Sunday 2 November 2014

Moharram

10 Moharram K Din Insan Ki
Her DUA,
TAUBA Qubool Hogi,
.
Kyun Ki Is Din Hazrat Aadam
(ALAIHISSALAM) Ki Tauba
Qubool Hui Thi...
.
Hazrat Moosa
(ALAIHISSALAM) Ki Dua
Qubool Hui Thi...
.
Hazrat Isa (ALAIHISSALAM)
Asmän Per Utha Liye Gaye
They,
.
Hazrat Younis
(ALAIHISSALAM) Machhli K
Pait Se Nikäley Gaye The,
.
Hazrat Muhammad Mustafa
(Sallallaho Alaihe Wasallam)
NE FARAAN KI CHOTI PAR
nabuwat ka ailaan isi
taareekh ko kiya.
.
aur 10 Muharram ko Nooh
ALAIHISSALAM. ki kashti
toofan se paar aayi thi,
.
isi taareekh ko IBRAHEEM
ALAIHISSALAM. aatishe
namrood se bahar nikle the,
.
isi taareekh ko AYYUB
ALAIHISSALAM. ko keede se
nijaat mili,
.
isi tareekh ko
ISLAAM ko bachane ke liye
MERE NABI KE nawase
HAZRAT IMAM HUSSAIN
RADIYALLAHU ANHU. Ne
karbala ki zameen par apne
aal ki aur apni QURBANI di,
.
aur isi taareekh ko
QAYAMAT BHI AAYEGI....!!!!!
!!!!!!!
.
Isliye Is Din Allah Se Apne
Gunaho Ki Muafi Mangen Or
Jo Dua Mange Mujhe Bhi Plz
Shamil Krlen
Allah Taala Qubul
Farmayega. IN'SHA'ALLAH
@ PLEASE / PLEASE / PLEASE @
Dosto, Yeh Page Zaroor LIKE Aur SHARE Kijiye.

• Hazrate hafza radiallahu
anha ne farmaya ki 4chize
hai jinhe Huzoor
Alayhissalatu wassalam
nahi chorte the.
.
1. 10vi Muharram ka roza
.
2. Jilhizza ke Roze (1 se 9
tak)
.
3. Har mahine ke 3 Roze
.
4. 2 Rakat sunnat Fazar ki
Farz se pehle
.
[Nasai,Anwarul Hadees]
.
Hazrate Abu Jar radiallahu
anhu ne kaha ki Rasool-E-
Kareem Raufoor Rahim
Sallallaho Alayhi Wasallam
ne farmaya ki
"Aye Abu Jar! jab kisi
mahine me 3 din roza
rakhna ho to 13, 14 aur 15
tarikh ko rakho
.
[Tirmizi,Nasai, Anwarul
Hadees]
.
Pehli shawwal aur
10,11,12,13 Jilhijja ko roza
rakhna Makruh Tahrimi aur
Najaiz hai.
[Durre Mukhtar, Raddul
Muhtar Jild 2 Safa 86,
Anwarul Hadees]
.
Ehtlam ho jane ya
Humbistari karne ke baad
nahaya nahi aur isi halat me
pura din guzar diya to woh
namazo ke chor dene ke
sabab sakht gunahgar hoga
magar roza ho jayega.
.
[Fatwae Aalamgiri Jild 1,
Safa 187, Anwarul Hadees]





• Moharram ki Nafl namaz
------------------------------
Moharram me juma ke din nawafil
JO shakhs moharram ke har juma 4 rakat iss tarah se padhe ki har rakat
me baad Surah Fateha ke 31 baar Surah Ikhlaas padhe toh goya usne
tamaam aashmani kitabo ko padha aur unki har aayat ke badle me ek
gulaam aazad kiya.
.
(Anisul Waizeen)/Aukatusalaat, 12 MAhino ki nafl namaze)





• MOHARRAM ME HONE WALE GALAT
RASMO RIWAZ

[Maslah]
TAAZIYA Mamnua hai sharah mE
Iski kuch Asl NAHI aur jo BIDAT
UnkE saath kijati hai sakht
HARAAM hai
[Fatawa-RAZVIYA V-24 p:490

[ZARURI-Maslah]
"TAZIYA Banana, dEKHNA
Jaiz NAHI aur Iski tazeem aur Is'se
AQEEDAT rakhna saqt HARAAM hai"
[Fatawa-RAZVIYA
Vol-24 p:489

TAAZIYE mE kisi qism ki Imdaad JAIZ
NAHI-

[Al-QURAN]- "Gunaah aur ziYadati kE
Muamulat mE Aik-dUSRE ki MADAD
NA karo"
(surah:Maeedah a.2)

DHOL-taashe Bajana, Gali-Gali
GHUMNA, Uchalte koodte
Maatam karna!!! Ye sab jaahiliYat
aur RAAFZIYO (shiYo) ki rasmein
hain- Inse Bachein
TAAZIYA kYa hai-
"shiYo
kE Juloos mE MAQBRA Ya
qabr Banate aur saath hEE
dHol-taashe Bajate hain
IseY TAAZIYA kaha jata
hai
(sakht-HARAAM)

[Maslah]-
Musalmano kO chahiYe kE
Ashrah'E MUHARRAM mE 3 rango kO
pahanne'se Bache! siYaah, sabz aur
surkh -[Fatawa-E-RAZAVIYA; V-24
p:496]

"AYYAM-E-MUHARRAM" Yani 1'se 12
MUHARRAM tak kaala rang NA pahna
jaYe!
Ye RAFZIYO (shiYo) ka TAREEQA hai -
[SUNNI'Bahishti-ZEWAR; V-5 p:578].

MUHARRAM mE NIKAH karna kaisa?
"Maah'E Muharram mE NIKAH karna
Jaaiz hai, NIKAH kisi MAHINE mE
Mana NAHI" -[Fatawa-E-RAZAWIYYA;
V-11 p:265].

imam Husain Ki Yaad Shariat Ke
Dayre Me Manayen.
Unki Azeem Qurabni Ko Khel Kood Ka
Zarya Na Banayen.
Balki Esale Sawab Ka Ehtemam Karen
Taziya Banana Usy Tazim Se
Uthana Gali
Kuchon Me Ghumana Ussy
Minnate Mangna Aur Us Par
Chadhawe Chadhana Najaiz-O-Haram
Hai.
Issy Bachiye
AALAHAZRAT Ka Risala Taziyadri
Padhiye. Jisme Aap Ne Moharram Ki
Bid'aton Ka Radd Kiya Hai.
Taziya Daari Ki Shariat Me Koi Asal
Nahi
[Maslah]-

TAAZIYE, gasht, charavah, dHol-
taashe, MARSIYE
wagairah Ye sab sakht "HARAAM" hai
[Fatawa-RAZVIYA V-24 p:498]

