Thursday 5 September 2013

JANAZE KI NAMAZ KA TARIKA

Har muslamaan ko maloom hona chahiye
JANAZE KI NAMAZ KA TARIKA
1)NIYAT : Niyat ki maine namaze janaza ki 4
takbeero k...esaath waste allah ta'ala k dua is
mayyat ke liye peeche is imam ke moonh mera
taraf kaaba sheriff ke
2)TARIKA: imam sahib allahu akbar kahete
hue dono haatho ko kaano tak utha kar niyat
baandh lenge hum bhi aisa hi karenge phir
sana pade jo hum namaz me padte hain
Subhanaka allahumma bi humdika wata baara
kasmuka watala jadduka wajalla sanauka
walaiha gairuk
phir imam dusri takbir padegahum bhi aahiste
se padenge aur durud de Ibrahim padenge jo
namaz me padte hai
phir imam teesri takbeer padenge hum bhi
aahiste se padenge ab namaze janaza ki dua
padenge na yaad ho todua-e-maasoora
padenge yebhi na yaad ho toaksar ulema dua
padte hai
( rab bana aataina fid duniya hasanatau wa fil
aakhirati hasanatau wa kina azaa bannar)
Agar ye bhi na yaad ho to sure fateha pade aur
koshish kare ki janaze ki dua yaad ho jaye
Phir imam 4 takbir padenge hum bhi aahiste
se padenge
Aur takbir ke baad dono haath chod denge
Yaad rahe is namaz me takbir me haath nahi
uthana hai sirf paheli takbeerme haath
uthaenge baaki kisi bhi takbirme haath nahi
uthenge
Agar koi cheez galat ho to use sahi karlejiye
allah aur uska rasool behter jaanta hai(azwajal
wa sallallahu alaihi wa sallam).
Acchi Baat Pehlana Sadqa E Jaria Hai.
ALLAH se Dua hai Deen par chalne aur
Namazo Ki Pabandi ki Taufeeq ho.
Ameen SumAmeen
(¯`*•.¸madiney ka bhikari¸.•*´¯)

No comments:

Post a Comment