Sunday 5 January 2014

Knowledge B

• Jannat Ki Sabse Acchi Cheez
=========================
"Sabse Acchi cheez Jo momin Ko Us Roz (jannat mein jaane ke baad)
Milegi Wo ALLAH Ka Deedar He, Ke Is cheez Ke Barabar Koi dusri Nahi,
Jise 1 Baar ALLAH Ka Deedar Hoga Wo Hamesha Hamesha Isi Ke Zauq Mein
Duba Rahega.

Allah hum sabko apna deedar naseeb kare. Aameen.




• Jhoot Bolne Ki Burai
=================
Quran Mein kaha gaya hai ke -
“Beshak Jhoot Bolne Waale Par Allah ki Lanat”.
- : (Surh Aal-e-Imran, Ayat 61)

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya -
Jhoot Se Bacho! Beshak, Jhoot Gunaah Ki Taraf Le Jaata Hai Aur Gunaah
Jahannam (hell) Mein Pahunchane Wala Hai
-: (Abu Dawood)

Allah hum sabko jhoot se bachae, aameen.


• Peshab (Urinating) Ka Islami Tarika
===========================
Islam mein har baat ko sikhaya gaya hai, chahe wo chhoti baat ho ya
badi baat. Aur us baat mein duniya aur akherat dono ka faida hota hai.
Jese Islam mein ye bhi sikhaya gaya hai ke peshab kese karen.
Jab bhi toilet mein jaaen to toilet mein sar ko dhaak kar jaaen,
Toilet mein andar jaate time ulta per (left foot) pahle rakh kar
jaaen, aur jab wapas bahar niklo to sidha per (right foot) se bahar
aao. Toilet mein jaane ki dua " Alla humma inni aauzu bika minal
khubusi wal khabais' padhen. Is dua ke padhne se Allah humko kharab
jinnat (shayateen) se bachata hai, aur sawab alag milta hai. Jab
toilet se bahar aa jaao to ye dua padho "Gufra Naka", "Alhamdu lilla
hil lazi azhab annil aza wa afaani"
Kabhi bhi peshab karte hue baat na karen. Aur Beth kar pshab karen,
dhyan rakhen ke peshab ke chhite badan aur kapdo par na aaen. Peshab
ke chhite agar badan ya kapdo par lage honge to aap namaz bhi nahi
padh sakte. Namaz se pahle inko dhona zaruri hai. Peshab karne ke baad
personal part ko dho len, isko istinja karna kahte hain. Agar aesi
jagah par hain jaha paani nahi waha kisi mitti ya eent (brick) ke
sukhe tukde se peshab ko sokh len.
Agar kahi khule mein (medan mein, jungle mein) peshab kar rahe hon to
beth kar karen, kisi bil, jhad ke neeche ya sukhe patto par peshab na
karen, zaati tajurba ye bhi hai ke peshab karne se pahle 3 baar ye bol
do ke "agar yaha koi sahab ho to hat jaaiye mein peshab kar raha hu",
kyonke aksar log jinnato par bhi peshab kar dete hain (kyonke wo humko
dikhte nahi) aur baad mein takleef paate hain.
Agar kisi aesi jagah peshab aa gaya jaha beth kar peshab karne ki
facility nahi hai, jese mall mein to waha majburi mein khade ho kar
bhi kar sakte hain lekin dhyan rakhe ke chhite na aaen. Agar badan par
chhite aa gae to gusl ki zarurat nahi sirf utne badan ya kapde ko dho
len jaha chhite ka andaza hai.
Peshab ke chhito se bachna bahut zaruri hai kyonke jo insan isse
bachne ki koshish nahi karta, marne ke baad iski badi saza milegi.