ALLAH HAMEN
IN TAMAAM GALAT KAAMO
SE
MAHFUZ FARMAYE
AAMEEN




Taziya Nikalna, Dhol
Bajana Ye Bura Tariqa Hai ….
.
Imaam Ahle Sunnat Imaam
Ahmad Raza (Aala Hazrat)
Fatwa aur Taziya Dari
.
1.Alam, Taziya, Sawari,
Mehandi Jaise Tareeke Jaari
Karna Bidat Se Islaam Ki
Shaan Bhadti Nahin Hai.
Taziya Ko, Hajat Ko Poora
Karne Wala Maan'na Jahalat
Hai, Iss Ki Mannat
Bewakoofi
Hai Aur Na Karne Me
Nuksaan Janna Vaham Hai.
Musalmaan Ko Aisi Harkat
Se Bachna Chahiye.
.
(Risala Moharram Va
Tajiyadari 59 Sakah)
.
.
2.Taziya Aata Dekh Kar
Nazaren Ferlen, Uski Taraf
Dekhna Hi Nahi Chahiye.
.
(Irfan-e-Shar iat Part 1 Page
15)
.
.
3.Kuch Utaara Baaki Toda
Aur Dafan Kar Diye, Yah Har
Saal Maal Ki Barbaad Karne
Ke Jurm Me Do Gunah
Judagaana Hai, Taziadari Iss
Galat Tareeqe Ka Naam Hai,
Bilkul Bidat Wa Najayez Wa
Haram Hai”
.
(Kitab Tajiyadari Page 4)
.
.
4.“Taaziye Par Chadha
Khana Na Khana Chahiye,
Agar Niyaz Dekar
Chadhayen, Ya Chadhakar
Niyaz Den Toh Bhi Uske
Khane Se Parhez Karen”
.
(Kitab Tajiyadari Page 11)
.
.
Sawaal: Taziya Banana Aur
Us Par Nazar Wa Niyaz
Karna, Zaruraten Poori Hone
Ki Ummeed Me Mannate
Latkana Aur Acchi Bidaton Ki
Niyat Se Use Bhalai Janna
Kaisa Gunah Hai?
.
Jawab: Ye Saare Kaam Jis
Tarah Logon Me Aaj Ke
Zamane Me Mashhoor Hain,
Bidaten Aur Haram Wa
Najayez Hain.
Isi Tarah Muharram Ki Dusri
Bidat Marsiya Padhne Ke
Baare Me “Irfan-e-Sharia t”
Ke Pahle Part Page Par Ek
Sawal Wa Jawab Yah Hai,
.
(Irfan-e-Shar iat Page 15
16)
.
.
Sawaal: Muharram Shareef
Me Marsiya Padhne Me
Shirqat Jayez Hai Ya Nahi??
.
Jawab: Najayez Hai, Weh
Gunahon Se Bhare Hote
Hain.
“Muharram Me Siyah Ya
Sabz Kapde Gham Ki Nishani
Hai Aur Gham Haraam Hai”
.
(Ahkam Shariat 171)
.
.
Mas’ala:
1. Kuch Ahle Sunnat Wal
Jamat Muharram Ke Dinon
Me Na Toh Din Bhar Roti
Pakaate Hain Na Jhaadu
Dete Hain, Kahte Hain Dafan
Karne Ke Baad Pakaayi
Jayegi.
.
2. Inn 10 Dinon Me Kapde
Nahi Utaarte.
.
3. Maahe Muharram Me Koi
Shaadi-Biyah Nahi Karte.
.
Jawab: “Teeno Baatein
Gham Hain, Aur Gham
Haraam Hai”
.
(Ahkam Shariat Part 1 Pg
171)
.
.
Mas’ala:
Muharram Me Taziya Dari
Karna Seena Pitna Kaisa
Hai?
.
Jawaab: Taziya Dari Wa
Seena Kubi Haraam.Wallahu
Taala Ilma
.
Fatawa Razwiya Jild-24,
Page-141
.
.
“Taziya Dekhna Bhi Jayez
Nahi”
.
(Fatawa Rizwiya Jild
24 Page143)
.
.
Al-Quran-e-Kari m,
“Aur Haq Ko Batil Ke Saath
Na Milao Aur Sachi Baat Ko
Jaan Bujh Kar Na Choopao.”
.
(Surah : Al-Baqara Aayat:42)
Haq Bat:“Taziya Nikalna,
Dhol Bajana Ye Bura Tariqa
Hai Lihaza Har Ek Inse Dur
Rahe”
.
.
Taziya Mamnu’ Hai, Sharah
Me Kuch Asal Nahi ….
Hazrat (Alaihi Rahamtulah)
Rizwaan Ne Bhi Mahe
Muharram Me Kiye Jaane
Wale Bure Kaamo Ki Sakht
Muzammat Farmaayi Hai,
Aap Tahereer Karte Hai:
“Taziya Mamnu’ Hai, Sharah
Me Kuch Asal Nahi Aur Jo
Kuch Bida’at Unn Ke Saath Ki
Jaati Hai Sakht Najayaz Hai,
Taziya Par Jo Mithaai
Chadhayii Jaati Hai Agarche
Harram Nahi Ho Jaati Magar
Iss Ke Khaane Me Jahilon Ki
Nazar Me Ek Amar Najayaz
Ki Waqa’at Badhaane Aur Iss
Ke Tarak Me Iss Se Nafartt
Dilaani Hai…
Lehaza Na Khaai Jaaae, Dhol
Bajaana Harram Hai.”
.
(Fatwa E Razviya ,Jild:10 ,
Pg.189)




Hazrat Abu Malik Ashari Radi-Allahu-
Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah
Sallallhu-Alaihi-Wasallam
>ne farmaya noha (Matam) karna
jahiliyat ka kaam hai , aur noha
karney wali agar bina tauba ke mar
jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka
libas aur Dozakh ke sholo ka kurta
pahnayega Sunan Ibn Majah,
Vol 1 , # 1581 ( Hasan)
Umma Atiyyah Radi-Allahu-Anha se
rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-
Alaihi-Wasallam
>ne humein Noha (Matam) karney se
mana farmaya hai
Sunan Abu Dawud, Vol 2, #1350
( Sahih)





Q.Aashurah ke din hume kya karna
chahiye ?
.
Aashurah ke din 10 cheezo ko ulma e
keeram ne mustahab likha hai. ba'az
ulma ne Irshad-e-Nabvi sallallaho
alayhi wasallam aur ba'az ulma ne ise
Hazrat Sayyaduna Maula Ali mushkil
Qusha radiallahu anhu ka qaul
bataya hai.
.
Bahar haal yeh sab kaam ache hai
lihaja hume ye karne chahiye.
.
1 : Roza rakhna
2 : Sadkqah karna
3 : Nawafil padhna
4 : Ek hajar martaba Surah Ikhlas
padhna
5 : Ulma aur Auwliya ki ziyarat karna
6 : Yateemo ke sir par haath rakhna
7 : apne ghar waalo par khane mei
wus'at wa farakhi karna
8 : Surmah lagana
9 : Gusl karna
10 : Nakhoon tarasna aur mareezo ki
bimaar pursi karna aur Imam-e-Aali Maqam aur digar Auliya-e-Keeram aur
Shohda-e-Izaam ki fatiha dilana aur Isaale Sawaab karna.
.
(Taarikh-e-Karbala : page-394)






PART_16

MOHARRAMUL HARAM FAZA,AIL AUR WAQIAAT:
............................................................................................................
BE MISL SHAHADAT:

