Sunday, 5 January 2014

Knowledge C

• Yaad Rakhne Ki Baate
==================
*Agar Ibaadt Nahi kar Sakte To Gunah Bhi Na Karo.
*Duniya Ye Nahi Dekhti Ke Tum Pehle kya The Bal'ke Ye Dekhti He Ke Tum
Ab Kya Ho.
*Jahan Apni Baat Ki Qadar Na Ho Waha Chup Rahna Hi Behter hai.

Hazrat Ali (radi allahu anhu)


• Paani Pilane Ka Sawaab
=======================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaih Wasallam) Ne Farmaya -
“Ek Kutta (Dog) Kuve (well) Ke Aas-Paas Ghum Raha Tha Aur Pyas Ki
wajah Se Marne wala tha, usi time 'Bani-Israiel' Ki Ek Zaniya Aurat
(adultory karne waali) Ne Iss Ko Dekh Kar Apna Juta (shoe) Utaar Kar
Kuve Se Paani nikaal Kar Uss Ko Pila Diya, Allah Ne iske badle us
Aurat Ki ke gunaho ko maaf kar diya.
-:(Sahih Muslim Book 026, Hadith-557)

Bhaiyo-bahno, iska matlab ye hai ke islam mein zina (adultory) ko
bahut bada gunah maana jata hai lekin ek aurat jo zinaakaar thi, uske
baawajud bhi Allah ne usko isliye maaf kar diya kyonke usne ek pyas se
mar rahe kutte ko paani pila diya tha. Allah khud bahut raham karne
wala hai aur jo dusro par raham karta hai usko pasand karta hai.

Isliye kisi be-gunah ki jaan bacha lena bhi sawab ka kaam hai, chahe
wo jaanwar ho ya insan, aur kisi ko paani pila dena bhi sawab ka kaam
hai chahe wo jaanwar ho ya insan.




• Islam Ki 5 Buniyadi (basic) Baatein
============================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke islam ki
buniyaad 5 baaton par hai
(1) Kalma - Matlab ye sacche dil se maanna ki Allah hi ibadat ke layak
hai aur Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Allah ke rasul
(eeshdoot) hain
(2) Namaz - Din mein 5 time ki namaz padhna
(namaz Allah ki ibadat ka ek tarika hai)
(3) Roza - Ramzan mahine ke pure roze (fast) rakhna,
ye bhi Allah ki ibadat ka ek tarika hai
(4) Zakat - Hamari Halal kamai se har saal hamari extra income ka kam
se kam 2.5% garibo ko dena
(5) Haj - Apni halal kamai se zindagi mein kam se kam 1 baar haj karna.

Ye sab baaten ‘Farz’ hain yaani ye Allah ka hukm hain, In sab kaamo ko
karna bahut zauri hai, agar nahi kiya to gunah hoga, upar ki 1,2,3
waali baat to har ameer aur gareeb ko karna hai, lekin 4,5 waali baat
sirf unke liye hai jinke pass iske liye zaruri rupye ho, Garibo par
4-5 waali baat ka bhoj nahi daala gaya, ye unko maaf hai. Lekin agar
unke pass paisa aa jaaye to phir ye kaam karna zaruri ho jaayega.

Ye 5 baate to buniyaadi (basic) baatein hain, yahi pura islam nahi
hain. Lekin ek muslim ko kam se kam in sab baaton ko maanna bahut
zaruri hai.

Ramzan jald hi aa rahe hain, isliye ramzan ke pure roze rakhiye, kuch
bahana mat banaiye. Kyonki bahano se insan ko samjhaya ja sakta hai
lekin Allah to dil ke haal aur niyat bhi jaanta hai, Agar kisi ne
ramzan ka ek roza kaza kar diya (chhod diya) aur wo us roze ke badle
zindagi bhar (ramzan ke alawa) roza rakhte rahe to us roze ke sawab ki
barabri nahi kar sakta.

Isliye rozo ki keemat samajhiye. Ramzan ke roze ‘farz’ hain yaani inko
rakhna zaruri hai aur na rakhne wala gunahgaar hoga. Agar koi islam ki
buniyaadi baato ko hi nahi maanega to sochiye, islam mein uski kya
jagah hai.

Allah hum sabko ramzan ke pure roze rakhne ki taufik ata kare. Aameen.


• Padosi (neighbor) Kisi Bhi Mazhab Ka Ho, Uska Khyal Rakho
==============================
Islam mein apne padosi ka bahut khyal rakhne ka hukm diya gaya hai,
humko ye dhyan rakhna chahiye ke humse usko kisi tarah ki takleef na
pahuche.

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke -
Wo insan muslim nahi ho sakta -
(1) Jiska (koi garib padosi) bhooka so jaaye, aur usko apne padosi ki
fikar na ho aur wo khud bhar pet kha kar so jaaye.
(2) Jiski wajah se uska padosi dara hua, ya pareshaan rahta ho.

Ek jagah ye bhi bataya gaya hai ke - Agar tumhara padoshi garib ho to,
fruits/dry fruits kha kar uske chhilke (skin) bahar khule mein na feka
karo, kahi aesa na ho ke garib padosi ke bacche usko dekh kar dukhi
(gam-geen) ho jaaye.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.


