Sunday, 5 January 2014

Knowledge F

• Sabka Karz Ada Karo
======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
“Momin Ki Rooh Uss Waqt Tak Jannat Me Jaane Se Ruki Rehti Hai
Jab Tak Ke Uska Karz Ada Na Kiya Jaye”.
- Ibne Maja

Dosto, iska matlab ye hai ki Allah us insan ko jannat mein na bhejega
jo karzdaar mara ho. Ek dusre hadees mein hai ki Shaheed bhi jannat
mein tab tak na jaayega jab tak us par karz bacha ho. Isliye maut se
pahle-pahle sabke karz ada kar do. Aur jis karzdaar ka intekaal
(death) ho gai hai unke bacchon ko chahiye ki wo apne maa-baap ka jald
se jald karz ada karen.



• 3 Cheeze Insan Ko Allah se Door Karti Hain
===============================
1-Apney AAMAL (acche kaam) ko ZYADA samjna
2-Apney GUNNAHON -ko BHOOL jana
3-Apney apko Sab Se BEHTAR samjhna

(HAZRAT ALI radi allahu anhu)



• Allah Kin Logo Se Muhabbat Karta Hai
=================================
Jawab Quran Se -

1. or Allah “Sabar” karne walo se Mohbt krta hay.
[Al-Imran, 146]

2. Beshak Allah “Insaaf” krne walon se Mohbt krta hay.
[Al-Mumtahina, 8]

3. Beshak Allah un se Mohbt krta hy jo us per “Tawakkal” (bharosa) krte hain.
[Al-Imran, 159]

4. Beshak Allah un se Mohbt krta hy jo boht “TOBHA” krte hain. (Allah
se apne gunaho ki maafi maangte hain)
[Al-Baqara, 222]

5. Or Allah “Paak Rahny” walon se Mohbt krta hy.
[Sureh Tobha, 108]
Matlab Allah paak hai aur paaki ko pasand karta hai isliye gandagi se
bachiye aur ghusl ki zarurat ho to foran kariye.

Allah humko ye sab kaam karne ki taufik ata kare.



• Baccho Ke Acche Naam Rakho
=====================
Dosto, aajkal dekhne mein aata hai ki log naye naam ke chakkar mein
log apne baccho ke kuch bhi naam rakh dete hain aur unko khudko uska
meaning maalum nahi hota. Isliye naam hamesha acche rakhna chahiye.
Naye naam jinka meaning accha ho rakhe ja sakte hain lekin hamare
buzurg farmate hain ki naam Allah ke naamo se, Hazrat Muhammad
(sallallahu alyhiwasallam) ke naamo se, Hamare nabi/rasul ke naamo se,
Sahaba aur sahabiyaat ke naamo se rakhna zyada behtar hai.

Naam rakhne ke silsile se kuch hadees dekhiye.
(1) Hazrat Muhammad (Sallalaho Alayhi Wasallam) ne farmaya-
Allah ko saare naamo mein se "Abdullah" aur "Abdur-rahman" sabse zyada pasand he
(Abu Dawood,Jild 3,Bab 485,Hadees 1513,Safa 550)

(2) Hazrat Muhammad (Sallalaho Alayhi Wasallam) ne farmaya-
Beshaq ! Tum roze Qayamat apne naamo aur apne Bapo ke
Namo se pukare jaoge to apne naam ache rakha karo.
(Abu Dawood,Jild 3,Bab 485,Hadees 1513,Safa 550)

(3) 1) Hazrat Muhammad (Sallalaho Alayhi Wasallam) ki Aadate kareema
thi ki aap bure nam badal diya karte the.
(Tirmizi sharif Jild 2,Bab 335,Hadees 746,Safa 301,Abu Dawood,Jild
3,Bab 486,Hadees 1517,Safa 551)

Kuch buzurgo ka kehna hai ki naam ke asraat bhi insan par aate hain,
isliye naam acche rakho.



• Maa-Baap Ki Be-izzati Karne Wale Ki Saza
=============================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Jisne Apne Maa-Baap Ko Gaali Di, to Uske Sar Per Jahannum Me Is Qadar
Aag Ke Angare Barsenge Jis Qadar Aasman Se Zameen Per Barish Ke Qatre
Baraste Hai”.

(Sahih Muslim)




• Kisi Ko Bure Naam Se Na Pukaro
=====================
Dosto, kuch log dusro ko unke asli naam se na pukaar kar kharab naam
se pukaarte hain, Islam mein aesa karna sahi nahi maana gaya hai.

Hazrat Muhammad (Salallaho Alehi Wassalam) ne farmaya -
“Jis Ne apne bhai Ko Iss Ke Naam Ke alawa Bure Naam Se Pukara To Uss
Par Laanat Bhejte Hai”.

Isliye jiska jo naam hai usko naam se pukaro. Allah humko islam par
chalne ki taufik ata kare.



• Sharab aur Sood/byaz/interest
========================
SHARAAB - BanaNe Wale, BanwaNe Wale, Peene Wale, PeelaaNe Wale, Bechne
Wale, Khareedne Wale ye sab gunahgaar hain.
note: bahut se log dawa ke roop mein baccho ko brandi dete hain wo bhi
nahi dena chahiye.

Sood/byaz/interest - DilaNe Wale, lene Wale, beechwaani karne wale,
aur likhne wale ye sab gunahgaaar hain.
note: Bahut se log banks mein FD karwa dete hain ye bhi galat hai. Isi
tarah jab kisi insan ko uske saving account se kuch byaz mile to usko
apne istemaal mein na le, balki usko bager sawab ki niyat se gareebo
ko de de.

Sharaab aur sood (interest) ek bahut bada gunah hai, Allah humko in
gunaho se bacahye.