Islam ki Nashr o Isha,at aur us ki Baqa ke liye be shumaar Musalman ab
tak Shaheed kiye gaye Magar in tamaam logo me Syedush Shuhada Hazrat
Imam HUSAIN RadiAllhu Ta'ala Anhu ki Shahadat be Misl hai ke Aap Jesi
Museebate kisi Dusre Shaheed ne nahen uthaye , Aap 3 Din ke Bhooke
piyaase Shaheed kiye gaye is haal me ke Aap ke Tamaam Rufaqaa , Aziz o
Aqarib aur Ahl o Ayaal bhi sab Bhooke piyaase the aur chhote bach,che
paani ke liye Tarap rahe the , ye Aap ke liye aur ziyada Museebat ki
baat thi is liye ke insan Apni Bhook o Piyaas to bardaasht kar leta
hai lekin Ahl o Ayaal aur khaas kar Chhote Bacchon ki bhook o piyaas
use pagal bana deti hai .
Aur jab paani ka wujood nahi hota to piyaas ki Takleef kam hoti hai
lekin Jab ke paani ki Buhtaat ho jise Aam log har tarah se Istemaal
kar rahe ho Yahan tak ke Jaanwar bhi us se Sairaab ho rahe ho Magar
koi shakhs jo 3 din ka bhooka piyasa ho use na pine diya jaay to ye us
ke liye ziyada Takleef ki baat hai .
Aur Medaan e Karbala Me yahi Naqsha tha ke Aadmi or Jaanwar Sabhi log
Daryaay Furaat se Sairaab ho rahe the Magar Imam Aali Maqaam aur un ke
Tamaam Rufaqaa par Paani band kar diya gaya tha yahan tak ke Aap Apne
Bimaaro aur chhote Bacchon ko bhi 1 Qatra nahen pila sakte the .
US KI QUDRAT JAANWAR TAK AAB SE SAIRAAB HON .........!
PIYAAS KI SHIDDAT MAIN TARPE BE ZUBAAN E AHLE BAIT
Aur phir Ghair Aisa kare to Takleef ka ehsaas kam hoga aur yahan haal
ye hai ke ke khana paani Rokne wale Apne ko Apne ko Musalman hi
kehlate hai , Kalma padhte hai , Namazen Ada karte hai aur un ke Nana
jaan ka ism e giraami Azaanon main buland karte hai Magar Nawaase par
Zulm o Sitam ka pahaar torte hai .
Agarche Hazrat Usman Ghani RadiAllahu Ta'ala Anhu par bhi paani band
kar diya gaya tha Magar wo Apne ghar aur Apne watan me the , aur Imam
Aali Muqaam Apne ghar se door be watan hai us ke sath tez Dhoop Tapti
hue zameen aur garam hawaon ke thapere bhi hain .
Aur Aap ko ye Andesha bhi daman geer tha ke Meri Shahadat ke baad Mera
tamaam saazo samaan Loot liya jayega , Khima jala diya jaay ga ,
Mastooraat be Sahara ho jayegi aur unhe Qaid kar liya jayega . In
halaat me Agar Rustam bhi hota to us ke Hosle past ho jate aur wo Apni
gardan jhuka deta ______Lekin Sysdush Shuhadaa Hazrat imam HUSAIN
RadiAllahu Ta'ala Anhu in Masa,aib o Aalaam ke Hujoom me bhi Baatil ke
Muqable ke liye Sabr o Raza ka Pahaad ban kar Qaim rahe or Aap ke
Pa,ay isteqlaal me Laghzish nahi Peda huyi Yaha tak ke 73 Zakhm kha
kar Shaheed ho gaye aur phir Aap ki Laash e Mubarak ghoron ki Tapon se
Rondi bhi gayi .
Aap ki ye Shahadat Be Misl hai jis ne Yazeediyat ko Murda kar diya use
Duniya me nahi phail ne diya aur Deene Islam ko Maskh hone se bacha
liya .
Isi liye Sultaanul hind Hazrat Khwaja Gharib Nawaaz Rahmatullah allaih
farmate hai.
SHAH AST HUSAIN BADSHAH AST HUSAIN__DEEN AST HUSAIN DEEN PANAAH AST
HUSAIN__SAR DAAD NA DAAD DAST DAR DAST E YAZEED__HAQQA KE BINA,AY LA
ILAH AST HUSAIN.

●●═●DONT FORGET TO SHARE●═●




PART_11

MUHARRAMUL HARAM FAZA,AIL AUR WAQIAAT:
.................................................................

MOHARRAM KE PEHLE DIN KE NAFL:

Yakum (pehli) Muharram sharif ke din 2 Rakat Namaz Nafl padhe ke har
Rakat me ALHAMDU SHARIF ke baad 3 Martaba قل ھو ا للہ ا حد padhe salam
ke baad haath utha kar ye DUA padhe ۔
ا للھم ا نت ا للہ ا لا بد ا لقد یم ھذ ہ سنۃ جد ید ۃ ا سٔلک فیھا ا
لعصمۃ من ا لشیطن ا لر جیم و ا لا ما ن من ا لسلطن ا لجا بر و من شر کل ذ
ی شر و من ا لبلا و ا لا فا ت و ا سٔلک ا لعو ن و ا لعد ل علی ھذ ہ ا
لنفس ا لا ما ر ۃ با لسو ء و ا لا شتغا ل بما یقر بنی ا لیک یا بر یا ر ؤ
ف یا ر حیم یا ذ ا لجلا ل و ا لا کر ا م
Jo shakhs is Namaz ko padhe ga ALLAH TA'ALA us ke uopar 2 Farishte
Muqarrar kar de ga ta ke wo us ke karobaar me us ki Madad karen , Aur
Shaitaan La,aeen kehta hai ke Afsoos Mai is shakhs se tamaam saal na
ummid hua .
(ر ا حۃ ا لقلو ب ، جو ا ہر غیبی)
AASHOORA KI RAAT KE NAFL
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,****,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Aashoora ki raat ke mutalliq bhut Namazen Aayi hai .
(1)Jo shakhs is raat main 4 Rak,at Namaz padhe ke har Rakat me ا لحمد
شر یف ke baad 50 baar قل ھو ا للہ ا حد padhe tu ALLAH TA'ALA us ke 50
saal ke pehle or 50 saal baad ke Gunaah bakhsh deta hai or us ke liye
Malay Aala me 1 hazaar Mahal tayyaar karta hai .
(ما ثبت من ا لسنۃ ص ۱۶ ، غنیۃ ا لطا لبین جلد ۲ ص ۵۴)
(2)Isi raat 2 Rakat Nafl Qabr ki Roshni ke waaste padhi jati hai jin
ki tarkeeb ye hai ke har Rakat main ا لحمد شر یف ke baad teen teen
Martaba قل ھو ا للہ ا حد padhe , Jo Aadmi is raat me ye Namaz padhe ga
to ALLAH TABARAKU TA'ALA Qayamat tak us ki Qabr Roshan rakhega .
(جو ا ہر غیبی)
AASHOORA KE DIN KE NAFL
..............................***....................
Huzoor Syedul Mursaleen sallAllahu Ta'ala Alaihi wasallam ne farmaya :
ke Jo Aadmi Aashoora ke Roz 4 Rak,at Namaz padhe ke har rakat me سو ر
ۂ فا تحہ Aur قل ھو ا للہ ا حد 11 / 11 Martaba padhe tu ALLAH TA'ALA us
ke 50 saal ke gunah bakhsh deta hai aur us ke liye 1 Noorani mimbar
banata hai .
(نز ہتہ ا لمجا لس جلد ۱ ص ۱۴۶)

●●═●DONT FORGET TO SHARE●═●

●●═●HUM TAMAM AHLE IMAAN WALOUN KO ÍS PAGE ME KHUSHAMADEED KEHTE HAÎ●═●




PART __10
MOHARRAMUL HARAM FAZAIL AUR WAQIAAT:
.............................................
MARTABA-E-SHAHADAT:
Irshad e Khuda wandi hai ;
و لا تحسبن ا لذ ین قتلو ا فی سبیل ا للہ ا موا تا بل ا حیا ء عند ر بھم یر ز قو ن
TARJUMA :- Jo log ALLAH ki raah me Qatl kiye ga,ay unhen Murda har giz
na khayaal karna balke wo Apne rab ke paas zinda hai , Rozi diye jate
hain .)پ ۴ ع ۸(
SHAHADAT AAKHRI MANZIL HAI INSAANI SA,AADAT KI______.....!
WO KHUSH QISMAT HAIN MIL JAAY JINHEN DOLAT SHAHADAT KI
SHAHADAT PA KE HASTI ZINDA E JAWED HOTI HAI ___________.....!
YE RANGEEN SHAAM SUBH E EID KI TAMHEED HOTI HAI ________..!
SHAHEED KI QISMEN
,,,,,,,,,,,,,,,,,***,,,,,,,,,,,,,,,,
Shaheed ki 3 Qismen hain ___________1 , Shaheed e Haqeeqi ,2 , Shaheed e Fiqhi ,
3 ,Shaheed e Hukmi , ___________Jo ALLAH ki Raah main Qatl kiya jaay
wo Shaheed e Haqeeqi hai , Aur Shaheed e Fiqhi use kehte hai ke Aaqil
Baaligh Musalman jis par Ghusl farz na ho wo Talwaar o Bandooq waghera
se Zulman Qatl kiya jaay or Qatl ki wajah se Maal na wajib hua ho ,
aur na zakhmi hone ke baad koi faida Duniya se hasil kiya ho aur na
zindon ke Ahkaam me se koi hukm us par sabit hua ho .
Yaani Agar pagal , na Baligh ya Haiz o Nifaas wali Auraten aur Junb
Shaheed kiye jaye to wo Shaheed e Fiqhi nahi , aur Agar Qatl se Maal
wajib hua ho Jese ke Laathi se mara gayaya Qatl e Khata ke maar raha
tha shikaar ko aur lag gaya kisi Musalman ko , ya zakhmi hone ke baad
khaya , piya , Ilaaj kiya , Namaz ka pura waqt hosh me guzra or wo
Namaz par Qadir tha ya kisi baat ki wasiyat ki to wo Shaheed e Fiqhi
nahi __Magar Shaheed e Fiqhi na hone ka ye Maana nahi ke wo Shaheed
hone ka sawaab bhi nahi payega balke is ka Matlab sirf itna hai ke use
Ghusl diya jayega Aur Shaheed e Fiqhi ki Namaz e Janaza to padhi
jaaygi magar use Ghusl nahi diya jayega wese hi khoon ke sath Dafn kar
diya jayega . Aur jo cheezen Kafan ki Qism se nahi hogi unhe utaar
liya ja,ay ga Jese Zirah , Topi or Hathyaar waghera , aur Kafan
Masnoon me Agar kami hogi to use poora kiya jayega . Pajama nahi utara
jaay or sare kapre utaar kar Na,ay kapre nahi diye ja,ayege ke Makrooh
hai .
Aur Shaheed e Hukmi wo hai ke jo Zulman Qatl kiya gaya Magar Qayamat
ke din wo Shaheedon ke girooh me uthaya jayega .

