Saturday 7 September 2013

Be-Namazi ka dar

Be-Namazi Ka Dar
---------------------
Ek Aurat Hazrat Umar (radi allahu anhu) ke paas aai aur kaha ke mere tail ki shishi (oil ki bottle) zameen par gir gai aur zameen ne sara tail pee liya hai, Aap wapas karwa dein, Hazrat Umar (radi allahu anhu) ne ek kagaz ki parchi par kuch likha aur aurat ko usi jagah le jaakar rakhne ko kaha, Aurat ne us kagaz ko wahi jaakar rakha to tail ka chashma ubal padha. Aurat ne shishi bhar li.
Aurat ne baad mein us kagaz ki chitthi ko khola to us mein likha tha ke "Ae zameen tail wapas kar de, warna mein (umar - radi allahu anhu) teri jagah pe kisi Be-Namazi ko dafan karwa dunga".

Allahu Akbar
Be-Namazi ke azab se dar kar zameen ne tail wapas kar diya, to unka kya hoga jo jaan boojh kar namazein qaza karte hain?

Allah hum sabko namaz padhne ki taufik ata kare. Aameen.
https://www.facebook.com/shahadat4all

No comments:

Post a Comment