• Safed Balo Ka Na Todo
====================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne SAFED BALON KO NOCHNE SE
MANA FARMAYA HAI AUR FARMAYA KE YE BUDHAPA MUSALMAN KA NOOR HAI.

{TIRMIZI : 2821}




• Aap Bahut Kismat Waale Ho
=================
Bahut se logo ko kehte suna hoga ke hamari kismat bahut kharab hai,
lekin kabhi in baato par gaur karoge to samajh mein aaega ki aap kitne
kismat waale ho.

1) Aap us NABI (hazrat Muhammad sallallahu alyhiwasallam) ke ummati
(follower) ho jo ALLAH ke sab se pyare hain.

2) Aap us NABI ke ummati ho jo saare NABIYO ke sardar hain.

3) Aap us NABI ke ummati ho jin ke ummati hone ki tamanna dusre nabiyo
ne bhi ki thi, jisme se sirf Isa (alyhissalam) ki dua kubul hui.

4) Aap us NABI ke ummati ho jin par ALLAH ne saare kamalat ki intaha kardi

5) Aap us NABI ke ummati ho jin ke liye ALLAH ne ye saari duniya, kaenaat banai.

6) Aap us NABI ke ummati ho jin ki ummat sabse pahle jannat mein jaaegi.

Aur ye list bahut lambi hai..............

Bhaiyo-bahno, tum apni koshish se Muslim maa-baap ke yaha peda nahi
hue, tum apni koshish se hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki
ummat mein peda nahi hue, ye to Allah ka hum par karam hai jo humko
itni badi daulat se nawaz, isliye in baato ko liye Allah ka shukr
kijiye.

Ae Allah tera karodo baar shukr hai, Ae Allah tune humko imaan waala
peda kiya, aur hamara khaatma bhi imaan par hi karna. Aameen.



• Dusre Ke Maa-Baap Ko Gaali Dena Aesa Hai Jese
Apne Maa-Baap Ko Gaali Dena.
===========================
Hazrat Muhammad (SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM) ne farmaya ki
Kabira (bade) gunaho mein ye bhi hai ke koi shakhs
apne maa-baap ko gaali de. Sahaba (radi allahu anh) ne arz kiya "Ya
RASOOL ALLAH, kya koi apne maa-baap ko bhi gaali deta
hai? Aapne farmaya: haa jabki wo kisi dusre ko maa-baap ki gaali de
aur jawab mein wo uske maa-baap ko gaali de. matlab usne khud hi apne
maa-baap ko gaali di.
(Mishkat Sharif)

Bhaiyo-bahno, iska matlab ye hua ke agar hum kisi dusre ko maa-baap ki
gaali denge to wo bhi jawab mein humko maa-baap ki gaali dega, kyonke
hamari wajah se hi hamare maa-baap ko gaali mili, isliye ye aesa hi
hai jese humne hi hamare maa-baap ko gaali dilwai (ya humne khud
baki).

Wese bhi islam mein dusro ko gaali bakna mana hai, aur ek gunah hai,
isliye agar koi dusra bhi gaali bakne ki shuruaat kare to hum waha se
chale jaaen, usse aage baat na karen. Sabar karne walo ke saath Allah
hota hai.

Allah hum sabko gaali bakne se bachae, Aameen.



• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki humse Mohabbat
=========================
Ek din Israel (alyhissalam) (maut ke farishte) se HAZOOR Hazrat
Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) "Ay Israel tum Jism se Rooh kese
nikalte ho"?
Iszrail A.S: "Jab kisi bareek kapde ko kanto par daal kar kheencha
jaae jitni mushkil se wo nikalta hai usse bhi zyada takleef se mein
rooh nikalta hoon. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne rote
hue farmaya ke 'Israeel tum saari jaano ki takleef mujhe de do
magar meri Ummat ko chhod dena'

Aese pyare NABI ki sunnate hum yeh keh kar chhod de ke "sunnat he,
farz to nahi". Sharam se doob marne ka muqaam nahi hamare liye???

Allah hum sabko sunnato par amal ki taufik ata kare, Aameen.



• Ek Hakikat
================
Duniya naseeb se milti hai aur aakherat mehnat se lekin hum mehnat
duniya ke liye karte hai aur aakherat ko naseeb par chhod dete hain.

Bhaiyo-bahno, aakherat ke liye mehnat karo, kyonke 1 hi zindagi uski
tayyari ke liye di gai hai aur uska bhi bharosa nahi ke wo kab khatam
ho jaae, isliye kal se nahi balke aaj se hi uski tayyari karo.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.



• Khana Khane Ka Islami Tarika
===========================
(1) Khane Se Pahle Haath Dhoiye.
(2) Khana Shuru karne se pahle - :
BISMILLAHI WA ALA BARAKAT-ILLAH (ye thodi zor se padhen taake agar
kisi dusra bhool raha ho to usko bhi yaad aa jaae)
(3) Agar shuru ki dua padhna bhool jaaen aur beech mein yaad aae to ye
padhiye " Bismillahi awwaluhu wa akhiruhu"
(2) Agar ek plate mein zyada log kha rahe hain to apne saamne se khaiye.
(4) Khane Ke Beech mein duniya ki baate na karen
(5) Allah ka zikr karte hue khaaen
(6) Bhook Se Kam Khaen
(7) Khana Khate Hi Paani Na Piyen, 1 ghanta baad paani piye.
(8) KHANE KE BAAD KI DUA padhen. "ALHAM DO LILLAH HILLA - THEE AT
AMANA WA SAQUANA WAJA ALANA MINAL MUSLIMEEN ,

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke -
(1) Jo insan Dastarkhwan se Khane ke Gire hue Tukde Utha kar khaega Wo
Kabhi TangDast (garib) nahi rahega, Aur Us ki Olad aur Olad ki Olad
Kam-Aqli se bachi rahegi.
*Dastarkhwan us kapde ko kahte hain jis par khana rakh kar khaya jata hai.