●●═●DONT FORGET TO SHARE●═●

●●═●HUM TAMAM AHLE IMAAN WALOUN KO ÍS PAGE ME KHUSHAMADEED KEHTE HAÎ●═●




PART __9
MOHARRAMUL HARAM FAZAIL AUR WAQIAAT:
.................................................................
AASHOORA KE DIN NEK KAAM:

HADITH :

Sayyedna Hazrat Abu Malik Ash,ari RadiAllahu Taala Anhu se Marwi hai
ke Rasool e Khuda sallAllahu Ta'ala Alaihi wasallam ne farmaya ke: 4
khaslaten (Aadaten) Meri ummat me Jahiliyat ke kaam se payi jati hain
Apne hasab par Fakhr karna , Ta,an karna , Logo ke Nasab me Aaib
nikaalna , Sitaaron se barish talab karna aur Maatam main Nauha karna
or Farmaya ke Nauha karne wali Marne se Qabl (pehle ) Tauba na kare tu
Qayamaty ke roz is haal me khadi ki jayegi ke gandhak ki Qamees us par
hogi aur 1 Qamees kharish wali hogi.
(ر و ا ہ مسلم ، مشکو ۃ ص ۱۵۰)
MUHARRAM ki DUAYEN Aur NAFLI ROZE aur NAMAZEN

DUA:
Pehli Moharram ko jo ye Dua padhe to Shaitaan La,aeen se mehfooz rahe
aur pura saal 2 Farishte us ki hifazat par Muqarrar ho , DUA ye hai .
ا للھم ا نت ا لا بد ی ا لقد یم و ھذ ہ سنۃ جد ید ۃ ا سیٔلک فیھا ا لعصمۃ
من ا لشیطن و ا ولیا ٔیہ و ا لعو ن علی
ھذ ہ ا لنفس ا لا ما ر ۃ با لسو ء و ا لا شتغا ل بما یقر بنی ا لیک یا کر یم
(نز ہتہ ا لمجا لس جلد ا و ل ص ۱۴۵




PART__8

MOHARRAMUL HARAM FAZAIL AUR WAQIAAT:
....................................................................................................

H I K A Y A T:

Rauzul Afkaar main bayaan kiya gaya hai ke 1 shakhs ne Aashoora ke Roz
7 Dirhum Khairaat kiye aur saal bhar us ke Iwaz ka intezar karta raha
, Jab dobara Aashoora ka din Aaya to us ne 1 Aalim e Deen se suna ke
wo farma rahe hai ke jo shakhs Aashoora ke Din 1 Dirhum Khairaat kare
ga ALLAH TAALA use us ke badle main 1 hazaar Dirhum Ata farmayga , to
us ne kaha ke Mai ye baat Taslim nahen karta kiyon ke Mai ne pichle
Aashoora ke din 7 Dirhum Khairaat kiye the aur poora saal guzar gaya
magar mujhe us ke badle kuch bhi nahi mila , Jab raat Aai tu 1 Aadmi 7
hazaar Dirhum le kar us shakhs ke paas Aaya aur kaha: Ae Jhoote ye 7
hazaar Dirhum pakar le , Agar tu Qayamat tak SABR karta to ye tere
liye behtar hota , Magar tu ne SABR na kiya .
(نز ہتہ ا لمجا لس جلد ا و ل ص ۱۴۷)
AASHOORA KE DIN JO KAAM MAMNOO HAI
............... ............... ..........@@@.. ...............
............... .
(1) Aashoora ke din Siyaah (Black) kapre pehinna , Seena kobi karna
(chhati peetna) Kapde phaadna , Baal nochna , Nauha karna , Chhuri
chaaqoo se Badan zakhmi karna Haraam aur gunaah hai . Aese Afaal par
sakht wa,aiden Aai hain.
Abdullah bin Masood RadiAllahu Ta'ala Anhu se Riwayat hai ke Rasool e
Khuda SallAllahu Ta'ala Alaihi wasallam ne farmaya ke : Hamare Tariqe
par wo nahi hai jo Rukhsaaron ko maare or girebaan phaare aur pukaare
Jahiliyat ka pukarna .
(ر و ا ہ ا لبخا ر ی ، مشکو ۃ ص ۱۵۰)
(2) Syedna Abu Huraira RadiAllahu Taala Anhu ne farmaya ke Abu Moosa
RadiAllahu Anhu par Be hoshi taari ho gaai pas us ki Aurat Ayi jis ki
Kunniyat umm e Abdullah thi is haal me Rone ke sath Aawaaz karti thi
jab un ko ifaqa huwa tu kaha kiya tu nahi jaanti aur the Abu Moosa
Radi Allahu Ta'ala Anhu ke us ko khabar de rahe the ke Pegambar e
Khuda sallAllahu Ta'ala Alaihi wasallam ne farmaya : Main Bezaar hu us
shakhs se jo baal Mundaye aur Buland Aawaaz se Roaye aur Kapde phaade.
(ر و ا ہ ا لبخا ر ی و مسلم ، مشکو ۃ ص ۱۵۰)




YAUME AASHURA
[HADITH]- ASHURA ka ROZA
rakho aur Is'mE YahudiYo ki Mukhalifat karo
Is'se qabl Ya Baad 1 diN ka
ROZA rakho
[Musnad-Imam-AHMED; V-1 p:518
.
HADEES:
"Mujhe Allah Par Guman Hai Ki
AASHURA(10vi Muharram) Ka Roza Ek Saal Qabl (pehle)Ke Gunah Mita Deta Hai"
{muslim Hadis-1162}
.
Guzarish:
9, 10 Muharram Ko Ziyada Se Ziyada Nek Kaam Karke Imame Hasan O Husain
Radhiallahu anhu
Ko khiraje
Aqidat Pesh Karen
Huzoor Alaihissalam Ne Farmaya Aashura Ka Roza Rakho Aur Iske Saath 9
Ya 11 Tareekh Ka Roza Rakhlo Aur Yahood Se Mushabihat Na Karo (muslim)
.
Huzoore Pak ne farmaya jisne Ashura (10 Muharram) k din roza rakha usey
dojakh ki aag mas na karegi
(Anisul Waizin 221)
.
Jo Aashura K Din Gusl Karega Insha Allah Wo Tamam Saal Bimariyon Se
Mahfuz Rahega (Ruhul Bayan)
.
Note:10 Muharram Ko Aashura Kehte Hain,
10 Muharramu Aashura K Din
AYYUB ALAYHIS SALAM Ki Taklif Raf'a Ki Gai
aur
YUSUF ALAYHIS SALAM Gehre Kunwe"Se Nikale Gaye
>MUQASHAFATUL QULUB
.
10 Muharram Aashura Ke Din
YUNUS ALAYHIS SALAM Machhli K Pet"Se Nikale Gaye
Aur
YAQOOB ALAIHIS SALAAM Ki Binaai Ka Zu'af Door Hua
>M.QULUB
.
10 Muharramul Haram Aashura K Din
SULEMAAN ALYHISSALAM Ko Mulke Azim Ata Kiya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
.
10 Muharramul Haram Aashura Ke Din
NOOH ALAYHIS SALAM Ki Kashti Kuhe Judi Par Thahri.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
.
10 Muharramul Haram Aashura K Din
MOOSA ALAYHIS SALAM Or Aap Ki Ummat Ko Najat Mili Or Fir'on Apni Qaom
Samet Garaq Hua
>MUQASHAFATUL Q. S;311
.
10 Muharramul Haram Aashura Ke Din
ISAA ALAYHIS SALAM Paida Kiye Gaye,
Isi Din Unhe Aasmano Ki Taraf Uthaya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
10 Muharramul Haram Aashura K Roz AADAM ALAYHIS SALAM Ko Paida Kiya Gaya,
Isi Din Unhe Jannat Me Dakhil Kiya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311


