
1) us ki kabar ko itna chhota kar diya jaaega ke usku pasliyaan ek
dusre par chadh jayengi.
2)us ki kabar mein aag bhadka di jayegi phir wo aag ke angaro me lotta rahega,
,
3) kabar mein us par ek saanp jiska naam 'ash-shujaul-akraha' hai
tenaat kar diya jayega. us saanp ki aakhe aag ki hongi aur nakhoon
lohe ke, jiski lambai ek mahine ke safar ke barabar hogi. jab bhi wo
be namazi ko marega to wo 70 haat tak zamin me dhas jayega aur
be-namazi par qayamat tak is tarah ka azab hota rahega.
ya ALLAH hume panchoo waqt ka nemazii bana ...
AAMEEN YA RABBUL ALAMEEN




• Mardo Ka Namaz Ke Liye Masjid Jaane Ka Sawab
========================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaiyhi Wa Sallam) Ne Farmaya:
“Namaz Ba-Jamaat Ke Liye Masjid Me Janewale Ka Har Qadam
Ek Neki Ko Wajib Karta Hai Aur Ek Gunaah Ko Mitata Hai”.

(Reference: Ibne Habban)



• Namaz Mein Dhyan Rakhne Waali Baat
=====================
Jab kabhi jamat se namaz padh rahe hon to is baat ka khyal rakhe ke
jab Imam 'Allahu Akbar' keh chuke to uske baad hi hum bhi 'Allahu
Akbar' keh kar apne dono haatho ko uthaen, bahut si jagah imam sahab
'Allahu Akbar' thoda kheech kar lamba bolte hain aur bahut se unnke
Allah Akbar kahne se pahle hi niyat baandh lete hain, agar kisi ne
imam se pahle niyat baandh li to uski namaz na hogi.
Isi tarah jab imaam sahab salam ferte hain to bhi is baat ka khyal
rakhe ke imam sahab ke 'Assalamu Alykum wa Rahamatullah' pura bol lene
ke baad hi salam fere, kyonke bahut se imam Assalamu Alykum wa
Rahamatullah' thoda lamba kheech kar bolte hain aur bahut se log unke
salam ferne se pahle hi salam fer dete hain, jo imam se pahle salam
fer dega uski bhi namaz na hogi.
Isliye niyat baandhne aur salam ferne mein thoda dhyan rakhe,

Wese bhi namaz mein har rukn imam ke baad hi ada hona chahiye.


• Yaad Rakho
======================
(1) WUZU Jawaano ki Taraah karo
(yaani wuzu jaldi karo (lekin iska khyal rakho ki koi hissa sukha na
rah jaaye, aur zyada paani mat bahao, kam se kam paani istemaal karo)

(2) NAMAAZ budho ki tarah padho
(yaani namaz ko aaram aur sukun se padho, jaldi-jaldi namaz na padho)

(3) DUAA Bachcho ki Taraah Maango
(Yaani baccha kese apni zid puri karwane ke liye rota hai, haath-per
patakta hai, gid-gidata hai, thik wese hi Allah se khoob ro-ro kar dua
maango, Allah zaruru sunega.

Allah humko in sab baato par amal karne wala bana de.
Aameen.


• Masjid Mein Bethe-Bethe Sawab Kese Kamaen
================================
Jab bhi Masjid mein daakhil hon to Aetekaaf (ऐतेकाफ) ki niyat kar len.
Ye aetekaaf nafli hoga, Aetekaaf ki niyat karne se aap jab tak Masjid
ke andar rahoge, farishte aapki nekiya likhte rahenge, chahe aap
ibadat kar rahe ho ya nahi.
Nafli aetekaaf ki dua ye hai
"NAWAYTUL I`TIKAFA MA DUMTU FIL MASJID"
Aur Masjid se bahar nikloge to Aetekaaf apne aap hi khatm ho jaega.
Agar din mein 10 baar bhi masjid mein ja rahe ho to 10 baar iski niyat
kar len, Allah iska sawab dega. Aur 5 hrs. ke liye bhi masjid mein ja
rahe ho ya 5 minute ke liye to bhi aetekaaf ki niyat kar lijiye.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare Aameen.



Namaz Padhne Ke Faide
Aur Na Padhne Ke Nuksaan
======================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Jo Shaks Namaz Pabandi Se padhta hai to Ye Uss Ke Liye Qayamat Ke Din
Noor Hogi, (Iss Ke Imaan Aur Allah Se Iski Wafadari Ki) Daleel Hogi,
Aur (Jahannam/hell Se) bachne ki wajah hogi Aur Jo Shaks Namaz Ki
Pabandi Nahi Karega To Namaz Uss Ke Liye Roshni, Daleel Aur dozakh se
bachne Ka Sabab Nahi Banegi Aur Wo Qayamat Ke Din Qaroon, Hamaan Aur
Obai Bin Khalaf (Allah ke bahut bade na-farmaan) Ke Saath Hoga”.
-:(Ahmed : Hadees No-6576)

Allah hum sabko namazi bana de, aameen.


• Namaz Se Kya Khoya, Kya Payaa
===========================
Ek baar ek aadmi ne ek namazi se pucha ke tumne apni poori zindagi
namaaz padhke kya paa liya ?
Namazi ne jawab diya,maine kya paaya wo to Allah behtar jaanta hai
lekin maine kuch cheeze zaroor khoyi hai
Mera ghussa
Mera ghamand
Meri lalach
Meri udasi (sadness)
Meri sari fikar
Aur maut ka darr

Allah hum sabko ko namazi bana de, Aameen.



• 5 Time Namaz Ke Faide
===============
(1) Fajar ki namaz padhne se Chehre ka noor badhta hai.
(2) Zohar ki namaz padhne se Rozi (income) badha di jaati hai.
(3) Asar ki namaz padhne se Sehat acchi rahti hai.
(4) Maghrib ki namaz padhne se khud ke baccho ka future accha hota hai.
(5) Isha ki namaz padhne se Chain ki neend aati hai.

Jis insan ne Isha ki namaz jamat se padhi aur phir fajar ki namaz
jamat se padhi to usko raat bhar ibadat karne ke sawab milta hai,
chahe wo raat bhar sota raha ho.

Allah hum sabko 5 time ka pakka namazi bana de. Aameen.



• Namaz Padhne Ke Faide
===========================
Namaazi Ko 7 In'aam Diye Jate He
1, Rozi (income) Me Barkat
2, Sehat
3, Nek Olaad
4 ,Khush Haal Ghar
5, Duniya Me Izzat
6,Mehshar ke Maidan mein Jaam-e-Kausar
7, Aakhirat Mein Jannat

Bhaiyo-bahno,
Milta He Kiya Namaaz Me, Sajde Me Jaake Dekh

Ya Allah Hame Namaaz Ka Paband Banade or Namaaz Se Muhabbat Ata Farma,
AMIN SUMMA AAMIN



• Namaz Ke Liye Masjid Ko Jaane Ke Faide
==================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya “Namaz Ba-Jamaat
Ke Liye Masjid Me Jaane wale Ka Har Qadam Ek Neki Ko Wajib Karta Hai
Aur Ek Gunaah Ko Mitata Hai”.
(Ibne Habban)



• Be-Namazi Ka Dar
==================
Ek Aurat Hazrat Umar (radi allahu anhu) ke paas aai aur kaha ke mere
tail ki shishi (oil ki bottle) zameen par gir gai aur zameen ne sara
tail pee liya hai, Aap wapas karwa dein, Hazrat Umar (radi allahu
anhu) ne ek kagaz ki parchi par kuch likha aur aurat ko usi jagah le
jaakar rakhne ko kaha, Aurat ne us kagaz ko wahi jaakar rakha to tail
ka chashma ubal padha. Aurat ne shishi bhar li.
Aurat ne baad mein us kagaz ki chitthi ko khola to us mein likha tha
ke "Ae zameen tail wapas kar de, warna mein (umar - radi allahu anhu)
teri jagah pe kisi Be-Namazi ko dafan karwa dunga".

Allahu Akbar
Be-Namazi ke azab se dar kar zameen ne tail wapas kar diya, to unka
kya hoga jo jaan boojh kar namazein qaza karte hain?

Allah hum sabko namaz padhne ki taufik ata kare. Aameen.


• Aesa Kaun Sa Kaam Hai Jisse
Hamare Dono Farishte Busy Ho Jaate Hain?
=======================
Jab insan koi accha kaam karta hai to sidhe (right) haath wala
farishta hamari neki likhne lagta hai, aur jab insan koi bura kaam
karta hai to ulte haath wala farishta hamare gunah likhne lagta hai.

Kya aap ko aesa "amal" malum hai jiske karne se dono farishte harkat
mein aa jaate hain aur busy ho jaate hain?
Wo amal hai "Darud Sharif" ka padhna. Ek baar darud sharif padhne se
sidhe haath wala farishta 10 nekiyan likhta hai; aur ulte haath wala
farishta hamare 10 gunah hata deta hai; aur Allah 10 darjaat buland
karta hai.

To bhaiyo-bahno, jab bhi time mile, darud sharif padhte raha kariye,
khaas-taur se juma ke din.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.



• Namaz Padhne Ke Faide (2)
======================
1) NAMAZ KI PABANDI KARNE SE ROZI MEIN BARKAT HOTI HAI
2) NAMAZ KI BARKAT SE NAMAZI KI QABAR ME ROSHNI HOTI HAI
3) ALLAH KO KHUSH KARNE KE LIYE NAMAZ SABSE ACCHA WASILA HAI
4) NAMAZ INSAN KO BE-HAYAI AUR BURI BAATO SE BCHATI HAI
5) NAMAZ PADHNE WALO KE SAARE KAAM ACCHE SE PURE HOTE HAI
6) NAMAZ JANNAT KI CHAABI (KEY) HAI
7) NAMAZ MOMIN KI MERAAJ HAI (matlab namaz padhte time insan Allah se
mulakaat karta hai)
 NAMAZ DEEN KI BUNIYAD (BASE) HAI
9) NAMAZ QAYAMAT KE DIN NAMAZI KE SAR PE SAYA KAREGI
10) NAMAZ MOMOIN KE DIL KA NOOR HAI

ALLAH HAM SUBKO PAA-BANDI SE NAMAZ PADHNE KI TAUFIQ ATA FRAMAYE
SUMMAMEEN



9 Namaz Padhne Ke Faide (1)
====================
Hazrat Muhammad (sallallau alyhiwasallam) ne farmaya -
Jab insan Namaz mein Khada Hota Hai To, Allah Apne Aur Uske beech ke
Parda Utha Deta Hai. Usko Apne Saamne Kar Leta Hai, Farishte Uske
Kaandhe Se Leker aasman Tak Khade Ho Jaate Hain Aur Uski Namaz Ke
Saath Namaz Padhte Hain, Uski Dua Ke Saath Aamin Kehte Hain! Aur
Namazi Par Aasmaan Se Lekar Uski Sar Ki Maang Tak Nekiyan Barasti
Hain! Pukaarne Wala Pukaarta Hai! Ae Namazi! Tujhe maalum hai tu kisse
baat kar raha hai? Tu Idhar-Udhar dhyan mat dena. (matlab duniya ke
baate dimag mein mat lana). Aasmaan Ke Darwaze Us Namazi Ke Liye Khol
Diye Jaate Hain! Phir Allah Apne Farishton Per Namazi Ke
Sidq-A-Ikhlaas Se naaz Karta Hai!



• NAMAZ Jagah Badal-Badal Ke Padho
========================
NAMAZ Jagah Badal-Badal Ke Padhni Chahiye, hamesha ke liye koi ek
jagah fix na karen. Kyonke jaha humne namaz padhi hai Wo Zameen Ka
Hisaa Hamra Gawah Ban Jata Hai Or Akherat Mein Magfirat Ka Zariya Ban
Jaega…



• Namaz Na Padhne Ka Nuksaan
============
Quran mein bataya gaya he ke -
“Jannati Jahannamio Se Sawaal Karenge Ke, Tum Ko Kis Cheez Ne Jahannam
Me Dala? (Jahnnami) Jawaab Denge Ke Hum Namaz
Nahi Padhte The Aur Naa Hi Ham Garibo (mohtaajo) Ko Khana Khilate The”.
-:(Surah – Al Mudassir : Aayat 40-43)



• Namaz Aur Allah
========================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - “Jab Koi
Shaksh Namaz Ke Liye Khada Hota Hai, To jese Wo Allah se baat Karta
Hai. Ya Yu Farmaya Allah Uske Aur Qibley Ke beech Hota Hai”.

-(Sahih Bukhari, Volume1, #405)



• Namaz Jamaat Se Hi Padho
=========================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
Namaaz Jamaat se padhna, akele padhne se 27 darja badh kar hai”

-(Bukhari, Muslim Sharif)



• Chaast Ki Namaz Ke Faide
====================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Jo Pabandi Se Zuha (Chaast) Ke Waqt Do Nafl Padhega Uske Gunaah Baksh
Diye Jayenge Agarche Woh Samandar Ki Jhaag Ke Manind Hon.”

-(Tirmizi Sharif)



• Masjid Mein Bhaago Mat
==================
Agar namaz ke liye jamaat khadi ho chuki hoti hai to kuch log bhaag
kar jaate hain, aesa karna mana hai aur ye masjid ke adab ke khilaaf
hai, isliye jamaat mein shamil hone ke liye thodi tez chaal se chale
jao, lekin bhaagna nahi chahiye.



• Agar Namaz Mein Galti Ho Jaaye To?
============================
Humko namaz bahut dil laga kar aur dhyan se padhna chahiye, Namaz
aaram se padhna chahiye, ruku sajda sab aaram se karo, namaz padhte
time ye khyal dil mein rahe ke Allah hamare saamne hai aur hum ruku,
sajda sab Allah ko kar rahe hain, namaz mein tasbeeh aur dusri padhne
ki cheeze bhi bahut aaram se muh se padhe, kyonke jaldi mein lafz
galat nikal sakte hain, namaz mein galti tabhi hoti hai jab hamara
namaz mein dhyan na ho, aksar aesa ho jata hai ke hamara dhyan
baar-baar duniya ke kaamo mein chala jata hai lekin jese hi dhyan aaye
foran apna dhyan namaz mein wapas laga lo. Aur namaz mein jaan-bhujh
kar duniya ke baare mein sochna galat hai.
(1) Namaz mein kuch waajib hote hain aur kuch farz, agar wajib chhoot
gaye to humko 'Sajda Sahuw' karna hoga, isse hamari namaz ho jaayegi
lekin agar farz chhoota hai to namaz wapas se padhna hogi, Sajda sahuw
karne se bhi namaz na hogi.
Sajda Sahuw ka tarika - agar namaz mein humse koi waajib chhoot gaya
aur humko hamari galti ka ahsas ho gaya to sajda sahuw kar len, iska
tarika ye hai ke aakhri rakaat mein 'attahiyaat' ke baad sidhe haath
ki taraf ek salaam pher den, salam pher kar wapas 2 sajde karen, phir
attahiyat, darud e ibrahim aur dua padh kar, dono taraf salaam pher
den, ye sajda sahuw kehlata hai.
(2) Agar waajib ke chhootne par bhi sajda sajhuw nahi kiya to namaz na
hogi aur dohrana padhegi.
(3) Agar kisi ne aakhri rakaat mein galti se sidhe ki tarah salaam na
phera aur attahiyaat ke baad 2 sajde karke sajda sahuw kar liya to bhi
namaz ho jaayegi.
(4) Agar namaz mein bhool se 2 ruku kar liye ya 3 sajda kar liye to
aakhri rakaat mein sajda sahuw karnre se namaz ho jaayegi.
(5) Namaz mein 'alhahmdu sharif' padhna bhool gaye, sirf ek quran ki
ayat padh li, ya pahle quran ki ayat padh li aur baad mein alhamdu
padhi to sajda sahuw karna hoga.
(6) Agar 4 farz namaz akele padh rahe hain aur shuru ki 2 rakaat mein
quran ki surah padhna bhool gaye to baad ki 2 rakaat mein surah padh
len aur sajda sahuw kar len.

Allah hamari namazo ki galtiyo ko maaf kare aur hamari namazo ko kubul
farmaye, aameen.



• Namaz
=======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - Jisne namaz ki
hifazat o pabandi ki tou woh * us shaks kay lye roz e qayamat noor,
daleel aur nijaat hogi, aur jisnay iski hifazat o pabandi na ki tou
roz e qayamat us kay lye noor, daleel aur nijaat nai hogi aur woh
qa'roon, fir'oon, haman aur ubai bin khalf kay sath hoga.
(musnad ahmed, 2/169, h:6576)


• NAMAZ
================================
Namaz ki ahmiyat aur uske faide bahut hain, dekhiye kuch hadeesen -
(1) Har Namaz Pichli Namaz Ke Baad Hone Wale Gunah Mita Deti Hain
(2) Namaz Se Gunaah Dhulte Hain
(3) Namazi Ke Liye Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain.
(4) Namaz Imaan Ki Alamat Hain.
(5) Namaz Se Rozi Me Barkat Hoti Hain.
(6) Namaz Ki Toufiq Milna Allah Ka ehsan Hain.
(7) Namaz Padhkar Wahi Bethe Rahe To Farishte Dua-e-Magfirat Karte Hain
(8) Namaz Padhne Wale Par Nekiyo Ki Barish Hoti Rahti Hain.
(9) Namaz Behtereen Ibadat Hain
(10) Zameen ka har hissa Tamanna Karta Hai Ki Kaash! Mujh Par Koi Namaz Padhe
(11) Namaz Buraiyo Aur Bimariyo Se Bachati Hain.
(12) Namaz Padhne Wale Ke Gunaah Muaf Ho Jate Hain.
(13) Ek Namaz Dusri Namaz Tak Ke Gunaaho Ka Kaffara Hain.
(14) Namazi Ke Gunaah Iss Tarah Jhadte Hain Jis Tarah Khiza Me Darkht Ke Patte
(15) Namaz Se Farig Hote Hi Gunaah Muaf Ho Jate Hain.
(16) Namaz Se Sagira Gunaah Muaf Ho Jate Hain
(17) Namazi Ke Sare Gunaah Jhad Jate Hain.
(18) Namazi Ko Pul-Sirat Par Sawariya Milengi.
(19) Namaz Padhne Se Darjaat Buland Hote Hain.
(20) Namaz Jannat Ki Kunji Hain.
(21) Namaz Yakinan Duniya Aur Usme Jo Kuch Hain Unn Sab Se Behtar Hain
(22) Sajde Me Banda Allah Ke bahu karib Hota Hain.
(23) Baccha 7 Baras Ka Ho Jaye To Use Namaz Ka Hukm Do.

Ya Allah Apne Habib Ke Sadke Hum Musalman Ko Namaj Ki Daulat Nasib Ata
Farma. Aameen!


• Namaz Mein Dil Lagao
============================
Bahut se log namaz to padhte hain lekin dusre gunah bhi karte hain, ya
namaz to padh lete hain lekin unko namaz mein maza nahi aata, bas
padhna thi isliye padh li.
Insan ko Namaz burai se rok deti hai aur agar namaz padhte hue bhi koi
kisi burai se door nahi ho pa raha hai to uski namaz mein koi kami
hai, isliye acche se wuzu kariye, namaz ko khoob dil laga kar aur
aaram se padhiye, jaldi-jaldi mat padhiye. Namaz ko uske time par
padhiye (azan ke 15 minute baad), aesa nahi ki abhi to time hai thodi
der baad padh lenge. Aadmi masjid mein jaakar jamaat se padhen. Jab
namaz padhen to apna dil aur dimag is baat par lagaiye ki Allah mere
saamne hai aur mein namaz padh raha hoon, mera ruku, mera sajda, mera
kaida, sab Allah ko kar raha hu, kyonki Allah mere saamne hai, aur
koshish kariye ki duniya ka khyal us time dil mein na aaye. Sirf Allah
ko apne saamne mehsus kariye aur ahsas kijiye ki wo mere saamne hi
hai). Quran ki ayat, aur tasbeeh ko aaram se aur sahi tarike se ada
kijiye, kai baar jaldi-jaldi mein lafz sahi ada nahi ho paate. Ruku,
sajda, kaida sab aaram se kariye, ruku ke baad jab khade ho to badan
ko pura sidha karo (matlab khade hote hi sajda mein mat jao) kuch
second ruku karne ke baad khade raho, phir sajda mein jao, sajda se
uth kar kuch second ruko (badan ko action less kar do) phir dusre
sajde mein jao, Agar aap ye kaam karege to insahAllah namaz ka maza
aap khud mehsus karoge.

Allah hum sabko sunnat tarike se namaz padhne wala bana de. Aameen.