• Baccho Ko Kese Paalen.
====================
(1). Jis Bachche Ka Mazaaq Udaya Jata Hai Wo Baccha Darpok Ban Jata Hai.
(2). Jis Bacche Ko Maara jata Hai, Uss Bacche Ki acchi adaten Dab Jati Hai.
(3). Jis Bacche Par Eitbaar Nahi Kiya Jata, Wo Baccha Dhoka Dena Seekh Jata Hai.
(4). Jis Bacche Ki Taarif Nahi Ki Jati Hai, Wo Baccha Acchi Cheezo Ko
Na-Pasand Karne Lag Jata Hai.



• 9 Baate
=================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Mujhe (aur Tamam Imaan Waalo Ko) Mere Rab Ne 9 Baato Ka Huqm Diya”
1. Zahir Aur Chhupe Har Haal Me Allah Se Darta Rahu.
2. Chahe Ameer Hu Ya Faqeer Har Haal Me Aetidaal (Darmiyaani Halat) Par Rahu.
3. Kisi Par Khush Rahu Ya Naraaz Lekin Uss Halat Me Bhi Insaaf Karu.
4. Jo Mujh Se Rishta Kaate Mai Uss Se (Rishta) Jod Doo.
5. Jo Mujhe Na De Mai Usko du.
6. Meri Baate Allah Ke Zikar Waali Ho.
7. Jo Mujh Par Zulm Kare Mai Usko Maaf Karu.
8. Meri Khamoshi Gor Aur Fikar Ke Liye Ho.
9. Meri Nigaah Ibrat Ki Nigaah Ho.
Aur Allah Se Mujhe Hukm Mila Hai Ki Neki Ki Taraf Logo Ko Bulaaun Aur
Badi Se Rokun !

-(Mishkaat Shareef)

Allah hum sabko bhi in 9 baato par amal karne ki taufik ata kare, aameen.



• Ek Sacchai
========================
Duniya ki Mohabbat se Allah nahi milta,
lekin Allah ki Mohabbat se duniya aur Akherat dono mil jaati hain.



• Allah Ka Deedar
============================
Jab jannati janat main chale jayenge, To ALLAH unse puchega : Kya tum
chahte ho ke main tumko ek cheez du, jo kuch ab tak diya gaya hai usse
bhi acchi ek cheez du?

jannati Kahenge : Kya aapne humare chehre roshan nahin kar diye aur
kya aapne humko dozakh se bachakar jannat main dakhil nahin kar diya ?
(matlab ab iske alawa aur kya cheez ho sakti hai jiski hum tamanna
Karen), jannatiyo ke is jawaab ke baad) phir ALLAH apne aur insano ke
beech ke parde hata dega (Jiske baad wo ALLAH dekh sakenge) Allah ko
dekhne ke baad jannatiyo ka ye haal hoga ke jo kuch ab tak unko mila
tha, un sabse zyada unko pasandida unke liye apne Allah ko dekhna hoga

[ Sahih Muslim : 449]

Allah hum bhi un khush kismat logo mein shamil kar de jo Allah ka
deedar karenge, aamen.



• Jhaad (Trees) Lagane Ka Faida
--------------------------------------------
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke “Jo Ek jhaad
Lagae, Ya Khet Main Beej Boe Phir Usse Parinda Ya Insaan
Ya Jaanwar Jo Bhi Khate Hain Wo Uski Taraf Se Sadqa (donation) Hai”.

(Sahih Bukhari)



• Yaad Rakho
===========================
Hamare kapde - Kabhi Kese Kabhi Kese
Hamara Kafan eK Jesa

Hamare Ghar Alag-alag design ke
Hamara Asli Ghar kabar (2.5) Gaz, Ek jesi

Hamari planning 200 Saal Ke hisab se
Magar Hamari Zindagi? EK Sawaliya Nishan

Pedaish K Waqt -AZAN-Di Jati Hai, NAMAZ Nahi Padrhi Jati
MAUT-Ke Waqt -NAMAZ-Padhi Jati Ha Magar AZAN-Nahi Hoti, Yaani Ye
Zindagi AZAN- Se -NAMAZ- TaK ke beech ke time ke barabar hai.