(2) Luqma neeche Gir jaae To Usko Saaf karke kha liya jaae, usko
Shetan k liye na chhodo.
Iska matlab ye hai ke khane ki cheez ka tukda agar neeche (saaf jagah)
gir jaae to usko utha kar kha liya karo, kyonke agar tumne wo nahi
khaya to usko shaitan kha lega.

Aur buzurgo se ye bhi suna hai ke jo khaate time anaj ka daana neeche
girta hai, hakeekat mein wo shaitan girata hai kyonke us daane mein
barkat hoti hai. Aur ye bhi ke dastarkhwan par gira hua khana khana
bimariyo ke liye shifa hai. Lekin iska dhyan rakhe ke apne saamne ka
gira hua hi khaen, dusre ke saamne ka nahi, kyonke humko pata nahi ke
wo khana gira hai ya usne kisi wajah se muh se nikal kar rakha hai.

Isi tarah aksar dekhne mein aata hai ke hum hamare khane ke plate mein
bahut sa khana chhod dete hain, lekin isse bachna chahiye, isliye
jitna khana ho utna hi plate mein nikalo, aur plate puri saaf karo,
usme shaitan ke liye khana na chhodo.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.


• Allah Se Baat Karo Aur Allah Ki Baat Suno
===================
Hazrat Ali (radi allahu anhu) ne farmaya ke "Jab mera dil chata he ke
mein ALLAH se baat karu to mein Namaz padhta hu aur jab mera dil chata
he ke ALLAH mujhse baat kare to mein Quran padhta hu


• Apna Muh Kaaba Ki Taraf Na Karo Jab.....
=============================
1. Jab ghusal karne lago.
2. Jab peshab kar raho ho ya latrine mein bethe ho
3. Jab thukne (spit) lago.
4. Jab naak saaf krne lago....
5. Apne per bhi us taraf lambe mat karo......

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.


• Agar kisi ko kisi se pyar ho jaaye to
-----------------------------------------
Islam mein kisi anjan ladki ko ghoorna, phone par ya saamne romantic
baat karna, milna, gift dena, kiss karna, ishare karna (yaani usse
affair karna ya usko pareshan karna ya usse friendship karne ki
koshish karna) sab mana hai. Yeh sab gunah ka kaam hai aur Islam mein
mana hai. Koi bhi ladki tab tak haram hoti hai, jab tak ki us ladki se
aapki shadi na ho jaae. Bhale hi agar usse aapki mangni (engagment) ho
gai ho to bhi ye sab kaam gunah hai, Jab shadi ho jaae to sab halal ho
jaata hai.
Lekin ab kisi se pyar ho hi gaya hai to usko dil mein rakho aur Allah
se dua karo ki Allah meri isse shadi karwa de. Uske yaha shadi ke liye
rishta bhejo. Lekin ladki ko shadi se pehle dekhna, phone par ya
saamne baat karna, milna, gift dena, kiss karna, ishare karna sab mana
hai.---------------------------------

Islam mein kisi jawan ladki ka ek ajnabi ladke se bagher kisi zaruri
kaam ke baat karna mana hai (baat bhi kare to akele mein na kare,
koshish kare ki parde ki aad mein se kare. Hamare Sahabiyat aur Hamari
Maa (Hazrat Muhammad Sallallahu alyhiwasallam ki biwiya) se zyada paak
daaman aur imaan wali kaun ho sakta hai. Lekin Allah ne Hazrat
Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ko dusre logo ko yahi baat batane
ko kaha ki ek baligh ladka aur baligh ladki apas mein mulakat na kare.

Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke kisi bhi
ladke ki ek ladki par anchahe mein nazar padhti hai to woh nazar maaf
hai, lekin jaan karke kisi ladki ko dekhna gunah hai.

Ek baar ek sahabi jo ki naabina (blind) the, Hazrat Muhammad
(Sallallahu alyhiwasallam) se milne ke liye aae. Hazrat Muhammad
(Sallallahu alyhiwasallam) ne apni biwi se farmaya ki aap parde ke
peeche chale jaiye, unhone pucha ki ye to naabina (blind) hain, Hazrat
Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ne jawab diya ki ye naabina
(blind) hai to kya hua, aap to aankh waali hain.

Kuch log yeh samajhte hain ki ladki ko hi parda karna hai, lekin islam
mein ladko ko bhi apni aankho ko gunah se bachane ko kaha gaya hai ki
tum bhi kisi lakdi ko na dekho.