• Gunaho Ko Maaf Karane Waali Namaz - Salatut Tasbeeh
==================================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne ek din apne chacha
Hazrat Abbas (radi allahu anhu) Se Farmaya Ke
Aye Chacha, Kya Mein Aap Ki Khidmat Me Ek Qimti HADIYA[gift] Na Pesh
Karu?????? Kya Me Aap Ke 10 KAAM Na Karu????? aur Wo Amal Esa He Ke
Jis Se Allah Aap Ke Sare Gunah Maaf Farma Denge
1 Agle Sab Gunah
2 Pichle Sab Gunah
3 Purane Gunah
4 Naye Sab Gunah
5 Bhul Se Huwe Sab Gunah
6 Jan Bujh Kar Kiye Gaye Sab Gunah
7 Chote Gunah
8 Bade Gunah
9 Chup Kar Kiye Gaye Gunah
10 Sab Ke Samne Kiye Gaye Gunah Sab Ke Sab Gunah Allah IS Amal Se MAAF
Farma Dega,
Phir Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne pura namaz ka
tarika bataya. Is Ke Baad AAP (sallallahu alyhiwasallam) Ne Farmaya
Ke, Chacha Agar Ho Sake To Rozana Ye Namaz Padhna Warna Hafta[week] Me
Ek Martaba Ya Mahine Me Ek Martaba Ya Saal Me Ya (kam se kam) Zindagi
Me Ek baar Zaroor Parhna
Ref.: Abu Dawood, Ibn e Maja
Namaz Ka Tarika :
Is namaz mein humko kul 300 baar ye tasbeeh padhna hai سُبْحَان اللهِ
وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ
(subhan allahi wal hamdu lillahi walai laaha illallaahu wallahu
akbar), ye kaise aur kaha padhege uska tarika dekhiye.
Ye namaz nafal namaz hai, is ki niyat is tarah se kijiye " Niyat karta
hum mein 4 rakat namat nafal, salatut tasbeeh ki, waqt (jo bhi ho
kahiye), waaste Allah ke, muh mera kaaba sharif ki taraf. Allahu
akabar kehkar haath baandh lijiye, ab sana padhiye. sana ke baad 15
baar ye tasbeeh padhiye سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ
اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ (subhan allahi wal hamdu lillahi walai
laaha illallaahu wallahu akbar). iske baad Alhamdu Sharif aur quran ki
ek surah padhenge, phir 10 baar yahi tasbeeh padhenge aur Allahu akbar
kehkar ruku mein chale jayenge, ruku ki tasbeeh padhne ke baad 10 baar
upar batai tasbeeh padhenge, phir 'Sami allahuleman hamida' kehkar
ruku se khade ho jayenge aur 10 baar wahi tasbeeh padhenge, phir
Allahu akbar kehkar sajda mein chale jayenge, sajda ki tasbeeh
padhneke baad phir upar batai tasbeeh 10 baar padhenge phir pahle
sajde se Allahu akbar kehar uth jayenge, ab yaha 10 baar tasbeeh
padhenge, aur Allahu akbar kehkar dusre sajda mein chale jayenge,
dusre sajda mein bhi sajda ki tasbeeh padhne ke baad 10 baar wahi
tasbeeh padhenge, phir Allahu akbar kehte hue dusri rakat ke liye
khade ho jayenge, ab alhamdu sharif se pahle 15 baar tasbeeh padhenge.
Isi tarah dusri rakat puri karenge, dusri rakat mein dusre sajda ke
baad kaida mein (attahiyat) ke liye beth jaayenge aur attahiyaat padh
kar teesri rakaat ke liye khade ho jayenge, teesri-chowti rakat bhi
isi tarah puri karenge.
Is tarah puri namaz mein kul 300 baar tasbeeh ho jayegi, agar galti se
kahi tasbeeh padhna bhool gaye, jese agar ruku mein tasbeeh padhna
bhool gaye to ruku se khade hokar 20 tasbeeh padh lijiye.
Tasbeeh ko yaad rakhne ke liye ungli par mat giniye, balki aesa tarika
nikaliye taaki dekhne waale ko ye na lage ki gin raha hai (yaani ungli
dabakar ya koi aur tarika chun sakte hain.
Namaz Aaram se padhiye, aur tasbeeh ke pure lafz ada kijiye,
jaldi-jaldi mein lafz galat ada ho sakte hain, Namaz ke baad
Allah se apne gunaho ki maafi maangiye.
Note: Is namaz mein jo gunaho ki maafi ki baat hai, usse matlab chhote
(sagira) gunah hain, kyonki kabira (bade) gunah Allah se bager maafi
maange maaf nahi hote, aur kuch gunah aese hain, jab tak wo insan
humko maaf na kare jiske saath humne kuch bura kiya hai, tab tak Allah
bhi maaf nahi karta,
Isliye namaz ke baad Allah se apne kabira gunaho ki ro-ro kar maafi
maangiye aur rona na aaye to rone jesi awaz aur muh banaiye, aur un
gunaho ko aage na karne ka pakka irada kariye. Aur jiske saath humne
kuch bura kar diya tha usse bhi maafi maangiye.

So, Dosto Abhi Shab e Barat Aa Rahi He, Badi Fazilat Waali Raat he, Is
Raat Me Ye Namaz Zaroor Padhen,
Aur is namaz ko Ramzan mein bhi khas taur se pahdiye. Aur jab bhi time
mile isko padh sakte hain.
Allah Hum Sab Ko Ye Namaz Padhne ki Taufeeq Ata Farmaye Aamin.



• Namaz Ki Ahmiyat (importance)
====================
Agar muazzin Azan dene k baad Ye Elan kar de ke Jo bhi Namaz ko Ayenge
usko 500 Rupye diya jayega to bolo ke Masjid Mein jagah Hogi Namaz
padhne k liye?

Afsos ke Insaan ko paise ki kadar Hai lekin Namaz ki Kadar Nahi, jabki
rupye se bhi kahi zyada keemti namaz hai, fark itna hai ki rupye-paise
ki keemat humko saamne dikhti hai aur namaz ki keemat chhupi rahti
hai.

Ek hadees ka mafhoom hai ki Ek baar ek sahaba (radi allahu anhu),
hazrat Muhammad (sallallalhu alyhiwasallam) ke pass aaye aur kaha ki
maine ek soda kiya jisme mujhe itna munafa (profit) hua (aaj ki rakam
ke hisab se 3000-6000 rupye). Is par hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ne (namaz ki ahmiyat samjhane ke liye) farmaya ki agar
iske badle tu 2 rakat namaz padh leta to ye tere liye zyada faide ka
soda hota.
(Yaha murad halal tarike se paisa kamane se rokna nahi balki namaz ki
ahmiyat batana hai)

Aur hum hai ki kuch rupyo ke liye hi namaz chhod dete hain, Socho
bhala kya Paise Hamare liye nijat ka sabab banege. Raja ho Ya fakeer
jiske pass jo hai ek din sab yahi chhod kar jaana hai, aur akherat
mein duniya ke rupye nahi chalenge, waha neki ka rupya chalega.

Allah hum sabko pakka namazi bana de. Aameen.



• Namaz Jagah Badal-Badal Kar Padho
======================
NAMAZ Jagah Badal Badal K Padhni Chahye, Kyun K Wo Zameen Ka Hissa
Hamara Gawah Ban Jata Hai



• Namaz Mein Hone Waali Galtiya
=======================
Namaz Ki Kuch Chhoti-badi galtiya dekhiye.
Inse Bachna Zaarori Hai.

(1) Jaldi Jaldi Namaz Padhna,
(2) Paon Or Ungliyon Ka Qibla Ke Tarf Na Hona,
(3) Sajde k time paon ka zmeen sy uth jana
(4) Imam ke Allahu Akbar kahne se pahle ya uske kahte hi imam se pahle
Koi Arkaan Ada Karna,
(5) Ruku Mein Kamar Ka Seedha Na Hona,
(6) Sadje Mein Naak Zameen Per Na Lagana,
(7) Sajde Mein Kohniyon Ka Zameen ya pet Se Touch Karna,
(8) Attahiyat ke time Hath Ke Ungliyan Ghutnon Se Neechay Hona,
(9) Qayaam ki halat main nigah ko sajdey se hata kr idhar,
udhar ya samney ki taraf daikhna
(10) Jamat main shamil hone ke liye daud kar shamil hona.
kyonki masjid main daudna adab ke khilaf hai.
(11) Jamat jaha se bhi mile waha se shaamil na hona balki intezzar
karna ki ye rakaat puri ho jaaye phir shaamil honge.
(12) Dono sajdo ke beech itna na thaharna ki badan thahar jaaye.
(13) Jaldi mein alfaaz sahi ada na karna
(14) Namaz mein Allah ka khyal na karna balki dusri baat sochna (aksar
shaitan hamara dimaag bhatka deta hai, lekin jab bhi dhyan aaye foran
namaz mein dhyan lagao, namaz mein dhyan lagane se matlab ye hai ki ye
socho ki Allah hamare saamne hai aur hum usko ruku, sajda kar rahe
hain, ye na soch sako to ye socho ki Allah humko dekh raha hai)

Ghor krain or sochain k hum to in main se koi ghalti nahi kr rahe??
Allah pak hame amal ki toufiq ata farmay



• Acche Kaamo Mein Ek Dusre Ki Madad Karo
Gunah Ke Kaamo Mein Nahi
==============================
Quran Mein Allah farmata hai ki -
Neki (acche kaamo) aur parhezgari (gunaho se bachne mein) ek dusre ki
madad karo aur gunah aur ziaad'ti (atyachaar) par madad na karo aur
Allah se darte raho. beshaq Allah ka azaab sakht hai.

(Al-Ma'idah : aayat-2)



• 2 Time Farishte Hanste Hain
=============================
2 Moqo par ALLAH k Farishty hanste hain

1-Jab Be-parda Aurat ko KAFAN diya jaye
(Jab Parde ki Zarurat thi to us time kiya nahi, ab Parda Kaisa)

2-Jab Be-namazi ka Janaza padha jaye
(Sari Zindgai Namaz k Qareeb nahi aaya ab kaisi Namaz

Allah hum sabko amal ki taufik de.
Aameen



• 80 Saal Ke Gunah Maaf
--------------------------------------------------
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Jo Sakhs Asr ki namaz Ke Baad Apni Jagah Se Uthne Se Pehle 80 baar Ye
Darud Shareef Parhega Uske 80 Saal Ke Gunaah Maaf Honnge aur 80 Saal
Ki Ibadat Ka Sawaab Milega

Ref. Tirmizi Shareef

Note: upar jin gunaho ki maafi ki baat hai uska matlab chhote gunah
(sagira gunah) hai, bade gunah (kabira gunah) Allah se maafi ke bina
maaf nahi hote aur kuch gunah aese hain ki jab tak wo insan maaf na
kar de jiske saath humne kuch galat kiya hai tab tak Allah bhi maaf
nahi karta, jese kisi ka dil dukhaya, kisi ki burai ki, kisi ko
beizzzat kiye etc.

Jis darud sharif ko Asr ki namaz ke baad padhna hai wo saath mein lage
photo mein hai.

Ek Riwayat Me He Ke Mujh Par Darud Parhna Pul Siraat par Guzarte time
Noor He. Allah Hame Kasrat Se Darud Parhne Wala Banaye

AAMIN SUMMA AAMIN



• Namaz Padhne Ke Faide
-------------------------------------------
Namaazi Ko Allah ki taraf se 7 Inaam Diye Jate He

1, Rozi (income) Me badhotri
2 Tandurasti or Sehat
3 Nek bacche
4 Khush Haal Ghar
5 Duniya Me Izzat
6 Mehshar ke maidna mein Hazrat Muhammad ke haatho se Jaame e Kausan
Pina nasib hoga.
7 Jannat

Kisi shayar ne kaha he ke -
Milta He Kya Namaaz Me
Sajde Me Jaake Dekh

Ya Allah Hame Namaaz Ka Paband Banade or Namaaz Se Muhabbat Ata Farma

AAMIN SUMMA AAMIN



• Hamari Namaz Ki Keemat
-----------------------------------------
Ek Baar Jibrail { Alais-salam } (sabse bade farishte) Ne Allah se
farmaya ke "Ya Allah Main Apki Ibadat Krna Chahta Hun. Allah Farmaya
Karlo, Unhone 2 Rakat Namaz Ki Niyat Bandhi, Unho Ne Is
Namaz mein 40,000 Saal K Bad Salam phera, Allah Ne Frmaya Ke Tum Ne
Bahut Achchi Namaz Padhi Lekin Ek UMMAT (Ummate Muhammadiya) Aane wali
He Jiski sirf FAJAR Ki 2 Sunnaten Teri In 2 Rakaton Se Badhkar hongi.!

ALLAH U AKBAR, dosto, hamari namazo ki Allah ke yaha kya keemat hai
usko pehchaniye, aur namaz ki paa-bandi kijiye.

Allah hum sabko namazi bana de. Aameen.



• Sabse Pahle Namaz Ka Hisab Hoga
-------------------------------------------------
Hazrat Muhammad (Sallalla ­hu Alaihi Wasallam) ne farmaya -
"Beshak Wo kaam jiske baare mein Qayamat k Din (marne ke baad) sabse
pehle Hisab liya jayega, wo uski NAMAZ hai. Agar Namaz sahi hui to
beshak wo Kamyaab hoga. Aur Agar Namaz Kharab hui to Beshak wo Nakam o
NaMurad hoga. Bas agar uske Faraiz me kuch kami hui to Allah farmaega,
Dekho kya Mere Bande k Naame Amal (kaamo ki list) me kuch Nawafil hai
ke uske zariye se Faraiz ki Kami ko pura kar diya jaaye? Phir uske
Sare Amal ka Hisab isi tarike se hoga.
(TIRMIZI)

Dosto, Sochne ki baat hai, Kya Hum Apni Namaz ka Hisab dene ko tayyar hai???
Kya hamare pass Faraiz ki Kami puri karne Nawafil (namaz) hai?
Zara sonchye ke Jo Sabse pehla hamara hisab hoga hum uski kitni
Tayyari kye hue hai?
Afsos hai k hame Sawal pata honeke baad bhi agar Hun Nakaam o Na Muraad hon?
Abhi se Tayyari ki fikr karen, Maut ka Bharosa nahi ke kab aajae. —


• Namaz Ke Liye Allah Kya Farmata Hai
---------------------------------------------------------
Namaz ke liye Allah quran mein farmata hai ki

Sabar Aur Namaz Ke zariye Se (Meri) Madad Liya Karo! Beshak Wo Namaz
Dushwar zarur Hai, Magar unpar kuch dushwar nahi jinke dilo mein
Khushu hai (Baqrah:45)
(Khushu Matlab jo dil se karte hain, bhoj samajh kar nahi.)

"Yakinan Wo Iman Wale Kamyab Ho Gaye, Jo Apni Namaz Me Khusu-Khujuu
Karne Wale Hain" (Mominun:1)
(Matlab jo namaz ko dil se pahdne wale hain, bhoj samajh kar nahi)

"Tamam Namazo Ki Aur Khas Tor Par Darmiyani Namaz (Yani Asr) Ki
Pabandi Kiya Karo Aur Allah Ke Samne Ba-Adab Aur Niyazmand Hokar Khade
Raha Karo" (Baqrah:238)

Allah hum sabko namaz khushu aur khuszu se padhne ki tofik ata kare!!! Aameen.


• Namaz Kya Hai
-------------------------------
Musalmaan ki Pehchan hai
Har Musalman pr Farz hai
Jannat ki Daulat hai
Chehre ka "Noor" hai
Buraiyon se bachati hai
Aakhrat ki Talwaar hai
Nabiyon ka paigam hai
Rizq me barqat hai
Allah se Guftguh krna hai
Imaan ka hissa hai
Shaitan ko gussa dilati hai
Qaber ka sathi hai
Momeen k Dil ka chirag hai
Jannat ki kimat hai
Momeen ki Izzat hai

Allah hum sabko Namaz padhne ki tofik ata kare.


• NAMAZ NA PADHNE KA GUNAH
-----------------------------------------------

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmay (jiska matlab ye hai ki)

(1) Jisne Jaan Bhujh kar Namaz chhodi uska naam Dozakh k us Darwaze
par likh diya jayega jis me se wo Dakhil hoga.

(2) Aur wo namaz na padhne wala Qiyamat ke din Firaun, Qaroon, Haamaan
aur Ubayi bin Khalaf ke sath hoga

(3) Aur jo namaz na padhe uske liye Qiyamat ke din na Noor hoga aur na
Dalil aur na Maafi

(4) Namaaz Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki Aakhon ki
THANDAK hai "

To Aye Aashiqe Rasul (sallallahu alyhiwasallam), tum kyun ISHQ ka
izhaar AMAL se nahi Karte?

AAJ YE AHAD KARLO KE AAJ KE BAAD KABHI EK WAQT KI NAMAAZ JAAN BUJH KAR
KAZAA NAHI KARENGE !!!! InshaAllah.

Allah hum sabko Jamaat ke saath 5 time ki namaz padhne ki tofik ata kare.


• NAMAZ KI AHMIYAT
---------------------------------
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - (Akherat mein)
sabse pahle jis baat ka sawal bande se hoga wo namaz hai, agar wo thik
utari to uske saare acche kaam thik utrege aur agar wo kharab nikli to
uske saare kaam kharab niklege.

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya- Allah ne 5 time
ki namaz farz (zaruri) ki hain, jisne iske liye acchi tarah wuzu kiya
aur usko thik time par padha, aur ruku-sajde bhi wese hi kiye jese
karna chahiye (yaani acchi tarah) aur dil laga kar usko pura kiya to
aise insan ke liye Allah ka wada hai usko maaf kar dega, aur jisne
aisa nahi kiya (yaani namaz nahi padhi) to aise insan ke liye Allah ka
koi wada nahi hai, chahega to maaf kar dega na chahega to saza dega.