Jeete Ji Marne Ke Baad Ki Fikar Karo
Kyonke Marne Ke Baad Acche kaamo Ke Darwaze Band Ho jaate hain

Allah hum sabko akherat ki tayyari ki fikar naseeb kare, aaamen.



• Allah Par Bharosa Aese Karo
===========================
Allah Par Bharosa Bilkul Us Bachche Ki Tarah Karo,
Jisko Tum Hawa Me Uchhaalo To Wo Hansta Hai Darta Nahi,
Qki Wo Jaanta Hai Ke Tum Usko Girne Nahi Doge."




• (Roman English / Hindi)
=========================
Allah Hi ibadat ke layak hai,
Uske Siwa Koi dusra ibadat ke layak Nahi,
Wahi Hamesha se Zinda Aur Qayam Rehne Waala hai,
Usko Na Oongh Aati Hai Na Hi Neend Aati Hai,
Har Cheez Usi Ki Hai
Jo kuch Aasmanon Me Aur Zameenon Me Hai,
Kaun Hai Ke Uski Ijaazat Ke Bager Usse Kisi ki Sifaarish Kare,
Jo Logon Ke saath Ho Raha Hai Aur Jo kuch ho chuka hai,
Wo Sab Allah Ko Khoob Maloom Hai.
Aur Wo Allah Ke Ilm Me Se Zarra Barabar Bhi
Kisi Cheez Par Koi Ehaate Nahi Kar Sakte
Magar Jis Qadar Chaahe,
Usi Ki Baadshahi (Aur Ilm) Aasmaanon Aur Zameen Me Sab Par Haawi Hai
Aur Allah Ko Unn Ki Hifaazat Koi Dushwaar Nahi,
Wo Bada Aali Rutba Aur Jaleel-Ul-Qadir Hai.....

- Ayatal Qursi

अल्लाह, जिसके सिवा कोई पूज्य-प्रभु नहीं, वह जीवन्त-सत्ता है, सबको
सँभालने और क़ायम रखनेवाला है। उसे न ऊँघ लगती है और न निद्रा। उसी का है
जो कुछ आकाशों में है और जो कुछ धरती में है। कौन है जो उसके यहाँ उसकी
अनुमति के बिना सिफ़ारिश कर सके? वह जानता है जो कुछ उनके आगे है और जो
कुछ उनके पीछे है। और वे उसके ज्ञान में से किसी चीज़ पर हावी नहीं हो
सकते, सिवाय उसके जो उसने चाहा। उसकी कुर्सी (प्रभुता) आकाशों और धरती को
व्याप्त है और उनकी सुरक्षा उसके लिए तनिक भी भारी नहीं और वह उच्च, महान
है



• In Kaamo Mein Jaldi Karo
==============
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Hazrat Ali (Radi Allahu
Ta'ala Anhu) se farmaya - ae Ali, meri 5 baate meri ummat (follower)
tak pahuncha dena""
1\ Azaan ho to namaz me jaldi karna.
2\ Ghar me janaza (death body) ho to dafnanae me jaldi karna.
3\ Aagr koi naraz hai to us se maafi jaldi magna Q k zindagi ka kuch pata nahi.
4\ Koi mahman ghar aya hai to uski khidmat jaldi karna Q k kya pata wo
kab ka ghar se nikla ho.
5\ Jawan beti ghar me ho to uski shadi jaldi karna.