• Mera Jeena Mera Marna Allah Hi Ke Liye
==========================
Quran Mein Allah ne hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) se
farmaya ke : aap farma dijiye ke beshak meri namaz aur meri har
ibadat, mera jeena aur mera marna, sab kuch Allah hi ke liye hai jo
saare jahaan ka paalne wala hai.
(surah-ana'am 165)

Allah hum sabko bhi amal ki taufik ata kare, Aameen.


• Jab Shaam Ka Andhera Hone Lage To
Apne Baccho Ko Gharo Ke Andar Kar Lo
===========================
Jab Shaam Ka Andhera (Maghrib) Hone Lage To Apne Baccho Ko
Ghar Mein Roke Rakho Kyonke Uss time Shaitaan nikalte hain.
(Bukhari Sharif)

Pahle ke log shaam ko andhera hone se pahle apne baccho, jaanwaro ko
ghar ke andar kar liya karte the, uski wajah yahi thi ki is time
shayateen nikalte hain, aese mein baccho, jaanwaro ko kuch bhi takleef
ho sakti hai, isliye is time baccho ko bahar nahi khelne dena chahiye.


• Apni Zuban Kaabu Mein Rakho
===================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
APNI ZUBAN QAABU ME RAKHO; AUR APNE GUNAHO PAR ROYA KARO ISI ME NIJAT
(Allah ki maafi) HAI

TIRMIZI SHRIF ...J.4


• Jab "BISMILLAH" Nazil Hui To Badal Mashriq ki Simt Doray,
Hawaen Sakin Hogaen, Samandar Josh Me Agaya,
Shaitano ko Asmano Se Pathar Mare Gae,
Or
ALLAH PAK Ne Farmaya:
"Muje Meri Izzat-0-Jalal ki Qasam! Jis Jaaiz Cheez Pe
"BISMILLAH"
Parhi Gayi Mai us Me Barkat Donga..!!

"SUB'HAN ALLAH"


• Imaan Kya Hai.
=====================
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Se Kisi Ne Sawaal Kiya Ke
IMAAN KYA HE???? To Aap (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke Jab
Tum Ko Apne Acche Kaam Se Khushi Ho or
Apne Kharab Kaam Par Ranj aur Gam Ho To Samjho Ke Tum Momin Ho.

Ref. Mustadrak e Hakim.


• Maal - Daulat Se Allah Exam Leta hai
===================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke -
Beshak Har Ummat Ke Liye Ek Fitna or Aazmaish Ki Cheez He or
Meri Ummat Ka Fitna or Aazmaish Ki Cheez MAAL He

Bhaiyo-bahno, Agr Maal Sahi Jagah Se Kamaya or Sahi Jagah Istimaal
Kiya To Ye Ne'mat He Warna Wabaal or Fitna He. Allah Hame Halaal Rozi
Ata Farmaye or Sahi Jagah Istimaal Ki Taufeeq De.

AAMIN SUMMA AAMIN


• Sadqa (donation)
=======================
Hum samajhte hain ke kisi garib ko kuch paise de dena sadqa hai, lekin
sadqa paise ke alawa aur bhi kai cheezo se hota hai.

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ne farmaya ke -
* Apne Kisi Bhai Ke Saamne (Khushi Se) Tumhara Muskura Dena Ye Bhi Sadqa Hai.
* Aur Kisi Ko Achhi Baat Ka Hukm Dena Aur Buri Baat Se Rokna Ye Bhi Sadqa Hai,
* Aur Kisi Bhatake Hue Ko Raasta Bata Dena Ye Bhi Sadqa Hai,
* Aur Kisi Andhe Ki Madad Kar Dena Ye Bhi Sadqa Hai,
* Aur Raaste Se Patthar Aur Kaanta Aur Haddi Hata Dena Ye Bhi Sadqa Hai
* Aur Apne bartan mein Se Apne Bhai Ke bartan Me Paani Daal Dena Ye
Bhi Sadqa Hai.

Matlab Ye Hai Ke In Sab Kaamo Par Sadqe Dene Ka Sawaab Milta Hai.
[Mishkaat J.1, S.169]

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.



• Jannat Mein Darakht (trees) lagao
============================
Hazrat Abu Huraira (radi Allahu anhu) Se Riwayat he Ke Wo Ek Darakht
Laga Rahe The Itne Me Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Un
Ke Paas Se Guzre To aap (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke "Aye
Abu Huraira, Kis Ke Liye Darakht Laga Rahe
Ho????? Hazrat Abu Huraira (radi Allahu anhu) Ne Jawab Diya Ke
Apne Liye Darakht Laga Raha Hu, To aap (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne
Farmaya Ke "Kya Mein Tumhe Is Se Accha Darakht Na Batau???? To Hazrat
Abu Huraira (radi allahnu anhu) Ne Arz Kiya Ke "Aye Allah Ke Rasul, Q
Nahi Zaroor Batlaiye, To Aap aap (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne
Farmaya ke
Kaho "Subhanallah (Allah Paak He)
Allhamdulillah (Sab Tareef Allah Ke Liye hain)
Laailaah Illallaho (Allah Ke Siwa Koi ibadat ke layak nahi)
Allaho Akbar (Allah Sab Se Bada Hai)

Ye Kehne Par Tumhare Liye Har Kalme Ke Badle Mein Jannat Mein Ek
Darakh Lagaya Jayega

Ref. Ibn e Majah

Allah hum sabko amal ki taufik de Aameen.