- Musnad Ahmed, Sunne Abu Daud


• Namaz Ka tarika
-------------------------------------------
Namaz Allah ki ibadat ka ek tarika hai. Namaz ko padhne ka hukm khud
Allah ne diya hai, isliye isko kisi bhi halat mein taala nahi ja
sakta. Allah ki taraf se din mein 5 time ki namaz ka hukm hai, agar
koi insan isko nahi padhta hai to usko gunah hota hai, aur padh lene
se sawab milta hai aur Allah khush hota hai.
Namaz padhne ke liye kuch baate zaruri hoti hai jese (1) Badan ka paak
hona (jo mene aapko upar bata diya hai yaani agar nahane ki zarurat ho
to naha le) saath hi 'personal part' par aur bagal mein jo baal hain
unko kaate hue agar 40 din se upar guzar chuke hain to unko bhi kaat
le kyonki yaha ke baal ko 40 din se zyada nahi rakhna chahiye, (2)
kapdo ka paak hona (yaani kapdo par koi gandagi na lagi ho, kutta
(dog) touch na hua ho (3) jis jagah namaz padh rahe ho uska paak hona
yaani aisi jagah namaz na padhe jaha par kuch gandagi ho, jese peshab
latrine wagerah na gira ho aur masjid mein padh rahe ho to gandagi ka
sawal hi nahi hai (4) Badan Kapde se dhaka hua ho (yaani islam mein
mard ke liye kam se kam pet ki naaf se lekar ghutno tak ka badan dhaka
hona chahiye aur aurat ke liye pura badan dhaka hona chahiye sirf
chehra hath aur per ke panje khule rakh sakte hain. (5) Jab namaz ke
liye khade ho to Muh 'Kaaba' ki taraf ho (india ke muslims namaz west
(pashchim) ki taraf karke padhte hain kyonki India ke logo ke liye
'kaaba' West mein padhta hai. Kaaba ko Allah ka ghar mana gaya hai,
humko sirf iski taraf muh karna hai lekin hum namaz sirf Allah ke liye
padhte hain. (6) Namaz se pahle wuzu kar le (wuzu karne ka tarika upar
bata diya hai, aur wuzu kin wajah se toot jata hai wo bhi upar bata
diya hai) (7) Ho sake to sar bhi rumal ya topi se dhaak le, ye zaruri
nahi lekin zyada behtar hai.
Ab hum namaz ke liye puri tarah tayyar ho chuke hain
Namaz shuru karne se pahle namaz kis-kis time hoti hai aur kitni tarah
ki hoti hai wo samajh le -
Din bhar mein 5 time ki namaz hoti hai
(1) Subah suraj nikalne se thik pahle, jisko hum 'fajar' kahte hain
(2) Dophar ko 1 se 2 baje ke beech mein, jisko hum 'zohar' kahte hain
(3) Shaam ko 5 baje ke aas-pass, jisko hum asar kahte hain (4) Shaam
ko suraj dubne ke thik baad, jisko hum 'Maghrib' Kahte hain (5) Raat
ko 8-9 baje ke beech mein, jisko hum isha ki namaz kahte hain.
In namazo ka time mausam ke hisab se thoda-bahut aage piche hota rahta hai.
Namaz ke type -
Namaz 4 tarah ki hoti hai,
(1) Sunnat Namaz - Ye namaz akele padhi jaati hai
(2) Farz namaz - Ye namaz Group mein sabke saath, imam sahab ke piche
padhi jaati hai
(3) Nafil Namaz - Ye namaz akele padhi jaati hai.
Kis time mein kitni rakaat (quantity) namaz hoti hai.
Sabse pahle hum ye samjhe ki Rakaat kise kahte hain, ye mein namaz ke
tarike ke saath saath bata deta hu.
Namaz ke liye jab hum khade hote hain to sabse pahle niyat karte hain,
niyat yaani humko ye maloom hona chahiye ki hum kaun se time ki namaz
padh rahe hain, kitni rakaat padh rahe hain, aur kiske liye padh rahe
hain, Isliye namaz shuru karne se pahle ye yeh kah le ki 'Niyat karta
hu mein 2 rakaat namaz sunnat ki, waqt fajar ka, khas waaste Allah ke,
muh mera kaabe sharif ki taraf. (iske liye zor se kahna zaruri nahi,
sirf hot hila kar bhi kah sakte hain, aur agar muh se na bhi kahe to
chalega lekin hamare dil mein baat saaf hona chahiye ki hum kis time
ki aur kitni rakaat namaz padh rahe hain.
Namaz ki niyat karne ke baad, Sabse pahle 'Allahu akbar' kah kar apne
dono haatho ko kaan tak uthate hain (isko takbeer kahte hain) phir
dono haatho ko pet ki naaf ke yaha adab se baandh kar khade ho jaate
hain (isko kayam kahte hain), Yaha sabse pahle 'Sana' padhte hain phir
'Alhamdu Sharif' padhte hain phir quran ki koi ek 'Surah' Padhte hain
(in 3 ki detail neeche duga), Iske baad 'Allahu akbar' kahte hue
ghutno par haath rakh kar jhuk jaate hain (isko ruku kahte hain), yaha
3 baar 'Subhan Rabiyal Azim' Padhte hain, phir 'Sami Allah Huleman
Hamida' kahte hue sidha khada ho jaate hain (isko koma kahte hain),
phir 'Allahu akbar' kahte hue zameen par matha tekte hain, (isko sajda
kahte hain) yaha par 3 baar 'Subhan Rabiyal Aala' padhte hain. Phir
'Allahu akbar' kahte hue pahle sajde se sir uthakar kuch second beth
kar dobara sajda karte hain aur 3 baar 'Subhan Rabiyal Aala' padhte
hain. Dusre sajde ke baad hamari ek rakaat puri ho gai yaani namaz ka
ek chakr pura ho gaya,
Ab dusri rakat ke liye phir se khada ho jayege, lekin dusri rakaat ke
shuru mein 'Takbir' nahi kahege yaani 'Allahu akbar' kahkar kaano tak
haath nahi uthayege, balki khade hote hi apne haath wapas pet ki naaf
par baandh lege aur phir wahi tarika karege jo mein bata chuka, Lekin
ab Dusre sajda ke baad ab khade nahi hoge (Kyonki hum 2 rakaat namaz
padh rahe hain aur 2 rakaat puri ho chuki hai) isliye dusre sajda kar
lene ke baad khade nahi hoge balki bethe rahege, isko 'kayda' kahte
hain, Yaha 'attahiyat' padhege, phir 'darud-e-ibrahim' padhege phir ek
'dua' padhege. Ab hamari namaz puri ho chuki hai, isliye namaz ko
khatam karne ke liye ek khas tarika hota hai jisko hum 'Salam Pherna'
kahte hain, iske liye 'Assalam Alykum Wa rahmat ullah' kahkar sidhe
haath ki taraf gardan ghuma dege phir wapas 'Assalam Alykum Wa rahmat
ullah' kahkar ulte haath ki taraf gardan ghuma dege. Ab hamari 2 rakat
namaz puri ho chuki.
Dhyan rakhe ki namaz mein idhar-udhar dekhna mana hai, balki puri
namaz mein hamari nazar zameen par matha tekne ki jagah ho. Namaz mein
kisi se baat bhi nahi kar sakte. Has (Laughing) nahi kar sakte. Aisa
karne se hamari namaz nahi hogi.
Jab humne takbir kahkar haath kaano tak utha diye to yaha se namaz
shuru ho jaati hai, aur jab ssalam pher dete hain to namaz puri ho
jaati hai, yaani takbir kahne se lekar salam pherne tak hum kisi se
baat nahi kar sakte. Na hi idhar udhar dekh sakte hain.
Jis tarah upar 2 rakat namaz ka tarika bataya wahi tarika 3 ya 4 rakat
ka bhi rahega. Thoda sa fark bas ye hai ki
Jese agar 3 rakat namaz humko padhna hai to hum niyat karege ki 'Niyat
karta hu 3 rakaat namaz ki, waqt maghrib ka, khas waaste Allah ke
liye, Muh mera Kaaba Sharif ki Taraf' Ab jesa upar 2 rakat ka tarika
bataya hai same usi tarah namaz padh lege, lekin ab jab hum dusri
rakaat mein dono sajda karne ke baad 'attahiyat' padhege to iske baad
'darud-e-ibrahim' nahi padhege balki foran khade ho jayege aur jis
tarike se rakaat puri karte hain wesa hi karege, Kyonki ye hum 3
rakaat namaz padh rahe hain, isliye teesri rakkat mein dono sajda
karne ke baad beth jayege aur 'Attahiyat' Padhege aur phir phir
'darud-e-ibrahim' padhege phir ek 'dua' padhege. Ab 3 rakaat namaz
puri puri ho chuki hai, isliye 'Salam Pher dege. Is tarah hamari 3
rakaat wali namaz ho gai.
Ab isi tarah agar 4 rakaat wali namaz padh rahe hain to teesri rakat
mein dono sajda karne ke baad bethege nahi balki sidha khada ho jayege
aur phir chowthi rakat mein dono sajda karne ke baad 'attahiyat'
padhege aur phir phir 'darud-e-ibrahim' padhege phir ek 'dua' padhege.
Ab 3 rakaat namaz puri puri ho chuki hai, isliye 'Salam Pher dege. Is
tarah hamari 4 rakaat wali namaz ho gai.
Yaani namaz 1 rakaat ya 5 rakaat ki nahi hoti, balki 2 rakaat ya 3
rakaat ya 4 rakaat ki hoti hai. Aur dhyan rakhe ki pahli rakaat mein
kabhi bhi 'Kaida' mein nahi bethege, balki dusri rakaat mein bethege,
agar sirf 2 rakaat hi padh rahe hain to beth kar salam pher dege aur
agar 3 padh rahe hain to dusri rakaat mein attahiyat padh kar khade ho
jayege aur teesri rakaat mein beth kar salam pherege, lekin agar namaz
4 rakaat ki hai to phir sirf dusri rakaat mein attahiyat padhne ke
liye bethege, lekin ab teesri rakaat mein nahi bethege balki chowthi
rakaat mein hi bethege aur salam pher dege.
2 rakaat chahe wo sunnat ho ya farz ho ya nafil ho sabka tarika ek
jesa hi hai. Lekin agar hum 3 ya 4 rakaat 'farz' namaz padh rahe hain
to Jab 'Kayam' mein khade hote hain to teesri aur chowthi rakaat mein
'Alhamdu sharif' ke baad Quran ki surah nahi padhte, baaki tarika same
hi rahta hai.
Ab hum samajh le ki kis time mein kitni-kitni rakaat hoti hai
(1) Fajar - (total 4 rakaat)
Fajar mein sabse pahle '2 sunnat' hoti hain jo akekle padhna hoti hai,
phir 2 farz hoti hai jo imam sahab ke piche padhna hoti hai (agar kisi
wajah se masjid na ja sakte ho ya masjid mein namaz ho chuki ho to ye
'farz' bhi akele hi padh sakte hain)
(2) Zohar - (total 12 rakaat)
4 rakaat sunnat (akele), 4 rakkat farz (imam sahab ke piche), 2 rakat
sunnat (akele), 2 rakat nafil (akele)
(3) Asar - (total 8 rakaat)
4 rakaat sunnat (akele), 4 rakkat farz (imam sahab ke piche)
(4) Maghrib - (total 7 rakaat)
3 farz (Imam sahab ke piche), 2 sunnat (akele), 2 nafil (akele)
(5) Isha - (total 17 rakaat)
4 rakaat sunnat (akele), 4 rakkat farz (imam sahab ke piche), 2 rakat
sunnat (akele), 2 rakat nafil (akele), 3 rakaat wajib (akele), 2
rakaat nafil (akele)
Note - jis time ki namaz ho, pahle dekh le ki azan ho chuki hai ya
nahi, azan hone ke baad hi namaz shuru kare. Azan se pahle nahi.
Ab mein wo batata hu jo namaz ke beech padhte hain.
Sana- सुब्हाना कल्ला हुम्मा वबी हम्दिका वताबारा कस्मुका वता आला
जद्दुका वलाई लाहा गैरुका. आऊजु बिल्लाहि मीनश शैतान निर्रजिम
बिस्मिल्लाह हीर रहमान नीर रहीम.
Alhamdu Sharif - अलहम्दु लिल्लाहि रब्बिल आलमीन, अर्रहमा निर्रहीम,
मालिकी यव मिद्दीन, इय्याका नअबुदु व इय्याका नस्तइन, इहदीनस सिरातल
मुस्तकीम, सिरातल लज़ीना, अन अमता अलैहिम, गैरिल मगदुबी अलैहिम, वलद
द्वाल्लीन, आमीन
Quran ki surah - कुल हु वल्लाहु अहद, अल्लाहुस समद, लम यलिद वलम युलद,
वलम यकुल लहू, कुफ़ुवन अहद.
Attahiyat - अत्तहियातु लिल्लाहि वस्सला वातु वत तय्यी बातु अस्सलामु
आलयका अय्युहन नबीयु व रहमत उल्लाही वबर रकातुहू अस्सलामु आलयना वालाए
बादिल्ला हिस्सालिहीन. अशहदु अल्लाई लाहा इल्लल लाहू वा अशहदु अन्ना
मुहम्मदन अब्दुहु व रसुलू
Darud-e-ibrahim - अल्ला हुम्मा सल्ले अला मुहम्मदिंव वआला आली मुहम्मदीन
कम सल्लयता अला इब्राहीमा वआला आली इब्राहीमा इन्नका हमिदुम मजीद.
अल्ला हुम्मा बारीक अला मुहम्मदिंव वआला आली मुहम्मदीन कम बारकता अला
इब्राहीमा वआला आली इब्राहीमा इन्नका हमिदुम मजीद.
Dua - अल्ला हुम्मा इन्नी ज़लम्तु नफ्सी ज़ुलमन कसीरँव वला यग फी रूज
ज़ुनुबा इल्ला अन्ता फग फिरली मग्फी रतिम मिन इन्दिका वर हमनी इन्नका
अन्तल गफुरुर रहीम.
Upar batae (shlok) agar yaad karne mein kuch din lagte ho to unko yaad
karte rahe aur starting mein namaz ki sirf step karke bhi namaz padhi
ja sakti hai. Jab tak ye shlok yaad na ho jaaye tab tak namaz ke beech
mein Allah ka naam lete rahe.
Agar namaz imam sahab ke peeche padh rahe ho to namaz ke liye sabek
saath chipak kar khade ho jaye, yaani 2 insamo ke beech side mein
jagah na bache, ab namaz ki niyat kar le, jab imam sahab Allahu akbar
kahe to unke kahne ke baad tum bhi dheere se 'Allahu akbar' kahte hue
haatho ko kaano tak utha kar, naaf ke neeche haath baandh lo, sab log
aisa hi karege aur sab ek saath har kaam karege. Ab tum yaha sirf sana
padhna hai aur chup ho jana hai, alhamdu sharif aur quran ki surah
nahi padhna hai (kyonki wo imam sahab padh lege) ab Imam sahab jitni
baar Allahu akbar kahte jaye tum bhi dusre logo ke saath next step
karte jao. aur jaha jo padhna hai, padhte jao, lekin padhne mein ye
dhyan rahe ki hamare sirf lips chale, awaz itni tez na ho ki pass wale
ko takleef ho. Jesa-jesa pass wale karte jaaye hum bhi wesa karte
jaaye aur jab imam sahab salam pher de to hum bhi salam pher de.
Yaha mein link paste kar raha hu, isse bhi aapko namaz ka tarika
samjah mein aayega. Itna sab mene likha diya hai, kahi koi confusion
ho to puch lena.
http://www.youtube.com/watch?v=f9VM6-EHQIc


• NAMAZ ke liye zaruri 13 baate
-------------------------------------------

namaz ke liye bahar ke farz (zaruri kaam) 7 he.
1.badan ka paak hona (yaani gusl kiya hua ho)
2.kapde ka paak hona.
3.satar (badan) ka chupana.
4.namaz ki jagah ka paak hona.
5.kibla (west) ki taraf muh karna.
6.namaz ka time hona.
7.namaz ki niyat karna.
-----------------------

namaz ke andar ke farz 6 he.
1.takbire tahrima kehna
2.qiyaam karna.
3.kira'at padhna.
4.ruku karna.
5.2 sajde karna.
6. aakhir me kaideh me attahiyaat k mikdar bethna.

masla:-agar in 13 farz me se agar 1 bhi farz chhoot jaave to namaz nahi hogi..
chahe bhul se chhot jaave ya jaan-buz kar chhod de.

allah ham sab ku sahi tarah or sunnat k mutabik namaz padhne ki
taufeeq ataa farmaave .aamin


• Namaz Padhne ke Faide
-------------------------------------------------

Medical Research Kehti He Ke Dil Pure badan Ko Khoon bhejta hai
Lekin Dimaag Dil Se Upar Hone Ki Wajah Se khoon Puri Speed Se Dimaag
Tak Nahi pahuch paata aur Ye Kami Dimaag Ki Kamzori aur Dipression Ki
Wajah Bannti He.

Insaan Din Me Ek baar Bhi Aesi Position Me Aaye Ke Us Ka Dimaag Us Ke
Dil Se Niche Ho Jis Tarah Muslmaan SAJDA Karte He To
Khun Sahi Tarah Se Dimaag Tak Pohunch Jata He
Jis Ki Wajah Se Khun Dimaag Ko Taro-Taaza Rakhta He

Subhanallah

Tum Apne Rab Ki Kon-Kon Si Nemato ko Jhuthlaoge

Zara Sochiye Jo Insan Din Me 5 Dafa Allah Ke Samne Jhukta He Us Ka
Dimaag Kitna Fresh or Tazaa Rehta Hoga

Allah Hame 5 Waqt Ki Namaaz Ki Pabandi Naseeb Farmaye

AAMIN SUMMA AAMIN



• Apni pant/jeans/pajama takhno (ankle) se upar rakho
------------------------------------------------

Hazrat Muhammad (SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM) Ne Farmaya -
ALLAH us insan ki taraf apni rahmat ki nazar nahi daalega Jo
APNA KAPDA TAKABBUR or Ghuroorr Ki Wajah Se Zameen Par Ghaseet Kar Chalta He

Ref
Sahih Bukhari, Vol 7, 5783

Bhaiyo, isliye apni pant/jeans/pajama hamesha takhno ke upar hona
chahiye, namaz mein bhi aur namaz ke bahar bhi.

Ye baat sirf ladko ke liye hai, ladkiyo ko har kapda apne takhno se
neeche rakhna chahiye.

Allah humko amal ki tofik de.


• ♥::,'NAMAAZ_KI_SHAAN',::♥

jab insan "NAMAAZ" ke liye khada hota hai,

To "RAHMAT" ghataa ban ke is ke sir pe chaa jati hai,

"FARISHTE" is ke chahre ki taraf jamaa ho jate hai,

Ek "FARISHTA" phukaarta hai eay "NAMAAZI" agar tu dekh le,

Tere samne kaon khada hai
Aur tu kisse baat kr rahaa hai
to "ALLAH" ki kasam Qiyamat tak "SALAAM" na phere.


• Jo shaks namaz me susti karta hai,us ko
14 Tareqon(tarah) se gunah milta hai.
.
(Duniya ke 5 Azaab)
1.Zindgi ki Barkat khtam.
. 2.Noor khtam.
.
3.Uski Nekiyon ka Ajr nhi milta.
.
4.Duaayein qabool nhi hoti.
. 5.Naik bando ki dua me uska Istahqaq
nhi rehta.
.
.
(Maut ke waqt 3 Azaab)
6.Zillat se marta hai. .
7.Pyaas ki shida me maut ati hai,agar
samundar bhi pi le tuo bhi pyas na
khtam ho.
.
8.Bhooka marta hai. .
.
(Qabr ke 3 Azaab)
9.Qabr itni tang ki pasliyan ak dusre me
ghus jaye.
. 10.Qabr me aag lga di jati hai.
.
11.Qabr me ak saanp musallat kia jata hai
jo ki qayamat tak Azaab dega.
.
. (Qabr se niklne ke baad 3 Azaab)
12.Sakhti se hisab hoga.
.
13.yeh ki Allah Tala ka us par gussa hoga.
.
14.Jahanum me dakhil kiya jayega. .
.
Allah Talah se dua ki wo hameim sacha
aur pakka namazi bnaye...Aameen.
.
Dua ki guzarish


• Hadees: Ek Sahabi Ne Arz Ki, “Aye Allah
Ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) !

Mere Ghar Barkat Nahi, Kiya Karoon?”
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya,
“Apne Ghar Ke Darwaze Par
Parda Lagao. Sahabi Ne Aisa Hi Kiya Kuch Din Bad Phir Aaye Arz Kiya
“Ab
Mere Ghar Bohot Barkat Hai! Lekin Parde
Se Kiya Wasta?”

Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya Ke,
“Aap Ke Ghar Ke Pass Se Be-
Namazi Guzarte Hain Unki Nahusat Ghar Pe Padti Thi Aur Barkat Nikal Jati Thi”.

Socho Jis Ghar Me Hi Be Namazi Hon Toh
Kaise Barkat Ho?.

Pyare Aaqa Muhammad Mustafa ﷺ
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne
Farmaya,
“Jis Momin Bande Ki Aankhon Se Allah Ta’ala Ke Khouf Se Aansoo Tapak
Parey,
Khua Wo (Aansoo) Makhi Ke Sir Ke
Barabar Kyun Na Hon, Tu Allah Ta’ala Uss
Par Jahannum Ki Aag Haraam Farma De
Ga”.
-:

(‘Ibne Maja’ Kitab-Uz-Zohad, Hades No: 4197)

Sabaq: Be-Namazi Ke Nahusat Se Ghar Ki
Barkat Nikal Jaati Hai.


• GAUR SE PADHE aur AMAL KARE:
Namaz Ki Halat Me Aankhen Band rakhna Makhrooh Hai,
Namaz Me Jab kiyam me Khade Ho To Nazre Sajde Ki Jagah Rahe,
Jab Ruku me ho To Pairon Ke Dermiyan
Dekho, Jab Sajda Karo To Naak Ko dekhna, Jab kayde mein Baith Jao To Nazaren
Jholi Mein Honi Chahiye, Aur Jab Salam Phero To Dono Kandho Ko
Dekho.


• Namaz Haq Hai Isko Kaza Na Kar..

Baa Paband Ba Waqt Isko Aada Kar..

Hashar Mein Kabar Mein Duniya Nahi Aane Wali..

Duniya Ki Bebasi Mein Deen Fana Na Kar!!!


• Aik farishta: Aaj mein ALLAH k itne kareeb howa k mere aur ALLAH
PAK k beech sirf 70 Pardey reh gaye! Doosra Farishta: Lekin jab
momin NAMAZ k liye khara hota hai to yeh 70 parday bhi nahi rehte!
SUBHAN-ALLAH...... Achi baat ko phelana Sadqa-e-Jariay hai..

So plz don't let it stop...forward it too alll urs friends
JAZAK-ALLAH


• NAMAZ KI BARKAT: HIQAYAT:-

Ek Shaks Ek Aurat Per Aashiq Hogaya! Us
Aurat Se Apni Khwayish Zaahir Ki, Us Aurat Ne Is Wakiye Ki Apne
Khawind Ko Ittela Di! Uska Khawind Nek Aadmi Tha

Usne Apni Biwi Se Kha Ki Tum Usse Kehdo Ki Agar Tum 40 Din Tak Mere
Khawind Ke Piche Namaz Padhoge To Jo Tum Chahoge Main Manzoor Kerlugi!
Chunanche,
Apne Khwaind Ki Batayi Hui Baat Us Shaks Ko Kehdi! Wo Shaks Bahat
Khush Hua! Usne 40 Roz Bila Naaga Uske Khawind Ke Piche Namaz Padhi!
40 Roz Hogaye To Aurat Ne
BulakerPucha Batao Tumahra Kya Matlab Hain?
Wo Bola, Bas Ab Tumahri Koi Haajat Nahi, Maine Jo Kuch Pa Liya Hain
Uske Hote Hue Ab Meri Koi Buri Khwayish Baaki Nahi Rahi! Aurat Ne Yeh
Saara
Kissa Khawind Se Kaha To Wo Bola Namaz Ke Mutaallik ALLAH-TA'AALA Ka
Irshad Hain Ki Namaz Buri Baaton Se Rokti Hain,
Maine Yeh UskaIlaaj Kiya
Hain!