• Shaadi / Marriage / Wedding
=====================
Islam ne zindagi ke har hisse par roshni daali hai chahe wo chhota
kaam ho ya bada. Isliye Islam ko sikhna zaruri hai, har musalman ko
kam se kam itna islam sikhna farz hai ki usko ye pata chal jaaye ki
halal kya hai aur haram kya hai.

Shaadi karna musalman ke liye Islam ka ek zaruri hissa hai, har muslim
ko shaadi karna zaruri hai (agar koi jaiz majburi na ho to). Shaadi
karna sunnat bhi hai aur shaadi karne wala kai guanho se bach jaata
hai. Insan ki sehat ke liye bhi shaadi zaruri hai.

Islam ne shaadi ko aasan banaya hai aur zina ko kathin kar diya. Yaani
shaadi bahut hi aasani se ho jaati hai lekin aajkal logo ne isko bahut
kathin, kharchila aur dikhawa karne ka zariya bana liya hai. Islam
mein shaadi kuch hi minutes mein ho jaati hai, iske liye dulha dulhan
ke alawa kuch log bhi maujud honge to shaadi ho jaayegi, jese wakil,
gawah wagerah. Isliye Shaadi jitni 'saadi' hogi utna accha hai.

Islam mein shaadi ke liye ladki walo ko khana karna zaruri nahi hai,
agar wo apni marzi se kuch logo ko bula le to thik hai warna un par
dabao nahi banaya jaaye. Agar ghar wale apni ladki ko kuch gift apni
khushi se de to thik hai warna unse ladke wale demand nahi kar sakte.

Lekin ladke ko shadi ke baad khana (walima) karna zaruri hai, lekin ye
zaruri nahi ki walima bahut bada kare, kuch logo mein bhi walima kiya
ja sakta hai. Aur Shadi ke baad ladka, ladki ko ek amount deta hai jo
dena zaruri hai. Jisko Mahar Kahte hain, aur ye amount utna hi fix
kiya jaaye jitna ladka aasani se de sakta hai, dikhawe mein laakho
rupye ka mahar tay na kariye, ki baad mein ladka de hi na sake. Agar
lakde ke dene ki taakat hai to itna mahar bhi tay kiya ja sakta hai.
Kuch log ye soch kar mahar zyada tay kar lete hain ki kaun dega,
likhwa do jitna mahar likhwana hai. Aesa karna galat hai, isliye utna
mahar likhwaiye jitna aap de sakte hain, lekin kam se kam itna mahar
tay kijiye jismen 31 gram chaandi aa jaaye. Aur ye rakam ladki ki
ruksati ke foran baad de di jaaye to sabse behtar hai, lakdi se mahar
maaf karne ke liye kehna galat hai, agar wo apni marzi se maaf kar de
to alag baat hai. Mahar ka amount ladki ka apna hak hai, us amount ka
wo jo chahe kare, ladka usko kuch nahi bol sakta. Chahe wo apne upar
kharch kare ya jo chahe uska kare, kyonki mahar ke amount ki ladki
maalik hai.

Matlab baat ye hue ki islam mein ladki walo ko khana karna zaruri
nahi, balki ladke ko khana karna zaruri hai, aur ladki walo ko paisa
dena zaruri nahi lekin ladke ko mahar ke roop mein amount ladki ko
dena zaruri hai.

Jesa ki upar bataya, shaadi kuch hi minute mein ho jaati hai aur
shaadi ke baad ladka mahar dega ladki ko aur walima karega, iske alawa
aajkal jo kuch bhi shaadiyon mein ho raha hai wo kuch bhi zaruri nahi
jese mehndi, ubtan (haldi) wagerah, ye sab insan ki banai hui rasme
hain.

Allah sabko sunnat tarike se shaadi karne ki taufik ata kare. Aameen.



• Mere Sawal, Allah Ke Jawab (Quran Se)
===================================
Mene kaha teri madad kese milegi Ya Allah?
Jawab mila: Sabr aur Namaz se madad liya kro (Al-Baqrah:45)
(Matlab sabr karoge aur namaz padhoge to Allah madad karega)

Mene kaha me bahut gunahgar hu
Jawab mila: ALLAH ki Rehmat se maayus na ho. ALLAH sab gunah bakhsh
dega (Al-Zumar:53)

Mene kaha mere dil ko sukun nahi hai!
Jawab mila: Be’shak ALLAH ki yad se hi dilon ko itminan(skoon) hai
(Al-Ra’ad:28)

Mene kaha mein bahut akela hun!
Jawab mila: Be’shak hum rag-e-jaan se bhi zyada qareeb hen
(Qaaf:16)

Mene kaha mujhe koi yaad nhi krta!
Jawab mila: Tum mujhe yad karo me tumhen yad kroon ga
(Al-Baqarah:152 )



• Ghar Mein Barkat (prosperity) Kyo Nahi Hoti
============================
Ek Sahabi (radi allahu anhu) Ne Hazrat Muhammad (sallallau
alyhiwasallam) se puchha, “Aye Allah Ke Nabi (Sallallahu
AlaihiWasallam)! Mere Ghar Barkat Nahi hoti, Kya Karoon?”
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Apne Ghar Ke Darwaze Par Parda Lagao. Sahabi Ne
Aesa Hi Kiya. Kuch Din Baad wapas Aaye aur Hazrat Muhammad Arz Kiya
“Ab Mere Ghar Bahut Barkat Hai! Lekin iska Parde Se Kya
Wasta (relation)?” Hazrat Muhammapd (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya Ke, “Aap Ke Ghar Ke Pass Se namaz na padhne wale log Guzarte
Hain Unki Nahusat (buri chhaya) Ghar Pe Padti Thi Aur
Barkat Nikal Jaati Thi”.