• Halal Kamai (income) ke faide
==========================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne
Farmaya Ke, “Jo Shakhs Iss Liye Halaal Kamaai Karta Hai Ke Sawaal
Karne (dusro se maangne) Se Bache, apni family Ke Liye (zaruri
saamana) Kuch Hasail Kare Aur Padosi Ke Saath acche se rahe To Wo
Qayamat Me Iss Taraah Aaega Ke uska Chehra chaudhvin Ka Chand Ki Tarah
Chamakta Hoga”.
-: (Shoabul Emaan, Jild 7, Page No. 298, Hadees No. 10375)



• Kismat Ka Rizq (income) mil kar rahega
==========================
"Rizq (Income) Ke Kam Milne Ki Shikaayat Na Karo, Beshak Us Waqt Tak
Kisi Shakhs Ko Maut Nahi Aati Jab Tak Ki Use Uska Pura Rizq Na Mil
Jaaye."
[Al-Bayhaqi]

Note: Yaani Jitna ALLAH Ne Aapki Kismat Me Rizq Likh Diya Hai,
Aapko Marne Se Pahle Pura Rizq Mil Kar Rahega. Aur Allah se kam rizq
ki shikayat bhi na karo, ha apne rizq ke liye dua zarur karna chahiye.



• Gunah Aur Tauba (Allah se maafi)
=====================
3 kaam insan karta hai aur nuksaan mein rahta hai.

1-Tauba Ki Ummid Pe Gunah karna-
Matlab insan ye sochta hai ke abhi to gunah kar lo phir Allah se maafi
maang lenge.

2-Zindagi Ki Ummid Pe Tauba Na Kerna -
Matlab insan ye sochta hai ke abhi tauba kyo kare kyonke ho sakta hai
phir gunah ho jaaega, isliye budhape mein ek saath hi tauba kar lenge,
lekin usko ye maalum bhi nahi hota ke wo kal tab bhi jiyega ya nahi.

3-Aur Tauba Kiye Bagair DUNIA se Ruksath ho Jana -
Insan sochta rahta hai ke tauba kar lenge, kar lenge abhi to bahut
zindagi bachi hai aur achanak uski maut aa jaati hai aur usko tauba ka
mauka bhi nahi mil paata.

isliye bhaiyo-bahno pahle to koshish karo ke koi gunah hone hi na
paae, aur agar ho jaae to foran Allah se tauba karo. aur us gunah ko
aainda na karne ka pakka irada karo. Kyonke humko pata nahi ki hamari
zindagi kitni bachi hai.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare.


• Allah Ke Nazdee Izzat Wala Kaun?
=====================
Hazrat Musa (Kalimullah Alaihi Salam) Ne Allah se pucha ke, “Aey RAB!
Tere Nazdeek Kaun Sa Banda Zyada Izzat Wala Hai ?”
ALLAH Ne Farmaya, “Wo Jo Badla Lene Ki taakat rakhta ho lekin phir bhi
apne dushman ko maaf kar de".


• Allah ke liye Ek Dusre Se Acche Raho
===========================
Hazrat Muhammad (sallallahu AlaihiWasallam) Ne Farmaya”
Allah Ke Kuch Bande Aise honge Jo Na To Nabi honge Aur Na Hi Shaheed
Lekin Qayamat Ke Din Allah Ki Taraf Se Unn Ko Milne Waale Rutbe Par
Ambiya Aur Shohda Bhi Rashk Karenge, Yeh Wo Log Hai Jo Baghair Kisi
Rishta-Dari Aur Lain-Dain Ke Sirf Allah Ki khushi Ke Liye Ek Dusre Se
Mohabbat Karenge, Un Ke Chehre Roshan Honge Aur Wo Noor Ke Mimbaron
Par bethe Honge”
-: (Abu Dawood, Hadis # 3527, Page # 1485)

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.



• JaanKaari
================
1. Tauret Shareef Suryani Zaban Me Nazil Huvi.
2. Zaboor Shareef Ibrani Zaban Me Nazil Huvi.
3. Injil Ibrani Zaban Me Nazil Huvi.
4. Sab Se Pehli Azan Fajr Ki Hui.
5. Azan Ki Shuru'at Hijri san 1 Me Hui.
6. Azan Ke Liye Sab Se Pehle Minaar Ka Bandh Kaam Karvane Wale Shakhs
Hazrat Ameer Mu'aaviyah Radiyallahu Ta'ala Anhu Hai.
7. Sab Se Zyadah Hadeese Rivayat Karne Wale Sahabi Hazrat Abu Huraira
RAdiyallahu Ta'ala Anhu Hai.


• Jaandaar Ki Tasveer Banana
=============================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya: Jisne aesa
khwaab sunaya jo usne nahi dekha to Allah use jow ke 2 daanon me
(Qayamat ke din) gaanth (Knot) lagaane ko kahega, lekin wo aesa nahi
kar sakega (Isliye saza pata rahega) aur jo logon ki baatein sunne ke
liye kaan lagaata hai, haalaaki log use pasand nahi karte aur usse
door bhaagte hain, to qayamat ke din aese shakhs ke kaano me sheesha
pighla kar daala jaayega. Aur jo tasveer banaata hai, use azaab diya
jaayega aur saath hi us tasveer me jaan daalne ke liye bhi kaha
jaayega, lekin wo jaan na daal sakega.
Sahih Al-Bukhari(Hadees no.7042)

Allah humko in gunaho se bachahe, Aameen.