(Nujjahtul Majalis,Jild-1 Pg- 204)

SABAK:- Namaz Badi Barkaton Ki Chiz Hain!
Namaz Se Buri Baatain Choot Jati Hain!
Ghour Farmaye: Agar Koi Kahe Ki Hamne Aisa Bhi Dekha Hain Ki Baaz Log
Namaz Padhne Ke Ba-
Wajudh Buri Baaton Se Kinara-Kash Nahi
Hote Hain,
To Uska Jawab Sunne Keliye Ek Latifa Suniye- Ek Bhikari Ne Ek Rayis Se
Ek Bhais (Buffallo) TalabKi! Rayis Ne Kaha Ki Tum
40 Roz Namaz Padho,
Jab 40 Roz Hojaye
To Mujhse Bhais Lejana! Chunanche, Us Bhikari Ne 40 Roz Namaz Padhna
Jari Rakha! 41We Din Us Rayis Ke Paas Aaker Bhais Talab Karne Laga!
Rayis Ne Jawab Diya Miyan Apni Rah Lo, Kaisi Bhais? Maine To Tumeh
Namaz Ki Aadat
Daalne Keliye Yeh Baat Kahi Thi!
Bhikari Ne Kaha Accha Agar Yahi Baat Hain To Jao Maine Bhi 40 Roz
Saari Namazen Bagair Wazu Hi Padhi Thi! Malum Hua Ki Uski Namaz Namaz
Hi Na
Thi, Namaz Wahi Hain Jo Sharayit Wa Arkaan Ke Sath Padhi Jaye Aur
Khuloos, Khushu Wa Khuju Ke Sath Ada Ki Jaye!
Aisi Namaz Yakinan Buri Baaton Se Rokti
Hain!
Aur Agar Kisi Namaz Se Faida Haasil Na Ho To Yeh Namaz Ka Kasoor Nahi
Balki Adaayigi May Kami Hain.


• a beautiful hadees share by ma bro Sahil Shaikh....

NABI-E-PAK SALLALLAHU ALAIHI
WASALLAM ne farmaya
Musalman tum mein se koi apni peshani se us
mitti ko saaf na karo jo namaz
mein sajde se lagi ho q ki jab tak namazi k
sajday
ka nishan us k chehre ya peshani par hoga
farishte us k liye
dua-e-maghfirat mangte rehte hai Jumma mubarak habibi


• Kal Fursat na Mili to Kya Karoge...
Itni MOHALAT na mili to kya karoge...!!!

ROZ Kehte ho Kal PAdoge NAMAZ...

Kal Agar Saans na Rahi To Kya Karoge???
Photo: Kal Fursat na Mili to Kya Karoge...
Itni MOHALAT na mili to kya karoge...!!!

ROZ Kehte ho Kal PAdoge NAMAZ...

Kal Agar Saans na Rahi To Kya Karoge???


• Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Fermaya: Agar Namazi Ke Saamne Se Guzarne
Waale Ko Guzarne Ki Saza Maaloom
HoJae To Is se 1 Qadam Aage Berhne Ke
Bijae 40 (Din, Mah Ya Saal) Tak Wahin
Kharhe Rehna Pasand Ho. (Bukhari, Kitabul Salaat, H#510) (Muslim,
Kitabul Salaat, H#507)


• HAZRAT E UMAR FAROOK KI SHAHADAT (PART 2)

Jab log namaz se farig huye toh Hazrat
Umar ne Hazrat Ibne Abbas se
farmaya:
Aye Ibne Abbas! Dekho toh
mujhe kisne qatl kiya hai? Ibne Abbas ne
arz kiya ki ek aatish parast musrik gulam
ne jiska naam firoz hai.
Hazrat Umar Radhi Allahu Ta’ala Anhu ne yeh sunkaR farmaya:
ILAAHI! Tera shukr hai meri
mout kisi Kalima go shakhs ke haatho se
nahi hui.
Aapko sadid zakhm aaya tha.
Aapko jo sharbat pilaya gaya wah zakhm
ke raste se bahar nikal aaya.
Log aapka haal puchne ke liye aate the. Ek
nouzawan aaya aur haal puchkar lauta
toh Hazrat Umar ne dekha ki uska
tahband zamin se lagta hai.
Farmaya iss
nauzawan ko mere paas wapas lao. Jab
wah dobara hazir hua toh farmaya :
Miya! Apne tahband ko uncha karlo. Yeh amal
ALLAH ke nazdik accha hai.
Tumhara
kapda bhi zamin par kharab hone se
mehfuz rahega.
Jab aapki halat jyada kharab hogai tab
aapne apne sahabzade Abdullah se farmaya: beta! Tum Ummul Momineen
Hazrat Ayesha Siddiqa Radhi Allahu
Ta’ala Anha ke paas jao aur unse mera
salaam kehkar arz karna ki Umar ne
aapse ijaazat cahi hai ki aap apne Huzur
me HUZUR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke kadmo me dafan hone ki
ijaazat farmaye. Chunanche jab Hazrat
Abdullah Radhi Allahu Ta’ala Anhu
Hazrat Ayesha Siddiqa Radhi Allahu
Ta’ala Anha ke paas aaye kya dekhte hai
ki Ummul Momineen bhi Hazrat Umar ke gum me ro rahi hai.
(Siratus Saalihin,Safa-94)


• 1 Shaks Kahin Ja Raha Tha
K Shaitan Us K Sath Chal Para.
Raste Me Usnena Fajar Ki,
Na Zuhr Na Aser Na Maghrib
Na Eshaa Ki Namaz Parhi

Yeh Dekh K Shaitan Bola:
Mere Aur Tere Raste Ab Se Juda Hain

Us Admi Ne Waja Puchi To Shaitan Bola:
Mene Adam Ko Aik Sajda Nai Kia Tha
To Allah Ne Mujh Pe Lanat Bheji.
Tune To 96 Sajde Nai Kiye Wo B Adam K Raab Ko.


• Hazrat Umar Farooq Radhi Allahu Ta’ala
Anhu ne ek raat khawab me dekha ki ek
surkh rang ke murg ne aapke badan me
2-3 thonge maari hai.
Aapne yeh
khawab khutba e jumma me bayan kiya.
Iss khawab ki tabir bayan ki gai ki koi kafir umar ko sahid kar dega.
Chunanche
jumma ke roz yeh khawab bayan kiya
gaya aur budh ke din subah ki namaz me
aap zakhmi kiye gaye.
Aapki yeh aadat
thi ki namaz shuru karne se pehle safo ko
sidha kiya karte the.
Jab safe sidhi ho jaati tab ALLAH HU AKBAR kehkar niyat
baandhte the.
Budh ke din jab aapne safe
sidhi karne ke baad niyat baandhi tab
firoz naami ek aatish parast (aag ki pooja
karne wala) musrik gulam ne aapko 2
dhari churi se zakhmi kar diya.
HAZRAT E UMAR Farooq e Aazam ke pet par zakhm aa gaya. Aapko
gira kar wah kaafir firoz bhaga.
Raaste
me jam’at ke ander aur bhi sahaba ko
sadid zakhm lagaye.
Aakhir ek ansari ne
us par apna kambal daalkar use pakad
liya. Jab us zalim ne jaan liya ki ab me pakda gaya hu aur mera hasr bura hoga
toh wÖ kaafir apne haatho se churi
marker mar gaya.

Hazrat Umar Radhi Allahu Ta’ala Anhu ne
Abdur Rehman Bin Auf ko apni jagah
namaz padhnae ke liye hukm diya.
Khud wahi baithkar namaz padhte rahe aur
zakhmi hokar bhi wahi haazir rahe.

(Siratus Saalihin,Safa-94)

Ek Hazrat Umar hai jo zakhmi halat me
bhi namaz ada karte rahe aur ek hum hai
jo acchi khasi sehat hote huye bhi namaz
pabandi se ada nahi karte hai.
Aye
musalmano dekho Hazrat Umar ko jo
jannati hone ke bawajud kis tarah ALLAH ki ibadat kiya karte the zara socho kya
hamare amal iss qabil hai ki hum jannat
me jaaye,kya humne apne ALLAH ko razi
kiya hai, kya humne apne gunaho se
sacche dil se tauba ki hai?.

Aye ALLAH tu hum sabke gunaho ko
baksh de aur hume us raah pe chalne ki taufeek de jo tujhe aur tere mehboob
SALALLALHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM
ko pasand hai.

Aameen


• NAMAZ Kia hai? .
N=Nekion mai izafa .
A=Aakhirat mai nijaat .
M=MOHAMMAD ( Sallallahu Alaihit Wasallam ) ki sunnat
A=Allah ki raza .
Z=Zaria-e-qurbat-e-ELAHI.
Don't Miss Namaz


• Zindagi Me 2 Nasihat Par
Amal Karna.
Hamesha Ke Liye Kaamyab Ho
Jaoge,

1 Namaz Mat Chhodna:
Zindagi Ki Sari Barkate Is Me Hai..

2 Apni Nazar Ki Hifazat Karna:
Gunah Ki Buniyad Yahi Se Hoti
Hai..


• Kya Aap Jaante Hai
Riwayato Me Aata Hai Ki
Chand Raat Ko Hazrate
Imam Hasan Aur Hazrat
Imam Husain Radiallahu
Anhu Apni Walida Muhtarma Ke Paas
Tasrif Laaye Aur Arz
Kiya
.
Aye Ammi Jaan..!
Subah Eid Ka Din Hai. Madina Ke Logo Ke
Bachche Naye Naye
Libaas Pahnenge To Kya
Imam-Ul-Ambiya Aur
Khatun-E-Jannat Ke
Shehzaade Naye Kapde Na Pehnenge..?
.

Bachcho Ke Sawal Se
Maa Ki Mamta Tadap
Uthi Aur Bachcho Ko
Tasalli Di Ki Mere Beto Koi Fiqr Ki Baat Nahi
Tumhe Bhi Naye Kapre
Mil Jaayenge.
.

Sayyadatunnisa Al
Aalamin Khatun-E- Jannat Ne Namaz Se
Faarig Ho Kar Baargahe
Rabbul Izzat Me Arz Ki
Maula..!
Tere Mehboob
Nabi Ke Nawaso Ne
Mujhse Naye Kapde Maange Hai.
Aye Maula..!
Maine Unse Waada Kar
Liya Hai.
Aye Maula Mere
Uthe Huwe Haatho Ki
Laaj Rakhle.
.
Aap Duwa Se Faarig
Huyi to Darwaje Par
Dastak Ki Aawaz Suni
To Puchha Kaun..?

Aane Wale Ne Jawab
Diya Ki Ahle Bait Ka Darji. Shehzaado Ke Liye Naye
Kapde Le Kar Aaya Hai.
.

Aap Ne Wo Kapde Le
Liye Aur Subah Dono
Shehzaado Ko Pehna Diye.
.

Sarkar-E-Do Aalam
Sallallaho Alayhi
Wasallam Tasrif Laaye
To Farmaya Beti Fatima Kya Tumhe Ma'aloom
Hai Ki Yeh Kapde Kaha Se
Aur Kaun Le Kar Aaya
Tha.
.

Hazrat Fatima Radiallahu Anha Ne Arz Kiya Abba
Jaan Aap Hi Bata De To
Aap Sallallaho Alayhi
Wasallam Ne Farmaya
Wo Zibrail Amin The Jo
ALLAH Ta'ala Ki Taraf Se Jannat Se Kapde Le
Kar Haazir Huve The.


• Jab Huzoor(SALLALAHU ALAYHI
WASALLAM) ke Visaal ka waqt
qareeb aya to aapne Hazrat Izrail
(ALAIHI SALAM) se pucha ke
"Kya meri
ummat ko
bhi mout ki itni takleef bardasht karni padeygi"
to Farishte ne kaha JEE,to
Aapki Aankh mubarak se Aansu jaari
ho gaye to Allah ne farmaya
"AE
MOHAMMAD SALLALAHU ALAYHI
WASALLAM Aapki ummat agar
har namaz ke foran baad AYATUL-KURSI padhega to mout ke waqt uska 1 pair
dunya me hoga or 1 jannat me...

Masha
Allah
"Plz share 2 every1.

(Agar kisi 1 ne bhi amal ker liya to Ap k
Liye SADQA-e-JARIA BanJayega)
Ameen Ameen..


• Hussain Deen Ko Bakshi Hai Zindagi tumne
Kataya Sar Magar Bait Na Ki tumne
Kiya wo sajda Ba waqt Halat me tumne
Namaz Jati thi Duniya se Rokli tumne


• Nafl namaz Shab e Aasura

1. 2 Rakat namaz Roshni e Qabr ke liye
Aasura ki raat padhi jaati hai iski tarkib
yeh hai ki Har Rakat me baad Surah Fateha ke 3 baar Surah Ikhlaas padhne se
ALLAH TA’ALA qayamat tak uski qabr ko
roshan rakhega.
2. 4 Rakat Nafl issi Shab e Aasura ko
padhi jaati hai aur har rakat me baad
Surah Fateha ke Surah Ikhlaas 50 martaba padhe.Iske padhne se 50 baras
ke gunah pichle saalo ke aur 50 baras ke
gunah aainda saalo ke bakhsh diye jaate
hai.

(Maasbat Mins’sunah, Safa-37 Fazailul-
Ayyam Was-Sahud Safa-269 Ruknuddin Kitabus-Salaat Safa-159)

Share zarur karo aur saare Ummat e
Mohammad ke haq me dua ki guzarish


• Khoon Se Deen Ka Charag Jalaya Hussain ne
Rasmo wafa Ko Khoob Nibhaya Hussain Hai
Aisi Namaz Kaun Ada Karega Jahan me
Sajde me Jakar Sar Kataya Hussain ne..


• Dosto Hamari Daa'wat par koi na aye to hum
naraz ho jatey hain,

ALLAH ki taraf se humen rozana 5- martaba
Daa'wat hoti ha Aur hum uske Ghar nahi jatey;
Kya ALLAH hum se naraaz na hoga?
Yeh message nahi 1 Haqeeqat Hai.
Please Namaz qaaem karen, Dusron ko bhi hidaayat karen...
ALLAH is message bhejne wale per aur uss k walidain par apni rehmat farmaye,

Our jo ise usi waqt farwd kare ALLAH us k dil
ki nek hajaten poori kare...
Aameen.


• Ibn Hujr (Radi Allahu Anhu) Se
Rivayat Hai Ki Rasool Allah
(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke
Zamane Me
Ek Aurat Namaz
Ke Liye Nikli, Raaste Me Ek
Aadmi Unse Mila
Aur Usne Uss Aurat Ke Saath Zabardasti
Badkari Ki (Yani Uska Rape Kiya) ,

Toh Aap (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Ne Uss Shaksh Ko
Sangsaar Yani Rajam Karne Ka
Hukm Diya
(Yani Usey Zameen Me Aadha Daalkar Tab Tak
Paththar Mare Jaye Jab Tak Wo
Mar Na Jaye)
-:

(Sunan Abu Dawud, Vol3, 973)

Sabak :
Aaj Bahut Se Mulk Rape Ke Liye
Maut Ki Saza Ki Demand Kar Rahe
Hain Magar Islam Ne Ye Saza
1400 Saal Se Bhi Pahley Muqarrar
Kar Di Hai.

(Share This Message)


• Hazrat Ali رضي الله عنه. RADHIYALLAAHU ANHU Se Ek Shakhs Ne Pocha Main
Boht Koshish Karta Hun Namaz-E-Fajr Parhun Magar Uth Nahi Pata.

Hazrt Ali رضي الله عنه. RADHIYALLAAHU ANHU Ne Frmaya:

"Yeh Neend Ki Waja Se Nhi Balke Tum Saara Din Jo Gunah Krte Ho Woh
Tumhri Gardanon Mein Toq, Haathon Mein Hathkari Aur Paon Mein Beri Ban
Kar Tumhe Uthne Nahi Dete Tauba Kr K Soya Karo

"Qabr Ki Pukar"
Aye Adam ke Aulad Tera intezar maine har din Kiya Hai.
Kya Tune Bhi Mujhe Yaad Kiya?

Zara Sun!
Mere Andar Andhera Hai NAMAZ Ki Roshni Lete Aana

Mere Andar GHABRAHAT Hai
Tilawate Quran Lete Aana

Mere Andar Samp BICCHU Hain
Huzoor Ki Sunnat Lete Aana

Mere Andar AAG Hai
Khoufe Khuda Ka Pani Lete Aana


• Is Msg Ko Apne Mobile K Sab muslim Contacts Ko Send Karo,
Kya Pata Kisi Ke Amal Karne Se Aap Ki Bhi Bakhshish Ho Jaye
Jis ki namaz achi
Us ki zindgi achi
Jis ki zindgi achi
Us ki mout achi
Jis ki mout achi
Us ki Qaber achi
Jis ki Qaber achi
Us ki akhirat achi
Jis ki akhirat achi
Us ki jannat pakki.
So
Dont miss Namaz
Kam se kam Neki k leye is TEXT Ko 1 Dost ko to zarur send krna.
ALLAH humse Razi ho jaye...


• BIWI KAUN HAI ???
Samandar Ne Kaha: Biwi Wo He Jo Shohar Ka Har Dukh Jhel Leti He

Asmaan Ne Kaha:Biwi Wo He Jo Shohar Ke Har Dard Par Roti He

Zameen Ne Kaha: Biwi Wo He Jo Har Shohar Ka TAJ He Aur Shohar Uska Sartaj He

Duwa Ne Kaha: Biwi Wo He Jo Gunahgar Shohar Ki Rozi Me Bhi Barkat Ka
Sabab Banti He

Namaz Ne Kaha: Biwi Wo He Jo Apne Shohar Ko Jannat Me Pane Ki Khuwaish
Rakhti He

Jannat Ne Kaha: Biwi Ke Bina Shohar Ki Jannat Me Bhi Koi Aukat Nahi.

Dil Ne Kaha: Agar Shohar Dil He To Dharkan Uski Biwi He

Rab Ne “Kaha: Biwi Meri Taraf Se Har Shohar Ke Liye Qimiti Aur Nayab Tofha He


• Muhabbat Kya Hai
"Jab Koi Shaksh Bohot Gehri
Aur Meethi Neend Me Ho
Aur
Uske Kaano Me Azaan Ki Awaz Aye Aur Woh Apna
Bichona Chhor Kar Allah Ta'ala
Ke Liye Namaz Parhne Ke Liye
Khara Ho Jaye Yeh Hai Sacchi
Muhabbat"


• Azan ki awaz sun kar b tu Namaz nai jata.

A muslman.
Yaad rakh 1din azan b nai hogi par teri
namaz zarur hogi.

Plz don't miss namaz ... dear brother and sisters dont miss
Namaz .
Namaz se hi duniya aur akhirat
ki kamiyabi success hai....


• 3 tarah k log hain jo namaz ada krte hain

1.Wo jo dikhave k liye pADte hain logun k
liye apna image banane k liye.un ko un ki
namaz k badla dunia hi mein mil jaye ge
un ki namaz akhrat mein un k kuch kam
na aye gi

2.wo jo dikhaye k liye nae prhte pr un ko
aim just itna hota hai k unhen farz ada
krna hai lekin ye nae jante k wo ye
namaz ku n kis k liye prh rae hain

3.wo hain jo namaz khloos.e.niyyat k
sath mehz apne ALLAH ki raza k liye
prhte hain .......
Jo jab azan hoti hai to darr
jate hain k pta nae wo apne rab ki
bargah mein tamam farz bakhoobi ada kr
payen ge ya nahi........
Jo namaz apne ALLAH se mulaqat k liye ada krte
hain......
SUBHAN ALLAH un k liye un ki rab k pas bhtreen ajar hai ....
Or yehi wo log
hain jin k liye dunia or akhirat mein
kamyabi hai...
YA ALLAH hamein namaz baqidgi or khullus.eniyyat se ada karne ki toufeeq
ata farmayen

AMEEN



• "MASJID-E-NABWI SallallahuAlaih
iwasallam
ki Bulandi 1225 Meter Hai=.

Mutaharik Gumbadon Mein Hr Ek Gumbad
ka wazan 80 tons Hai.

Masjid ki Chat pr 90,000 Namazi namaz parh sakty Hain.

Is ka Sehan Msein
4,30,000 Namazi Namaz parh saktay
hain
Masjid main kul 6,98,000 Namazi Baik
Waqt Namaz parh sakty Hain.

Yahan 1 namaz parhnay ka sawab
50,000 namazoo ka
barabar hai

SUBHAN ALLAH


• “Jannat wale jb dozkh walo se pochenge
k kia chez unko dozkh me lai to wo
kahege hm namaz nai parhte the

(Surah Muddasir -
Ayat:40-43)


• Be namazi ki halat !
HazrAt Ali se 1 shaks ne muslman hone k
baad pucha
.

Dor-e-jahiliat me mene mannat mani thi ki mjhe beta peda hoga .
.

To me kutte k sath
roti khaonga
.
ab ap batao me kya kron? .

Ap ne kaha aisi mannat nhi manga kro
.

Ab aisa kAro k door
wale gaon me jao
.
Talash kro
.
jisne 3 din namaz na parhi ho
.

Us k sath roti khalo.
.
(Allahu Akbar)ye hesiyat hy 3 din nmaz na
parhne wale ki.
.

Allah pak reham farmaye or humsab ko
namaz ki tofiq ata
farmaye..

Ameen


• Aaj Me Zohar Ki Namaz Ada Karne Ja
Raha Tha.

Tabhi Mere Bagal Se 1 Naujawan Gujra Jo
Gana Gate Huye Ja Raha Tha.