●●═●DONT FORGET TO SHARE●═●






10 Moharram K Din Insan Ki
Her DUA,
TAUBA Qubool Hogi,
Q K Is Din Hazrat Aadam
(ALAIHISSALAM) Ki Tauba
Qubool Hui Thi...
Hazrat Moosa (ALAIHISSALAM) Ki Dua
Qubool Hui Thi...
Hazrat Isa (ALAIHISSALAM) Asmän Per
Utha Liye Gaye They,
Hazrat Younis (ALAIHISSALAM) Machhli
K Pait Se Nikäley Gaye The,
Hazrat Muhammad Mustafa (Sallallaho
Alaihe Wasallam) NE FARAAN KI CHOTI
PAR nabuwat ka ailaan isi taareekh ko
kiya.
aur 10 Muharram ko Nooh
ALAIHISSALAM. ki kashti toofan se paar
aayi thi,
isi taareekh ko IBRAHEEM
ALAIHISSALAM. aatishe namrood se
bahar nikle the,
isi taareekh ko AYYUB ALAIHISSALAM.
ko keede se nijaat mili, isi tareekh ko
ISLAAM ko bachane ke liye MERE NABI
KE nawase HAZRAT IMAM HUSSAIN
RADIYALLAHU ANHU. Ne karbala ki
zameen par apne aal ki aur apni
QURBANI di,
aur isi taareekh ko QAYAMAT BHI
AAYEGI....!!!!!!!!!!!!
Isliye Is Din Allah Se Apne
Gunaho Ki Muafi Mangen Or
Jo Dua Mange Mujhe Bhi Plz Shamil
Krlen
Allah Taala Qubul Farmayega.
IN'SHA'ALLAH
NABI KARIM (Sallahu Wallaihi Wassallam) Ne Frmaya : In Mauqon par
Foran DUA Mango.., Us Waqt DUA Radd Nahi Hogi, 1. Jab dhoop ma barish
ho rhi ho, 2. Jab azaan ho rhi ho, 3. Safer k doran.. 4.Juma ky dn..
5.Raat ko ankh khuly to us wqt 6.mosibt ky wkt 7.frz nmazon ky bad AAP
(Sallahu Wallaihi Wassallam) Ne farmaya: Allah US k chehray ko roshan
karay jo hadees Sun k Aagy pohnchata hai." 1)Subhanallah
2)Alhamdulilah 3)AllahuAkbar

Pehle send kardo,

Kyunki jabtak koi yeh MSG Padta Rahega,

Jannat me
Aap ke Naam ka Ped Lagta rahega,

Dont stop

A






∗ Sab Rozo Me Afzal Ramzan Ke Baad Muharram
Ke Roze …
» Hadees : Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala
Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool Allah ﷺ
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Sab Rozo Me Afzal Ramzan Ke Baad Muharram
Ke Roze Hain, Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad
Namaz-e-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hai”.
-: (Sahih Muslim , Vol 3, 2755)
» Hadees : Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala
Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Ek Sahib Rasool’Allah ﷺ
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me
Hazir Hokar Arz Karney Lagey Ki,
“Ramzan Ke Baad Sabse Ziyada Fazilat Kaun Se
Rozo Ki Hai Toh Aap (Sallallahu-Alaihi-
Wasallam) Ne Farmaya,
“Allah Ka Mahina Jise Tum Muharram Kahte Ho”.
-: Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 ( Sahih)




Aaj 9 moharram hai
date check>>> http://gujchand.com/
kal subah ka roza rakhen
aur 10 moharramul haram
ka bhi...
ya fir 10 aur 11 ka rakhen
iski bohat fazilat hai,

aur ek bat yaad rakhen
islamic date shaam ko
suraj dubne k bad
badalti hai
raat ko 12 k bad nahi english date ki tarha
islie aaj din me 8 thi aur magrib k baad se 9 ho gai
.

YAUME AASHURA
[HADITH]- ASHURA ka ROZA
rakho aur Is'mE YahudiYo ki Mukhalifat karo
Is'se qabl Ya Baad 1 diN ka
ROZA rakho
[Musnad-Imam-AHMED; V-1 p:518
.
HADEES:
"Mujhe Allah Par Guman Hai Ki
AASHURA(10vi Muharram) Ka Roza Ek Saal Qabl (pehle)Ke Gunah Mita Deta Hai"
{muslim Hadis-1162}
.
Guzarish:
9, 10 Muharram Ko Ziyada Se Ziyada Nek Kaam Karke Imame Hasan O Husain
Radhiallahu anhu
Ko khiraje
Aqidat Pesh Karen
Huzoor Alaihissalam Ne Farmaya Aashura Ka Roza Rakho Aur Iske Saath 9
Ya 11 Tareekh Ka Roza Rakhlo Aur Yahood Se Mushabihat Na Karo (muslim)
.
Huzoore Pak ne farmaya jisne Ashura (10 Muharram) k din roza rakha usey
dojakh ki aag mas na karegi
(Anisul Waizin 221)
.
Jo Aashura K Din Gusl Karega Insha Allah Wo Tamam Saal Bimariyon Se
Mahfuz Rahega (Ruhul Bayan)
.
Note:10 Muharram Ko Aashura Kehte Hain,
10 Muharramu Aashura K Din
AYYUB ALAYHIS SALAM Ki Taklif Raf'a Ki Gai
aur
YUSUF ALAYHIS SALAM Gehre Kunwe"Se Nikale Gaye
>MUQASHAFATUL QULUB
.
10 Muharram Aashura Ke Din
YUNUS ALAYHIS SALAM Machhli K Pet"Se Nikale Gaye
Aur
YAQOOB ALAIHIS SALAAM Ki Binaai Ka Zu'af Door Hua
>M.QULUB
.
10 Muharramul Haram Aashura K Din
SULEMAAN ALYHISSALAM Ko Mulke Azim Ata Kiya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
.
10 Muharramul Haram Aashura Ke Din
NOOH ALAYHIS SALAM Ki Kashti Kuhe Judi Par Thahri.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
.
10 Muharramul Haram Aashura K Din
MOOSA ALAYHIS SALAM Or Aap Ki Ummat Ko Najat Mili Or Fir'on Apni Qaom
Samet Garaq Hua
>MUQASHAFATUL Q. S;311
.
10 Muharramul Haram Aashura Ke Din
ISAA ALAYHIS SALAM Paida Kiye Gaye,
Isi Din Unhe Aasmano Ki Taraf Uthaya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311
10 Muharramul Haram Aashura K Roz AADAM ALAYHIS SALAM Ko Paida Kiya Gaya,
Isi Din Unhe Jannat Me Dakhil Kiya Gaya.
>MUQASHAFATUL QULUB S;311

must read msg & downloading mp3
speech zikre husain
http://diniraah.wen.ru/Zikre-Husain.html


• aashurah ke din 10 cheezo ko ulma e keeram ne mustahab likha hai.
ba'az ulma ne Irshad-e-Nabvi sallallaho alayhi wasallam aur ba'az ulma
ne ise Hazrat Sayyaduna Maula Ali mushkil Qusha radiallahu anhu ka
qaul bataya hai.
bahar haal yeh sab kaam ache hai lihaja hume ye karne chahiye.
1 : Roza rakhna
2 : Sadkqah karna
3 : Nawafil padhna
4 : ek hajar martaba Surah Ikhlas padhna
5 : Ulma aur Awliya ki ziyarat karna
6 : Yateemo ke sir par haath rakhna
7 : apne ghar walo par khane me wus'at wa farakhi karna
8 : Surmah lagana
9 : Gusl karna
10 : Nakhoon tarasna aur mareezo ki bimaar pursi karna aur Imam-e-Aali
Maqam aur digar Auliya-e-Keeram aur Shohda-e-Izaam ki fatiha dilana.
(Taarikh-e-Karbala : page-394)

• Importamt Mas'ala:

Bahot zaroori Information, Aaj Kal (Khas karke Moharram Wagaira
Tahewaron par) Hamare Kuchh Bhai Bahen Kam Ilmi aur Jahalat Ki wajah
se Balon (Hair) me Red/Brown Colour Lagate hai.. Jinhe Hair Dye Kaha
Jata Hai. Ye Haraam Hai. Lagane wale Ka Gusal Nahi hoga.