• Allah Ko Mana Lo
==================
Bachcha Dunia Mein Sirf 1 Hunar Le KAr Aata He, Wo Hunar Hai "RONA"
Iske siva Use Kuch Nahi Aata, Wo Us 1 Hunar Se Apni Maa Se Sb Kam Kara
Leta He, Is Liye Apne RAB k Saamne "RONA" Sikho
aur Apne"RAB" Ko Mana Lo, Beshak hamara Parwardigar 70
Maaon Se Zyada Pyar Karne Wala Hai..



• Jab tak Saans hai Tab tak Chance Hai
=============================
★ Zindagi baraf ki tarah hai Naik kamo main Guzaren warna pighal to
rahi hai khatam bhi ho jaaegi.
★ Har kaam soch samajh kar karo kyonke har kaam ke andar us ka anjam
yun chupa hota hai jaise Beej k andar Darakht.
★ Kabhi bhi kisi ko nichi nazar se mat daikho kyun k tumhari jo
haisiyat hai, ye tumhari qabiliyat nahi balke Allah ka tum pe karam
hai.
★ Us insan par Bharosa karo jo tumhari teen batain jaan sake:
Muskurahat k piche dukh, Gusse k piche pyar, Chup rahne k piche wajeh.
★ Sajda-e-Ishq ho to Ibadat me Maza aata hai, Khali sajdon main to
Duniya hi basa karti hai,
★ Log kehte hai k bus Farz ada karna hai, Aisa lagta hai koi Qarz liya
ho Rab se,



• Maa-Baap Ka Dil Na Dukhana
=================
MAA BAAP Ke Liye dusro Ko Chhodh Dena Lekin dusro Ke Lye Maa Baap Ko
Mat Chhodhna kyonke Jab Maa Baap rote hain to Farishton
ko bhi rona aa jata hai

Dozakh ne kaha "MAA" wo hasti hai jo Gunahgar aulad ko bhi Dozakh se
bacha leti hai"

"JANNAT" ne kaha "MAA" wo hasti hai jo mujhko bhi apne kadmo ke niche
rakhti hai"

"ALLAH" ne farmaya MAA Jannat hai aur BAAP Jannat ke Beech ka
Darwaza hjai isliye apne maa baap ka dil kabhi mat dukhana..?

Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ne farmaya ke maa ke per ke
neeche jannat hai, yaani agar maa ki khidmat karoge, aur unko khush
rakhoge to Allah khush hoga aur tumko jannat milegi.

Jab koi insan apne maa-baap ka dil dukhata hai to Allah ka arsh (jis
takht par Allah betha hai) hil jata hai yaani Allah ko gussa aa jaata
hai.

Kisi ne Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) se poocha ke mein
sabse zyada accha suluk kiske saath karu, aapne jawab diya tumhari maa
se, unhone poocha phir kon, phir jawab mila tumhari maa, unhone poocha
phir kon, phir jawab mila tumhari maa, unhone poocha phir kon, jawab
mila tumhara baap.

Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab ye
hai ke) agar meri maa zinda hoti aur mein namaz padhna shuru kar deta
is beech mujhe meri maa kisi kaam se pukar leti to mein apni namaz
chhod kar unki baat sunne chale jaata.

Hazrat Muhammad (salllalahy alyhiwasallam) ne farmaya ke tumhari khala
(mosi) se bhi utni hi mohabbat aur izzat kiya karo jitna apni maa se
karte ho.

Maa ki dua aur baddua dono Allah bahut jaldi sunta hai.
Jis insan se uska baap naraz hota hai usse Allah bhi naraz hota hai.

Allah hum sabko apne maa-baap se sacchi mohabbat, unki khidmat karne
wala bana de, Aameen.


• Kaun Kaamyaab Hoga
================
Allah quran mein farmata hai ke -
"Aur Tumhe Aesa Maahaul Ikhtiyar Kar Lena Chahiye, Jo Neki Ki taraf
bulae aur Bhalai Ka Hukm De, Aur Burayion Se Roke,
Jo Log Ye Kaam Karenge Wohi Kamyab Hone Wale Hain.
(Ref: Surah Al-Imran, Aayat-104)

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, Aameen.


• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam)
ke Bete aur Betiya
=========================
3 Bete -
(Jinka kam umar mein hi intekaal ho gaya tha)
1 - Qasim
2 - Abdullah
3 - Ibrahim

4 Betiya
1 - Zainab
2 - Ruqayya
3 - Umm Kulsum


• Chughli (tattle) Karne Ka Gunah
======================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Allah Ke Bando Mein Sabse bura Wo hai Jo Chugliyan Karta hai Aur
(Uske) Doston Me Judaai daalta Hai”.
(Baihaqi Sharif)

Allah hum sabko is gunah se bachae. Aameen.