Aur Aysa Gana Jo Ki Insan Ko Kufr Tak
Pahuncha De. Wo Ga Raha Tha.

"Haseeno Ko Aate Hain Kya Kya Bahane.
Khuda Bhi Na Jane To Hum Kaise Jane.

Astagfirullah Sau Baar Astagfirullaah

Aap Ko Pata Hai Aysa Gana Aap Ka Imaan
Barbad Kar Dega.
Ye Gane Me Ye Kaha Gaya Hai Ki Haseeno
Ko Jo Bahane Aate Hai Wo Ma'az Allah
Khuda Ko Bhi Nhi Malum.

Isi Liye Hamare Ulima Gana Sunne Par
Pabandi Lagate Hai.
Gane Bhi Kaise Kaise Hai Jin Me Khuda Ka Naam Lekar Jabar Dast Tauheen Ki Jati
Hai.

1 Ay Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Q
Hai.

2 Ager Mile Khuda To Pucchunga
Khudaya.
3 Allah Kasam Dil Na Lage Kisi Se

Ayse Hi Bahut Se Gane Hain Jo Hamare
Imaan Ko Barbad Kar Denge.
Plzz Friend's Is Msg Ko Share Kar K Apna
Bhi Aur Apne Dosto Ka Bhi Apne Privar
Walo Ka Bhi Imaan Bachao.
Agar Spelling Me Koi Galti Ho Ya Rehti Ho
Hamare Status Me To Plzz Maf Kar dena



• Jo shaks apni Neend tor kar Fajr ki namaz
roz parhenge,
Allah ko usse mohabbat
hojati hai aur wo insan hamesha
Allah ke
saaye me rahega..

Yehi sacchi Mohabbat Insan aur Allah ki
hai..



• Ek bar hua yun k Nabi Kareem Namaz
padha rahe the achanak dauran e namaz
Apne Apna hath buland kia..
Jab Apne Namaz khatam kar li tab sahab e kiram
radiallahu anhum ne arz ki
Ya
RasoolAllah humne ye dekha ki Apne
dauran e Namaz Apna hath upar uthaya
iska sabab kya tha?
HUZOOR NABI
KAREEM ne Farmaya mujhe namaz me jannat dikhai gayi Jannat me ek baag me
ek ped tha jispe ek phal(fruit) laga tha..

Maine chaha ki wo phal tod ke le aun
leken is wajah se nahi laya k agar le ata
to tum usi phal ko tamam umr khate
rehte..."

SUBHANALLAH ye hai Nabi ka ikhtiyar jo
Allah Ta'ala ne ata kiye hain



• Maa Ki Azmat:
Jab Madine Me Islam Aam Ho Chuka To
Nabi (Sallallahualaihiwasallam) Ne
Farmaya:
Agar Aj Meri Maa Zinda Hoti
Aur Main Namaz-e-Isha Men Khara Hota Or
Meri Maa Hujre Se Mujhe Awaz Deti
O’Muhammad (Sallallahualaihiwasallam)!
To Khuda Ki Qasam
Main Farz Namaz Chor Kar Dorta Hua Jata
Or Maa K Qadmon Men Gir Jata Subhanallah


• azrath Anas bin Malik Radi Allahu Anhu
se rivayat hai ki

Mainey Rasoollallah Sallallahu Alaihi
Wasallam ko dekha ki Namaz Asar ka
waqt aa gaya Logo ne Paani talaash kiya jab, unhey
paani na mila to
Rasoollallah Sallallahu
Alaihi Wasallam ke paas (ek bartan mein)
wudhu ke liye paani laya gaya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam
ne usmein apna haath daal diya aur
logon ko hukm diya ki isi (bartan) se
wudhu karey,

Hazrat Anas Radi Allahu Anhu kahtey
hain ki Mainey dekha Aap Sallallahu
Alaihi Wasallam ki ungliyon ke neeche se paani ubal raha tha ,

Yahan tak ki Aakhri aadmi ne bhi Wudhu
kar liya.

(Sahih Bukhari, Volume 1, Book 4,
Number 170. )



• Hamare Pyare Nabi (Sallallahu Alaihay
Wasallam) ki kuch pyari Aadatein…

1. Chalte waqt Nigaah Niche Rakhte.

2. Salam hamesha pehle karte.

3. Mehman Nawazi khud karte.
4. Nafil Namaz chup k padhte.
5. Farz Ibadat sabke Samne karte.

6. Bimar ki Mizaaj Pursi karte.

7. Jab khade hue Gussa aye to latejate.

8. Miswak karte.

9. Ishaa se pehle kabhi na sote.

10. Kabhi khulkar na hanste, sirf Muskurate



• Islami Ta'alim

Huzur Sallallahu Alahi Wasallam
Ne Irshad Farmaya:

"Apni Aulad Ke Acche Naam
Rakho,
Acchi Ta'alim Do,
Balig Ho Jaye To Nikah Kar
Do Warna Koi Ghalat Harqat
Kar Bethenge To Uska Gunah Tum Par Bhi Hoga"

"Har Ane Wala Zamana Guzre
Zamane Se Bura Hoga"
(Bukhari Sharif)

Lihaza Apni Aulado Ki Sahi
Tarbiyat Bachpan Se Karo,

Kahi Aisa Na Ho Ke Woh Bade
Hoke Yeh Bole Ki
Mere Bachpan
Ke Din Bhi Kya Khoob The,

Be'Namazi Bhi Tha Aur Be'Gunah Bhi..


• MAA ki Dua khaali nahi jaati,
Uski Bad'dua taali nahi jaati,

Bartan maanj kar bhi ek MAA 3-4
Bachche paal leti hai,

Lekin 3-4 Bachcho se ek MAA paali nahi
jaati." .

"Us MAA ka humse Ehtraam kya hoga,

Us MAA ki God se badhkar Qayaam kya
hoga,
Jis MAA Ke Pairo Me Jannat Hai,

Socho Uske Sar ka Makaam kya hoga."

HADEES sHARIF:
“Banda Jab MAA BAAP ke Liye Dua Tark
Kar Deta hai,

To Uska Rizq Qata Ho jaata Hai.”
.

"HAR NAMAZ KE BAAD WAALIDAIN KO
SHAAMIL-E-DUA RAKHEN."


• Namaz Pahrny K Doran Mein Honay
Wali Bohat Bari Ghaltiyan, Jin Se Bachna Bohat Zaarori Hota
Hai.
.

(1) Jaldi Jaldi Namaz
Pahrna,
.
(2) Paon Or Ungliyon Ka Qibla Ke Tarf Na
Hona,
.

(3) Sajdy k duran dono paon ka
zameen sy uth jana
.
(4) Imam Se Peihlay Koi Arkaan Ada
Karna,
.

(5) Rokuh Mein Kamar Ka Seedha Na
Hona,
.
(6) Sajday Mein Naak
Zameen Per Na Lagana,
.

(7) Sajday Mein Kohniyon Yani ( Kalaai )
Ka Zameen Se Touch Karna,
.
(8) Attahiyat Mein Hath Ke Ungliyan
Ghutnon Se Neechay Hona,
.

(9) Qayaam ki halat main nigah ko sajdey
se hata kar idhr, udhr ya samney ki taraf
daikhna. .

(10) Jamat main shamil hone k leay
dorr kr shamil hona.
Masjid main
.
dorna adab k khilaf ha.
.
Ghor krain or sochain k hum to in main se
koi ghalti nahi kar
rahe??
.

Allah pak hame amal ki toufiq ata
farmay. .
Aameen.


• Din Mai 5 time Namaz Parhne ko Apne
Aadat Bana Lo
Sirf ye soch Kar k kya pata k ye Azan Tm
Aakhry Bar Sun rhe ho?
Kya pata Tmhara Rab Tumhai Aakhre bar
Pukar Raha Hai?

Baat galat lagi to maaf karna.


• :::::::: Qaza Namaz ::::::
Huzoor SallallahuAlaihi Wasallam Ne
Farmaya:
Jo Namaz Se So Jaaye Ya Bhool
Jaye to
Jab Yaad Aaye Padh Le Ke Wohi Uska
Waqt Hai.

[ SAHIH MUSLIM J:1 S:241 ]

Fuqha E ikram Farmate hai:
Sote Me Ya Bhoole Se Namaz Qaza Ho
Gai To Uski Qazaa Padhni Farz Hai,
Albatta Qaza Ka Gunah Is Par Nahi
magar Bedar Hone Par Aur Yaad Aane
Par Agar Waqte Makrooh Na Ho To Usi Waqt Padh Le Takhir Makrooh Hai.

[ Aalamgiri Jild:1 Safah:124 ]

Jiski aaj
Fajar ki Namaz Qaza hui ho wo
jaldi se Qaza namaz ada kar len, zyada
namazen qaza ho wo Qaza e umri
parha kare aur hamesha Namaz ko waqt ki pabandi ke saath padha kare
take Aakhirat sanvar jaye.

In shaa ALLAH

Jazak ALLAHU khaira…….,


• Assalamualaikum NABI KARIM (Sallahu Wallaihi Wassallam)
Ne Farmaya :
In Mauqon Par Foran DUA Maango... Us
Waqt DUA Radd Nahi Hogi.....
1. Jab Dhoop Me Baarish Ho Rahi Ho....
2. Jab Azaan Ho Rahi Ho....
3. Safar Ke Doraan....
4.Jummah Kay Din....
5.Raat Ko Aankh Khulay To Us Waqt....
6.musibat Kay Wakt....
7.farz Namazon Kay Baad....
AAP (Sallahu Wallaihi Wassallam) Ne
farmaya:

Allah US k Chehray Ko Roshan Karay Jo
Hadees
Sun Kaa Aagay Pohnchata Hai.
" 1)Subhanallah

2)Alhamdulilah

3)Allahu Akbar

Pehle Send Kardo,
Kyunki Jab Tak Koi Yeh MSG Padte
Rahega,
Jannat Me Aapke Naam Ka Paid(Tree)
Lagta Rahega...

Dont Stop
JAZAKALLAH KHAIR


• AHMED word agar Arabi zaban me likhe
to
Alif,Haa,Meem aur Daal hai
Ye Arabi alphabets agar gaur kare Namaz
me
Alif jab hum Khade hote hai Haa jab hum ruku me hote hai Meem jab
hum sajde me hote hai
Daal Jab namaz me baithe hote hai. SubhanAllah

• Islam Bahot aasan Hai Dosto. Hum Apne kaam aur personal works ko
Pehle ehmiyat dete hai, kyu Ki hum
duniya ki zindagi guzar rahe hai, Magar
Hum Azan ki awaz sunkar Namaz nahi
parthe..........Agar hum Namaz ke baad
duniya ke kaam ko importance denge to Kasam Allah ki Namumkin Kaam bhi
aasan hojayenge.....
6Like ·  · Share

Ishq -e-NABI
August 5 via mobile
Maa Ki Azmat:

Jab Madine Me Islam Aam Ho Chuka To
Nabi (Sallallahualaihiwasallam) Ne
Farmaya:

Agar Aj Meri Maa Zinda Hoti
Aur Main Namaz-e-Isha Men Khara Hota Or
Meri Maa Hujre Se Mujhe Awaz Deti

O’Muhammad (Sallallahualaihiwasallam)!
To Khuda Ki Qasam
Main Farz Namaz Chor Kar Dorta Hua Jata
Or Maa K Qadmon Men Gir Jata

SubhanAllah


• NAMAZ KI AHMIYAT.
[1] Namaz ki pabandi karne se roji mai
barkat hoti hai.
[2] Namaz ki barkat se namazi kabar
mai raoshni hoti hai.
[3] Namaz ke bagayer koi aur neki
Qabul nahi hoti hai. [4] Allah ko khush karne ke liye Namaz
sab se behetareen walila hai.
[5] Namaz inshan ko behaai aur buri
bato se bachati hai.
[6] Namaz padene wale ke sare kaam
bade achchhe dhang se pure ho jate hai. [7] Namaz ZANNAT ki kunji hai.
[8] Namaz momin ki meraz hai.
[9] Namaz deen ki buniyad hai.
[10] Namaz Qayamat ke din namazi se
sar par saya karegi.
[11] Namaz ki barkat se namazi kabar mai munkar-nakeer ke sawal ke sawalo
ke jawab aasani se dege.
[12] Namaz momin ke dil ka nor hai.


• Assalaam u Alaikum Warahmatullahi Wabarkatahu

Shab e Qadr Nafl Namaz & Wazifa
(Part:2)

Dushri Shab e Qadr

1. Maah e Mubarak ki 23vi shab ko 4 rakat namaz 2 salaam se padhe. Har
rakat me baad Surah Fateha ke Surah Qadr 1 martaba aur Surah Ikhlaas 3
martaba padhe. Phir baad salaam ke 70 martaba darood sharif padhe. IN
SHA ALLAH TA’ALA magfirate gunaah ke liye yeh namaz bahot afzal hai.

2. 23vi shab e qadr ko 8 rakat namaz 4 salaam se padh. Har rakat me
baad Surah Fateha ke Surah Qadr 1 martaba aur Surah Ikhlaas 1 martaba
padhe aur baad salaam ke 70 martaba Kalma e Tamjeed padhe aur ALLAH
TA’ALA se apne gunaho ki bakhshish talab kare. ALLAH TA’ALA iss namaz
ko padhne wale ki gunah muaf farmakar IN SHA ALLAH TA’ALA magfirat
farmayega.

Wazifa :
23vi shab ko Surah Yaseen 1 martaba aur SUrah Rehman 1 martaba padhni
bahot afzal hai.
(Book name as a refrence: 12 Mahino ki nafl namaze
(Aukaatusalaat),Page No.25,26) —
Like ·

Ishq -e-NABI
August 1 via mobile
"MASJID-E-NABWI SallallahuAlaih
iwasallam
ki Bulandi 1225 Meter Hai=.
Mutaharik Gumbadon Mein Hr Ek Gumbad
ka wazan 80 tons Hai.
Masjid ki Chat pr 90,000 Namazi namaz parh sakty Hain.
Is ka Sehan Msein
4,30,000 Namazi Namaz parh saktay hain Masjid main kul 6,98,000 Namazi Baik
Waqt Namaz parh sakty Hain.
Yahan 1 namaz parhnay ka sawab
50,000 namazoo ka
brabar ha. Masjid E Nabavi me 3 azeem hasti Aaram
Farma hai.
1)Sarkar E Madina Muhammad
[sallallahualaihiwasallam]
2]Hazrath Abu Bakr Siddiq [RadiAlla
Anhu] 3]Hazrath Umar E Farooq [RadiAlla Anhu].


• ek SAHAABI Ne Arz Ki,
"Ae ALLAH Ke NABI (Sallallahu Taala
Alaihi Wasallam)! Mere Ghar Barkat Nahi,
Kya Karun?
AAP (Sallallahu Taala Alaihi Wasallam)
Ne Farmaya, "Apne Ghar Ke Darwaaze Par Parda
Lagaao."
SAHAABI Ne Aisa Hi Kiya
Kuch Din Baad Phir Aaye Arz Kiya “Ab
Mere Ghar Bahot Barkat Hai, Lekin Parde
Se Kya Waasta?” AAP (Sallallahu Taala Alaihi Wasallam)
Ne Farmaya Ke, "Aap Ke Ghar Ke Paas Se
Be-Namazi Guzarte Hain Unki Nahusat
Ghar Pe Padti Thi Aur Barkat Nikal Jaati
Thi."
Socho Jis Ghar Me Hi Be-Namazi Hon To Kaise Barkat Ho.?
PYARE AAQA MUHAMMAD MUSTAFA
(Sallallahu Taala Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya,
"Jis Momin Bande Ki Aankhon Se Allah
Taala Ke Khauf Se Aansu Tapak Pade, Khwah Wo (Aansu) Makkhi Ke Sir Ke
Baraabar Kyun Na Ho, To ALLAH Taala Us
Par Jahannam Ki Aag Haraam Farma
Dega."
.
>>[Ibne Maja’ Kitab-Uz-Zohad, H.4197] .
"!!..NAMAZ PADHIYE,
IS SE PEHLE KI TUMHARI NAMAZ PADHI
JAAYE..!!"
.
MAXIMUM SHARES


• { Namaz Say ye mat Kaho, Mujhe Bahot
say kaam Hain}
{ Kaho to kaam say Yehi, Namaz to
Namaz hai}
-
-{ Namaz na padhne k bahane }--

• Aap chale mai aata hu,
• Time hi nahi milta,

• Mai na paak hu,

• Mera mood nahi hai,

• Juma se pakka padhunga,

• Dua me yaad rakhna,

• Dukan koun dekhe ga?
• Allah hidayat hi nahi deta.

Sawal: kya Namaz na padhne k ye
bahane kal ko hamen jahannam ki aag se
bacha sakenge?
Jawab: Nahin ! Har giz
Nahin !
Kyun k : Allah subhana wa ta'ala Faramate hai: “ k jab jannati log
jahannamiyo se puchenge k tum ko kis
cheez ne jahannam me dala? To wo
kahenge k ham Namaz nahi padhte the.

(surah:mudd assir,surah no:74, aayat
no:42-43)
Yaad Rakho! Quran ne hamenbatadiya ab
Faisla hamara hai.

Jahannam????Ya Janna???


• Ustad ne Class men Bachon se SawaL kiya
k ye batao k wo kon Log hen jo NAMAZ
nahi parhte?

1st Bachay ne Masoomiat se jawab diya k
jo Log Mar Chukay hen.

2nd Bachay ne bari Nidamat se jawab
diya k jin ko NAMAZ parhna nahi aati.
3rd Bachay ne bara Maqool Jawab diya k
Sir wo Log jo Musalman nahi hen.
Ab Hamara Shumar kon se Logon mein
hota hai?

Kya ham mar chuky hen ?

Kya hamen Namaz nahe aati ?

Kya ham musalman nahi hen?
(Zara sochye)......


• Subah Ghar se Niklty hen to QURAN
Prhna Bhol jaty hen ,

SEhatyab hon to "ALLAH" ko Bhol jaty
hen ,

Kam men hon to "NAMAZ" Bhool jaty
hen ,

Burai Karin to "ANJAM" Bhool jaty hen ,

Dekhen to "HAYA" Bhool jaty hen ,

Khaty hen to "BISMILLAH" Bhool jaty
hen ,

Milen to "SALAM" Bhool jaty hen ,

SoYE to "TOBA" Bhool jaty hen ,

GhussE men hon to "SABAR" Bhool jaty
hen ,

Safar pe Jaen to "DUA" Bhool jate hen ,

Woh "RAHIM O KARIM" Zaat Hamen Phir
Bhi Nahi Bhulta


• #ALLAH" panah de Us 'Neend' se jis se
#Fajar" ki namaz qaza ho Aisi''Masroofiyat'' se jis se
#zohar'' ki namaz qaza ho
Aisi ''susti'' se jisse
#Asar'' ki namaz qaza ho
Aisi ''Mahfil'' se jis ke ''Lutf'' se
#Magrib'' ki namaz qaza ho
Aisi ''Thakawat'' se jis se
#Isha'' ki Namaz qaza ho ....!!!


• Kuch Chizen Jo Hum Namaz Me Roz
Padhte Hai Lekin Unka TARJUMA Nahi
Jaante.

* SANA:-
Subhanakallahum ma Wabi hamdika Wa
tabarakasmuka Wat'ala Jadduka
Walaailaha Gairuka.

* TARJUMA:-
Aye ALLAH ! Mai TERI Paaki Bayaan karta hu aur teri taarif karta hu
aur TERA naam
barkatwala hai, buland hai TERI shaan,
aur nahi hai ma'bud TERE siva koi.

* RUKU ME:-
Subhana Rabbiyal Azim

* TARJUMA:-
Paak hai mera Rab Azmat wala.

* RUKU SE UTHTE WAQT:-
SamiAllahu Liman Hamida.
Rabbana Lakal Hamd.

* TARJUMA:-
ALLAH ne uski sunn li jisne uski taarif ki.
Aye hamare Rab, tere hi liye tamaam taarife hai.

* SAJDE ME:-
Subhana Rabbiyal A'ala.
* TARJUMA:-
Paak hai mera Rab, Badi Shaan wala.

Iss tarjume ko aage bheje taaki na jaanne
waale ko bhi Tarjuma Pata chal jaaye.


• Namaz ki halat me Aankhe band karna
Makroh
hain, Namaz me jab Qayam par khare ho
to
nazren Sajde ki jagah rakho k hamen isi
zameen me jana hain, Jab Ru ku karo to paon
dekho k hamari jaan paon se nikalna
shuru
hogi, Jab Sajda karo to naak ki simt me
dekho
k marne k baad sab se pehle naak khatam
hogi, Aur Jab beth jaao to nazren jholi
me honi
chahiye k meri jholi ab b khali hain. PLZ
yeh
sabko bataye kya pata aap ki waja se kisi ki
Namaz sahi ho jaaye.


• 1 yahoodi ne ek burzug se pocha ke

jab hum ibadat karty he to humein
koi khayal,waswasa nahi aata

jab Ke maine suna he aap log Namaz
parhty ho to zehan me bohat se
khayalat aaty he.
Burzug ne jawab dia ke 2 makan he 1
khali he dusra Heeron se bhara he,
batao chor kis makan me jaye ga.?
Yahoodi bola heroon waley makan me burzug ne jawab dia yahi haal kafir
or Musalman Ke dil ka he.
Jis ka dil
pahly hi emaan se khali ho waha sheitan
kia leny aaega ?