Dosto, hum khud hi samajh len ki jab ghar ke pass se namaz na padhne
walon ke guzarne se ghar ki barkat chali jaati hai to phir jis ghar
mein hi namaz na padhne wale (be-namazi) ho to uska kya kehna?.

Allah humko aur hamare ghar walon ko namazi bana de. Aameen.



• विश्व नायक हज़रत मुहम्मद (सल्लल्लाहु अलयहीवसल्लम) की कुछ विशेषताएं
=============================
• कभी किसी खाने में ऐब नहीं लगाया, इच्छा होती तो खाते वरना छोड़ देते
(मतलब कभी खाने को बुरा नहीं कहते थे)
• मिलने वाले को सब से पहले सलाम करते थे, चाहे छोटा या हा बड़ा, हर
व्यक्ति से हंस कर बात करते, तपाक से हाथ मिलाते और हाथ न छोड़ते जब तक
वह स्वयं अपना हाथ न खींच लेता (ऐसा मोहब्बत की वजह से करते थे)
• निर्धनों को अपने पास बैठाते थे।
• यह बात अप्रिय थी कि कोई उनको देख कर उनके आदर में खड़ा हो जाए, उसी
प्रकार अपने सम्बन्ध में अतिशयोक्ति (गुलू/ज्यादा तारीफ़) करने से भी
रोकते थे और सभा में जहाँ जगह मिलती वहाँ बैठ जाते थे।
• बड़े दानशील थे, बड़े बहादुर थे।
• किसने ने कोई चीज़ मांगी गई हो और आपने न दी हो, कभी ऐसा नहीं हुआ।
• मुर्खों की बदतमीज़ी पर भी विनम्रता बरतते और अत्याचारी को क्षमा कर देते थे।
• बात करने वाले की बात को ध्यान से सुनते थे, मतलब उसका ऐसा नहीं लगता
था की मेरी कोई कीमत नहीं है, सबकी बात सुनते चाहे कोई भी हो. हर बात
करने वाला समझता कि सब से अधिक प्रिय वही है।
• जो कोई भी एकांत में बात करने की इच्छा व्यक्त करता उसकी इच्छा पूरी
करते और उसकी बात को खूब ध्यान से सुनते।
• जब किसी चीज़ को अप्रिय समझते तो उसको कभी न डांटते बस इसका अनुमान
आपके चेहरे से लग जाता था।
• पत्नी, सेवक अथवा किसी अन्य को कदापि नहीं मारा। आपके सेवक अनस कहते
हैं "मैंने 9 वर्ष तक आपकी सेवा की परन्तु आपने कभी हमसे नहीं कहा कि
तुमने ऐसा क्यों किया या ऐसा क्यों नहीं किया"
• सांसारिक भोग विलास से दूर थे। आप चटाई पर सोते थे। आपका बिस्तर चमड़े
का था जिसमें खुजूर की छाल भर दी गई थी।
• झूट से अति घृणा थी।
• अच्छे कामों में प्रिय काम वह होता जिसको निरंतर किया जाए चाहे कम ही क्यों न हो।
• जब किसी प्रकार की प्रसन्नता की बात पहुंचती तो ईश्वर की कृतज्ञता हेतु
सज्दे में चले जाते, मतलब हर बात के लिए अल्लाह का शुक्र अदा करते.
• सोते तो आपके सर के पास दतौन (मिस्वाक) होता था, जब उठते तो सर्वप्रथम
दतौन करते थे।
• हर समय अल्लाह का स्मरण करते रहते थे।

हज़रत मुहम्मद (सल्लल्लाहु अलयहीवसल्लम) और भी बहुत विशेषताएं हैं परन्तु
एक बार में सारी विशेषताएं बताना सम्भव नहीं, इसलिए यहाँ कुछ का ही
उल्लेख किया गया है.



• Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki kuch
Aadate (habits)
======================================
1. Chalte Waqt Nigaah Niche Rakhte.
(Iski wajah ye hoti thi ki kisi parai aurat par nazar na jaaye, kharab
cheezo par nazar na jaaye)

2. Salam Hamesha PehleKarte.
(baccha ho ya bada aap aage hokar salam karte the, ek hadees mein
aapne farmaya ki jo salam mein pahal karta hai wo ghamand se door hai.

3. Mehman Nawazi Khud Karte.
(agar koi mehmaan aata tha to uska garm-joshi se aur muskura kar
istakbaal (welcome) karte the, aur uske liye khud hi saare kaam karte
the)

4. Nafil Namaz Chup Ke Padhte.

5. FARZ Ibadat Sab ke Saamne Karte.

6. Bimar ki dekhne jaate.

7. Jab Khade Hue Ghussa aye to beth jaate the aur jab bethe mein gussa
aata to let jaate the.
(isse gussa kam ho jata hai, lekin gussa aane par kisi ko kuch kahte
nahi the, bas aapke chehre se zahir hota tha ki aap naraz hain)

8. Miswak (daatun) Karte.
(hamesha aapke saath miswaak hoti thi, aur aap isko baar-baar kiya karte the.

9. Ishaa Se Pehle Kabhi Na Sote.
(Isha ke baad ghar se bhi bahut kam nikalte the aur ye time apne ghar
walo ke liye hota tha)

10. Khulkar Na Haste, zyadatar Sirf Muskuraya karte the.
(kuch logo ko aapne khul kar hanste hue dekha, to aapne farmaya ki
agar tum maut ko kasrat se yaad karte to tumhari ye halat na hoti,
matlab itna na hanste, ek dusri hadees ka mein aapne farmaya ki zyada
hansna dil ko murda kar deta hai)

Allah hum sab ko hamare pyare nabi hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ki pyari pyari sunnato par amal karne wala bana de.
Aameen.



