Thursday, 2 January 2014

Kya Buri NAZAR Kaam Karti Hai?

• Kya Buri NAZAR Kaam Karti Hai?
=============================
(1) Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke
Buri Nazar Lagna HAQ He. (matlab buri nazar hoti hai)

(2) Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Farmate He Ke
Buri Nazar Lagna Bar Haq He Agr Koi Cheez Taqdeer Par Galib Aati To Wo
Nazar Hoti
Ref. Bukhari Shareef. Muslim Shareef

(3) Ek Hadis Me Rasul Allah Sallallah Ne Farmaya Ke Meri Ummat Me QAZA
or TAQDEER Ke Baad Sab Se Ziyada Amwaat«Mout» Buri Nazar Ki Wajah Se
Honngi
Ref. Al Jamiuss Sageer

Isliye Dosto kabhi bhi kisi acche bacche ki, ghar ki, jaanwar ki ya
kisi bhi cheez ki taarif kiya karo to saath mein 'MashaAllah' bhi kaha
karo, Kisi ki taarif karte time Allah ka zikr ho jayega to kisi ko
nazar nahi lagegi, warna nazar lag sakti hai.

Nazar patthar ko bhi tod deti hai.

Allah Hum Tamaam Ko Nazar Bad Se Bachaye
AAMIN SUMMA AAMIN

No comments:

Post a Comment