Mas'ala:
Baal Mein Siya Khizaab (Colour) Lagana Musalmano ko Haram He
[ AlMalfuz Safa: 227 ]


• MOHARRAM ME HONE WALE
GALAT RASMO RIWAZ
.
[Maslah]
TAAZIYA Mamnua hai sharah
mE Iski kuch Asl NAHI aur jo
BIDAT
UnkE saath kijati hai sakht
HARAAM hai
[Fatawa-RAZVIYA V-24 p:490 .
[ZARURI-Maslah]
"TAZIYA Banana, dEKHNA
Jaiz NAHI aur Iski tazeem aur
Is'se AQEEDAT rakhna saqt
HARAAM hai" [Fatawa-RAZVIYA
Vol-24 p:489
.
TAAZIYE mE kisi qism ki
Imdaad JAIZ NAHI-
[Al-QURAN]- "Gunaah aur ziYadati kE Muamulat mE Aik-
dUSRE ki MADAD NA karo"
(surah:Maeedah a.2)
.
DHOL-taashe Bajana, Gali-Gali
GHUMNA, Uchalte koodte Maatam karna!!! Ye sab
jaahiliYat
aur RAAFZIYO (shiYo) ki
rasmein
hain- Inse Bachein
. TAAZIYA kYa hai-
"shiYo
kE Juloos mE MAQBRA Ya
qabr Banate aur saath hEE
dHol-taashe Bajate hain
IseY TAAZIYA kaha jata hai
(sakht-HARAAM)
.
[Maslah]-
Musalmano kO chahiYe kE
Ashrah'E MUHARRAM mE 3 rango kO pahanne'se Bache!
siYaah, sabz aur surkh -
[Fatawa-E-RAZA VIYA; V-24 p:496]
.
"AYYAM-E-MUHARR AM" Yani 1'se 12 MUHARRAM tak
kaala rang NA pahna jaYe!
Ye RAFZIYO (shiYo) ka
TAREEQA hai -[SUNNI'Bahisht
i-ZEWAR; V-5 p:578]
. MUHARRAM mE NIKAH karna
kaisa?
"Maah'E Muharram mE NIKAH
karna
Jaaiz hai, NIKAH kisi MAHINE
mE Mana NAHI" -[Fatawa-E- RAZA WIYYA; V-11 p:265] .
imam Husain Ki Yaad Shariat
Ke Dayre Me Manayen.
Unki Azeem Qurabni Ko Khel
Kood Ka Zarya Na Banayen.
Balki Esale Sawab Ka Ehtemam Karen
Taziya Banana Usy Tazim Se
Uthana Gali
Kuchon Me Ghumana Ussy
Minnate Mangna Aur Us Par
Chadhawe Chadhana Najaiz-O- Haram Hai.
Issy Bachiye
AALAHAZRAT Ka Risala
Taziyadri Padhiye. Jisme Aap
Ne Moharram Ki Bid'aton Ka
Radd Kiya Hai. Taziya Daari Ki Shariat Me Koi
Asal Nahi
.
[Maslah]-
TAAZIYE, gasht, charavah,
dHol-taashe, MARSIYE wagairah Ye sab sakht
"HARAAM" hai
[Fatawa-RAZVIYA V-24 p:498]
.
ALLAH HAMEN
IN TAMAAM GALAT KAAMO
SE
MAHFUZ FARMAYE AAMEEN »»»» http:// diniraah.wen.ru/ «««««« ??-?DONT FORGET TO
SHARE?-?
??-?HUM TAMAM AHLE
IMAAN WALOUN KO ÍS PAGE
ME KHUSHAMADEED KEHTE
HAÎ?-? ??-? SO PLEASE LIKE THIS
PAGE?-?
P£z £îke ??? Dini Aurat ??-?TÁLÎB € DUà ?-??
?-+•••?Möhämmëd
Ikräm?•••+-? ¦ PLEASE TAGS & SHARE ON YOUR WALL ¦
@Muharram Me Aashura Ka
Roza ……
.
» 9vi Aur 10vi Muharram
Dono Din Roza Rakhe Aur
Agar Na Ho Sake Toh Aashura Hi Ke Din Roza
Rakhe Iss Roza Ka Sawaab
Bahut Bada Hai
-(Muslim Sharif)
.
» Jis Ne Aashura Ki Shaam Kisi Momin Ka Roza Iftar
Karaya,
Usko Puri Ummat Ko Roza
Iftar Karane Ka Sawaab
Milega.
-:(Gunyatut Talibin) SUBHAN'ALLAH


• MOHARRAMUL HARAM
FAZAIL AUR WAQIAAT:
............... ............... ........... YAUM e AASHOORA KE
MASHOOR WAQIAAT: ISLAMI Saal ka pahla Mahina
Moharramul Haraam hai or
MOHARRAM ko MOHARRAM is
liye kaha jata hai ke is Mahine
me Jung o Qitaal Haraam hai ,
ye ALLAH TA'ALA ka Mahina hai or is Mahine me
AASHOORA ka din bohut Mua
azzam hai Yaani 10 ve
MUHARRAM ka din is me
Mundarja zel Waqiaat
Roonuma hue. 1( Firaun aur us ka Lashkar
gharq hua .
2( Sayyedna Hazrat Aadam
Alaihissalam ki Tauba Qubool
hui .
3( Sayyedna Hazrat Yonus Alaihissalam ki Qaum ki Tauba
Qubool hui .
4( Sayyedna Hazrat Nooh
Alaihissalam Kashti se salaamti
ke saath utre aur Shukriye ke
taur par Roza rakha aur Dusro ko Roza ka hukm diya .
5( Sayyedna Hazrat Ibrahim
Khalilullah Alaihissalatu
wassalam Paida hue.
6( Sayyedna Hazrat EISA
Alaihissalatu wassalam Paida hue.
)????? ???? ?? ?? ? ?? ?? ??? ? ??? )?? ???? ? ??? ?? 7( Syedna Hazrat Yosuf
Alaihissalam Qaid se nikle .
8( Sayyedna Hazrat Yonus
Alaihissalam Machhli ke pet se
nikle .
)??? ???? ?? ?? ? ?? ?? ??? ? ??? )??? ? ? 9( Sayyedna Hazrat Mosa
Alaihissalam Paida hue .
10(Sayyedna Hazrat Ibrahim
Alaihissalam par Naar e
Namrood gulzaar hue .
11(Sayyedna Hazrat YAQOOB Alaihissalam ki Binai wapas
Ayi
12( Sayyedna Hazrat YOSUF
Alaihissalam Kuae se nikle.
13( Sayydna Hazrat SULAIMAN
Alaihissalam ko Badshahi mili . 14( Sayyadna Hazrat MOSA
Alaihissalam Jaadoo garo par
ghalib Aye.
)?? ? ? ?? ????? ? ?? ???(