• Ghar Ke Andar Jaane Ki Sunnate
========================
1) ALLAH ka zikr karte hue dakhil hona
2) Ghar me dakhil hone ki dua padhna
3) Ghar me dakhil hokar (ghar walo) ko salam karna agar koi ghar mein
na ho to bhi salam karna.
4) Pahle daaya (right) paao Ghar me rakhna
5) Khikhar kar (gala saaf karne ki awaz nikaalkar) ya darwaza
khat-khata kar is tarha aana ki Ghar walo ko malum ho jaye ki koi aya
hai.

Allah hum sabko sunnato par amal karne ki taufik de.
InshaAllah Aaj se hi amal shuru karege na...........



• Kya Aap Mare Hue Bhai Ka Gosht (mutton) Khaoge?
=============================
Sunne mein bada bura aur ajeeb lagta hai lekin ye sah hai, Ghibat
(peeth piche burai karna) ek bahut bada gunah hai, aur jisne aesa kiya
yaani usne apne mare hue bhai ka gosht khaya.

Allah quran mein farmata hai ki -
kya tumme se koi is baat ko pasand karega ki apne mare huve bhai ka
ghosht khaye. Is se to tum zarur mana (nafrat) karoge. To gheebat na
karo aur Allah ka dar rakho beshaq Allah tauba qabool karne wala aur
maherban hai.
(Al Hujraat : aayat-12)

Hadees ka mafhoom -
Ek baar madina ki 2 aurato ke pet mein tez dard hua, itna dard hua ki
marne jesi ho gai, unko hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke
pass laya gaya. Aapne kaha ki inko ulti (vomit) karwao, jab unko ulti
karwai gai to taaza khaye hue gosht ke tukde aur khoon nikla, is par
hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki ye dono beth
kar dusro ki burai kar rahi thi.

Mare hue bhai (insan) ka gosht khana to hai hi iske alawa iska gunah
bhi bahut zyada hai. Akherat mein humne jiski burai ki thi usko hamari
nekiya de di jayegi aur jab hamari neki khatam ho jayegi ti uske gunah
hum par daal diye jayenge. Aur iske alawa jiski hum burai kar rahe
hain duniya mein bhi uske gunah maaf hote hain.

Kisi ne hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) se pucha ki agar
hum kisi ki burai kar rahe hain aur wo burai agar usmein hai to? aapne
farmaya yahi to ghibat (peeth piche burai) hai. Jo burai usmein nahi
aur tum wo baat kar rahe ho to wo bohtaan (ilzaam lagana) hai.

Ghibat karna hi nahi, Kisi ki ghibat sunna bhi gunah hai, isliye agar
aapke saamne koi ghibat kar raha hai to usko rok do, agar wo nahi ruke
to tum uth kar chale jao. Aajkal ye burai karib-karib sab insano mein
thodi ya zyada hoti hai, Isliye isse bachne ki bahut zarurat hai,
Allah humko is bade gunah se bachaye.

Aaameen.



• Sadqa (Daan/donation) Kaise Kar Sakte Hain?
===========================
Sadqa dene ka bahut sawab hai, kisi garib ko rupye dena sadqa hai
lekin iske alawa bhi kuch kaam hai jo sadqa hain

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Farmaya Ke, “Apne Kisi
Bhai Ke Saamne (Khushi Se) Tumhara Muskura Dena Ye Bhi Sadqa Hai.
∗ Aur Kisi Ko Acchi Baat Ka Hukm Dena Aur Buri Baat Se Rokna Ye Bhi Sadqa Hai,
∗ Aur Kisi Bhatke Hue Ko Rasta Bata Dena Ye Bhi Sadqa Hai.
∗ Aur Kisi Andhe Ki Madad Kar Dena Ye Bhi Sadqa Hai,
∗ Aur Raste Se Patthar Aur Kaanta Aur Haddi Hata Dena Ye Bhi Sadqa Hai
(taaki kisi raasta chalne waale ko usse unksaan na ho jaaye)
∗ Aur Apne Dhol (paani ke bartan) Me Se Apne Bhai Ke Dhol Me Paani Dal
Dena Ye Bhi Sadqa Hai,

Matlab Ye Hai Ke In Sub Kamao Per Sadqe Dene Ka Sawab Milta Hai.

-: (Mishkaat, Jild 1, Safa 169)

Allah humko in sab kaamo ko karne ki taufiq de, Aameen.


• Darud Sharif Padhe Ke Faide
====================
Hazrat Jibrail (alyhissalam) ne farmaya -
Mai Zameen per Maujood Ret ke har Zarre ko Gin Sakta hoon, Samundar
Mai Rehne Wali Machliyo ko Gin Sakta Hoon, Zamin pr Maujood Tamam
Darkhto ke Pattao ko Gin Sakta Hoon, or Baras ne Waley Baarish ki
Boondo ko Gin Sakta Hoon Lekin Aey Habib -e-Khuda Jab Koi Aap ka
Ummatai Aap Per Durud-o-Salam Bhejta Hai Or Os Ke Sabab ALLAH Taala
Jitni Rehmatain Os Ummati per Utaarta Hai Wo Mai Nahi Gin !!.....Sakta

Dosto, zyada se zyada darud shareef padha kariye, kam se kam jab
hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ka kahi naam sunai de tab
to darud padhna hi chahiye. Jaise azan ke time ya kisi bayan ke time.