Subhan Allah!


• Do mauqo par
ALLAH ke FARISHTE haste
hain:

1 jab - Be PARDA Aurat ko KAFAN diya
jaye
(jab parde ki zarurath thi to us waqt kiya
Nahi, ab parda kaisa)

2-jab - Be NAMAZI Ka janaza ki namaz
padaye jaye
(sari zindagi namaz k qarib nahi aaya ab
kaisa namaz) SILENT MESSAGE
131Like ·  · Share

Ishq -e-NABI
July 20 via mobile
Assalamalaikum,

Mere deeni bhaiyo aur
behno is message ko gaur se padhna aur
samjhne ki koshish karna.

Allah ne insan ko do cheezon se
mukammil kia.

1.mitti
2.ruh
Mitti is zameen si li gayi aur iska putla
banayagaya,aur Allah ne iski zarurat ki
saarri cheezen is miiti me rakhdi, jaise
anaaj etc,....

Ruh ko asman se utara aur is mitti ki
putle me jaan daldi. Aur ruh ki ashia(giza)
bhi asman se utari, jaise quran,hadees,na
maz etc,....

Log is mitti me ruh ki giza talash kar rahe
hain jo kabhi nahi hosakta. is mitti se
milne wali cheezen sirf hamare jism ko
giza pahunchati hai ruh ko nahi. Ruh ki tandrusti keliye asman se utre
amaal par amal karna padega jis se
hamara imaan mazbut hoga aur aqeerat
banegi. Marne ke baad yeh mitti ka jism mitti me
miljayega, asman se ayi hui ruh asman
me chali jayegi.


• Ek inspiring story:MUST READ

Main raste me hi tha jab maghrib ki
azaan hui. Aaj job se aate waqt kafi der
ho chuki thi. Main jaise hi ghar pahicha maghrib ka
waqt lagbhag khatm hi ho chuka tha.

Maine jaldi jaldi wuzu banaya aur waise
hi geele haath pair le kar ja namaz par
neeyat bandh ke khada ho gaya. Mere chehre se pani tapak raha tha. Main
baar baar use aasteen se ponchhta aur
namaaz chalu rakhta.

Namaaz ke dauran hi mujhe dhyaan aaya
ki main ammi ki dawaiyan lana bhool
gaya hoon. Aaj office me dher sara kaam
tha khana khane ka bhi mauka nahi mila. Main bahut thak chuka tha sajde me jaate
hi maine namaaz me poora dhyan laane
ki koshish ki.

Achanak agle hi pal main ek aise maidan
me tha jahan bahut sarey log jama they.

Sabke haath me ek ek kitab thi. Mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha ki
kya ho raha hai tabhi kisi ne aakar mere
haath me bhi ek kitab de di jis par mera
naam likha hua tha. Maine kholkar dekha to usme mere
achchhe aur bure aamal likhe hue they.

Mera dil baith gaya tha. Maine socha ya
Allah kya main mar gaya hoon. Maine sabki taraf nazar daudai sab ke sab
ek line me apni kitab jama kar rahe they.
Main samajh gaya ki main mar chuka
hoon aur ab mera bhi in sab ki tarah
hisab kitab hona hai. Maine bhi apni kitab jama kar di. Aur
intezar karne laga. Jab sab logon ki
kitabein jama ho gayi to waqt aaya faisle
ka. Mujhe apne kaano par yakeen nahi
hua jab sabse pehla naam mera pukara
gaya. Mera dil zor zor se dhadakne laga. Maine
socha na jane aaj mera kya hoga. Kya
mera anjaam hoga. Tabhi aawaz aayi
jahannum. Mujhe bharosa nahin tha ki mere hissey
me jahannum aayega. Main rone laga.
Mere gaalon se aansoo behne lagey. Tabhi do khatarnak dikhne wale saaye
aaye aur mujhe ghasitkar le jane lage.
Main chillata raha 'bachao, mujhe koi
bachao'. Lekin sab mujhe sehmi hui nazar
se dekh rahe they koi bachane ke liye
aage nahi aaya. Maine chilla kar kaha 'maine kabhi kuchh
galat nahi kiya, kabhi jhoot nahi bola, kisi
ki chugli nahi ki, kisi ki geebat nahi ki,
sood nahi khaya. Fir mujhe kyon
jehannum me fek rahe ho' Koi kuchh nahi bola sirf mujhe kheechte
rahe. Ab main jehannum ki aag mehsoos
kar sakta that. Uska muhana thodi hi
door par tha. Aur usme se aisi aawaz aa
rahi hi jaise koi janwar rassi todkar mujh
par hamla karne ki koshish kar raha ho. Main bahu darr gaya. Aur zor zor se rone
laga. Tabhi mujhe yaad aaya. Namaaz. Main chillane laga 'meri namaz. Meri
namaz kahan hai' Jehannum ka muhana samne hi tha.
Duniya me to main zara si garmi
bardasht nahi karta tha ya Alaah is garmi
ko kaise bardasht kaunga. Ab me jehannum ke darwaze pe tha zor
zor se ro raha tha. Apni namaz ko aawaz
de raha tha lekin koi sunne wala nahi
tha. Main chillaya lekin koi farq nahi
padha. Ek ssye ne mujhe dhakka de diya
aur me jehannum ki tapti jlhui aag me girne laga. Mujhe laga yehi mera hashr
hai. Itne me ek haath ne mujhe pakad liya.
Mqine sir utha kar dekha to muhane par
ek buzurg khade they. Safed dadhi aur
nurani chehra lekar. Mera haath thame
hue muskura rahe they. Neeche dozakh
ki aag mujhe jhulsa dene ke liye mqchal rahi thi lekin un buzurg ka
hath lagte hi
uski tapan thandak me badal gayi. Maine unse poocha aap kaun hain.
Unhone mujhe bahar kheech kar kaha-
tumhari namaz. Mujhe bahut gussa aaya
aur maine kaha aap itni der se kyon
aaye? Mujje dozakh me dhakka de.diya
gaya tha aap thoda aur der se aate to main to jehannumi ho huka tha.
Buzurg ne muskurate hue kaha-tum bhi
to mujhe ekdum aakhiri time par padha
karte they. Tabhi meri neend khuli. Koi mujhe zor
zor se hila.raha that. Maine dekha ammiji
mere paas khadi hain aur bol rahi hain -
kya hua namaz namaz kyon chilla raha
hai. Meri khushi ka thikana nahi raha. Main
zinda tha. Maine ammiji ko galey se laga
liya aur kaha-aaj ke baad main kabhi
namaz me deri nahi karunga. Aye Musalmano namaz padho is se pehle
ki aap ki namaz padha di jaye.


• Har Namaz Ke Baad Pehla
Kalma Parho Aur Yeh Dua
Mango Ke Aey ALLAH
Yeh Kalma Tery Pass Meri
Amanat Hai Aur Marney Say 1 Minute Pehlay Yeh Mujhay Lotaa
Dena...!
ALLAH Kabhi Amanat May
Khayant Nahi Karta.....!!


• Assalamu Alaikum
Imp Message: Hum Jis Masjid Mein NAMAZ Ada Karte Hain Wahan Hamein
Wazu ke liye Paani,
Hawa ke liye Fan,
Roshni ke liye Lights,
Carpet,
Imam Sahab etc.
Farahum kia Jata Hai, Ta ke Hamein Namaz Mein Asani Ho.

Is ke badle Me Hum Masjid Ko Kya Dete Hain. 10! 20! 50 ya 100 Rs.

Jab Ke Hum T.V Cable Ke Liye 300Rs.
Internet Recharge Ke Liye 500Rs Har Mahine Dete Hain.

Zara Sonchiye! Musalmano Ka


• Deti Hu Tumko Dawat Namaz Ki

Taqdir Wale pate he Daulat namaz ki

Jis ghar me log Karte Hai Izzat Namaz Ki

Us ghar me paayi Jati hai Barkat Namaz Ki


• 5 Wakt K Namazi Se ALLAH K 5 Wade

1 Rizk Ki Tangi Dor Kr Du Ga


2 Kabar Ka Azab Taal Du Ga


3 Amaal Nama Dahney Hath Mey Du Ga


4 Pul Sarat Sey Bijli Ki Raftar Se Guzar Du
Ga

5 Jannat Mey Bagair Hisaab K Dakhil Kar
Du

ALLAH Mujko Aur Apko Namaz Ki
Ehmiyat Karne Ki Taufeeq De


Ameen


• Fajar: ki Namaz ko Apna Naseeb Bana
Lo"
"Zohar:ki Namaz ko Apna Muqaddar
Bana Lo"
"Asar: ki Namaz ko Apni Taqdeer Bana
Lo"
"Magrib: ki Namaz ko Apni Umeed Bana
Lo"
"Isha: ki Namaz ko Apna Mustaqbil Bana
Lo


• Ek bar Hazrat Isa alay he wasalam ki nazar ek janvar per padi, wo
bilkul mela(ganda) tha, wo pani me ja ker bilkul saaf ho gya, thabhi
Hazrat Jibrail Alay he slam me farmaya Isa (aly he salam) jis tarah
yeh janvar pani me zakar bilkul saaf suthra ho gya usi tarah Ummate
Muhammedi bhi Namaz padh kar apne gunaho se saaf suthri ho jyegi. Sooo
dear friends plez do Namaz 5 times , becouse it is a special gift from
the Allah Ta'la to us (ummate Muhammedi).


• Ume Ferwah Raziallahu Anha Kehti Hai RasoolAllah (sallallahu alaih wasallam)

Ne Fermaya Behtareen Amal Namaz Ko "Awal" Waqt Me Adaa Kerna hai...!!


• MUHAMMAD ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ

NAMAZ KE EHTAMAM PAR PACH (5) TARAH se
IKRAM wa EYJAS aur NAMAZ mai susti karne
par (15) tarike se AAZAB:
NAMAZ KE EHTAMAM PAR PACH(5) TARAH se
IKRAM wa EYJAS :
HADIS mai aaya hai ki jo shaksh NAMAZ ka
Ehtamam karta hai, HAQ TALLAH SHANO (5)
pach tarah se uska EKRAM wa EYJAS farmate
hai:-
1) Ek yeh ki us par se RIZK ki tangi hata di
gate hai.
2) Dusra yeh ki usse AAZABE KABR hata diya
gata hai.
3) Tesare yeh ki QAYAMAT ko AAMAALNAME
DAYE (right) HAATH mai diye gayenge (jiska
haal sur: AL-HAAKKA mai mufasal majkur hai ki
jin logo ke NAME-AAMAL DHAINE (right) HATH
mai diye gayenge, wah Nehayat kush wa
khuram har shaksh ko dikhate firenge.
4) Chaute yeh ki PULSIRAT par se BIGLI ki
tarha gujargayenge.
5) Pachwe yeh ki HISAB KITAB se mehfuz
rehenge.
DUWA:- (ALLAH hum sab ko NAMAZO ka
Ehtamamkarne ki taufique ata farmaye)
AMEEN !
NAMAZ mai susti karne par (15) tarike se
AAZAB :
Aur jo shaksh NAMAZ mai susti karta hai usko
pandara tarike se AAZAB hota hai- pach (5)
taraha DUNIYA mai, tin (3) tarah se MAUTH ke
waqt, tin (3) tarah KABR mai aur tin (3) tarah
KABR se nikalne ke baad,
DUNIYA ke pach (5) to yeh hai:-
1) Aowal yeh ki uski jindage mai barkat nahi
rehte.
2) Dusare yeh ki SULAH (NEK LOG) ka noor use
hata diya jata hai.
3) Tesare yeh ki uske NEK kamo ka aagar hata
diya gata hai.
4) Chauthe uski DUWAYEE kabool nahi hoti.
5) Pachwe yeh ki NEK BANDO ki DUWAYOO mai
uska istihaak (HAK) nahi rehta.
Aur mauth ke waqt tin (3) AAZAB yeh hai ki:-
1) Auwal zillat se marta hai,
2) Dusre bukha marta hai,
3) Tesare payas ki shidat (tezi) mai mauth
aate hai. Agar samudar bhi pi le to pyas nahi
bujti.
KABR ke tin (3) AAZAB yeh hai:-
1) Auwal, uspar KABR etani tang ho jati hai ki
pasliya ek dusri mai gush jati hai.
2) Dusre KABR mai AAG jaladijatI hai.
3) Tesare KABR mai ek saap (snake) uspar eysi
shakal ka musallat hota hai, jiski aakhe AAG ki
hoti hai aur nakoon loohe ke etne lambe ki ek
din pura chalkar uske kham tak pahucha jaye.
uski aawaz bigli ki kadak ki tarha hoti hai.
wah kehta hai ki mujeh mere rab ne tuj par
musalat kiya hai ki tujeh subah ki NAMAZ zaya
karne ki wajah se afatab ke nikal tak mare
gaou aur ZOHAR ki NAMAZ zaya karne ki
wajeh se ASAR tak mare jaou aur fir ASAR ki
NAMAZ zaya karne ki wajeh se GURUB tak aur
MAJRIB ki NAMAZ zaya karne ki wajeh se ISHA
tak aur ISHA ki NAMAZ zaya karne ki wajeh se
SUBAH tak mare gaou. Jab wah ek dafa usko
marta hai, to uski wajeh se wah murda satter
(70) hath zamin mai gush gata hai. eyhsi
tarah KAYAMAT tak usko AAZAB hota rehenga.
Aur KABR se nikalne ke baad ke tin AAZAB yeh
hai:-
1) Ek HISAB sakti se kiya gayenga,
2) Dusara HAQ TAALAH SHANAOO uspar gussa
honge,
3) Tesara GAHANNAM mai dakhail kar diya
diya jayenga.
yeh kul mijaan(total) chaudha(14) huwe.
Mumkin hai kipandarwa (15) bhul se rehgaya
ho.
Aur ek rewayat mai yeh hai ki uske chere par
tin satare line's) likhi huwi hoti hai:-
1) Pehli satar, OO ALLAH KE HAQ KO ZAYA
KARNE WALE!
2) Dusre satar, OO ALLAH KE GUSSE KE SATH
MAKHSOS!
3) Tesare satar, JASA KI TUNE DUNIYA MAI
ALLAH KE HAQ KO ZAYA KIYA, AAJ TU ALLAH KI
REHMAT SE MAYUS HAI.
DUWA:- (ALLAH hum sab ko NAMAZO ka
Ehtamamkarne ki taufique ata farmaye)
AMEEN !


• 1. " Jannat Wale Jab
Dozakh Walo'n Se
Pooche'n Ge k
Kia Cheez Unko
Dozakh Me Lai Hai
Tou Wo Kahe'n Ge
Hum Namaz Nahi
Parhty The "
[Para No. 29, Surah Muddasir Aayat 42] ...

2. Hazrat ALI Radhi Allahu Anhu ne farmaya
"Agar kisi ko ye
ghuroor hy k Wo tum
se jitni martaba naraz
ho tou tum usay mana
lo gey tou behtr hy tum
uska ghuroor tuutney
na do "

3. Jahan b ho ALLAH ka
kahuf rakho aur burai
sazad honay k baa
neki ka amal kro jo
usay mita de gii aur
logo'n se
husn-e-ikhlaq se pesh aao
~ Tirmizi ~ ...

4. Hazrat ALI Radhi Allahu Anhu ne farmaya
"Dunya me kbhi kisi
achy insaan ko talaash
mat kro
Bal k
Khud achy ban jao,
Ho skta hy k
Tmhary is amal sy
kisi aur ki talaash
khatam ho jaye ..."

5. =�Hadees-e-Pak�=
Jab tum me se koi shaks
Janaza dekhe or us k sath na
ja sake to us waqt tak khara Rahe
jab tak wo agay na nikal jaye.
(Muslim, Vol#1, Pg# 671) ...

6. "Beshak Allah K Firishtey Dua e Rahmat
Karte
Hen Jab Tak Tum Namaz Parh Kar
Usi Jaga Bethey Raho Or Koi Baat Na Karo."
(BUKHARI J.1 PG.63) ...

Subhan Allah


• 1. Hazrat Ali Radhi Allahu Anhu ne farmaya
"Galat baat par Gussa aajana sharafat ki
nishani hai,
Lekin usi Gussey ko pee jana
"M0MIN" ki Nishani hai."

2. Jab Musalman Wazoo karta hai to us k
chahre,
hath or paon se gunah nikal jate hain.
(Muslim:244) ...

3. Hazrat Ali Radhi Allahu Anhu ne farmaya
se Ksi shakhs Ne Pocha:
Main Buhat Koshish Krta hoon "Namaz-E-
Subah"
Parhon Magr Uthta Nahi?
Hazrat Ali Radhi Allahu Anhu ne farmaya
Yeh Neend Ki Wajah Nahi Balke Tum
Jo Sare Din Me "Gunah" Karte ho wo tumhare
"Garda'an" Me Tok,
Hathon me Hathkari Or Paon Me
Bairiyan Bandh Kar Tumhe Uthne Nahi Dete.
ALLAH HU AKBAR


• Kal= Log subha Namaz ke liye uthte the.
Aaj= chai ke liye.


• *** Namaz k ***
*** 18 ** *** Faide ***
1. Cehre ki Nooraniyat.
2. Dil ka noor.
3. Dil ki rahat
4. Dil ka cheno sakoon.
5. Jisam ki rahat.
6. Jisam ki wardish
7. Jisam sehat’mand
8. Qabar me sathi.
9. Zindagi pursakun
10.Zindagi aa’saan
11.Zindagi maze dar
12.Nuzul e Rehmat ka zariya.
13.Aasmano ki chabi.
14.Mezan me wazan.
15.ALLAH ki raza.
16.NABI PAK (S.A.W.W) ki ankhon ki thandak
17.Jan’nat ki kemat.
18.Aag se bachao ka zariya.


• «»{ HADEES SHARIF }«»
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Riwayat karte
hain ke 1 shakhs Masjid e Nabawi Main Dakhil huwa
us waqt RASOOLULLAH sallAllahu Alaihi wasallam
Masjid ke 1Goshe Main Ronaq Afroz the us Aane wale
ne pehle Namaz padhi phir Huzoor Alaihissalam ki
khidmat main hazir ho kar salam kiya to
RASOOLULLAH ne us ko salam ka jawab de kar
farmaya jaao Namaz padho tumhari Namaz nahen
huai. wo gaya Namaz Ada ki Aur phir Aakar salam
kiya NABI Alaihissalam ne slam ke jawab ke Baad
farmaya jaao Namaz padho tumhari Namaz nahen
huai wo shakhs gaya Aur Namaz padh kar wapas
Aaya phir salam kiya RASLULLAH ne salam ka Jawaab
Dene ke Baad farmaya jaao Namaz Padho Tumhari
Namaz nahen huai aesa 3 ya 4 Martaba huwa to us
shakhs ne Arz kiya Ya RASOOLALLAH Aap Mujhe
Namaz Sikha Den To sarkaar ne farmaya Jab tum
Namaz ka Irada karo to Achhi tarah wuzoo karo phir
Qible ki taraf khare ho kar takbeer e tahreema keh
kar Aayaat e Qurani Main se jo kuch Yaad ho us ko
padho phir etminaan se Rukoo karo us ke Baad
seedhe khare ho jaao us ke Baad etminaan se Sajda
karo phir sajde se uth kar etminaan se betho Aur
Dubara etminaan se sajda karo Aur 1 Riwayat ke
Mutabiq phir utho Aur seedhe khare ho jaao phir isi
tarah poori Namaz Ada karo.
(Mishkat sharif-Muttafaq Alaih)


• ><«{ HADEES SHARIF }»><
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Taala Anhu Riwayat farmate
hain ke Mujh se RASOOLULLAH sallAllahu Taala Alaihi
wasallam ne farmaya Agar Logon ko ye Maaloom ho jaay ke
Azaan or Saf e Awwal main kitna Ajr hai or unhen is ka
Mauqa na mile to us ka Ajr haasil karne ke liye Quraa Andaazi
karen or Agar un ko Namaz e Zuhar ki haazri ka Ajr Maaloom
ho jaay to us ki taraf sabaqat karen isi tarah unhen Namaz e
Fajr or Isha ka Ajr Maaloom ho jaay to chahe sureen ke Bal
ghisat ka Aana pade lekin zuroor haazir hon.
(Muttafaq Alaih- Bahawala MISHKAT)



• ###**"-« HADEES SHARIF »-"**###
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Riwayat karte hain ke
RASOOLULLAH sallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya : Jab
tum main se koi sota hai to shaitaan us ke sar main 3 girhen
lagata hai or har girah ye hoti hai ke Raat lambi hai sota reh
Lekin jab koi uth kar ALLAH ka zikr karta hai to 1 girah khul
jati hai or jab wuzoo karta hai to Dosri girah khul jaati hai or
jab Namaz padhta hai to teesri girah bhi khul jati hai or wo
pak o saaf khush o khurram SUBAH ko uthta hai warna
khabisun Nafs or sust uthta hai.
(Muttafaq Alaih-Bahawala Mishkat)

• Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya:

Agar Namazi Ke Saamne Se Guzarne Waale Ko Guzarne Ki Saza Maaloom
HoJae To Is se 1 Qadam Aage Berhne Ke Bijae 40 (Din, Mah Ya Saal) Tak
Wahin Kharhe Rehna Pasand Ho.