• Mafhum e Hadees Shareef: HUZOOR Sallallhu Alaihi-Wa
sallam ne Noha (Matam) karne
se mana farmaya hai Hazrat Abu Malik Ashari Radi-
Allahu-Anh u se riwayat hai ki
Rasool allah Sallallhu alaihi Wa
sallam ne farmaya noha
(Matam) karna jahiliyat ka
kaam hai , aur noha karne wali
agar bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka
libas aur Dozakh ke sholo ka
kurta pahnayega Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581
( Hasan) hazrat Jarir ne farmaya ki
Muawiyah radi allahu anhu ne
apney khutbey mein kaha ki
Rasoollallah Sallallhu alaihi Wa
sallam ne Noha karne se mana
farmaya hai Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580
(Sahih) Umma Atiyyah Radi Allahu
Anha se riwayat hai ki
Rasoollallah Sallallhu alaihi Wa
sallam ne hame Noha (matam)
karne se mana farmaya hai
Sunan Abu Dawud, Vol 2, # 1350 ( Sahih) Abdullah bin masood Radi
Allahu Anhu se riwayat hai ki
Rasoollallah Sallallhu alaihi-Wa
sallam ne farmaya jo shaksh
apne rukhsar peete , girebaan
phade ( kapde phaade ) aur jahiliyat
ke zamane ki tarah baate kare
wo ham me se nahi hai Sahih Bukhari, Vol2, 1297

• YE MUQADAS MAHINA APNE
IKHTETAM KO HAI AUR DUSRA
SHURU HONE WALA HAI MOHARRAM UL HARAAM KA
WO AZEEM MAHINA SHURU
HONE WALA HAI JIS KI
IBTEDA HI HAM KO EK BOHAT
BADI DEEN E ISLAM KI HASTI
KI YAAD DILATI HAI , 40 MULKO KO JIS NE FATAH KIYA
US KO DUSHMINAN E ISLAM NE
SHAHEED KARDIYA JIS KI
WAJAH SE ISLAM KO ROZ_O_
SHAB BOHAT ZYADA TARAQQI
MILTI THI EKKUM MOHARRAM UL HARAAM KO WO BHI
SHAHADAT KA JAAM PEE
GAYE KHALIFA E DUWWAM AMEER
UL MOMINEEN HAZRAT UMAR
FAROOQ Radiallahuta'al anhu K BARE ME TAAJDAR E
MADINA WA TAAJDAR E DO
JAHAN NE IRSHAD FARMAYA
K "MERE BAAD AGAR KOI
NABI HOTA TO UMAR IBN
KHATTAB HOTE " ALLHU AKBAR AAO HAM SAB MIL KAR
"AMEER UL MOMINEEN
HAZRAT UMAR FAROOQ
Radiallahuta'al anhu " KI ZAAT E AQDAS PAR LAKHO
CARORO SALAAM K NAZRANE
PESH KARE
AUR DUA KARE K ALLAH IS
UMMAT A MUHAMMADI
Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam KO EK AUR UMAR
ATA FARMAYE AUR HAM SAB
KO "UMAR FAROOQ
Radiallahuta'al anhu " JAISA IMAAN NASEEB
FARMA AAMEEN SUMMA AAMEEN Manqabat e "AMEER UL
MOMINEEN HAZRAT UMAR
FAROOQ Radiallahuta'al anhu Nahi khush bakht mohtajaane
aalam me koi hamsa
Mila taqdir se haajat rawa
Farooq e Aazam sa Tera rishta bana Shiraaz se
jaami-ate khaatir
Para tha daftare deene
Kitabullah barham sa Tere judo karam ka koi
andaaza kare kyu kar
Tera ek, ek gada faizo
sakhaawat me hai haatim sa Tumhare dar se jholi bhar
muraade le kar utthe
Na koi baadshah tumsa, na koi
benawa hamsa Fida e Umme Kulsum, aap ki
taqdire yaawar ke
Ali baba hua dulha, dulha hua
Farooq e akram sa Ghazab me dushmano ki jaan
hai, teghe Shere afgan se
Khurujo rafaz ke ghar me, na
kyu barpa ho maatam sa Shayaatin muzmahil hai, tere
naame paak ke dar se
Nikal jaaye na kyu, raffaz bad
atwaar ka dam sa Manaaye Eid jo Zil Haj me, teri
shahaadat ki
Ilaahi, rawzo maaho san, unhe
guzre Muharram sa Hassan dar aalam e pasti saare
rif’at agar daari
Bayaan farqe iraadat bar dare
Farooq e Aazam sa ??? !! Radiallahuta'al anhu !! ???


• Assalaam u Alaikum
Warahmatullah Wabarkatuh Moharram Hiqayat/Wakiya KUFA KA SAFAR Hazrat
Imaam Muslim Razi
Allahu Ta’ala Anhu ko kufa me
jis roz sahid kiya gaya, usi roz
Hazrat Imaam Hussain Razi
Allahu Ta’ala Anhu makka
moazzama se kufa ko rawana ho pade. Aapke ahle
bait,mawali aur khuddam kul
82 log aapke saath the. Yeh
mukhtsar sa ahle bait ka
kaafila makka moazzama se
rukhsat hua toh makka mukarrama ka baccha baccha
ahle bait k iss kafile ko
rukhsat hota dekhkar aabdida
aur gamseen ho raha tha.
Hazrat Imaam Hussain Razi
Allahu Ta’ala Anhu ka yeh kafila jab makame shakuk me
pahuncha toh kufa se aane
wale ek aadmi ne Hazrat
Imaam Razi Allahu Ta’ala
Anhu ko bataya ki kufiyo ne
bewafai ki aur Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu
sahid kar diye gaye. Hazrat
Imaam Razi Allahu Ta’ala
Anhu ne yeh khabar sunkar
INNA LILLAHI WA INNA
ILAIHI RAAZEUN padhi. Phir kheme me aaye. HAzrat
Muslim ki sahabzadi saamne aai
toh uske sar par safkat k saath
haath phera aur use tasalli wa
safkat aamez baate farmai.
Sahazaadi ne khilafe aadat baat dekhkar arz ki, ki aaj toh aap
mujh par yatimaana nawazis
farma rahe hai. Shayad mere
walid nahi rahe. Yeh sunkar
Hazrat Imaam be ikhteyaar ro
pade aur farmaya! Beti gum na kar. Main tera baap hu meri
bahan teri maa hai aur meri
ladkiya ladke tere bhai bahan
hai. Sahabzaadi rone lagi
farjandaane muslim dode aur
walid ki khabar sunkar wah bhi roye aur phir intehaai dileri
se farmane lage Chachjaan!
Hum kufiyo se baap k khoon
ka badla lenge ya khud bhi
unhi ki tarah sahid ho
jaayenge. Hazrat Imaam Razii Allahu Ta’ala Anhu ne phir
apne humrahiyo me ek takrir
farmai aur farmaya_ki kufiyo
ne bad ahdi ki aur Muslim Razi
Allahu Anhu ko sahid kar
diya. Tumme se jiska ji cahe wapas chala jaaye. Chunanche
baaz log jo ider uder se aakar
mil gaye the wah wapas chale
gaye. Jo sahid hone wale the
wah reh gaye. Aage badhe toh
ek makam saalba par aakar utre. Hazrat apni behan Hazrat
Zainab Razi Allahu Anha ki
jaanu par seer rakhkar so
gaye. Thodi dair baad rote
huye uthe aur farmaya Behan!
Mene nanajaan ko khawab me dekha hai aap ro rokar farma
rahe hai ki Aye Hussain! Tum
jald aakar humse miloge. Ek
sawar keh raha hai ki log chal
rahe hai aur unki qajaye unki
taraf chal rahi hai. Hazrat Ali Akbar Razii Allahu Ta’ala
Anhu ne farmaya Abbajaan!
kya hum haq par nahi hai?
Hazrat Imaam Razi Allahu
Ta’ala Anhu ne farmaya
beshak hum haq par hai aur haq hamare saath hai. Hazrat
Ali Akbar ne arz ki toh phir
mout ka kya kouf ki ek na ek
din toh marna hi hai. Abbajaan
hum sahadat ki bag ko fala
fula dekh rahe hai, duniya se behtar ghar aur naimate
hamare saamne hai.
(Tazkira Safa-57) Sabak : Hazrat Imaam Hussain
Razii Allahu Ta’ala Anhu aur
aapke ahle bait sabhi haq ki
khatir kamar kase huye the
aur unhe mout ka koi dar na
tha. Yazeed k fisk aur fuzur k khilaf aawaz buland karne me
unhe kisi duniyaawi nuksaan
ka dar nahi tha. Note: Agar iske pehle ki
hiqayat aapne nahi padhi aur
padhna cahate hai toh mujhe
comments me zarur bataye me
pichli hiqayat comment me
post kar dungi