• Yaad Rakhne Ki Baate
=======================
(1) Jo chiz tumhe shak me dal de use chod do.
Yaani jab ye samajh na aaye ki ye halal hai ki haram usko chhod do.
(2) Tumhare imaan ki asal nishani tumhari sadgi ho sakti he.
(3) Jo mout ku yad rakhe or uski acchi taiyyari kare wo sab se ziyadah
akalmand he.
(4) Kisi koum/dharm ka buzurg tumhare paas aaye to uski izzat karo



• Farishta, Insan aur Jaanwar Mein Fark
===================================
Allah ne Farishto ko sirf dimaag diya hai, magr khawahishat nahi di
hain. Aur janwaroo ko khawahishat de hai magr AQAL nahi de hy. Aur
insan ko ye dono chizain de hain.Lihaza jis ki AQAL us k khawahish pe
haawi ho jaaye wo Farishtoo se behtar hai. Aur jis ki khawahish us ki
AQAL pe haawi ho jaaye wo janwar se badtar hy.

(Hazrat ALI Radi allahu anhu)



• Allah Ki Nemato (God's gift) Ki keemat
==========================
Ibne Simak (rahmatullahi alayhi) ek badshah ke paas gaye. Baadshah ke
haath mein paani ka glaas tha. Badshah ne unse guzarish ki ke mujhe
koi nasihat (updesh) kijiye.

Ibne Simak (rahmatullahi alayhi) ne kaha ke agar aapke saath aesa kiya
jaaye ki aapko aesi jagah rakha jaaye jaha paani na ho aur aap pyase
mar sakte ho, aese time mein aapko ek glass paani diya jaaye aur kaha
jaaye ki iske badle saari saltanat mujhe de do to kya karoge. Badshah
ne kaha, mein ek glass paani ke badle saari saltanat de duga. Ibne
Simak (rahmatullahi) ne kaha ke aese badshahat par kya khush hona
jiski keemat ek paani ke glaas ke barabar bhi nahi.

Dosto, is example se andaza hota he ke Allah ne jo humko cheeze aasani
se de di hain unki humko keemat nahi hoti, lekin yahi cheeze karodo
aur arabo mein bhi hum nahi kharid sakte. Allah ne humko hawa, paani
diye aur dekhne ke liye aankh di, chalne ke liye per diye, haath diye,
akal sahi salamat di, bolne ke liye jeebh di, sunne ke liye kaan diye,
agar isme se ek bhi cheez kam kar deta to koi uska kuch bhi nahi kar
sakta tha, lekin ye Allah ka ehsaan hai ki humko bager maange ye sab
de rakha hai, iski keemat unse puchiye jinke pass isme se ek bhi cheez
kam hai.

Isliye Allah se kisi bhi cheez ki shikayat nahi karna chahiye, balki
har haal mein uska shukr ada karna chahiye.

ALLAH HAM SAB ko NEA'MATO KA SHUKR ADAA KARNE KI TAUFEEQ ATAA FARMAVE AAMIN.



• Jis Ghar Mein Kutta Ya Tasveer Ho Waha Farishte Nahi Aate
==================================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
Jis Ghar Mein Kutta Yaa Tasveer Ho Waha Rahmat K Farishte Nahi Aate
[Bukhari.Muslim]

Dosto, Jis ghar ke andar kutta (dog) rahta ho ya kisi jaandaar ki
tasveer lagi ho waha rahmat ke farishte nahi aate, isliye inko ghar ke
andar nahi rakhna chahiye. Agar kisi ne apne ghar ki security ke liye
kutta paala ho to us kutte ko ghar ke bahar hi baandhe aur wahi rakhe,
ghar ke andar na laaye. Isi tarah agar kisi khubsurat nazare (scenery)
ki tasveer hai, jese kisi pahad, jharna ya phool ki to wo tasveer laga
sakte hain, lekin kisi jaandar ki nahi laga sakte, bahut se log apne
baccho ki, khud ki ya apne pasand ki hero, heroine ki photo, ghoda
(horse), chidiya wagerah ki photo laga lete hain, aesa nahi karna
chahiye, isi tarah baccho ko bhi aese kapde pahnane se bachna chahiye,
jis par kisi jaandaar ki tasveer rahti hai.

Allah humko islam par chalne ki taufik ata kare. Aameen.
Photo: Jis Ghar Mein Kutta Ya Tasveer Ho Waha Farishte Nahi Aate
==================================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
Jis Ghar Mein Kutta Yaa Tasveer Ho Waha Rahmat K Farishte Nahi Aate
[Bukhari.Muslim]

Dosto, Jis ghar ke andar kutta (dog) rahta ho ya kisi jaandaar ki
tasveer lagi ho waha rahmat ke farishte nahi aate, isliye inko ghar ke
andar nahi rakhna chahiye. Agar kisi ne apne ghar ki security ke liye
kutta paala ho to us kutte ko ghar ke bahar hi baandhe aur wahi rakhe,
ghar ke andar na laaye. Isi tarah agar kisi khubsurat nazare (scenery)
 ki tasveer hai, jese kisi pahad, jharna ya phool ki to wo tasveer
laga sakte hain, lekin kisi jaandar ki nahi laga sakte, bahut se log
apne baccho ki, khud ki ya apne pasand ki hero, heroine ki photo,
ghoda (horse), chidiya wagerah ki photo laga lete hain, aesa nahi
karna chahiye, isi tarah baccho ko bhi aese kapde pahnane se bachna
chahiye, jis par kisi jaandaar ki tasveer rahti hai.

Allah humko islam par chalne ki taufik ata kare. Aameen.