• Hazrat Umar Farooq (Radi Allahu Anhu)
==============
Hazrat Umar Farooq (Radi Allahu Anhu) bahut bade sahabi hue hain,
(sahabi matlab hazrat Muhammad sallallahu alyhiwasallam ko jinhone
musalman hone ke baad dekha hai). aap hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ke bahut kareeb saathi rahe hain, aapka roza aaj bhi
hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke roze ke pass hi hai, aap
hamare 2nd khalifa bhi hain. Bahut bahadur the, aapne islam ko aage
badhane mein bahut mehnat ki, aap un 10 sahaba mein bhi shaamil hain
jinko unki zindagi mein hi jannati hone ki basharat de di gai thi,
aapki baato par kai baar quran ki ayate naazil ho gai, aapko dekh kar
shaitan raasta badal deta tha, dushman aapke naam se kaanp jaate the,
bahut personality bhi bahut rob-daar thi, unche-poore bhi bahut the.
wo Umar jinko hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne dua karke
Maanga Tha
wo Umar jinhone 22 laakh murabba meel pr islam ka jhanda lehraya
Wo Umar jinke liye mere hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne
farmaya tha ke agar AGar Mere Baad koi NABI Hota to UMAR Hota
wo Umar jinkii Bahaduri par yahoodi ye kehne pr Majboor Ho gaye ke
AGar Umar 10 saal aur Hukoomat krte To puri Duniya Mein MoHAMMAD
(sallallahu alyhiwasallam) ka kalma phle jaata.

Jab hazrat Umar (radi allahu anhu) Palestine (filisteen) mein daakhil
hue to us time unka servant unke oont par betha tha aur wo unke oont
(camel) ki rassi pakde chal rahe the, ye dekh kar (jo dusre mazhab ke
log the) unhone kaha ke hamari kitab mein likha hai ke jo insan apne
oont par apne servant ko bitha kar daakhil hoga, usko hi hum apne yaha
ki chaabiya denge, ye ek baat to aapse mil gai lekin hamare yaha ye
bhi likha hai ke aane waale insan ke kapde mein itne (ek fix no. ke)
pewand (patches) honge lekin aapke ek kam hai, is baat par hazrat umar
(radi allahu anhu) ne apna bagal mein ek aur peband dikha diya.
subhanAllah.

Jo Kaam hazrat umar (radi allahu anhu) ne apne 'khilafat' ke time karwae.
01. Garibo Ke Liye Bait ul Maal Qaim kiye
(garibi ko zaruri saamana dene ki society banai)

02. Insaaf ki Adalaten poori hukumat main banai gai, jahan pe judge
aur majistrate case handle karte the.
(yaha islamic law chalta tha, aur majistrate aur judge islam ke bahut
jaankar the).

03. Aam insan ki hifazat ke liye Fauji Chonkiyan lagai gai

04. Road aur nehron ki buniyad daali gai.

05. Schools/ Madarse khole gae, jahan pe Imam, Muazzin aur Ustad ko
tankhuwah di jati thi.

06. Makka aur Madina haajiyo ki sahuliyat ke liye Masajid ko behtar banaya gaya

07. Gunahgaaro (criminal) ke liye Thaane aur jail banae gae

08. Pehla Islami Calender banaya gaya, Hijrah se le kar tab tak.

09. populatio n census shuru ki gai.

10. yateem Khaane aur social welfares open hue.

11. Ghulam kharidne bechna band karwa diya gaya

Allah hum sabko sahaba (radi allahu anhu) se mohabbat karne wala bana
de, Aameen.



• Makaa Mein Kaha-Kaha Dua Kubul Hoti Hai
=========================
Wese to Allah bahut raham karne wala hai, hum jaha bhi Allah se dua
karte hain wo sunta hai, lekin kuch khaas jagah hain jaha Allah dua
zyada jaldi puri karta hai.

Makka Me Dua Qabul Hone Wali Jagah
>Multazim Karib
>Mizabe Rehmat ke Niche
>Rukne Yamani ke Karib
>Safa O Marwa ki Pahadi Par
>Safa O Marwa Ke Bich
> Rukne Yamani Or Makame Ibrahim Ke Bich me
> Baitullah Sharif Ke Andar
> Mina (Masjide Khaif) Me Arfaat Me
> 3 Jamro Ke Karib
> Sang-e-aswad ke saamne khade hokar.
> Jab kaaba par pehli nazar padhe tab ki dua.