• Kisi Ke Ghar Jaane Ka Islami Tarika
=========================
Quran Mein Allah farmata hai -
Aye Iman Walon! Apne Gharo ke Siwa Aur Gharon me Na Jao Jab tak k
Ijazat Na le lo Aur Wahan ke Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi
Tumhare Liye sara-sar Behtar hai taake Tum Nasihat Hasil Karo. Agar
wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na
Jao, Aur Agar Tum se wapas jaane ko Kaha Jaae to tum Laut hi Jao, Yahi
Baat tumhare liye Pakiza Hai, Jo kuch tum Kar rahe ho Allah Khoob
Janta hai.
(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:27-28)

Quran ki is baat se humko kuch baate pata chali.
1. Darwaze par jaakar na khade ho jaaie, balki uske side mein khade
hoiye, jaha se aapko ghar ke andar ka nazar na aae.
2. Kisi ke ghar ke andar jaane se pahle zor se salam kariye aur phir
ghar walon se andar aane ki Ijazat lena chahiye.
3. Ghar wala agar puche ke aap kaun ho to Jawab me ye nahi kahiye ke
“Mai Mai” balke Apna Naam bataiye.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.


• Kya Aap Apni Khubsurati Badhana Chahte Hain
==========================
Ye Kaam Karo, Allah Aapko khoobsurat kar dega
1- Honton Ki Khubsurti Ke Liye Darood,
2- Awaz Ki Khubsurti K Liye Tilawat E Quran
3- Ankhon Ki Khbsurti K Liye Allah Ki Yaad Me Nikle Hue Aansu,
4- Chehre Ki Khbsurti K Liye Wuzu,
5- Dil Ki Khbsurti K Liye Allah Ka dar
6- IMAAN ki khoobsurti ke liye MOHABBAT E RASOOL E
-PAAK Sallallahualaihi wasallam....

Ye kaam karne se aesi khubsurati milegi jo kabhi khatm na hogi.
inshaAllah. Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.


• Takabbur / Ghamand / Gurur Na Karo
============================
Khud ko sabse accha Aur Dusaro Ko apne se kam samajhne ka naam
Takkabur Hai. Islam mein takabbur karne se mana farmaya gaya hai

Quran mein Allah farmata hai
(Aur Yaad Karo Jab Hum (Allah) Ne Farisht’aon Ko Hukm Diya
Ke Aadam Ko Sajda Karo To Sab Ne Sajda Kiya Siwaae Iblees (shaitan)
Ke, Aur Wo Ghuroor Me Aa Gaya Aur Kaafir Ho Gaya.
-:(Al-Bakrah, 34)

Takkabur Se Apne Nafs Ki Pakizagi Na Jataya Karo, Jo Parhezgaar Hain
Usko Allah Khoob Jaanta Hai.
-:(Al-Quraan: Surah Najm, Ayat 32)

Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmaate Hai Ke,
“Takabbur Haq Ki Mukhaalifat Aur Logon Ko apne se kam Jaan’ne
Ka Naam Hai”.
-:(Sahih Muslim)

Allah humko is gunah se bachae.



• Hazrat Muhammad (sallallau alyhiwasallam) ki kuch sunnate
=======================
1- Har Acche Kaam Se Pahle Bismillah Sharif Padhna.

2- Kapde Ya Joote Pahante time Pahle Sidhe Taraf Se Shuru Kare Or
Utarte Waqt Ulte Taraf Se. Matlab agar joote pahan rahe ho to pahle
sidhe per mein pahne phir ulte per mein aur utarte time pahle ulte per
se utaare phir sidhe per se.

3- Salam Me Pahal Karna.

5- Raaste Me Chalte time Nigahe Nichi Karke Chalna.
Matlab kisi parai aurat ko na dekhna. ya kisi kharab cheez ka na dekhna.

6- Unchi Jagah Me Baith Kar Wazu Karna.

7- Miswaak Karna.

8- Surma Lagana.

9- Shahad (Honey) Khana.

10- Khane Se Pahle Or Khane Ke Baad Ek Chutki Namak Chakhna.

11- Paani Baith Kar Pina. pine se pahle bismillha padhna, 3 saans mein
pina, pine ke baad "Alhamdulillah' kehna, sidhe haath se pina, sar
dhaak kar pina, ye dekh kar pina ke kahi usme kachra to nahi.

12- Logo ko acche kaam karne ka hukm dena.

13- Tahajjud, Ishraq, Chasht, Awwabeen Ki Namaz Padhna.

14- Wuzu Ka Bacha Hua Paani aur Zamzam Ka Pani Khade Hokar
Peena.

15- Safaid kapde pahanna.

16- Khazur Ki Chhaal (skin) Waali Chatai (Mat) Par Sona.

17- Khire Me Namak Lagakar Khana.

18- Sabko Maaf Karke Sona.

19- Sone Ki Dua Padh Kar Sona.

20- Tahajjud Or Fajar Me Uthne Ki Niyat Karke Sona.

21. sabse muskura kar milna.

22. Khana beth kar khana.

23. Khana kisi cheez se tik kar na khana.

24. Bhook se kam khana.

25. Khushbu lagana.

26. Baalo ki maang naak ki seedh se nikalna.

27. Bahut zor se na hasna, kewal muskurana.

28. Kapde beth kar badalna.

29. Masjid aur ghar ke andar sidha per pahle rakhna aur nikalte time
darwaze ke bahar pahle ulta per rakhna.

Aese time mein agar koi sunnato par amal kare jab koi sunnato par amal
na karta ho to aese insan ko 1 sunnat par amal karne se 100 shaheedo
ka sawab milega, aur 1 shaheed ka sawab ye hai ke uske khoond ki boond
zameen par girne se pahle Allah uske gunaho ko maaf kar deta hai.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare aameen.