• Shatranj/Chess aur Chausar Kehlna Mana Hai
===========================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
Jo Shatranj (Chess) aur Chausar Khelta Hai Wo Us Aaadmi Ki Tarha Hai
Jisne Apne Haath Suar(Pig) Ke Gosht aur Khoon mein Rang Liye Ho

[Muslim]

Dosto, jo is khel ko khelta hai wo aaj hi se band kar de aur Allah se
maafi maang le. Allah maaf karne wala hai. Hamare nabi (sallallahu
alyhiwasallam) ke har farmaan mein kuch wajah aur maslehat hoti hai.

Allah humko islam ke raaste par chalne wala bana de. Aameen.



• Jab Kisi Ke Ghar Par Awaz Do
=================
islam ki ye taalim (education) hai ki Jab kisi ke ghar par kisi ko
bulane jao, to awaz dekar darwaze ke side mein khade ho jao, awaz
dekar wahi na khade raho, kyonki darwaza khulne par andar tak ka
dikhta hai, aur andar kaun kesa betha ho, ye humko nahi pata aur humko
ye bhi pata nahi ki jawab mard dega ya aurat, isliye parde ka lihaz
karte hue side mein khade ho jaiye, jisse aapko milna hai agar wo ghar
par hai to wo khud aapse bahar aakar mil lega.

Islam ki har baat mein acchai hai aur faide hain, chahe baat chhoti ho ya badi.
Allah humko islam par puri tarah se amal karne wala bana de.



• Hazrat Umar Farooque (radi allahu anhu)
================================
Woh UMAR-e-FAROOQ jin ko Nabi ne dua karke manga tha,

Woh UMAR-e-FAROOQ jinho ne 22 laakh muraba mile par ISLAM ka Jhanda lahraya,

Woh UMAR-e-FAROOQ jin k leye mere Nabi pak (sallallahu alyhiwasallam)
ne farmaya ke Agar mere baad koi nabi hota to wo Umar hota

Woh UMAR-e-FAROOQ jin ki bahaduri par yahoodi ye kahne par majboor ho
gae ke Agar Umar 10 saal or hakoomat karte to poori dunya mai MOHAMMAD
(sallallahu alyhiwasallam) ka kalma naafiz kar detay

Allah humko sahabao se mohabbat aur izzat karne wala bana de.

Aameen.



• Khudkushi (Aatm-Hatya) Karne Ki Saza
====================================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
"Jis ne apne aap ko pahad se gira ker (khud kushi ki) halak kiya wo
jahannam me jayega aur hamesha apne aap ko isi tarah pahad se girata
rahega. jahannum me hamesha hamesha us ki yahi halat rahegi.
Jis ne zahar kha ker apne aap ko halak kiya (khud kushi ki) jahannumme
wahi zahar us k haath me hoga jise khata rahega aur jahannum me wo
hamesha hamesha isi halat me rahega,
Jis ne apne aap ko kisi hathiyar se halak kiya (khud kushi ki) wahi
hathiyar jahannum me us k hath me hoga jise wo apne pet me marta
rahega, jahannum me wo hamesha hamesha isi halat me rahega".......
[sahi bukhair 5442, muslim ]

Dosto, kuch log hote hain jo gusse mein ya kisi cheez se
dukhi/pareshaan hokar aesa karne ki sochne lagte hain, lekin unko ye
samajh lena chahiye ki duniya ki takleef aur pareshani to kuch dino ki
hai lekin aakherat ki saza bahut lambi hai. Agar aap sochte hain ki
khudkushi karne se hamari saari takleef dur ho jayegi to aesa sochna
galat hai, balki takleef aur badh jaayegi. Kyonki hamesha wahi
khudkushi karne waali takleef bardasht karna padegi, jo duniya ki
takleef se bahut zyaa hai, Kisi ko agar pareshani, bimari ya dukh hai
to wo sabar kare aur Allah se madad maange, Allah sabar karne walo ke
saath hota hai aur uski har takleef ke badle gunaah maaf karta hai,
Allah farmata hai ki mein kisi ko bhi uski bardasht karne ki taakat se
zyada pareshani nahi deta.

So Dosto, duniya ki thodi si pareshani bardasht kar lo, lekin khud ko
duniya aur akherat dono mein naa-kaam mat karo.

Allah humko deen ki samajh ata kare aameen.



• Non-Muslim Ke Liye Bad-Dua (Shraap) Karne Se
Hazrat Muhammad Ka Inkaar
============================
Ek baar kisi ne Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se "Gair
Muslim" Ke Liye Bad-Dua Karne Ke liye kaha gaya (request ki), Hazrat
Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Allah ne Mujhe bad-dua Karne Wala Banakar Nahi Bheja,
Balki mujhe Rehmat (mercy) Banakar Bheja Hai”.

(Sahih Muslim : 6613)



• Sabse Accha Kya?
======================
1 Sabse Accha Kaam
Pareshaan insan Ki Madad Karna
Aur aese kaam jisme dikhawa na ho

2 Sabse Accha Khazana
Jo acche kaam marne ke baad ki tayyari ke liye jama kiye gaye hon

4,Sabse Accha Dost
Jo humko acche kaam karne ko kahe

5,Sabse Acchi Zindai
Sadgi Ki Zindagi He

6, Sabse Accha Insan
Jis Ke Akhlaaq (vyawhaar) Acche Ho

Allah Hame In Acchhi baato Ko Apni Zindagi Me Lane Ki Taufeeq De
AAMIN SUMMA AAMIN



• 2 Time Farishte Hanste Hain
=============================
2 Moqo par ALLAH k Farishty hanste hain

1-Jab Be-parda Aurat ko KAFAN diya jaye
(Jab Parde ki Zarurat thi to us time kiya nahi, ab Parda Kaisa)

2-Jab Be-namazi ka Janaza padha jaye
(Sari Zindgai Namaz k Qareeb nahi aaya ab kaisi Namaz

