Thursday 5 September 2013

Shab-E-Baraat

JAB SHAB_E_BARAT ME ZINDAGI, MAUT, RIZQ, KHUSHI KE FAISLE HOTE HE WAHI ATAA_E_KHUDA WANDI KE DARWAZE BHI KHULTE HE. APNE WAQT KO QIMTI BANANE KI FIKAR KARE. 
SHABE BARAT ME IN LOGO KI BAGAIR TAUBA MAGFIRAT NAHI HOTI.
MUSHRIQ (Allah ka na maanne wala)
WALIDEN KA NA-FARMAN (Maa-baap ka kehna na sunne wala)
ZINA KRNEWALA (adultory karne wala)
SHARABI 
JYOTISH (astrologer)
KATARAHMI KRNEWALA (apne rishtedaaro se door hone wala)
KAPDA TAKHNO KE NICHE RAKHNE WALA.

15 SHABAAN KA ROZA
Mafhum e hadees
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne frmaya
jab nisf shabaan ki raat aaye to us raat ibaadat karo aur din me roza rakho is raat me Allah magrib k baad aasmane duniya
ki taraf nuzul frmate he aur kehte hai hai koi mgfirat chahne wala
k mai iski mgfirat kardu ? hai koi rizq chahne wala k mai usko rizq ataa karu ? hai koi pareshan haal k mai aafiyat du ? yaha tak ke
fajar tulua ho jati he.

No comments:

Post a Comment