Allah hum sabko bhi haj naseeb kare, aameen.


• Haj Na Karne Ka Nuksaan
======================
Har maaldaar muslim ko haj karna farz hai, aur jis par haj farz ho
chuka ho wo phir bhi haj na karta ho to uska bahut bada gunah hai, aur
Allah ki narazgi ki wajah bhi hai.

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke Jo Shakhs
(Hajj Farz Hone ke Baad) Hajj Kiye Bager Mar Jaee To Wo Chahe to
Yahudi Mare Or Chahe to Nasrani Mare
(Tirmizi jild:1 page:167)

Allah sabko haj karne ki taufik ata kare, aameen.


• Haj Karne Ka Sawab
======================
Jis muslim par haj farz ho gaya ho usko kam se kam zindagi mein ek
baar haj karna zaruri hai, haj karna farz to hai hi (maaldar ko) aur
iske alawa iska bahut sawab hai, uske kuch faide aur sawab niche
dekhiye.

1). JO SHAKHS APNE GHAR SE HAJJ YA UMRA KI Niyat Se NIKLE AUR MAR JAYE
TO USE kayamat TAK HAJJ-O-UMRA KARNE WALE KA sawab pata RAHEGA

2). HAJJ-o-UMRAH Karnewale ALLAH ke MEHMAAN Hain, Agar ALLAH se DUA
Kare To us ki DUA QABOOL Karta Hai
(ref. IBN-E-MAJA)

3). Jisne Hajj Kiya Aur Usne Na Behudgi Ki Or Na Fisko Fujur Ka
Murtakib Hua (matlab waha koi kharab kaam na kiya to) Wo Hajj Se Is
Tarah Lota Goya Usko Uski MAA Ne Abhi Janam Diya (matlab Allah uske
saare gunah maaf kar deta hai)
(ref.: Bukhari)

4). Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke Jo Meri
Ziyarat ke Liye Aaya Siwaye Meri Ziyarat Ke or Kisi Matlab Ke Na Aaya
To Mujh Par Haq He Ke Qayamat ke Din uski Shafa'at karu
(TBRANI)

Allah hum sabko bhi haaji bana de, aameen.



• Ek momin ke dusre momin par haq
==============================
Hazrat Muhamamd (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya,

Ek momin ke dusre momin par haq hain
1. jab tu mile usko salam kar.
2. jab tujhe koi khushi ke time pe bulae to uski dawat qubul kar.
3. jab wo tujhse koi bhalai chahe to uske sath bhalai kar.
4. jab use chhink aae or wo "alhamdulillah" kahe to us k jawab
me "yarhamukallah" keh.
5. jab wo bimar ho to uski tabiyat dekhne ko ja.
6. jab uska intekal ho to uske janaze me sharik ho.

ref.: muslim sharif

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen


• Khana Khane Mein Ye Baat Dhyan Rakho
========================
Khaane ki plate ke beech mein Barkat Naazil Hoti Hai, Iss Liye Iske
Kinaro Se Khao, beech Se Mat Khao.
-: (Ibne Maajah)
Faida - Matlab plate ke beech se na khaen, side se khae, kyonke plate
ke beech mein barkat naazil hoti hai

Jo Khane Ke Bartan Ko Chaat Lega (acche se saaf kar lega) Wo Bartan
Uske Liye Astagfar Karega.
-: (Tirmizi Sharif)
Faida - Aesa karne se anaj pikhega bhi nahi, aur uski be-hurmati bhi na hogi.