(Bukhari, Kitabul Salaat, H#510)

(Muslim, Kitabul Salaat, H#507)

• Assalaam u Alaikum Warahmatullah Wabarkatuh

Hiqayat/Wakiya
Farooq e Aazam ki sahadat
(Part-1)

Hazrat Umar Farooq Radhi Allahu Ta’ala Anhu ne ek raat khawab me dekha
ki ek surkh rang ke murg ne aapke badan me 2-3 thonge maari hai. Aapne
yeh khawab khutba e jumma me bayan kiya. Iss khawab ki tabir bayan ki
gai ki koi kafir umar ko sahid kar dega. Chunanche jumma ke roz yeh
khawab bayan kiya gaya aur budh ke din subah ki namaz me aap zakhmi
kiye gaye. Aapki yeh aadat thi ki namaz shuru karne se pehle safo ko
sidha kiya karte the. Jab safe sidhi ho jaati tab ALLAH HU AKBAR
kehkar niyat baandhte the. Budh ke din jab aapne safe sidhi karne ke
baad niyat baandhi tab firoz naami ek aatish parast (aag ki pooja
karne wala) musrik gulam ne aapko 2 dhari churi se zakhmi kar diya.
Farooq e Aazam ke pet par zakhm aa gaya. Aapko gira kar wah kaafir
firoz bhaga. Raaste me jam’at ke ander aur bhi sahaba ko sadid zakhm
lagaye. Aakhir ek ansari ne us par apna kambal daalkar use pakad liya.
Jab us zalim ne jaan liya ki ab me pakda gaya hu aur mera hasr bura
hoga toh wah kaafir apne haatho se churi marker mar gaya.
Hazrat Umar Radhi Allahu Ta’ala Anhu ne Abdur Rehman Bin Auf ko apni
jagah namaz padhnae ke liye hukm diya. Khud wahi baithkar namaz padhte
rahe aur zakhmi hokar bhi wahi haazir rahe.
(Siratus Saalihin,Safa-94)

Ek Hazrat Umar hai jo zakhmi halat me bhi namaz ada karte rahe aur ek
hum hai jo acchi khasi sehat hote huye bhi namaz pabandi se ada nahi
karte hai. Aye musalmano dekho Hazrat Umar ko jo jannati hone ke
bawajud kis tarah ALLAH ki ibadat kiya karte the zara socho kya hamare
amal iss qabil hai ki hum jannat me jaaye,kya humne apne ALLAH ko razi
kiya hai, kya humne apne gunaho se sacche dil se tauba ki hai?????
ALLAH bahot bada meharbaan hai abhi bhi hamare paas waqt hai sajde me
girkar apne RAB ko manalo. Bure kaamo se tauba aur us raah me chalo
jispar chalne ka ALLAH ne hukm diya hai.
Aye ALLAH tu hum sabke gunaho ko baksh de aur hume us raah pe chalne
ki taufeek de jo tujhe aur tere mehboob SALALLALHU TA’ALA ALAIHI
WASALLAM ko pasand hai.
Aameen

• Assalamo alykoom
mere dosto
Kuch Chizein Jo Hum Namaz Me
Roz Padhte Hain Lekin Unka
TARJUMA Nai Jante.
* SANA:-
Subhanakallahum ma Wabi hamdika
Wa tabarakasmuka Wat'ala
Jadduka Walaailaha Gairuka.
* TARJUMA:-
Aye Allah ! Mein teri Paaki Bayan
karta hu aur teri taarif krta hu aur
tera naam barkatwala he, buland
he teri shan, aur nhi he ma'bud
tere siva koi.
* RUKU ME:-
Subhana Rabbiyal Azim
* TARJUMA:-
Paak he mera Rab Azmat wala.
* RUKU SE UTHTE WAQT:-
SamiAllahu Liman Hamida.
Rabbana Lakal Hamd.
* TARJUMA:-
Allah ne uski sunn li jisne uski
taarif ki.
Aye hamare Rab, tere hi liye
tamam taarife he.
* SAJDE ME:-
Subhana Rabbiyal A'ala.
* TARJUMA:-
Paak he mera Rab Badi Shan wala.
Iss tarjume ko aage bheje taaki na
jaanne wale ko b Tarjuma Pata
chal jaye.


• ♥Hadees:♥
•═════════════════════•

Jisne JanBhujh kar Namaz chodi uska naam Dozakh k us Darwaze par likh
diya jayega jis me se wo Dakhil hoga.
♥>Hiliyatal Aulia H:10590

Zara Sochain Aj Hum koi Makan Lete hen to us par Apna Name Likhwate
han to Be-Namazi ka Makan Dozakh hoga, jis pe Qudrati uska Naam Likha
Hoga,

♥HADEES:♥
Aur wo shakhs(BeNamazi ) Qeyamat k din Firaun, Qaroon, Haamaan aur
Ubayi bin Khalafk sath hoga ♥>Majmauzzawaed >Jild-2, Pg-21

♥HADEES:♥
Aur jo is(Namaz) ki hifazat n kare uske lie baroze Qeyamat na Noor
hoga aur na Dalil aur na Najat ♥>Majmauzzawaed >Jild-2, Pg-21

♥" Namaaz HUZUR sallallahu alaihi wasallam ki Aakhon ki THANDAK hai "♥
•═════════♥══════════•
♥Aye AASHIQON kyun ISHQ ka izhaar AMAL se nahi hota?♥
•═════════♥══════════•

♥♥INSHA ALLAH♥♥

AAJ KE BAAD KABHI EK WAQT KI NAMAAZ JAAN BUJH KAR KAZAA NAHI
KARENGE..♥♥♥♥♥.....!!

►Write •Inshaa Allah• If u Agree...!


♥♥♥
•═════════════════════•
" Gujra karte the jis gali se namaz ke bahane,
usne sahar hi chhod diya jab ham namazi hogaye"
•═════════════════════•

►shayed woh kisi aur shaher mein jaa base , kisi aur ko namaazi banane
.. haha..HA HA,

►LOG SEENY MEIN QAID RAKHTAY HAIN,
HUM NE SIR PY CHARHA LIA DIL KO.

Rather ...

►Log sir mein qaid rakhtey hai,
humne ghutne mein basa liya dimaag ko...

••Dil paak nahi to, paak ho sakta nahi Insaan.. Warna iblis ko bhe
aate thee wazu k faraiz bohat.••
•════════════════════•
MERE BHAIYON TUM NAMAAZ SURU KARDO, KISI WAHAABI KI HIMMAT NAHI HOGI
TUMHAARE AQEEDEH PAR DAAKAA DAALNEKI.
•════════════════════•


• Kuchh dosto ko ye sawal hota hai ke
Agar unki kitni namaze kaza hui hai uska sahi andaza na ho to wo kitni
aur kis tarah kaza namaz padhen aur Kab tak kaza namaze padhte rahen?

A:
Agar sahi andaza ho to us hisab se har waqt ki jitni kaza...See More
Kaza namaz padhne ka Tareeqa aur Ahkam :

**********************
Musalman ko din me 5 bar waqt par namaz padhna farz hai.
Aur har namaz uske waqt par ada karna zaroori hai.

Behtar hai ke puri koshish kare ke masjid me jaakar ba-jama’at namaz
padhte rahe.
Aur agar jama’at chhut jaae to masjid me tanha namaz ada kar sakte hain.
Agar koi jaiz uzr ho to ghar par namaz padh sakte hain.

Aurto ko bhi waqt par ghar me namaz padhna zaroori hai.

Agar waqt bahut kam ho to us waqt ki Farz namaz ki rak’at padh len.
Aur Isha me Farz ke baad Witr wajib ki 3 rak’at padh len.

**********************
Agar waqt ke dauran namaz na padhi to wo namaz kaza ho gai.
Aur jab bhi us namaz padhe to kaza padhni hogi.

Aur jaanbuzkar namaz kaza karna gunahe kabirah hai.

Namaz na padhne wala Fasiq hai.
Aur Waqt par namaz na padhne wala ya hamesha kaza padhne wala Fajir hai.

Iske liye Allah ta’ala se sachi tauba bhi karni hogi.
Aur aainda namaz kaza na ho uska pura khayal rakhna hoga.
Aur wo sab namaze kaza ki niyyat se padhni hogi.

Ummid rakh sakte hain ke Allah ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi
wasallam ke sadqe me muaf farma de.

**********************
Kaza namaz jald hi padh lena zaroori hai.
Sirf raat ko hi ya kisi khas waqt me hi kaza namaz padh sakte hain aisa nahi.
Jab bhi mauka mile apni kaza namaz padhte rahe take bariuz zimma ho jaae.

Namaz ke liye jo makrooh awqat hain usme kaza namaz nahi padh sakte.
Baqi pure din aur raat me jab bhi waqt mile kaza namaz padhte rahe.

Awam me jo galat fehmi hai ke ba’az khas awqat par ya Mubarak raato me
ya dino me kaza e umri ki niyyat se jitni namaz padh sakte hain utni
padh le to kaam ho jaaega.
Wo bilkul sahi nahi hai. Har namaz ki kaza har ek ki niyyat ke saath
alag alag aur puri padhni hogi.

**********************
Jin ki kaza namaze baqi hain, un ke liye Nafl namaz padhne se
behtar hai ke wo pehle apni Kaza namaze padh len,
Take bariuz zimma ho jaae.

Farz namaz Allah ta’ala ka ham par Karz hai aur bande ko use dena hi hai.
Jo waqt par namaz ada kar lete hain wo to khuskismat hain ke Allah
ta’ala ki Ibadat ke zariye uske qareeb hote hain.

Lekin agar kisi bhi wajah se Namaz waqt par ada nahi ki ho to jald hi
use Kaza karke bhi padh len.

Mubarak raato me aur dino me ham Allah ta’ala ki raza ke liye Nafl
namaz aur Ibadat karte hain ye achhi baat hai.
Lekin pehle apni kaza namaz padhte rahen.
Phir kuchh nafl namaz bhi padhen.

Haan, Farz namaz ke ilawa jo Nafl namaz roz padhte hain (Ishraq,
Chasht, Awwabin, Tahajjud) wo uske waqt par padh len.

**********************
Kaza namaz padhne ka Tareeqa :

Namaz ki kaza padhne ka tareeqa bhi waisa hi hai jaise waqt par namaz
ada karte hain.

Uske liye sare Sharait, Faraiz, Wajibat aur Sunnate wo hi hai.

Ba-wuzu qibla roo khade hokar jo kaza namaz padhni ho uski niyyat kare.

Farz ki kaza me Farz ki niyyat kare, Wajib ki kaza me wajib ki niyyat
kare aur Sunnat ki kaze me sunnat ki niyyat karen.

Agar yaad ho to jis waqt ki jo kaza namaz padh rahe ho uski niyyat kare.
Aur agar ziyada namaze kaza baqi ho to har baar jis waqt ki (Maslan :
Fajr, Zohar, Asr, Maghrib, Isha) kaza namaz padhe uski niyyat me ye
kahe ke
‘Is waqt ki jo kaza namaze baqi hain us me se sab se pehli wali namaz
ki kaza padh raha hu.’

Musafir ke liye 4 rak’at wali farz namaz me sirf 2 rak’at farz padhne
ka hukm hai.
Is liye Safar ke dauran jo namaze kaza hui ho wo padhte waqt namaze
kasr kaza padhen.

Niyyat ke baad Takbire tehrima, Phir Sana, Ta’awwuz, Tasmiyah, Surah
al-Fatiha aur Qir’at ke baad Rukoo aur Sujood karke pehli rak’at puri
karen aur phir isi tarah sab raka’ate puri karke Qa’ada e aakhirah ke
baad salaam ferkar namaz khatm karen.

Agar bahut ziyada kaza namaze padhni baqi ho to
Rukoo me 3 baar ke badle 1 baar Tasbih padhe aur Sajde me bhi 1 baar
Tasbih padhe aur Qa’ada e aakhirah me Duroode Ibrahimi ke badle
‘Allahumm salle ala Sayyedena mohammadin wa ala aali mohammadin’ padhe
aur puri Dua e maashura ke badle ‘Allhumm gfirlee’ padh sakte hain.

Aur Witr me puri Dua e Qunoot padhne ke badle ‘Allahumm rabbana aatena
fid dunya hasanatanw wa fil aakhirati hasanatanw wa kina azaban naar’
padhe sakte hain.

Aur agar waqt ho to kaza namaz me har chiz puri padhen.

**********************
Allah ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me sab ko
ba-jama’at namaze ada karne ki taufiq ata farmae aur Hamari ibadat ko
qubool farmae. Aameen. — with Mahek Khan and 25 others.
Photo: Kaza namaz padhne ka Tareeqa aur Ahkam :

**********************
Musalman ko din me 5 bar waqt par namaz padhna farz hai.
Aur har namaz uske waqt par ada karna zaroori hai.

Behtar hai ke puri koshish kare ke masjid me jaakar ba-jama’at namaz
padhte rahe.
Aur agar jama’at chhut jaae to masjid me tanha namaz ada kar sakte hain.
Agar koi jaiz uzr ho to ghar par namaz padh sakte hain.

Aurto ko bhi waqt par ghar me namaz padhna zaroori hai.

Agar waqt bahut kam ho to us waqt ki Farz namaz ki rak’at padh len.
Aur Isha me Farz ke baad Witr wajib ki 3 rak’at padh len.

**********************
Agar waqt ke dauran namaz na padhi to wo namaz kaza ho gai.
Aur jab bhi us namaz padhe to kaza padhni hogi.

Aur jaanbuzkar namaz kaza karna gunahe kabirah hai.

Namaz na padhne wala Fasiq hai.
Aur Waqt par namaz na padhne wala ya hamesha kaza padhne wala Fajir hai.

Iske liye Allah ta’ala se sachi tauba bhi karni hogi.
Aur aainda namaz kaza na ho uska pura khayal rakhna hoga.
Aur wo sab namaze kaza ki niyyat se padhni hogi.

Ummid rakh sakte hain ke Allah ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi
wasallam ke sadqe me muaf farma de.

**********************
Kaza namaz jald hi padh lena zaroori hai.
Sirf raat ko hi ya kisi khas waqt me hi kaza namaz padh sakte hain aisa nahi.
Jab bhi mauka mile apni kaza namaz padhte rahe take bariuz zimma ho jaae.

Namaz ke liye jo makrooh awqat hain usme kaza namaz nahi padh sakte.
Baqi pure din aur raat me jab bhi waqt mile kaza namaz padhte rahe.

Awam me jo galat fehmi hai ke ba’az khas awqat par ya Mubarak raato me
ya dino me kaza e umri ki niyyat se jitni namaz padh sakte hain utni
padh le to kaam ho jaaega.
Wo bilkul sahi nahi hai. Har namaz ki kaza har ek ki niyyat ke saath
alag alag aur puri padhni hogi.

**********************
Jin ki kaza namaze baqi hain, un ke liye Nafl namaz padhne se
behtar hai ke wo pehle apni Kaza namaze padh len,
Take bariuz zimma ho jaae.

Farz namaz Allah ta’ala ka ham par Karz hai aur bande ko use dena hi hai.
Jo waqt par namaz ada kar lete hain wo to khuskismat hain ke Allah
ta’ala ki Ibadat ke zariye uske qareeb hote hain.

Lekin agar kisi bhi wajah se Namaz waqt par ada nahi ki ho to jald hi
use Kaza karke bhi padh len.

Mubarak raato me aur dino me ham Allah ta’ala ki raza ke liye Nafl
namaz aur Ibadat karte hain ye achhi baat hai.
Lekin pehle apni kaza namaz padhte rahen.
Phir kuchh nafl namaz bhi padhen.

Haan,  Farz namaz ke ilawa jo Nafl namaz roz padhte hain (Ishraq,
Chasht, Awwabin, Tahajjud) wo uske waqt par padh len.

**********************
Kaza namaz padhne ka Tareeqa :

Namaz ki kaza padhne ka tareeqa bhi waisa hi hai jaise waqt par namaz
ada karte hain.

Uske liye sare Sharait, Faraiz, Wajibat aur Sunnate wo hi hai.

Ba-wuzu qibla roo khade hokar jo kaza namaz padhni ho uski niyyat kare.

Farz ki kaza me Farz ki niyyat kare, Wajib ki kaza me wajib ki niyyat
kare aur Sunnat ki kaze me sunnat ki niyyat karen.

Agar yaad ho to jis waqt ki jo kaza namaz padh rahe ho uski niyyat kare.
Aur agar ziyada namaze kaza baqi ho to har baar jis waqt ki (Maslan :
Fajr, Zohar, Asr, Maghrib, Isha) kaza namaz padhe uski niyyat me ye
kahe ke
‘Is waqt ki jo kaza namaze baqi hain us me se sab se pehli wali namaz
ki kaza padh raha hu.’

Musafir ke liye 4 rak’at wali farz namaz me sirf  2 rak’at farz padhne
ka hukm hai.
Is liye Safar ke dauran jo namaze kaza hui ho wo padhte waqt namaze
kasr kaza padhen.

Niyyat ke baad Takbire tehrima, Phir Sana, Ta’awwuz, Tasmiyah, Surah
al-Fatiha aur Qir’at ke baad Rukoo aur Sujood karke pehli rak’at puri
karen aur phir isi tarah sab raka’ate puri karke Qa’ada e aakhirah ke
baad salaam ferkar namaz khatm karen.

Agar bahut ziyada kaza namaze padhni baqi ho to
Rukoo me 3 baar ke badle 1 baar Tasbih padhe aur Sajde me bhi 1 baar
Tasbih padhe aur Qa’ada e aakhirah me Duroode Ibrahimi ke badle
‘Allahumm salle ala Sayyedena mohammadin wa ala aali mohammadin’ padhe
aur puri Dua e maashura ke badle ‘Allhumm gfirlee’ padh sakte hain.

Aur Witr me puri Dua e Qunoot padhne ke badle ‘Allahumm rabbana aatena
fid dunya hasanatanw wa fil aakhirati hasanatanw wa kina azaban naar’
padhe sakte hain.

Aur agar waqt ho to kaza namaz me har chiz puri padhen.

**********************
Allah ta’ala uske Habeeb sallallahu  alaihi wasallam ke sadqe me sab
ko ba-jama’at namaze ada karne ki taufiq ata farmae aur Hamari ibadat
ko qubool farmae. Aameen.


• إِنَّ الصَّلَاةَ تَنْهَىٰ عَنِ الْفَحْشَاءِ وَالْمُنْكَرِ ۗ وَلَذِكْرُ
اللَّهِ أَكْبَ

Namaaz behayai aur buraiyo se rokti hai, Aur waaqai ALLAH ka zikr sab
se bada hai.

******************
Namaz padhne ke faaide :

Namaz ke liye wuzu karne se taharat ke saath taazgi milti hai.

Namaz me sirf ALLAH ta’ala ki janib khayal rakhne se Allah ki kurbat
ke saath sukoon milta hai aur dimag ki thakan door ho jati hai.

Namaz me ALLAH ta’ala ke liye har arkan karne se farz ada hone ke
saath varjis (Exercise) hoti hai.

Namaz sache dil se ALLAH ta’ala ki raza ke liye padhne se gunaho se
paak hone ke sath izzat milti hai.

Namaz padhne ke baad ALLAH se dua mangane se dua qubool hoti hai aur
deen aur dunya ki bhalai milti hai.

Pyare Aaqa sallallahu alaihi wasallam ke pyare ummatio namaz ke ye sab
aur dusre zaahiri aur baatini faide janne ke baad khud bhi ALLAH ki
raza ke liye paabandi ke saath namaaz ada karne ki koshish karen aur
dusre musalmano ko bhi iske faaide batayen.

******************
ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko sahi tareeqe se paabandi ke saath namaaz padhne ki aur uski
barkat haasil karne ki taufiq ata farmae aur hamari ibaadat ko qubool
farmae.
Aameen.‎


• * Ghurbat ki Fazeelat *

Jo Shakhs Achi Tarah Namaz parhta ho, us ke Ayal yani ghar walay ziada
aur maal kam ho aur wo shakhs Musalmano ki gheebat na karta ho me aur
wo jannat me in do (unglion) ki tarah hongay. (Yani Aap صلی اللہ علیہ
والہ وسلم ny Angusht e Shahadat aur Beech ki ungli milakar dikhaya).
(Jamaa-ul-Jawami, Jild 7, Page 149, Hadis 21835)

#ghurbat #ki #fazilat #fazeelat #hadis #hadees #hadith #of #holy #prophet


• Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Namaz ke baad ki Ek Dua…

Amr bin Maimun Al-Audi Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee
Sallallahu Alaihi Wasallam namaz ke baad in Kalimat ke zariye ALLAH ki
panaah mangtey they:

Eh ALLAH buzdili se main teri panaah mangta hun, aur us sey teri
pannah mangta hun ki umar ke sabse zaleel hissey mein pahuncha diya
jauu,aur teri panaah mangta hun duniya ke fitno se aur teri panaah
mangta hun Qabr ke azab se.