Allah hum sabko amal ki taufik de.
Aameen



• Masjid Mein Paisa Diya Karo
=============================
Aap jis Masjid me NAMAZ ada karte hai. waha hame Wazu k liye Paani,
Hawa k liye Fan, Roshni k liye Lights., Carpet., Imam Sahab etc. sab
milte hain, Taake hame Namaz me Asani ho.
Is ke badle me hum Masjid ko kya Dete hain.
10!
20!
50 ya
100 Rs.
Jab ke jinke ghar tv hai wo T.V Cable (300), Internet / Recharges
(500), Rs. Har mahine dete hai. Aur movie chale gaye to karib-karib
200 Rs. kharch kar dete hain.
Zara sochiye!
Hamara paisa kaha kharch ho raha hai.
Masjid Allah ka ghar hai, yaha dil khol kar diya kariye, kyonki agar
aapne masjid mein paisa diya aur waha agar aapke paise se ek eet
(brick) lag gai to jab tak wo eet (brick) lagi rahegi tab tak aapko
sawab milta rahega. Aur masjid mein diya paisa kabhi bekar nahi
jaayega, Allah ke yaha iska bahut bada badla milega, jabki dusre
duniya ke kharch ka koi retrun nahi hai.
Ye dua hai ki hum Allah ki raaste mein kharch karne wale ban jaaye.


• Har Islamic Baat Ko Dusro Tak Pahuchao
=====================================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke -
“Allah insan ko Taro Taaza Rakhe Jo Meri Hadees Ko Sune,
Yaad Rakhe (Amal Kare) Aur (Usse) Dusro Tak Pahuchaye”.

-: (Tirmizi Sharif, Jild 4, PageNo.298, Hadees No.366)
SERVANT OF ALLAH

Dosto, isliye agar aapne koi islam ki baat suni ya sikhi to isko dusro
tak pahucha diya karo, sahaba (radi allahu anhu) ye tarika tha ke jo
bhi baat aap (sallallahu alyhiwasallam) se sunte wo foran dusro tak
pahuchate the. Agar hamare kahne se kisi ne koi accha kaam kar liya to
uska sawab humko bhi milega.
Agar facebook par aapne koi islamic baat dekhi to usko dusro tak
pahuchane ke liye share, like ya comment kariye taaki wo baat aapke
sabhi facebook ke friends tak pahuch jaaye. Ek insan ne bhi agar aapki
baat par amal kar liya to uska sawab uske saath-saath aapko bhi
milega. Is kaam ko karne mein bahut kam mehnat hai lekin sawab bahut
zyada hai.



• Sunnat Ki Keemat
===========================
Zindagiyan Beet gayee aur Qalam Toot gaye Aap (Sallahu Alaihi
Wasallam) ki taarif ka Ek bhi baab poora Na hosaka ..!!

SubhanAllah ......!!

Aur Hum Ummat E Muhammadi hain Alhumdullilah ....!

Per kya Amal se Hum Ummat hone ka Farz nibha rahe hain ?
Kya Sunnato per waqiye Hum Amal kar rahe hain ?
chahe wo baithker Pani pina ho
Ya phir Dadhi rakhna ho
Ya phir apne bhaiyo se acche rahna ho ya Husne sulook ho
Ya phir haram kamon se door rahna ho
Ya phir fuzool kharchi se bachna ho
Ya phir Nikah jaisee sunnat ko apni saadgi se karna ho
Filmi adakaron ki pairvi karna ho
Ya phir Aurton ki bepardagi ho
AUR KITNI LAMBI LIST NIKLEGI jo kaam hum sunnato ke khilaaf karte hain
?? Astaghfirullah ,,!

Sunnat ki Ahmiyat janna cahte hai Aap ?
Hazrat Muhammad (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) ne farmaya :
“Jisne meri SUNNAT se mohabbat ki to usne mujhse mohabbat ki aur jisne
mujhse mohabbat ki, Wo JANNAT main mere saath hoga.
{Tirmizi : 2678}

SubhanAllah ....!

Chaliye Sunnaton ko Aam kartey hain . Q k mohabbat sirf bolne se nahi
karne se bhi pata chalti hai, isliye aaj se iraada kariye ki
chhoti-chhoti sunnato ko sikhenge aur un par amal shuru karenge.

"In sha Allah"



• Agar 4 Cheeze Ho To Koi Cheez Nuqsaan Nahi Pahucha Sakti
=======================================
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke
4 Cheeze Agr Kisi Ke Pass Ho To Phir Duniya Ki Koi Bhi Cheez Use
Nuqsaan Nahi Puhncha Sakti

1 Acche Akhlaaq (vyawhaar)
2 Rozi Me Pakizgi matlab sahi tarike se kamata ho
3 Amnat Ki Hifazat matlab agar kisi ki koi cheez pass rakhi ho to usko
imaandaari se wapas karna
4 Bolne Me Sacchai

Ref. Musnad e Ahmad

Allah Hame In 4 Cheezo Ko Apni Zindagi Me Lane Ki Taufeeq Ata Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN



• Mohabbat Kya Hai?
=========================
Maine Pucha
Zindagi Se
Jawani Se
Suraj Se
Phulon Se
Kainat Se
Asman Se
Zameen Se
Dost Se
Lekin koi dil ko tasalli dene wala Jawab Na Mila
Phir Tareekh (history) Hath Pakad Kar Peeche Le Gayi
Bohat Peeche
1400 saal Peeche
Raat ho rahi Thi
Taray Bhi So Chuke The
Ek AZEEM hasti
Sajde Me Jhuki
Geeli Ankho Ke Saath
Sawali Ban Ke Ek Hi baat Dohra Rahi Thi"
"Ya ALLAH meri UMMAT ko bakhsh de"
"Ya ALLAH meri UMMAT ko bakhsh de"
"Ya ALLAH meri UMMAT ko bakhsh de"
Dil-o-Dimagh Ne Jhinjhod Kar Kaha
Aye Nadan Insan! Dekh ye Hai "MOHABBAT...!"
Dekh yeh hai MOHABBAT...
"Mere Pyaare Nabi...sallallahu alaihi wasallam ki. hamare liye!!