“Koi Khaana Khae To Wo Uss time Tak Haath Na Dhoe Jab Tak Wo Ungliyon
Ko Chaat Na Le”.
-: (Bukhari Sharif)
Faida - Khana Khane ke baad anaj ungli par chipka rahta hai, agar
humne direct haath dho liye to wo paani ke saath beh jaaega aur anaj
ki be-hurmat hogi, isliye haath dhone se pahle usko chaat lena chahiye

“Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar
Ke Barabar Hota Hai”.
-: (Tirmizi, Hadees: 2021)
Faida - Khana Kha lene ke baad Allah ka shukr ada karna chahiye ke
Allah tune humko pet bhar khana khilaya.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.


• Maa ka pyar (Zarur Padhiye)
------------------------------------------------------
Ek baar Ek Budhi MAA Apne Jawaan Bete Ke Saath Ek Jagah Par Baithi
Thi, MAA Ne Ek Kabutar Ke Jhund Ki Taraf Ishara Kiya Aur Pucha, BETA
Yeh Kya Hai ? ? ? BETE Ne Jawab Diya KABUTAR. Thodi Der Baad MAA Ne
phir Puchha, Beta Yeh Kya Hai ? ? ? Bete Ne Kaha Yeh Kabutar Hai, Is
Baar Beta chaila kar Zor Se Bola Kitni Baar Kahu Ye ki Kabutar Hai,
Bete ki daant sunkar MAA Ki Aankho Se Aasu Nikal Aaye, Aur MAA Ne
Pyaar Se Uske Sar Pe Haath
Rakha Aur Kaha : "BETA Jab Tu 3 Saal Ka Tha Tab Isi Jagah Par Tune
Mujh Se Yahi Sawal Kai 2 baar nahi balki kai baar Pucha Tha,
Aur Maine Bhi har baar Tera Matha Chum Kar Tujhe pyar se Jawab Diya Tha......

Dosto, Kuch Log Apni MAA Se Kehte Hai Ki Maa Tu Kuch Nahi Samajhti,
Maa Tumhe Kuch Paata Nahi, Tumhe Aisa Nahi Karna
Chahiye, Lekin aisa kahne walo ko Yeh Baat Nahi Bhulna Chahiye Ki Unki
Maa Us time Bhi Unki Baat Samajh Jaati Thi, Jab Uski zubaan Ne Kuch
Sikha Bhi Na Tha, Sirf Apne Isharo Se Wo Unki Bhukh-pyaas Ka Andaza
Laga Laeti Thi.

KHUDA Ne Bhi MAA Ki Kya Misaal Di hai, Jannat utha kar Maa ke Kadmo me
Daal di (Matlab Maa ki mohabbat ke badle jannat de di)

Dosto, maa-baap ka Islam mein bahut bada darja hai, jis insan se uske
Maa-baap naraz hote hain unse Allah bhi naraz hota hai, isliye kabhi
bhi apne maa-baap se unchi awaz mein baat na karo, unko sakht jawab na
do, unki har baat maano (agar koi baat islam ke khilaf ho to usko mana
kiya ja sakta hai).

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab ye
hai ki) - Agar meri maa aaj zinda hoti aur mujhe kisi kaam ke liye
awaaz deti to chahe mein Namaz padhne ke liye bhi khada ho chuka hota
to bhi mein namaz todkar apni ammi ki baat sunen chala jata.

Dosto, Jab insan bada hota hai aur khud ke bacche hote hain, tab usko
pata chalta hai ki humko bhi hamare maa-baap ne raato ko aise hi
jaag-jaag kar pala hoga. Hamare Apni khushi ko qurbaan kar apne baccho
ki khushi puri ki hogi. Sote mein agar ek baar maa humko utha de to
humko bura lag jata hai, lekin bachpan mein hamari maa baar-baar
uthkar hamare kambal ko sahi karti thi, hamare takiye ko sahi karti
thi,

Allah humko apne maa-baap ki khidmat, izzat karne wala bana de. Aameen



• =======================
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
Tum Me Se Jab Koi Allah se Maafi Maangta hai To Allah Usse Itna Zyada
Khush Hota Hai, Jitna Koi Tum Mein Se Apna khoya Hua Jaanwar (Camel)
Mil Jaane Se Khush Hota Hai”
(Sahih Muslim Sharif)

Arabic mein tauba (Allah se Maafi)
“Asta ghfirullahAl lazi La Ilaha Illa Huwal Hayyul Qayyum Wa Atubu Ilayh” “

Allah hum sabke gunaho ko maaf kare, aameen.