Sahih Bukhari, Vol 4,2822


• ASSLAM U ALAIKUM.............
"MASJID-E-NABWI SallallahuAlaihiwasallam
ki Bulandi 1225 Meter Hai=.
Mutaharik Gumbadon Mein Hr Ek Gumbad ka
wazan 80 tons Hai.
Masjid ki Chat pr 90,000 Namazi namaz parh
sakty Hain.
Is ka Sehan Msein
4,30,000 Namazi Namaz parh saktay hain
Masjid main kul 6,98,000 Namazi Baik Waqt
Namaz parh sakty Hain.
Yahan 1 namaz parhnay ka sawab 50,000
namazoo ka
brabar ha....
★MUZAMMIL MANSOOR★★ — with Jahangir Alam and 5 others.
Photo: ASSLAM U ALAIKUM.............
"MASJID-E-NABWI SallallahuAlaihiwasallam
ki Bulandi 1225 Meter Hai=.
Mutaharik Gumbadon Mein Hr Ek Gumbad ka
wazan 80 tons Hai.
Masjid ki Chat pr 90,000 Namazi namaz parh
sakty Hain.
Is ka Sehan Msein
4,30,000 Namazi Namaz parh saktay hain
Masjid main kul 6,98,000 Namazi Baik Waqt
Namaz parh sakty Hain.
Yahan 1 namaz parhnay ka sawab 50,000
namazoo ka
brabar ha....


• *Jo jamaat se Namaz nahi padtey unkey liye Rasoollallah Sallallahu
Alaihi Wasallam ki Narazgi

Bismillahirrahmanirrahim

*Jo jamaat se Namaz nahi padtey unkey liye Rasoollallah Sallallahu
Alaihi Wasallam ki Narazgi

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah
Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya maine ye irada kar liye tha ki
namaz ki jammaat qayam karney ka hukm dekar main khud un gharon par
jauu jo namaz ke liye jamaat mein hazir nahi hotey aur unkey gharon ko
jala du

Sahih Bukhari, Vol 3,2420


• Thodi Si Thakawat par Namaz Na Chhor Aye
Momin
Un se kuch Sikh Jinhone Jism Mein Khanjar Hote
Huye Bhi Aakhri Sajda Na Chora....


• ∗ Apni Aulaad Ko Namaz (Parney) Ka Hukum Do
…..
» Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Ne Farmaaya,
“Apni Aulaad (Sons & Daughters) Ko Namaz
(Parney) Ka Hukm Do, Jab Ke Wo 7 Saal Ke Ho
Jaayein, Aur Jab Wo 10 Saal Ke Ho Jaayein Toh
(Namaz Chhorney Par) Unn Ki Pitaai Karo, Aur Un
Ke Bistar Bhi Alag Kardo”.
-: (Abu Dawood)

» Note : Bistar Alag Karne Ka Hukm Namaz Na
Padhne Par Sazaa Ke Tour Par Nahi Hai Balke Yeh
Ek Mustaqil Hukm Hai.

Zoheb patel — with Mzeeshan Ali and Sumera S. Khan.
Photo: ∗ Apni Aulaad Ko Namaz (Parney) Ka Hukum Do
…..
» Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihi
Wasallam) Ne Farmaaya,
“Apni Aulaad (Sons & Daughters) Ko Namaz
(Parney) Ka Hukm Do, Jab Ke Wo 7 Saal Ke Ho
Jaayein, Aur Jab Wo 10 Saal Ke Ho Jaayein Toh
(Namaz Chhorney Par) Unn Ki Pitaai Karo, Aur Un
Ke Bistar Bhi Alag Kardo”.
-: (Abu Dawood)

» Note : Bistar Alag Karne Ka Hukm Namaz Na
Padhne Par Sazaa Ke Tour Par Nahi Hai Balke Yeh
Ek Mustaqil Hukm Hai.


• Ayatulkursi ki fazilat

Har namaz k baad Ayatulkursi ki tilavat karnewala dusri namaz tak
Rab-e-kareem ki hifazat mein rehta hai.
Aur wafat pate he jannat ki baharo k hawale kar dia jata hai...
Is aayat kareema ko raat ko padhkar sonewala khuda ki hifazat e khas
mein aa jata hai..
Aur subha tak Shaitaan us k kareeb nahin aa sakta.....

(Tafseer e Ashrafi,,,jild 1)


• ★Bismillah hir-Rahman nir-Raheem ★

Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah
Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya

✏"Jisko Ye Baat Pasand Ho Ki Allah Subhanahu Museebat Aur Sakhti Mein
Uski Dua Qubul Karey To Usko Chahiye Ki Raahat ( Khushhali) Ki Halat
Mein Zyada Se Zyada Dua Karey ".

📙Jamia Tirmidhi,Vol 2, 1306 -Hasan
*******************************

Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah
Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hazrat Bilal Radi Allahu Anhu Se Fajar
Ke Waqt Pucha Ki

✏"Eh Bilal ! Mujhe Apna Sabse Zyada Ummed Wala Neik Kaam Batao Jisey
Tumney Islam Laney Ke Baad Kiya Hai Kyunki Mainey Jannat Mein Apney
Aagey Tumharey Juto Ki Chaap (Aawaz) Suni Hai "?

Hazrat Bilal Ne Arz Kiya," Main To Apney Nazdeek Is Sey Zyada Ummed Ka
Koi Kaam Nahi Kiya Ki Jab Mainey Raat Ya Din Mein Kisi Waqt Bhi Wudhu
Karta To Main Us Wudhu Se Nawafil Namaz Padta Rahta Jitni Meri Taqdeer
Mein Likhi Gayee Hai ".

📕Sahih Bukhari, Vol 2, 1149
******************************

Hazrat Tameem Dari Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoolallah
Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya

✏Bandey Se Qayamat Ke Roz Sabse Pahley Namaz Ka Hisab Hoga Agar Uski
Namazein Puri Hongi To Uskey Nawafil Alag Se Likh Diye Jayengey Aur
Agar Usney Namazein Puri Nahi Ki Hongi To ALLAH Taala Apney Farishton
Se Farmayega ,

✏Dekho Kya Mere Bandey Ke Pass Nawafil Hain To Un Nawafil Ke Zariye Jo
Faraaeez Usney Zaya Kar Diye Unki Takmeel Kar Do Phir Baqi Aamal Ka
Hisab Bhi Isi Tarah Hoga.

📘Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426 - Sahih


• Hadees : Ubadah Ibn As-Samit (Radi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Mere Baad Tum Par Aisey Log Hukmaran Hongey Jinki Mashguliyat Unko
Waqt Par Namaz Ki Adayeegi Se Rok Degi Yahan Tak Ki Waqt Nikal Jayega
Isliye Tum Apney Waqt Par Namaz Parhna.
Ek Shaksh Ne Pucha Ki, “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)!
Kya Main Unkey (Jamaat Me Sharik Hokar Dobara) Namaz Parh Lu ? ”
Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Haan Agar Tu Chahey”.
(Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 431)


• «««International Islamic Mission»»»

 Farman About Namaz

Huzur Sallallahu Alahi Wasallam Ne Irshad
Farmaya:

"Qiyamat Me Sabse Pahle Namaz Na Padhne
Walo Ke Munh Kale Kiye Jayenge, Phir Sanpo Ki
Wadi LAM-LAM Me Phenk Diye Jayenge, Waha Ke
Saanp Ounth Jaise Honge, Waha Be'namazi Ko
Dasenge, Unka Zeher 70 Saal Tak Badan Me Josh
Marta Rahega Aur Gosht Gal Jayega"
(Mukashfatul Quloob)

 AllahuAkbar

Aye Allah Hame Namaz Padhne Ki Toufiq Ata Kar
Aur Is Dardnaak Azaab Se Mehfuz Rakhna..

 AaMeeN

 Don't Miss Namaz


• Namaz ke Aadab ¤

Namaz me aasman ki aur mat dekho isse aankho ki roshni ja
sakti hai.
(Bukhari Sharif)
Namaz me idhar udhar dekhna tabahika jariya hai khas taur
par farz namazo me.
(Tirmizi Sharif)
Namaz me idhar udhar dekhna shaitan ke behkane se hota
hai.
(Bukhari Sharif)
Namaz iss tarha padho jaise tum ALLAH ko dekh rahe ho yeh
khayal na kar sako to yeh khayal karo ki ALLAH tumko dekh
raha hai.
(Bukhari Sharif)
Jama'at me shamil hone ke liye itminan se chalo.. bhag kar
na jao chahe rakat chhut jaye.(Bukhari, Muslim Sharif)


• NAMAZ KE MAKRUHAT
= = = = = = = = = = = = =

1.
NAMAZ ME
QASDAN JAMAAHI
LENA,
.
AGAR KHUD HI
JAMAAHI AAJAYE TO
HARJ NAHI
.
2.
JIS KAPDE PAR
JAANDAR KI TASVIR HO
USE PAHEN KAR NAMAZ
PADHNA
.
3.
TASVEER KA NAMAZI KE
SAR PAR
YAANI
CHHAT ME HONA
YA
UPAR LATKI HONA
.
YA
DAAYE BAAYE DEEWAR
ME BANI YA LAGI HONA
.
YA..
AAGE PICHHE
TASVEER KA HONA
.
AGAR JEB YA THAILI ME
TASVEER CHHUPI HUYI
HO TO NAMAZ ME
KARAAHAT NAHI
.
<DURRE
MUKHTAR,
Jild-1,Safa-429 >
.
4.
SAJHDA GAAH SE
KANKARIYA HATAANA,
MAGAR
JAB KI POORE TAUR PAR
SAJDA NA HO SAKTA
HO
TO
EK BAAR HATAA DENE
KI IJAAZAT HAI
.
<AALAMGIRI>
.
5.
KURTA,CHAADAR
MAUJUD HOTE HUYE
SIRF PAJAAMA
YA
TAHBAND PAHEN KAR
NAMAZ PADHNA
.
6.
ULTA KAPDA PAHEN
KAR NAMAZ PADHNA
.
7.
NAMAZ ME KAMAR PAR
HAATH RAKHNA,
.
NAMAZ K ILAAWA BHI
KAMAR PAR HAATH NA
RAKHNA CHAHIYE

Post By
 Sunni Smsgroup

• NAMAZ**

Jab tum namaz k liye khare hote ho to sir se
asman tk
rahmat-e-ELAHI ghata ban k cha jati he,

Farishty tere chehre ki trf jamah ho jate hain

Ek farishta pukarta he k Ay

namazi agr tu dekh ly k tere samny kon hai
or
tu kis se bat kr rha hai to “ALLAH” ki qasam tu qayamt tk salam
na phere.

Plz namaz ki pabandi kijiye,


• -----------{ Namaz Say ye mat Kaho, Mujhe Bahot say kaam Hain }-----------
----------------{ Kaho to kaam say Yehi, Namaz to Namaz hai }----------------
--{ Namaz na padhne k bahane }--
• Aap chale mai aata hu,
• Time hi nahi milta,
• Mai na paak hu,
• Mera mood nahi hai,
• Juma se pakka padhunga,
• Dua me yaad rakhna,
• Dukan koun dekhe ga?
• Allah hidayat hi nahi deta.
Sawal: kya Namaz na padhne k ye bahane kal ko hamen jahannam ki aag se
bacha sakenge? ------------------ Jawab: Nahin ! Har giz Nahin !
Kyun k : Allah subhana wa ta'ala Faramate hai: “ k jab jannati log
jahannamiyo se puchenge k tum ko kis cheez ne jahannam me dala? To wo
kahenge k ham Namaz nahi padhte the.(surah:muddassir, surah no:74,
aayat no:42-43)
Yaad Rakho! Quran ne hamen batadiya ab Faisla hamara hai.
Jahannam ------------------ Ya ------------------ Jannat ?

• ♥♥♥♥♥♥
♥♥♥♥♥♥
Deta Hun sunnio Me
Dawat NAMAZ ki
Taqdir Wale Pate
Hai
Daulat NAMAZ ki
Jis GharMe Log Karte
Hain
Izzat NAMAZ ki
Us Ghar Me Paayi Jati
Hai
Barkat NAMAZ ki
Hota Hai Noor Fajar
Me Rozi Bhi Bat'ti
Hai
Fir Kyu Tumhare Dil
Me Hai
Susti NAMAZ ki
Han ye NAMAZ to
Hai
Islam ki Nishani
Sarkar ne Batayi
Hai
Azmat NAMAZ ki
Hai
Chhodne ki Sazaa to
Badi Kathin
Rehmete KHUDA jo
Chaho Aao
NAMAZ ki taraf
Jo tum
Padho NAMAZ to Fir
Tum'hi Dekhlo
Aulad Me bhi Paoge
Chahat NAMAZ ki

Qayamat Ke Din Logo
Ke Aamal Mein Se Sab
Se Pehle NAMAZ Ka
Hisab Hoga.
#Abu Daood: 866

NAMAZ KI TALEEM
aur
namaz k masail
mobile par free
paane k lie
likhe:

• "Namaz Ki Hadees"
"Namaz Ki Fazilate"
"Namaz Ki Ehmiyat"
.
NAMAZI KE AAGE SE GUZARNEWALA JANTA KE US PAR KYA GUNAH HAI TO ZAMIN
ME DHANS JAANE KO GUZARNE SE BEHTAR JAANTA
(FATAWA-E-AALAMGIRI)
.
JAB BANDA NAMAZ ADA KARTA HAI
TO USKE GUNAH USKE SAR PE RAKH DIYE JATE HAI
JAB WO SAJDA KARTA HAI TO GUNAH GIR JAATE HAI
(MUSNAD-E-IMAAM AHMAD)
.
Jo Shakhs 5Paanch Waqta NAMAZ JAAMAT Ke Sath Ada Kare ALLAH TA'ALA
Usko 70 HAJJ Ka Sawaab Ata Karega.
[TAZKIRATUL WAEZEEN]
.
Jo Shaks Apne Ghar Se Wazu Kar Ke FARZ NAMAZ Ada Karne Ke Liye Masjid Jata Hai
To Usko HAJJ Ke Liye AHRAM Bandhne Wale Ki Tarah Sawab Milta Hai
(Abu Dawood)
.
Agar Log Jaan Le Ke Isha Aur Fajr Ki NAMAZ Ki Kitni Fazilat Hai
To Wo Zarur Usme Sharik Ho Agarche Unhe Ghasit-Ghasit Kar Aana Pade
(Bukhari)
.
"ALLAH ke nazdeek jaldi wo DUA Qubul hoti he jo sajde me kee jaye
Isliye DUA SAJDE me kiye karo"
(Muslim)
.
"DAURTE HUE NAMAZ KO JAANA MAKROOH HAI."
(RADDUL MUHTAAR)
.
"JALTI HUI AAG KE
SAMNE NAMAZ PADHNA MAKROOG HAI
LEKIN
CHARAG YA LALTEN KE SAMNE NAMAZ PADHNE ME KOI KARAAHAT NAHI."
(DURR-E-MUKHTAR
J:1 S:438)
.
"JO SHAKHS 5 WAQT PAABANDI KE SAATH NAMAZ ADA KARTA HAI
QAYAMAT KE DIN USKI NAMAZ
USKI MUHAAFIZ AUR
NIGEHBAAN HOGI"
(SarkaR KHWAJA GARIB NAWAZ)
.
"NAMAZ TARIKA-E-AMBIYA-E-SAABEKIN HAI
NAMAZ MA'REFAT-E ILAAHI KA NOOR HAI
NAMAZ ISLAM KI JAD HAI
FARISHTO KI MUHABBAT KA WASILA HAI"
.
NAMAZ QABR KA BICHHAUNA
NAMAZ MUNKAR-NAKIR KO QABR ME MURDE KI TARAF SE JAWAB DEGI
.
NAMAZ QABR ME QAYAMAT TAK MURDE KI MADADGAR BANI RAHEGI
.
"NAMAZ ME BAGAIR UJR HATH SE MAKKHI,MACHHAR
UDAANA MAKROOH HAI."
(FATAWA-E-AALAMGIRI JILD-1 SAFA-102)
.
MAS'ALA:
"NAMAZ ME TOPI GIR PADI TO EK HATH SE UTHA KAR SAR PAR RAKH LENA BEHTAR HAI
AUR
AGAR BAAR BAAR GIR PADTI HO TONA UTHANA ACHHA HAI."
.
SUSTI SE NANGE SAR NAMAZ PADHNA YANI TOPI SE BOJ MALUM HOTA HAI
YA GARMI LAGTI HAI
IS WAJAH SE TO YE MAKRUH-E-TANJIHI HAI
(RADUL MUHTAR)
.
NAMAZ KO HAQEER KHYAL KARKE NANGE SAR PADHE
JAISE NAMAZ KOI SHANDAR CHEEZ NAHI KI TOPI KA EHTEMAM KIYA JAYE TO YE KUFRA HAI
(RADUL MUHTAR Jild:1 Safa:431)
.
MAKRUHAAT:
KAPDE YA BADAN YA DAADHI MOOCHH SE KHELNA
SAJDE ME JAATE WAQT AAGE YA PEECHHE SE DAMAN YA CHADAR YA TAHBAND UTHA LENA
KAPDA LATKAANA YAANI SAR
YA
KANDHE PAR KAPDA,CHADAR WAGAIRAH IS TARAH DAALNA KI DONO KINARE LATAKTE HO.
(RADUL MUKHTAR Jild-1 Safa-429)
.
NAMAZ KE MAKRUHAT:
KISI EK AASTIN KO AADHI KALAEE SEZYADA CHADHANA
DAAMAN SAMET KAR NAMAZ PADHNA
IDHAR UDHAR MUH FER KAR DEKHNA
(RADUL MUKHTAR)
.
NAMAZ KE MAKRUHAAT:
ATTAHIYYAT ME YA DONO SAJDO KEDARMIYAN
DONO HAATHO KO RAAN PAR RAKHNE KI BAJAAY ZAMEEN PAR RAKH KAR BAITHANA.
[AALAMGIRI J-1,S-99]
.
NAMAZ KE MAKRUHAAT:
-UNGLIYA CHATKHANA
-AASMAN KI TARAF NIGAAH UTHANA
-MARD KA SAJDE ME KALAAIYO KO ZAMEEN PAR BICHAANA.
MAKRUHAAT:
-NAMAZ ME BILA UJR PAALTI MAAR KAR BAITHNA
-NAMAZ ME DAAYE BAAYE JOOMNA
-ULTA QUR'AN MAJEED PADHNA
(DURR-E-MUKHTAR J-1,S -429)
.
NAMAZ KE MAKRUHAAT:
NAMAZ ME KAMAR PAR HAATH RAKHNA..
NAMAZ KE ILAAWA BHI KAMAR PAR HAATH NA RAKHNA CHAHIYE
YE TAMAM BAATE MAKRUH-e
TAHRIMI HAI
AGAR NAMAZ ME YE MAKRUHAAT HO JAAYE
TO
USKO DOHRA LENA CHAHIYE.
(DURR-E-MUKHTAR JILD-1, SAFA-429)
.
NAMAZ TOD DENE KE AA'ZAR:
(YANI KIN KIN SOORTO ME NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI):
-KOI DUB RAHA HO YA
-AAG SE JAL JAYEGA
YA
ANDHA KUE ME GIR PADEGA
AUR YE USKO BACHANE KI QUDRAT RAKHTA HO
TO
US PAR WAJIB HAI KI NAMAZ TOD KAR USKI MADAD KE LIYE DAUD PADE
(RADDUL MUHTAR JILD-1,SAFA-440)
.
IN SOORTO ME NAMAZI PAR WAJIB HAI
KI
NAMAZ TOD KAR UN LOGO KO BACHAE
YUHI AGAR KOI KISI KO QATL KAR RAHA HO
&
WO FARIYAD KAR RAHA HO
SAAMP WAGAIRAH MAAR NE KE LIYEJAB KI
KAAT LENE KA SAHI DAR HO TO NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI.
(DURR-E-MUKHTAR SAFA:440)
.
PESHAB PAAKHANA QABU SE BAAHAR MALUM HUA
YA
APNE KAPDE PAR ITNI KAM NAJAASAT DEKHI
JITNI NAJAASAT KE HOTE HUE NAMAZ HO SAKTI HAI.
YA NAMAZI KO KISI AJNABI AURAT NE CHHU DIYA
TO
IN TEENO SOORTO ME NAMAZ TOD DENA MUSTAHAB HAI
(DURR MUKHTAR
&
RADDUL MUHTAR J-1, S-440)
.
APNE YA KISI KE 1 DIRHAM KE NUQSAN KA DAR HO
JAISE DOODH UBAL JAEGA
YA
GOSHT TARKARI JAL JANE KA DAR HO
TO
IN SOORTO ME NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI
ISI TARAH 1 DIRHAM KI KOI CHEEZ CHOR LE BHAAGA..
TO NAMAZ TOD KAR USKO PAKADNEKI IJAAZAT HAI.
(DURR-E-MUKHTAR JILD:1 SAFA:440)

No comments:

Post a Comment