• Valiyon ki zindgi hai Paseena
HUSAIN
ka..
Zulmo sitam ki mout he Jina
HUSAIN
ka.. Kehdo yazideeyon se k voh
apne Din
gineyn..
AGAAZ ho raha hai Maheena
HUSAIN
ka... YA HUSSAIN



• Jahan Jahan Uthi
Nazar,
Hussain Hi Hussain
Hain,
Shajar Shajar,
Samar Samar,
Hussain Hi Hussain
Hain,
Zameen Se Aasman
Talak Nazar Gayi
Jahan,
Dua Dua, Asar Asar,
Hussain Hi Hussain
Hain,
NABI ki Pusht-e-Pak
Ho,
Ya Karbala Ki Khaak
Ho,
Ghuroor-e-Sajda
Jis Ka Sar,
Hussain Hi Hussain
Hain,
Jo Zair-e-Taigh, La-
Ilah
Kaha To Keh Utha
Khuda,
Hai Jis Pe Mujh Ko
Naaz Woh,
Hussain Hi Hussain
Hain,
Kata Ke Sar, Luta Ke
Ghar,
Karay Jo Sajda
Khaak Par,
Zameen Pe aisa
Moa’tbar,
Hussain Hi Hussain
Hain.


• Nana Ki Muhabbat
Apne Nawase Se
» Jab Kabhi Husain
(Radiallah Ta’ala
Anhu) Ke
Rone Ki Aawaz Aati
Thi To Huzoor
(Sallallahu
Alaihi WasallaM)
FarMate The Ke
‘Aye Beti FatiMa,
Husain Ko Na Rulao,
Uske Rone Se
Mujhe Taklif Hoti
Hai.’
» Ek Baar Jab
Rasool’Allah
(Sallallahu Alaihi
WasallaM) Halate
NaMaz Me The Aur
Aap Khelte
Khelte Nana Jaan Ki
Pusht Mubarak Par
Sawar
Ho Gae To Pyare
Aaqa (Sallallahu
Alaihi
WasallaM) Ne
Husain Gir Na Jaae
Is Wajah Se
Apne Sajde Ko Tawil
Kar Diya..


• Aawaz De To Jannat Se
Kausar Nikal Pade
.
Nahar e Furat Kheme
Ke Andar Nikal Pade
.
Ye Sabr Ka Maqaam Hai
Warna
.
HUSAIN Hai Ungli
Jahaa'n
Lagaade,
SAMANDAR
Nikal Pade


• Muharram mein Yom-e-Ashura ke roze ki ahmiyat
-------------------------------------------------------------------
Yom-e-ashura matlab 10wa din, Hum muharram ke 10 taarikh ko
yaum-e-ashura kahte hain, is din ke roze ki ahmiyat bahut zyada hai,
hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Imam Hussain (radi
allahu anhu) ki shahadat se bhi pahle is roze ko rakhne ka hukm
farmaya tha aur khud hazrat Hussain radi allahu anhu ne bhi ye roze
rakhe the. Isliye is dine ke roze ka relation hazrat Hussain (radi
allahu anhu) ki shahadat se nahi hai. Balke iski ahmiat to pahle se hi
hai, ye alag baat hai ke aapki shahadat bhi usi din Allah ne kubul ki.

(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne ashura ke din ke
roza ki ahmiyat mein farmaya (jiska matlab ye hai ke) mujhe Allah se
ye ummid hai ke is din ke roze ki barkat se Allah 1 saal ke gunaho ko
maaf kar deta hai.

Yaha par yeh baat dhyan rakhne ki hai ke jaha kahi bhi kisi roza
rakhne ya accha kaam karne se gunaho ki maafi ki baat aati hai waha
matlab sagira (chhote) gunaho se hota hai kyonke kabira (bade) gunah
bager tauba (maafi) ke Allah maaf nahi karta. Aur kabira gunaho mein
bhi aese gunah jismein kisi dusre insan ka haq ada nahi kiya gaya ho
ya uska dil dukhaya gaya ho to jab tak aesa insan humko maaf nahi kar
deta tab tak tauba karne se bhi Allah gunaho ko maaf nahi karta. Jab
wo insan maaf karega, uske baad Allah maaf karega.

(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska
matlab yeh hai ke) ramzan ke roze ke baad sabse ahmiyat wala roza
'Yaum-e-Ashura' ke din ka roza hai.

(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska
matlab yeh hai ke) jab tum log Ashura (Moharram ki 10 taarikh) ka roza
rakho to ya to 9-10 taarikh ka rakha karo ya 10-11 ka rakha karo.
Kyonke yahudi bhi pehle se hi 10 muharram ka roza rakhte hain aur mein
chahta hoon ke islam ke maanne walo ki apni alag pehchan ho, kisi
dusure se uski baat milti hui na ho. Isliye agar yahudi 1 din ka roza
(10 taarikh ka) roza rakhte hain to tum log 2 roza rakha karo.

to is din ka Roza rakhege na bhai/bahano ?


• Moharram aur Yom-e-Ashura kya hai.
---------------------------------------------------------------------
English mein jis tarah January, February ke mahine hote hain wese hi
Arabi aur urdu mein ek mahine ka naam Moharram hai. Ye arabi urdu
calendar ka sabse pehla mahina hai, jese English mein january hota
hai. Isi tarah 'Yaum-e-Ashura' ek arabic word hai, jiska matlab hai
'Daswa Din'.

Muharram mahine ki 10 taarikh ko Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ke laadle nawase Hazrat Hussain (radi allahu anhu) aur
unke rishtedaaro, saathiyo ko shaheed kar diya gaya tha. Ye din humko
Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat ki yaad dilaata hai. Is
din hum kuch neki ka kaam karke iska isaal-e-sawab Hazrat Hussain
(radi allahu anhu) aur unke saathiyo ko pahuchana chahiye.

Lekin kuch log ye samajhte hain ke Moharram mahina aur 'Yaum-e-Ashura'
ki ahmiyat (importance) aur is din ka roza isliye rakha jaata hai
kyonke is din Hazrat Hussain (radi allahu anhu) aur unke saathiyo ko
pyasa shaheed kar diya gaya tha. Yeh baat to apni jagah hai hi, lekin
Islam mein Moharram mahina ki 10 taarikh (yaum-e-ashura) ki ahmiyat
aur iska roza to Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki pedaish (birth)
se bhi pahle se rakha jata hai. Balke Hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ke duniya mein aane se bhi pahle se rakha jata hai,
iska matlab ye ke dusre nabiyo ke time se hi Allah ne is mahine aur
iske roze ko ahmiyat de rakhi hai.

Kuch hadeeso se 'Yaum-e-Ahsura' ki ahmiyat pata chalti hai. Jese -
(1) Allah ne zameen or aasman ashura ke din banae aur kayamat bhi isi
din aaegi.
(2) Hazrat Adam (alyhissalam) aur maa Hawwa ko isi din paida farmaya.
(3) Hazrat Yunus (alyhissalam) ko 40 din ke baad machhli ke pait se
bahar nikala.
(4) Hazrat Musa (alyhissalam) ko firon jese zalim badshah se isi din
azaadi mili. Musa (alyhissalam) ke time bhi ashura ki ahmiyat thi aur
aapke ummati bhi is din ka roza rakhte the.
(5) Hazrat Isa (alyhissalam) ko isi din asman per zinda utha lia gaya.
(6) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne bhi is din roza
rakhne ka hukm apne sahaba ko diya tha, (jab tak hazrat Hussain radi
allahu anhu ki shahadat bhi nahi hui thi)

Yaani islam mein is din ki ahmiyat aur roza rakhne ka silsila to
Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se bhi pehle se chala aa
raha hai, aur Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ne bhi khud is din ka
roza rakha tha. Ye baat alag he ke Allah ne Hazrat Hussain (radiallahu
anhu) ki shahadat bhi isi din kubul karke iski ahmiyat (importance)
mein ek sitara aur badha diya.
https://www.facebook.com/shahadat4all

No comments:

Post a Comment