• Dusro Ko Islam Ki Baat Sikhane Ka Sawab
=======================
Hazrat Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaaya ke - Jis
insaan ne ilm ka ek baab (lesson) isliye sikha ke wo dusre logo ko
sikhaega to ALLAH usko 70 siddiqo ko sawab dega

(abu mansur)


• Har Kisi Se Uske Matahat Afrad (under person)
Ke Baare Me Pucha Jaega.
===========================
Marne Ke Baad Sabse Pucha Jaaega Ke Jo Tumhare Maatehat afraad (under)
The Unke saath tum kese rahe, unke haq ada kiye ya nahi, unke saath
koi zulm to nahi kiya. Aur agar kisi ne haq ada na kiye honge, ya koi
galat kaam unke saath kiya hoga to unko saza di jaaegi.

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke -
“Tum Sab zimmedaar ho, Tum Me Se Har kisi se uske Matahat Afrad (under
person) Ke Baare Me Pucha Jayega.
Baadshah zimmedar hai, Iss Se Iss Ki Riaaya (Kingdom/praja) Ke Baare
Me Pucha Jayega.
Aadmi Apne family Ka zimmedar Hai, Iss Se usse uski family ke Baare Me
Pucha Jayega.
Aurat Apne husband Ke Ghar Aur Aulaad Ki zimmedar Hai usse Inke Baare
Me Pucha Jaega”.

- Sahih Bukhari Volume 007, Book 062,


• Kisi Gunagaar Ki Maal-Daulat Dekh Kar
Ye Mat Socho Ke Allah Isko Kyo De Raha Hai
==============================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Farmaya,
“Jab Tu Dekhe Ke Allah Kisi Gunah karne wale Ko Uss Ke Gunaaho Ke
Ba-Wajud Uss Ki Chahat Par Duniya Ki Cheezein De Raha Hai, To Ye Allah
Ki Taraf Se usko Dheel Hai”.
(Musnade Ahmad)

Tum Kisi gunahgaar Ko Nematon Me Dekh Kar Is par Rashk Na Karo, Tumhe
Maloom Nahi Maut Ke Baad Iske Saath Kya Hone Wala Hai”.
-: (Tibrani Sharif)

Isliye bhaiyo-bahno kisi ko ameer dekh kar ye mat socho ke Allah isse
khush hai aur na kisi ko gareeb dekh kar ye socho ke Allah se isse
naraz hai, kyonke ameeri-garibi sab Allah ki azmaish hai, kisi ko
Allah Maal dekar azmata hai aur kisi se Maal lekar aazmata hai.


• Garibi Aur Bimari Aane Ki Kuch Wajah
======================
1. Mehman ko Buri Nazar Se Dekhne Se .
2. Bina Wuzu Se Quraan Padhne Se .
3. Bismillah Bole Bina Khana Khane Se .
4. Khade-Khade Khane se .
5. Joote Pahen kar khane Se .
6. Hath Dhoe Bina Khane Se .
7. Sar Ko Khula Rakhkar Khana khane Se .
8. Kha Kar Bartan Acche Se Saaf Na Karne Se
9. Masjid Mai Duniyavi Baate Karne Se
10. Jaanbuj kar Namaz Kaza karne

1 comment:

  1. The 11 Best Casino Casinos in Washington, PA
    Find your favorite 대전광역 출장샵 casino & slot games in Washington, PA! The 서울특별 출장안마 Best Casino Casinos in 포항 출장마사지 Washington, 전주 출장안마 PA. 아산 출장안마 Best Casino Cities In USA.

    ReplyDelete