• Shadi Ka Rishta Karne Ke Liye
===================
SUrah-e-Yaseen Jo Gher Shadi shuda Mard Ya Gher Shadi shuda Ourat
Padhe To Uski Jald Shadi Ho Jaaegi.
(Tirmizi, J#4,P#406,H#289 6)

Jis Ladki Ki shadi Na Hoti Ho Wo 21 Bar SURAh TAAHA Padhe ALLAH Ne
Chaha to Kisi Naik Mard se shadi Ho Jaegi.



• Bade Gunah Kaun Se Hain
===================
Hazrat Muhammad (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) SE BADE GUNAHON KE BARE
ME PUCHA GYA TO AAPNE farmaya

1=ALLAH KE SATH KISI KO SHARIK KARNA, yaani shirk karna.
2= Maa-baap ka kehna na sunna
3= KISI begunah insan ko maar dena.
4= JHUTHI GAWAHI DENA

SAHI BUKHARI ..VOL 4...2653

Allah hum sabko in bade gunaho (kabira gunaho) se bachae.



• Apne Gunan Dusro Ko Na Sunao
====================
HAR Muslim KE GUNAH MAAF KAR DIYE JAAENGE SIWAE UNKE JO APNE GUNAH
DUSRO PAR ZAHIR KARTE HAI *****
( BUKHARI SHARIF::J.13 :: H 1006)

Bhaiyo-bahno, aksar aesa hota hai log apne gunah ke kaamo ko apne
dosto ko bade fakr (proud) ke saath aur maze le-lekar sunata hai,
lekin aesa nahi karna chahiye.
Pehli baat to ye hai ke humse koi gunah hona hi nahi chahiye, lekin
agar ho gaya to phir usko dusro ko sunate nahi phirna chahiye, aur
Allah se us gunah ke liye maafi maangna chahiye.

Dusro ko gunah karne ke baad sunane se 2 nuksan hote hain ek to ye
hota hai ke jisko aap apne gunah ki baat suna rahe hain ho sakta hai
uske dil mein bhi wo gunah karne ki tamanna peda ho jaae aur agar usne
aapki baat sun kar gunah kar liya to uska gunah aapko bhi barabar
milega, aur dusra nuksan ye hai ke agar gunah sirf Allah ko maalum hai
to Allah us gunah ko maaf kar sakta hai kyonke ye Allah aur bande ke
beech ki baat ho jaati hai lekin agar tum apne gunah ko sunakar uske
bahut saare gawah bana loge to wahi log Allah ke yaha tumhare khilaf
khade ho jaaenge ke Allah tu isko saza kyo nahi deta, isne bhi to
duniya mein fala-fala gunah kiya tha hum uske gawah hain.

Allah humko gunaho se bachae, aur gunah humse ho chuke hain un par
parda daal de aur humko maaf kar de. Aameen.



• Imaan Ki 60 Se 70 Hisse (Baab) Hain….
=======================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya -
“Imaan Ke 60 Se Kuch Upar Ya 70 Hisse (Baab) Hain, Jisme Sabse Kam,
‘Takleef Dene Wali Cheez Ko Raaste Se Hata Dena Hai’ Aur Sabse Zyada
‘La Ilaha Illallah’ Kehna Hai Aur Hayaa (sharm) Bhi Imaan Ka Hissa
Hai”.

-Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 57 (Sahih)



• Rizq (income) ko kam karne waale kuch kaam
============================
(1) Magrib aur isha ke beech sona
(2) Kabristan mein hasna
(3) Namaz kaza karna
(4) Sajda-e-tilawat na karna
(5) Andhere mein khana khana

Allah hum sabko in kaamo se bachae. Aameen.



• Karz Ada Karne Ki Dua
===================
HAJRAT ALI (radi allahu anhu) KA FARMAN HAI KI IS DUA KO PADHNE SE
AGAR BADE PAHAD KE BARABR BHI KARz RAHEGA TO ADA HO JAYEGA.
<AWWAL aur AAKHIR DARUD SHARIF KE SATH 100 BAR PADHE>

"ALLAHUMMK FINI BE HALALEK AN HARAMEK V AGNINI BE FADLEK AMMN SIVAK."



• Kab Kya Padhna Chahiye
====================
Jab Bilkul Akele ho = ALLAH KO Yaad Karo
Preshan ho = DAROOD SHARIF Padho
Udaas ho = YA HAYYO-YA QAYYUM Padho
Tension me ho = YA RAHIMO Parho…



• Bacche Ko Pehla Lafz 'Allah' Bolna Sikhao
====================
HADEES KA mafoom hai ke jo bacha zindagi me sabse pahle apni zubaan se
ALLAH ka lafz nikalta hai to ALLAH uske maa-bap ke pichle (chhote)
gunahon ko maaf farma deta hai.
751117Like ·  · Share

Islamic Knowledge
August 30
Assalamu alykum,
Bhaiyo bahno aaj Juma hai, isliye zyada se zyada darud sharif padhiye.

No comments:

Post a Comment