Aur hum hain ki unki mohabbat ka sahi haq ada nahi karte, sirf khud ko
ashiq-e-rasool kahte hain, lekin aesa kaam nahi karte jisse ye zaahir
ho ki hum sachche aashiq-e-rasool hain, sacchi mohabbat to sunnato par
amal karna hai, humme se kitne log chehre par dadhi sajaye hue hain.
aur kitna sunnato par amal karte hain. Kya hum mohabbat ka sahi hak
ada kar rahe hain.

Allah humko apne pyare nabi (sallallahy alyhiwasallam) ki sunnato se
mohabbat karne wala aur saccha aashiq-e-rasool bana de.

Aameen.


• Ummat Mein Sabse Pahle Jannat Mein Kaun Jayega
===============================
Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne farmaya :
aye Abu Bakar...! meri ummat main se tum sab se
pehle jannat main dakhil hogay.

(Abu Dawood : hadees-4652)

Allah hum sabko sahabaon se mohabbat karne wala bana de. Aameen.



• Yaad Rakhne Waali Baat
=============================
(1) Hayaa ( Sharam ) Ki Kashish, Khoob'surati Se Ziyada Hoti Hai
(2) Allah ki yaad mein Rona Dil Ko Roshan Karta Hai.
(3) Maa Aur Baap Ki Khidmat Dono Jahan Me Kaam Aati Hai.
(4) Aulaad Ke Liye Jo Cheez Ghar Lao To Pehle Ladki Ko Do, Fir
Ladke Ko.
(5) Duniya Me Sab Se Zyada Khatarnaak, Jawaani Ka Gussa Hai.
(6) Kisi Ka Dil Mat Dukhao, Kyun Ke Tum Bhi Dil Rakhte Ho.
(7) Bolna Chaandi Ki Tarah He Aur Khamosh Rehna Sona (Gold) Ki Tarah Hai.
(8) Kisi Se Milte Waqt Muskurana Sadqa Hai.
(9) Gunaah Se Bachna Sab Se Badi Neki Hai.
(10) Hamesha Sach Bolo Taake Tumhe Qasam Khaane Ki Zaroorat Na Pade.

ALLAH Ta'ala Ham Sabko In Baato Par Amal Karne Wala Banaye.
( AMEEN )


• Maa
==============
Garmi mein ek ladke ne jab Pasina apni ladki ke dupatte se pocha to wo
boli : Dupatta Ganda na karo,
Aur Jab usne Maa ke Aanchal se poncha to Maa boli:
.
.
.
.Ye Ganda hai, Saaf deti hu.

Aysi hoti hai maa, ya Allah hame apne maa ki khidmat karne ki tofiq ata farma.



• Ghamand (Takabbur) Karne Wala Jannat Mein Nahi Ja Sakta
================================
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Jis Ke Dil Me Rai Ke Daane Ke Barabar Bhi Takabbur (ghamand) Hoga Wo
Jannat Me Dakhil Nahi Hoga. To Ek Sahabi (saathi) Ne Arz Kiya Ke "Ae
Allah Ke Rasul, Ek Aadmi Chahta He Ke uske Kapde Acche Ho, uske jute
Acche Ho, To Kya Ye Bhi Takabbur He???

Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -
Allah Jameel (Khubsurat) hai aur Khubsurti Ko Pasand farmata hai,
Takabbur To Haq Se Muh Modna aur Dusro Ko Apne Se Kamtar Samajhna hai.

Ref. Muslim Shareef

Isliye dosto, kabhi bhi kisi baat ka ghamand (takabbur) na karo, na
apni khubsurati ka, na apne paise ka, na apni sehat ka, na apni kisi
khasiyat ka.
iske alawa agar gunjaish hai to (fizul kharhci na karte hue) accha
khao aur accha pahno, lekin dusro ko apne se chhota aur hakeer mat
samjho. Allah ne jisko jesa diya hai wo uske hisab se rahta hai,
duniya mein aapse acche khane aur pahanne wale bhi hain.

Allah Hame Takabbur Jesi badi Bimari Se Hifazat Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN



• Allah Ke 4 Bade Farishte
==============================
Allah ko kisi ki bhi zarurat nahi, lekin phir bhi usne apna managment
chalane ke liye ek system banaya hai aur har kisi ko uska kaam saup
diya. ye saare farishte Allah ke ghualm hain aur uske hukm ke bina 1
kaam bhi aage piche nahi karte. Jesa Allah ka hukm hota hai wo wahi
karte hain.

1- Hazrat Zibrail (alayhis salam)
Jo ALLAH ke message ko prophets (peghambar) tak pahuchate the.

2- Hazrat Mikail (alayhis salam)
Jo ALLAH ke hukum ke hisab se sabko rizq pahochate hai aur barsat aur
hawa par mukarrar hai.

3- Hazrat Israfil (alayhis salam)
Jo qayamat ke din soor fookenge aur phir kayamat aa jayegi.
Ye bas ek hi kaam ke intezaar mein hain.

4- Hazrat Izrayil alayhis salam
Ye insan ki rooh ko kabz karne ka kaam karte hai..
(yaani insan ki death inke hi haatho hoti hai)

No comments:

Post a Comment